Member

0

0%

Status

Offline

Posts

164

Likes

152

Rep

0

Bits

1,253

3

Years of Service

LEVEL 3
35 XP
UPDATE 1



Life me kabhi kabhi kuch ise mod aate hai jo apki zindagi to 180 par ghuma dete hai aur jo hamne socha nahi hota wo manjar dikh jata hai...par yehi to zindagi hai. Hai na?...to chaliye aapko aisa hi ek zindagi ka kisa sunata hu...umeed hai aapko pasand aayega.

Ye Kahani Raj ke POV se hogi...to chaliye Shuru Karte Hai

Hello dosto mera naam Raj hai mene abhi 12th class complete ki hai aur 2 din pehle mera 18th b'day gya hai...me originally mumbai se belong karta hu...mere parents kafi ameer hai aur sath hi self-centered bhi...wo hote hai na jinko sirf society me izzat kamane se fursat nahi hoti...jinko har rishte se pyara apni naak aur izzat hoti hai...bas aise hi log hai mere mummy-papa.

Kehne ko to mera ghar kafi bda hai aur har cheez hi sahuliyat hai isme...nokar-chakar hai...gadiya hai...wo har cheez mojood hai jo ameero ke ghar me hoti hai...pa na jane kyu itna sab kuch hote hue bhi me akela mehsus karta hu...kyuki mehengi cheezo se aaram mil sakta hai par ye jaruri nahi ki wo aapko sukh de ske...is akelepan ka mukhye karan ye bhi hai ki me ek introvert type ka ladka hu jada logo se bat cheet karna mujhe na hi to pasand hai aur na hi me kar pata hu bas apni duniya me lga hota hu...par me introvert hu psycho nhi kabhi-kabhi mujhe bhi bat karne ka man hota hai jaise aam logo ko hota hai par mushkil ye hai ki mere pas bat karne ke liye koi nahi hai...halaki mummy-papa mere sath hi rehte hai par unko fursat hi nahi mere liye...

Papa to jadatar bahar hote hai business ke liye jab kabhi ghar par aate to sirf meri padhai kaise chal rahi hai...ache marks lane hai taki unki izzat socity me aur bad sake...bas isi tarah ki baat hoti hai hamare beech...unhe is baat se koi matlab nahi hai ki me kaisa feel kar rha hu...wahi dusri aur mummy ghar par mere sath hote hue bhi mujhe kafi dur hoti hai...matlab ki unhe bhi society me apni value badhane ki fikar rehti hai...isliye din bhar ghar se dur rehti hai kabhi kisi kitty party me to kabhi kisi social function me...aur jab ghar wapas aati hai to itna thak jati hai ki sirf unhe bister dikhai deta hai...kai bar to mujhe mummy ko dekhe kai din beet jate hai...un dono ke is tarah ke rawaye ke chalte me hasna bhi bhul gya hu...

Par me hamesha aisa nahi tha ek time tha jab me kafi khush rha karta tha... koi tha jise me apne dil me uth rhe vicharo ko keh saktha tha...koi tha jo meri betuki bato ko bhi aisa sunta tha jaise me koi divye gyan de rha hu... jiske pas mere liye time hi time tha...jiske hote hue me kabhi akela mehsus nahi karta tha... wo insan koi aur nahi meri badi behen Aanchal thi...kehne ko to Aanchal mujhe 4 saal badi thi par hum dono ek dusre ke sath friend ke jaise rehte the... mene kabhi usko didi nahi kha aur usne bhi mujhe is cheez ke liye nahi toka... jab kabhi me kisi problem me hota tha to me sabse pehle Aanchal ke pas aata tha... jab kabhi mujhe kisi cheez me advice chahiye hoti to wo ek jimedar badi bahen ki tarah mujhe samjhati...aur agar kabhi hum dono moj-masti karte to wo bilkul choti bachi ban jati. Kyuki papa-mummy ko ko to fursat nahi hoti thi...to mera jadatar samay meri Aanchal ke sath hi beet-ta tha...wohi meri mummy thi, wohi papa aur wohi dost...meri life mast chal rahi thi kisi dukh se dur-dur tak wasta nahi tha...din khusi-khusi beet rahe the...aur phir aaya wo manhus din jisne sab kuch badal diya...mere haste-khelte sansar ko ujad diya...mujhe aaj bhi yad hai Friday ka din tha...shaam ke koi 6:30 baje the ki neeche hal se kafi jor se chilane ki awaj aa rahi thi jaise koi lad rha ho...mene neeche jakar dekha to Papa aur Aanchal me kisi cheez ko lekar ladai ho rahi thi.

PAPA:
Kabardar aajke bad us ladke se mili bhi to...teri tange kat dunga...mere ghar me rehna hai to mere tarike he rehna hoga nahi to nikal ga yha se

AANCHAL:
Me us ladke ko to chod nahi sakti papa kyuki me use bhoot pyar karti hu...aur agar bat ye hai ki us ladke me aur is ghar me mujhe chun na pde to me use chunugi...isliye me abhi is ghar ko chod ke ja rahi hu

PAPA:
Ha to ja abhi ke abhi...mujhe aise beti nahi chahiye jo samaj me meri naak kta de...tu mar gayi hai aaj se mere liye

Itna bolkar papa ghar se bhar nikal gaye guse me...aur Aanchal bhagte hue uper apne kamre me chali gayi...aur me but bna ye sab dekta rha...

jab mujhe thoda hosh aaya to me pas me khadi mummy ke pas gya

ME:
Mummy ye sab kya ho rha hai...aur papa ne Aanchal ko ghar se nikalne ko kyu bola...mujhe kuch samaj nahi aa rha

MUMMY:
Teri behen ek choti hasti ke ladke ke sath ishq lda rahi hai... aur use shadi karne ki bat kar rahi hai...jo hame manjur nahi

ME:
Par mummy ek bar aap us ladke se mil to lo ho sakta hai ladka acha ho aur aap logo ko pasand aa jaye

MUMMY:
Ladka chahe acha ho ya bura par hai to aukat me ha se chota...lof kya bolenge ki Singhania's ki ladki ne ek mamuli se ladke ke saath shadi kar li...ye hame harjiz manjoor nahi

ME:
Par mummy wo..wo

MUMMY:
Bas ab mujhe kuch aur nahi sunna

Itna bolkar mummy apne room me chali gayi aur me unhe dekhta rhe gya...par tabhi mujhe Aanchal ka kyal aaya...aur me dodta hua uske room me poncha...wo apna saman pack kar chuki thi...ye dekhte hi mera jism thanda pad gya aur me dod kar use kas ke pakad liya...jaise agar chooda to wo chali jayegi...aur rone lga

ME(ROTE HUE):
Nahi Aanchu me tujhe nahi jane dunga... me papa se bat karunga mujhe yakin he wo man jayenge...par plz tu kahi mat ja
(Me Aanchal to pyar se Aanchu kehta hu)

Aanchal me mujhe apne se lag kiya aur mujhe apni chati se lga liya jaise bacho lo lgate hai... aur bda pyar se mere sar par hath phirane lgi

AANCHAL:
Chup hoga mere shona babu...tu ro mat nahi to me bhi ro dungi...plz chup hoja

Kafi der ke bad me chup ho gya...par aansu abhi bhi ruk nahi rhe the...kher jaise these mene unpar kabu kiya

AANCHAL:
Dekh tujhe bhi pta hai aur mujhe bhi ki hamare parents to apni izzat kitni pyari hai... wo kabhi bhi mujhe Rajeev se shadi karne nahi denge...isliye yehi behter rahega ki me is ghar ko chood du

Uski ye bat sunkar ek bar phir mere aansu behne lge

ME:
Par ye bhi to ho sakta hai ki mere samjhane se papa-mummy man jaye


AANCHAL:
Tujhe sahi me aisa lagta hai
(meri aankho me dekhkar usne pucha)

Aur mera sar bebasi me jhuk gya kyuki pta to mujhe bhi tha ki papa kabhi nahi manege...
ek bar to mne socha aanchal ko samjhata hu shayad ye man jaye par mujhe pta tha ki wo Rajeev se kitna pyar karti thi...usne mujhe bataya tha ek bar... par mujme aisa karne ki himat nahi hui kyoki me Anchu ka dil nahi tod sakta tha chahe mujhe ise kitni bhi takleef ho... jab meri aur se koi jawab nahi aaya to Aanchal bol padi

AANCHAL:
Nahi hai na iska jawab tere paas... chal ab chup hoga aur mujhe khusi-khusi bidai de...jaise tu kehta tha ki meri shadi par has kar mujhe bidai kareyga...hihihi

Aanchu ye bat sunkar ek bar ko to mere chera par bhi muskurahat aa gayi thi...par phir Aanchu ke ghar chood kar jane ki bat yad aate hi me phir gambhir ho gya

ME:
Acha agr tune jane ka man bna hi liya hai to me bhi tere saath chulga...ruk me apna bag karta hu

Abhi me aage bdha hi tha ki Aanchu ne mera hath pakad liya

AANCHAL:
Nahi tu mere saath nahi ja sakta Shona...na jane hum dono ko kis halat se gujarna pde... au me nahi chati ki tujhe kuch takleef ho...isliye tu mere saath jane ki zid nahi karega...tujhe meri kasam

Bas phir kya tha jab Aanchu ne kasam de di to mera uske saath jaane ka matlab hi nahi tha...me bas apni bebasi par rota rha...Aanchu ne meri sar ko pakad kar mere mathe ko chuma





AANCHAL:
Ek bar meri grasti set ho gaye to me tujhe bhi apne pas bula lungi... phir hum dono mje se sath me rahenge... chal ab has de kya aisi roni surat leka wida karenga mujhe
(aur me pet kar gud-gudi karne lgi)

Jise me has diya...jab Aanchal ke saath koi bat nahi bani to mene Papa ko samjhane ka faisla kiya... ho sakta tha wo man jaye...ma bhagkar papa ke paas gya... aur wo shayad bohot arse ke baad pehle moka tha jab me papa se kuch mang rha tha...mene papa se baar-baar request ki wo Aanchal ko rok le...par wo apne faisle pe atal the... phir me bhagkar mummy ke paas gya par unhone bhi meri sunwai nahi ki... me paglo ki tarah idhar se udhar bhag rha tha ki koi to meri Aanchu ko rok le jane se par sab prayas vifal rahe...itna me Aanchu me saman lekar main gate par aa gayi...

Aur mere mathe ko chum kar mujhe apna khayal rakhne ko kha...aur sath hi kha ki wo mujhe roj phone karegi...aur gate se bahar nikal gayi...me bas aansu aankho me liye apne haste-khelte sansar ko jate dekhta rha...

Us din ke bad mano mere me kuch Zindagi niras hi ho gyi...jis ghar me mujhe khusiya hi milti thi wo ghar aaj katne ko dod rha tha...karib 5 din bad Aanchal ka phone aaya... usne mujhe bataya ki wo Rajeev ke saath hai aur 3 din bad wo log shadi karne wale hai...jise sunkar me bohot khus huwa...aur dil me umeed jagi ki mere wo khushal din phir lot kar aa sakte hai.

Par mujhe kya pta tha ki wo last bar tha jab me Aanchu ki awaj sun rha tha...kyuki uske bad kabhi bhi Aanchu ka phone nahi aaya... mummy-papa ko to is baat se shayad fark hi nahi pad rha tha ki unki beti ghar chod kar chali gayi...wo log pehle ki tarah apni life me mast the jaise Aanchal kabhi unke sath thi hi nahi...is baat ko aaj 3 saal beet gaye hai...aaj bhi mujhe uski utni hi yaad aati hai... me ye sab baate Aanchu aur mera photo hath me lekar soch rha tha apni desk par betha aur khidki se bahar jhak rha tha...aur ye samajne ki Koshis kar rha tha aakhir isme kiska dosh hai.
 
Last edited:
OP
Story Maker
Member

0

0%

Status

Offline

Posts

164

Likes

152

Rep

0

Bits

1,253

3

Years of Service

LEVEL 3
35 XP
UPDATE 2

Abhi me apni soch me duba hi hua tha ki mere phone ki ghanti bji...mene dekha to Manoj ka phone tha... Mnoje mere hi sath school me padhta tha ya yu kehna behter hoga ki mera eklota dost hai... Manoj ke father bhi kafi ameer hai aur is ameeri ke chalte ye kafi bigad gya hai matlab ki daru peena, charas peena iske sath-sath ise londiya baji ka bhi chaska hai...mane ye bolna theek hoga ki ek pura bigda hua ameer jada hai aur ho bhi kyu na apne maa-baap ka iklota chirag hai...jha Manoj ek bigdal shejada hai wahi me ise bilkul ulat hu...kai bar to mujhe khud achraj hota hai ki akhir meri ise itne saal tak kaise patee...shayad isliye ki Aanchu ke jane ke bad sirf ye hi tha jo jise me khul ke bate kar leta tha...waise me ise kam bate karta yeh mujse jada...par jaisa bhi hai Manoj dil ka bura ladka nahi hai...phie bell ki ring se mera dhyan phone ki aur gya...aur mene call uthai

ME:
Hello

MANOJ:
Abe madarchod kha mar gya 2 din se...sale 18th b'day kya hua apne aapko nawab samajne lga

ME:
Hahaha...nahi bhai aise koi bat nahi hai...aur tu bta kaise phone kiya tune

MANOJ:
Abe behenchod tere in sab chutyapo me important baat btana to bhul gya

ME:
Important bat...aisi kon si important baat ho gayi 2 din me?

MANOJ:
Abe bhosdike chup reh aur meri baat sun...parso ham log Goa ja rhe hai

ME:
Goa? Par kyu...mera matlab aise achanak

MANOJ:
Abe chutiye plan achanak hi bante hai... aur mene tujse puchne ke liye nahi btane ke liya phone kiya hai ki ham log Goa chal rhe hai...chup chap apna saman band le...Samjha

ME:
Par yaar ye to bta hum Goa jake karenge kya?

MANOJ:
Wo kya hai na wha ek bohot hi sidh sadhu Lundan Prasad padhare hai... bas unhi ke darshan ki abhilasha jagi man me...abe bhosdike Goa me log kya karne jate hai...sale charas piyenge...chudai machaege aur kya

Asal me Manoj sirf daru, charas aur ladki baji ka hi nahi Sex ka bhi kafi shokeen tha ya ye kehna behter hoga ki ek number ka chudakad insan tha

ME:
Hahaha...lundan prasad? Mast naam diya hai yaar...par yar tujhe to pta charas me peeta nahi aur paid sex karna me chata nahi...to mera wha jana to ekdum fizul hoga

MANOJ:
Abe gandu chal mana ki charas tu peeta nahi par kutte sex ko kyu thukra hai...ab to 18 ka bhi ho gya ...kya sari jindagi ekele loda hath me thame muth marta rahenga


ME:
Hahaha...nahi bhai ekele nahi Porn dekhte hue marta hu...tu bhi try kar kabhi

MANOJ:
Sale mujhe mat sikha mene ye sab kaam bachpan me kar ke chod diye hai... aur mza chut me hota hai wo Porn dekhkar muth marne me kha...aur ab apni bakwas band kar tu chal rha hai... That's an Order...chal parso subha tujhe pick karne aaunga bye.

ME:
Are sun to...

Par jab tak phone kat chuka tha...ab me soch rha tha ki mujhe uske saath jana chahiye ya nahi...kafi sochne ke bad decide kiya ki chalta hu waise bhi kai saalo se me khi bhar ghumne nahi gya tha...phir mene phone ko pocket me rakha aur Anchu aur mere photo ko safely apne drawer me rakha aur bahar ghumne chala gya...aur raat ko lota... sare raste me yehi soch rha tha ki mummy se permission kaise lunga kyuki papa to hamesha ki tarah bahar the...par ghar aakar dekha to ghar hamesha ki tarah Viran tha sirf ek nokar ke alawa ghar me koi nahi tha...kabhi-kabhi to mujhe ye khalipan katne ko dodta tha... jab mummy ghar par nahi thi to mene bhi khana kha liya aur socha ab pata nahi mummy kab tak aayegi unse kal subha hi bat karunga aur apne room me chala gya aur so gya...

Subha 6 baje utkar gym chala gya to ghar me hi tha...mere alawa isko koi use nahi karta tha...jab gym se free hua to neeche dinning table par aa gya...abhi me soch hi rha tha ke mummy se permission kaise mangu...ki mummy apne room se tayar hokar bahar aai...

ME:
Mummy aap kahi ja rahi ho kya?

MUMMY:
Ha me ek fuction me Delhi ja rahi hu...1 ghante bad meri flight hai is liye abhi airport ke liye nikal rahi hu...parso tak lotu gi...Bye

Me bas thaga sa mummy ka muh dekhta rhe gya...par fir himat karke unse puch hi liya

ME:
Mummy wo Manoj ne ek trip ka plan banaya hai kal ka...Kya me uske saat ja sakta hu

MUMMY:
Jha jana ha ja...mujhe late ho rha hai me nikalti hu...Bye

Itna bolkar mummy bahar nikal gayi aur me sochne lga kya koi maa itni busy bhi ho sakti hai ki uske pass apne bete ke liye 2 minutes ka bhi time na ho...mene socha tha ki wo mujhse kuch puchegi mujhe kuch samjhayengi... par unhone to ye janana bhi theek nahi samjha me Kha aur Kiske sath ja rha hu...mummy ki ye harkat mere dil ko chot pucha gayi... aur meri aankh me halke aansu aa gaye...aaj me apne aap ko bohot akela mehsus kar rha tha...ab mera kuch khane ka bhi mood nahi rha tha to me apne room me chala gya aur jakar chup-chap let gya jaise sharir me se jaan nikal gayi ho... aaj mujhe bohot dino ke bad Aanchal ki yaad aai...ki agar wo yha pe hoti to mujse trip se related bohot sari hidayte deti...par wo yha pe nahi thi aur jo the unhe mere is ghar me hone ya na hone se shayad koi farak nahi padta tha.. inhi soch me duba huye time ka pta hi nahi chala aur dopher ho gyi...tabhi mere phone bja...dekha to Manoj ka hi phone tha

ME:
Hello bhai

MANOJ:
Hello wello chood kal ka plan fix haina...kuch bakchodi na kariye ab

Mene socha ab bakchodi ko bacha kya hai...mere yha par hona na hona barabar hai..

ME:
Kal ka plan fic hai bhai...tu mujhe subha pick kar lena

MANOJ:
Yahooo ye hui na baat dekhna ye trip tu kabhi nahi bhulega...garanteed...chal bye kal milte hai

ME:
Bye kal milenge

Phone kat ho gane ke bad mene decide kiya ki jab jana hi hai to kuch jaruri saman bajar se lee aata hu trip ke liye... aur me market chala gya...isi tarah sara din beet gya.

INT. SINGHANIA'S HOUSE - MORNING

Me subha roj ka routine follow kiya...aur tayar hokar dinning table par aaya gya

ME:
Are shambhu kaka...mere room se saman lakar neeche rakh do...mene aaj kahi jana hai

SHAMBHU(HAMARA NOKAR):
Ji sir...abhi rakhta hu

Abhi Shambhu kaka uper room ke gye the ki...Manoj gate se ander aa gya...

MANOJ:
Abe gandu abhi tak tayar nahi hua kya...hme late ho jayega...chal jaldi

ME:
Abe sale tu itni jaldi kaise uth gya roj to 10 bje tak uthta hai...

MANOJ:
Sale chut ka bhoot hota hi aisa hai ki aadmi ko neend kha aane deta hai... sahi me yar rat bhar ye hi sochta rha ki kaise-kaise mje lunga...hahaha

ME:
Chal ab jada maje na le...beth ja nasta kar le

MANOJ:
Abe nasta-wasta chood wo raste me kar lenge tu chal jaldi

ME:
Acha Shambhu kaka ko saman to lana de

Itne me shambhu kaka saman lekar neeche aa gye...aur saman gadi me rakh diya

ME:
Shambhu kaka me Manoj ke sath Goa ja rha hu...agr koi puche to bta dena

SHAMBHU:
Ji sir

MANOJ:
Abe aunty uncle ko to bta de ise hi chala jayega kya

ME:
Aunty-uncle ko btane ke liye aunty-uncle ka ghar par hona bhi chahiye

Itna kehker me gadi me beth gya...aur Manoj ne bhi uske bad mere se is baat ka jir nahi kiya... shayad wo samaj gya tha ki me kya kehna chata hu...kyoki wo aksar mere ghar aata tha aur har bar sirf mujhe hi ghar par pata tha... mene kabhi use jikr to nahi kiya par shayad use bhi mere akelepan ka ahsaas tha...kher hum dono nikal pde apne safar ki aur... an dekhna ye tha ki Goa ke ye safar meri jindagi ko kis mod ki aur le jata hai...
 

56,130

Members

321,726

Threads

2,695,989

Posts
Newest Member
Back
Top