Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani

OP
Mahi Maurya
Member

0

0%

Status

Offline

Posts

68

Likes

11

Rep

0

Bits

0

2

Years of Service

LEVEL 1
100 XP
UPDATE- 43


khana khakar Jab Sarita hath dhulne kitchen me chali gayi to Savita na Nishchal se kaha.


Savi- Kya baat hain Nishu. tu kuchh pareshan sa dikh raha hai.

Nishchal- Nahi di. aisi to koi baat nahi hai.

Savi- Fir tu baar baar Sarita ki taraf kyon dekh raha tha. jaise tu usase kuchh kahna chah raha ho.

Nishchal- (najar niche karke) Nahi di. aise kuchh nahi hai.

Savi- Najar niche karke nahi. mujhse najar milakar bol ki jo main kah rahi hoon wo galat hai.


Savita ki baat sunkar Nishchal ne ek najar Savita ki taraf dekha fir apni najare niche kar li. ye dekhkar Savi ne kaha.

Savi- Iska matlab main sahi kah rahi hoon. ab chupchap bata kya baat hai.

Nishchal- Di wo.. woo kya hai na.. wo main Sarita se mafi mangna chahta tha.

Sarita- Mafi wo kisliye.

Nishchal-wo kal maine uske sath.


Fir Nishchal ne kal raat ki kahani Sarita ko bata di. Jise sunkar Savita gussa ho gayi aur nishchal se boli.


Savi- Nishu. tu pagal hai. ye kya tarika tha SArita se baat karne ka. tumhe pata bhi hai ki tumne kya kiya. mujhe tumse ye ummeed nahi thi.

Nishchal- Sorry di. Us samay mujhe gussa aa gaya tha. isliye wo sab ho gaya. usi ke liye to main Usase mafi mangna chahta hoon.

Savi- Yahi thik rahega tumhare liye. nahi to mujhse bhi baat mat karna tum.

Nishchal- Nahi di. main Sarita se maafi mang lunga fir sabkuch pahle jaisa ho jayega.

Savi- thik hai ab tum jao. sahi samay dekhkar usase baat kar lena.


Savita ki baat sunkar Nishchal uthakar apne kamre me chala gaya. Sarita aur Savita bhi apne apne kamre ke chali gayi. Subah jab Sarita sokar uthi aur niche aayi to gatekeeper ne use fir se guldasta lakar diya. Jis par ek card laga tha aur uspar likha tha. Ek bahadur aur Janbaj Police Officer ko is nachhez ki or se tuchchh si Bhent. Aapka Sabse bada Fan aur Shubhchintak.


Sarita- (man me) ye to kal wala hi guldasta lag raha hai. lekin ye diya kisne hai. I am dam sure ki PS me bhi is insan ne guldaste bheje honge. jaldi hi mujhe pata lagana hoga ki ye sab kaun kar raha hai.


Sarita uske baad jaldi jaldi fresh hokar nashta karke PS Pahuch gayi. to usne dekha ki Janhavi ki tabal par guldasta rakha huwa hai. Janhavi ne Sarita ko dekhte huwe selute kiya aur wo guldasta uthane lagi to Sarita ne kaha.


Sarita- I hope so ki ye guldasta tumhare liye hi ho mere liye nahi.

Janhavi- (hanste huwe) Nahi madam. Ye aapke liye hi hain. meri aisi kismet kaha ki koi mujhe guldaste bhent kare.

Sarita- Not again yaar. aisa mat bolo.

Janhavi- Sach me madam. ye aapke liye hi hain.

Sarita- Kisne bheja hai naam likha hai.

Janhavi- Nahi madam. bas itna likha hai ki For You Miss Sarita.

Sarita- Aree yaaar. Pahle se hi kya itni musiabat kam thi jo fir se ek nai musibat gale pad rahi hai. waise wo kaun tha tumne dekha use.

Janhavi- Nahi madam. jab main aayi to ye bahar hi rakha huwe tha. maine aapka naam dekha to utha liya.

Sarita- (sochte huwe) Thik hai Janhavi.

Janhavi- Aap Tension Kyon le rahi hain madam. Jaroori thodi hi hai ki Jisne kal aapke liye guldasta bheja tha usi ne aaj bhi bheja ho. waise bhi madam. Ladkiyon wale mamle ke baad aapki fan following itni jyada badh gayi hai ki jawan to kya buddhe bhi aapke fan ho gaye hain. ho sakta hai unme se hi kisi ne bheja ho aapke liye.


Janhavi ne ye baat hanste huwe kahi. jise sunkar Sarita ne use aankh dikhate huwe kaha.


Sarita- Very funny. Kuchh jyada hi dimag lagati ho tum. chalo apna kam karo. aur ye guldasta tum dustbin me dal do.

Janhavi- Ji madam.


Uske baad Sarita apne cabin me chali gayi aur file nikal kar kam karne lagi. Aajj usne Field me jana cancle kar diya tha aur din bhar filis mein hi ghusi rahi. Aaj usne files ka dher sara kaam niptaya. sham ko wo ghar par aa gayi aur fresh hokar Sarita ke sath baith kar thodi bahut baatcheet ki aur fir uthkar apne kamre me chali gayi aur apne bister par late gayi.


PS me din bhar baithe baithe wo thak gayi thi to use halki si jhapki lag gayi. abhi use jhapki lage kuchh hi der huui thi ki use laga ki Nishchal chilla raha hai. Uski neend khul gayi aur wo man hi man boli.


Sarita- (man me) kya yaar waise bhi kya kam tha iska chillana jo ab neend me bhi aakar chillane laga hai ye.


ye sochkar Sarita ne fir se apni aankhe band kar li. aankhe band karne ke baad fir se use NIshchal ke chillane ki aawaz aayi. is baar Sarita neend me nahi thi. wo turant uthkar bistar par baith gayi aur kaha.


Sarita- Nahi ye neend me chillane ki aawaz nahi hai. ye hitlar to sach mein chilla raha hai lekin kispar chilla raha hai ye.


usne ghadi me dekha to raat ke lagbhag 9 bajane wale the. Nishchal ka chillana badastur jari tha to wo apne kamre se nikal kar niche haal mein aayi to dekha ki Nishchal Savita par chilla raha tha. niche aane ke baad turant Sarita ne kaha.
Sarita- Kya ho raha hai ye sab. ye kya kar rahe hain aap. is tarah di par kyon chilla rahe hain.


Nishchal is samay poore gusse me tha. usne bina Sarita ki taraf dekhe hi kaha.


Nishchal- Its non of your business. ye hamara personal matter hai. tum in sabse door hi raho.

Sarita- Main bhi is ghar me rahti hoon. to yaha par jo bhi ho raha hai wo jan-ne ka mujhe bhi hak hai. baat kya hai wo mujhe bhi bataiye.


Nishchal pahle se hi gusse me tha. Sarita ki baat sunkar wo aur bhi gussa ho gaya aur usne Sarita ki taraf mudkar Uski banh pakad li aur uski aankho me gusse se dekhte huwe kaha.


Nishchal- Yaha koi tamasha nahi ho raha hai Samajhi. Maine kaha na kit um is matter se door raho aur jao yaha se..

Sarita- (chillakar) Sab kuchh aapke mutabik nahi hoga. Samjhe aap. main koi kathputali nahi hoon ki jab aap bolenge tab main hansungi. jab aap bolenge tab main roungi. jaisa aap mujhe chalayenga waisa main chalungi. jab tak aap batayenge nahi ki aap di ke upar kyon chilla rahe hain tab tak main yaha se kahin nahi jane wali.

Nishchal- tum har mamle me apni tang kyon adane lagti ho. maine kaha na ki tum is matter se door raho.


Itna kahakar Nishchal ne dant piste huwe Sarita ki banh aur sakti se pakad li. ghar me naukar ek kone me khade hokar ye tamasha dekh rahe the. Savita Nishchal ke paas gayi aur use chhudane lagi.


Savi- Kya kar raha hai Nishu. Chhod Sarita ko.

Sarita- Aapse mera koi rishta nahi hai. na hi kabhi koi rishta ho sakta hai, lekin di ko maine apni badi bahan mana hai. isliye main ye bilkul bhi bardast nahi karungi ki koi meri di se is tarah se pesh aaye aur unhe kuchh galat bole.


Nishchal ko Sarita ki baat bahut kharab lagi. isliye usne Sarita ko Dhakka de diya to wo bagal me rakhe sofe se ja takrayi aur gir gayi. jisase uska panv mund gaya dard se uski cheekh nikal gayi. ye dekhkar Savita ne ek thappad Nishchal ke gal par laga diya aur daudkar Sarita ke paas gayi aur use uthate huwe gusse se boli.


Savi- Ye kya badtameezi hai Nishu. Tumhe mujhse pareshani hai na to tum mera gussa Sarita par kyon nikal rahe ho. Yahi sab sikhaya hai maine tumhe ki kisi nirdosh par apna gussa nikalo. mujhe tumse aisi ummeed nahi thi Nishu. Sarita tum thik to ho na. tumhe kahi lagi to nahi.

Sarita- Nahi di main thik hoon.


Sarita ko halka sa dard to ho raha tha. kyonki abhi kuchh din pahle hi uske kandhe par goli lagi thi. to thoda bahut dard abhi bhi tha uska upar dhakka lagne se aur girne se dard me izafa bhi ho gaya tha. sarita ko Nishchal par gussa to bahut aa raha tha lekin usne apne gusse ko daba liya. Savita ne Sarita se kaha.


Savi- Sarita tum apne kamre me jao. main Nishu se baat karti hoon.

Sarita- Nahi di. main yaha se kahi nahi jane wali. main bhi dekhti hoon ki Sir kaise aapko nuksan pahuchate hain. jab tak mujhe poori baat pata nahi chalegi main yaha se kahi jane wali nahi hoon. Bataiye sir baat kya hai jo aap di par itna bhadak rahe hain.


Nishchan ne Sarita ko bato ka jawab dena jaroori nahi samjha aur Savita ke paas jakar khada ho gaya aur gusse se bola.


Nishchal- Di jab maine aapko mana kiya tha ki aap us insan se na to doobara milengi aur na hi usase baat karengi. to aapko meri baat samajh me kyon nahi aa rahi hai. aap kya chahti hain ki main koi aisa waisa kadam utha lu uske khilaf.


Nishchal ki baat sunkar SArita ko Sab samajh me aa gaya ki nishchal kisliye Savita ke upar bhadka huwa hai. Sarita ne man me kaha ki lagta hai ki aaj di Anant ji se milne gayi thi aur Sir ne unhe Anant ji ke sath dekh liya isliye ye itna bhadake huwe hain. Nishchal ki baat ka jab Savita ne koi jawab nahi diya to Nishchal ne chillate huwe kaha.


Nishchal- maine aapse kuchh poocha hai di. jab maine aapko mana kiya tha us aadmi se milne ke liye to aap us aadmi se dobara kyon mili.


Ye sunkar Sarita Nishchal aur Savita ke bich me aakar khadi ho gayi aur gusse se boli.


Sarita- To kya galat kar diya di ne agar kisi se mil liya to.

Nishchal- (gusse me) Tumhe har baat ke bich me padne ki bimari hai kya. maine tumse kaha na ki ye mera aur di ka personal matter hai tum isme apni naak mat ghusao. aur jab koi baat pata na ho to usme koodne ki koi jaroorat nahi hai.

Sarita- Mujhe sab pata hai ki baat kya hai. aur main wahi kah rahi hoon ki agar di unse milne chali bhi gayi to unhone kaun sa gunah kar diya unse milkar. aakhir wo itne ache jo hain.

Nishchal- Meri bahan ke liye kaun achha hai aur kaun bura hai ye main ache se janta hoon. tumhe mujhe batane ki koi jaroorat nahi hain.

Sarita- Jaroorat hai tabhi to bata rahi hoon. aap ache aur bure insan ki parakh bhool gaye hain tabhi to bata rahi hoon aapko. Anant ji bahut ache hain. aapko ek baar unse fir se milna chahiye aapki galatfahmi door ho jayegi.

Nishchal- (hairani se) Tum kab mili us insane se.

Sarita- Ye baat mayne nahi rakhti ki main kab mili unse. yaha matter ye karta hai ki unse ek baar aapka milna jaroori hai. meri baat maniye to ek baar unse mil lijiye.

Nischal- Main kyon manu tumhari baat. main us gunde mawali se nahi milunga. chahe kuch….

Savi- (bich me hi) Wo gunde mawali nahi hain. tum ek baar unse milo to sahi

Nishchal- (gusse me) Mujhe ek hi baat ko baar baar dohrane ki aadat nahi hai. main eek bar kah diya ki aap usase nahi milengi to nahi milengi. wo aapke liye achha ladka nahi hai.

Sarita- aap samajh kyon nahi rahe hain Sir. Di kitna pyaar karti hain Anant ji se.

Nishchal- Mujhe kuchh nahi pata. main bas itna janta hoon ki wo meri di ke liye achha ladka nahi hai.

Sarita- Ek baat bataiye. Kyaa aap usase door rah payenge jisase aap pyaar karte hain.

Nishchal- (Aankh dikhate huwe) Tum isme mere baat kyon ghused rahi ho.

Sarita- Main baat ghused nahi rahi hoon. main ye jan-na chahti hoon ki agar di aapse door ho gayi to kya aap di ke bina rah payenge. ya aap kisi ladki se pyaar karenge to usase door rah payenge.

Nishchal- Miss Joshi. aap apni limit cross kar rahi hain. behtar hoga kit um yaha se chali jao. wo gunda mawali hai. isliye main usase di ki shadi nahi hone doonga.

Sarita- Main kahi nahi jane wali. ab to main aapko hi lekar har baat kahungi. aur ye bataiye aap mujhe. aap kis bisis par Anant ji ko gunda mawali bol rahe hain.

NIshchal- Tumhe is baat se koi matlab nahi hona chahiye. ye mere ghar ki baat hai meri di ki baat hai to tum isase door hi raho.

Sarita- Wo meri bhi di hain aur aap baat mat badaliye maine aapse jo poocha hai uska jawab dijiye.

Nishchal- Wo tum di se hi pooch lo. maine di ko sab bataya hai.

Sarita- Mujhe sab pata hai. di ne mujhe sab kuchh bata diya hai. Agar Anant kisi ko maar rahe the to aapne karan jan-ne ki koshish ki ki wo us aadmi ko kyon maar rahe the. nahi bas unhe kisi ko marte dekha aur use gunda mawali ghoshit kar diya.

agar bina karan jane hi maar pit karne wala aapki najar me doshi hai to maine bhi aapko kitni baat thappad mara hai to main bhi gundi mawali ho gayi. aapne bhi to kitni baar kitna nirdosho ki shak ke aadhar par dande se pitayi ki hogi. iska matlab aap bhi gunde mawali ho gaye.

kisi insane ko jabran pareshan karna. uska hak marna. bina matlab maarpit karna ye sab gunde mawali karte hain.

Mr. Nishchal Singh Rathod. Apne garam khoon ke ubal ko thanda kijiye aur apne inspector wale chashme se sabko dekhna band kar dijiye. jise pahan kar dekhne se aapko jhagda karne wala har insane gunda mawali lagta hai.

yaha par apna pulisiya dimag mat lagaiye. Ek bhai ki tarah sochiye. apni bahan ki khushiyo ke bare me sochiye. bina kisi baat ki tah tak pahuche aur usase bhi badi baat ki bina us insaan se mile aur usase bina baat kiye hi aapne apne man me uske liye ek gunda mawali ki chhavi bana li hai.

Nishchal- Miss Joshii tum…..

Sarita- (baat ko katkar) Abhi meri baat khatam nahi hui hai Mr Rathod. Aapko ehsas hi nahi hai ki di Anant ji se kitna pyaar karti hai aur Anant ji bhi di se kitna pyaar karte hain. Tabhi to abhi tak dono Is intezar me baithe hain ki unka Prem ek din sakar hoga. Aap di ki baat samjhoge.

Agar di chahti to aapko is bare me kuchh na batati aur chhup chhup ke shadi kar leti. Lekin di ne aisa nahi kiya. Unhone sabse pahle aapko bataya kyonkiki aap unke bhai hain. unki bhavnao ko samjhenge.

lekin aapne kya kiya. Pichhle 5 saal se di isi ummeed mein hain ki ek din aap Anant ji se milenge aur di se kahenge ki aapko di ki pasand par naz hai, lekin nahi aap to apni zid par ade huwe hain. jab di kah rahi hain ki aap ek baar unse mil lijiye unse baat kar lijiye. to mujhe ye samajh me nahi aata ki aapko Anant ji se ek baar milne me dikkat kya hai.

Nishchal- Mujhe Na us insane se milna hai aur na hi usase baat karni hai.

Sarita- Fir to di bhi aaj ke baad aapki baat nahi manengi.


Savita Sarita ke pichhe khadi hokar aanshu baha rahi thi. Sarita ki baat sunkar Nishchal gusse se chillate huwe bola.


Nishchal- maine tumse kaha na ki tum mere personal mamle me mat pado aur apne kamre me jao.

Sarita- Main kahi nahi jane wali aur ye ab aapka personal matter nahi hain. di ka matter mera matter hai.

Nishchal- Sarita tum ye thik nahi kar rahi ho. yaha se chali jao nahi to tumhare liye achha nahi hoga.

Sarita- Main aapki dhamkiyo se darne wali nahi hoon. Kya kar loge aap mera. Akadu.


Baat ko badhte dekh Savita Sarita ke pichhe se nikal kar samne aayi aur Nishchal se boli.


Savi- Nishu bas karo. ghar me 2-3 mulajim bhi hain aur tumne koi kasar nahi chhodi hai unke samne meri izzat utarne mein. bas karo tum. mujhe is bare me ab koi baat nahi karni hai. tum jo chahte ho waisa hi hoga. main nahi milungni Anant se.


Ye kahkar SAvita rote huwe sidhiya chadhte huwe apne kamre me chali gayi.
 
Mahi Maurya's SIGNATURE
OP
Mahi Maurya
Member

0

0%

Status

Offline

Posts

68

Likes

11

Rep

0

Bits

0

2

Years of Service

LEVEL 1
100 XP
UPDATE- 44


Ye kahkar SAvita rote huwe sidhiya chadhte huwe apne kamre me chali gayi. Savita ko rote huwe jate dekh jaise hi Sarita uske pichhe jane ko hui. Nishchal ne Sarita ki baanh pakadkar use apni taraf kheech liya.


Sarita sidhe aakar Nishchal ke sine se takra gayi. Nishchal ne uski banh par apni pakad mazboot karte huwe gusse se aag ugalti aankho se sarita ko dekhte huwe kaha.


Nishchal- Ye sab tumhari wajah se huwe hai. na tum bich me bolti aur na hi ye sab hota. maine hi tumhe yaha rahne ke liye kahkar galti kar di. na main tumhe yaha rahne ke liye kahta, na tum yaha rahti, na tum ham dono ke bich me bolti aur na hi ye sab hota. aaj tumhari wajah se di aise rote huwe gayi hain.

Sarita- Realy. Sach mein. Wakai ye meri wajah se huwa hai. Nahi Mr. Rathod… Nahi. Ye sab meri wajah se nahi Balki Ye sab aapki wajah se huwa hai. Di aaj royi hain to uske jimmedar aap hain. di agar royi hain to uski jimmedar aapki wo jhoothi zid hai. di agar royi hain to uska jimmedar aapka pulisiya dimag hai.

agar aap ek police wale ki tarah na sochkar ek bhaai ki tarah sochte to aaj di roti nahi. Aapne suna di ne kya kaha. aap jo chahte hain wahi hoga. di nahi milengi aaj ke baad Anant ji se. Iska matlab samajhte hain aap.

Di Anant ji se jyada aapse pyaar karti hain Sir aapse. Abhi bhi kuchh nahi bigda hai. apni zid aur jhotha ahankar chhod dijiye. kahi aisa na ho ki jab aap neend se jagein to bahut der ho jaye aur aapko pachhtane ke siwa kuchh na mile.

Aur is galatfahami me mat rahiye aap ki main aapke kahne par aapke ghar par ruki hoon. mujhe koi shauk nahi hai aapke ghar par rukne kaa. aapki tarah mujhe bhi sarkari ghar mila huwa hai rahne ke liye, kal hi main yaha se chali jaungi. mujhe bhi aapke yaha nahi rukna. ye to di ne itni zid ki thi yaha rahne ke liye. apni kasam de di thi. isliye main yaha rahne ke liye aa gayi.


Itna kahkar Sarita ne gusse se Nishchal ki aankho me dekha aur jhatak kar apni banh chhudai aur sidhiya chadhkar savita ke kamre ki taraf chali gayi. Niche nishchal thaga sa khada Sarita ko jata huwa dekhta raha.


Uski kahi hui bato ne Nishchal ki bolti band kar di thi aur kahi na kahi Nishchal ko ye sochne ke liye vivash kar diya tha ki Kya wo apni di ke sath sahi kar raha hai, us di ke sath jo use kitna pyaar karti hain.


Sarita jab Savita ke kamre me pahuchi to usne dekha ki Savita apne bed par baithi ro rahi hai. Sarita ne Savita ko kisi tarah Samjha bujha kar shant karwaya. Sarita ne Savita ko pani diya pine ke liye. Savita ne pani piya aur jab Savita samanya ho gayi to Sarita apne kamre me chali gayi.


Udhar Nishchal bhi apne kamre me aa gaya aur bed par baith gaya. thodi der baad jab uska gussa shant huwa tab usne abhi jo kuchh huwa us par sochna shuru kiya to use pata chala ki usne kya kar diya. usne kitni badi galti kar di. wo turant uthakar Savita ke kamre me jane laga tabhi mulajim khane ki plate lekar kamre me aaya aur kaha.


Mulajim- Nishchal babu. khana kha lijiye.

Nishchal- Di aur Sarita ne khana khaya kya.

Mulajim- Nahi babu. dono log abhi tak apne kamre se bahar nahi nikale hain.

Nishchal- Aisa kariye aap khana niche table par lagaiye main dono ko lekar aata hoon.


Nishchal ki baat sunkar mulazim bahar chala gaya. Nishchal apne kamre se nikal kar Savita ke kamre ki taraf gaya. Nishchal ne darwaza khola aur Savita ki taraf dekha. Savita ne bhi ek najar darwaze ki taraf dekha aur fir apna munh fer kar baith gayi.


Ye dekhkar Nishchal Savita ke paas gaya aur Niche jameen par Savita ke pairo ke paas baith jata hai aur uske pairo ko pakad kar chumte huwe bolta hai.


Nischal- Sorry di. Mujhe maaf kar do. Mujhse fir se wahi galti ho gayi. plz mujhe maaf kar dijiye.


Nishchal ki baar sunkar Savita koi jawab nahi deti aur apna sir niche kiye baithi rahti hain. Nishchal ne jab apna sir upar kiya aur apni di ko dekha to uska kaleza kanp gaya.


Savita ki aankhe ro ro kar lal ho gayi thi. aankho se anshu bahkar galo par sukh gaye the. chehra ekdam murjha gaya tha. ye dekhkar nishchal bhi rone laga aur apna Sir Savita ke pairo par rakhkar rote huwe bola.


Nishchal- Mujhe maaf kar do di. mujhse bahut badi galti ho gayi. aap mujhse gussa hai na to mujhe maar lijiye. maine kaam hi mar khane wala kiya hain. main aapka achha bhaai nahi hoon. main bahut bura hoon. mujhe mariye di mujhe mariye. meri wajah se aap ro rahi hain. main bahut bura hoon di.


Savita ne jab Nischal ko rote huwe dekha to usne turant nishchal ko pakadkar uthaya aur apne gale laga liya. aur khud rone lagi. nishchal bhi ro raha tha. thodi der dono ek doosre ke gale lagkar rote rahe fir jab Savita kuchh normal hui to wo subukate huwe boli.


Savi- tu..tumm h…harr baarrr ai..aisaa hii karr….kartee ho. pahlee gus.. gussa hote ho. muj…. mujhpar chi…chillate ho. firrr…. lang…langur jaisii shakal ba…. banaa karr mere sam.. samnee aa jate hoo au… aur mafi man….mangte ho. aurr main tum….. tumhe maaff kar detiiii hoon, tum me….mera fayda uthate ho. tumhee pa…pata hai kii main jyada derr tumsee nara….. naraj nahi rah saktii. lekin is baat tumne Sa….. Sarita parr bhiii gussaa kiyaa. jabkii uskii ko….koii galttii bhi nahi thii. yee tumne achhaa nahhii kiyaa nishu.

Nishchal- main janta hoon di ki gusse mein maine use kuchh jyada ho bol diya tha. par main usase apne kiye ki mafi mang lunga, lekin sabse pahle aap mujhe maaf kar dijiye di. aur chaliye niche khana kha lijiye. agar aap aise rahengi to main bhi khush nahi rah paunga.

Savi- thikk hai tum isi baat ka fayda uthate ho hamesha. chalo sab log sath me milkar khana khate hain. tum jakar Sarita ko bulakar le aao. usne bhi khana nahi khaya hoga.

Nishchal- Itna sabkuchh hone ke baad aapko lagta hai ki wo meri baat manegi.

Savi- Ab ye rayta tumne hi to failaya hai to ise tum hi sametoge. use tumne naraz kiya hai to tum hi manao use. use sorry bolo jakar. main kuchh der me niche aa rahi hoon. mere sir me bahut dard ho raha hai.

Nishchal- Laiye di main aapka sir daba deta hoon. ye sab aapke jyada rone ke karan ho raha hai. aap itna roya mat kariye di.

Savi- tum hi to mujhe rulate ho Nishu. Jao tum Sarita ko manao. mera sir dard jaldi hi thik ho jayega.


Savita ki baat sunkar Nishchal Savita ke kamre se nikalkar Sarita ke kamre ki taraf chal pada jab wo darwaza kholkar dekhta hai to Sarita apne bag me kapde pack kar rahi thi.


wah turant Sarita ke paas jata hai. use samajh me nahi aa raha tha ki wah kaise Sarita se baat kare. Nishchal ko dekhkar SArita ko aur tez gussa aata hai aur wo aur jaldi jaldi kapda bag me dalne lagti hai. ye dekhkar Nishchal poochta hai.


Nishchal- Ye kya kar rahi ho tum.

Sarita- Ye sab chhodiye. pahle ye bataiye ki aapko koi tameez nahi hai kya. kisi ladki ke kamre me aane se pahle nock kiya jata hai. dhadam se darwaza kholkar andar nahi ghusa jata.

Nishchal- Ye to mere sawal ka jawab nahi huwa.

Sarita- Dikh nahi raha hai kya ki saman pack kar rahi hoon main. andhe ho gaye ho kya aap.

Nishchal- Andha nahi ho gaya hoon dikh raha hai ki tum saman pack kar rahi ho.

Sarita- Jab dikh raha hai to pooch kyon rahe ho fir.

Nishchal- Main ye jan-na chahta hoon ki tum saman kyon pack kar rahi ho.

Sarita- Mera saman hai. Meri marji main chahe jo karu.


ye sunkar Nishchal uske bag se kapde nikal kar bed par fenk deta hai. Sarita ek gusse wali najar se Nishchal ko dekhti hai aur fir se apne kapde uthakar apne bag me dalne lagti hai. Nishchal fir kapde bag se nikal kar bed par fenkne lagta hai.


use Sarita ke poore kapde nikal kar bed par fenk diya. tabhi uski najar bag par padti hai to use uske andar ek kapda dikhayi deta hai. Nishchal apna hanth bag me dalkar wo kapda bhi bahar nikalta hai, lekin Nishchal ki kismet kharab thi ki Ye kapda kuchh aur nahi Sarita ki bra thi.


Nishchal ko bhi iska aabhas nahi huwa Ki usne Sarita ki bra apne hath se pakad rahi hai. Nishchal ke hath me apni bra ko dekhkar Sarita ko gussa aa jata hai wo Nishchal ke hanth se apni bra chhen leti hai tab nishchal ka dhyan Is baat par jata hai. jisake karna Nishchal Sakpaka jata hai. Nishchal ne kaha.


Nishchal- tum ye ghar chhodkar kahi nahi ja rahi ho samjhi tum. tum kahi nahi ja rahi ho. ab tum chupchap chalo aur khana kha lo. di tumhara niche intezar kar rahi hain.

Sarita- Abhi jo kuchh bhi huwa. usase hi mera pet bahut jyada bhar gaya hai. mujhe bhookh nahi hai. aap jaiye aur mujhe kapde pack karne dijiye.


ye bolkar Sarita fir se kapde apne bag me dalne lagti hai. lekin is baar Nishchal ne uske kapde ko hanth na lagate huwe SArita se kaha.


Nishchal- Ye kya natak laga kar rakha hai. Ye kaisi jid hai tumhari. Ek taraf tum ho jo munh fulaye baithi ho aur ek tarf di hain. main akela tum dono ko kaise sambhalu.

Sarita- (gusse se) Jid main nahi aap kar rahe hain pichhle 5 sal se aur aap kast kat kariye mujhe sambhalne ke liye. main apne aapko sambhal sakti hoon. aap bas di ka dhyan rakhiya.

Nishchal- Tumhe kya lagta hai. main di se pyaar nahi karta. tumhe kya pata main di se kitna pyaar karta hoon. main di ki khushiyo ka dushman nahi hoon. di se is tarah ki baat karke main bhi rota hoon. main di ko dukhi nahi dekh sakta. jab main di ko dukhi dekhta hoon to mujhe bahut takleef hoti hai.

Sarita- Jab aap di ko dukhi nahi dekh sakte to aap di ko unki khushiya kyon nahi de dete. Unki khushi Anant ji mein hai. Di unse bahut pyaar karti hain aur Anant ji di se. Aapko ye baat abhi samajh me nahi aayegi, kyonki aapko abhi tak kisi se pyaar nahi huwa hai.

jis din aapko kisi se pyaar hoga na tab aapko pata chalega ki us insane se door rahna kitna dukhdayi hota hai. kitna mushkil hota hai jise aap pyaar karte hain, lekin main aapse ye sab kyon kah rahi hoon. jise sirf bewajah gussa karna aata hai.


Sarita ki baat sunkar use apne aase gussa aane lagta hai ki usne di ko dukhi kiya unhe rulaya. Sarita ko to aaye huwe abhi kuchh hi din huwe hain, lekin usne di ko kitni achhi tarah se samajh liya hai aur ek main hoon jo apni bahan ki khushiyo ki taraf kabhi dhyan hi nahi diya. Nishchal ne Sarita se kaha.


Nishchal- Abhi jo kuchh bhi niche huwa uske liye main mafi mangta hoon tumse.

Sarita- Thoda jor se boliye. niche aapki baat sunkar mera kan band ho gaya hai. aapne jo kuchh kaha abhi wo mujhe sunai nahi diya.


Ye sunkar Nishchal Sarita ke ekdam paas chala gaya aur uske kan ke paas pana munh le jakar jor se kaha.


Nishchal- Abhi jo kuchh bhi niche huwa uske liye main mafi mangta hoon tumse. mujhe maaf kar do.


Ye sunkar Sarita ne Nishchal ko dhakka dekar apne se door kiya aur usase kaha.



Sarita- Main bahari nahi hoon jo gala faadkar chilla rahe ho. sunai deta hai mujhe.

Nishchal- To chalo aur khana kha lo.


Nishchal ki baat sunkar Sarita tas se mas nahi hui to Nishchal ne kaha.


Nishchal- kYa hai yaar ye tum logo ka. apna gussa khane par kyon nikal rahi ho. di niche khane par tumhara intezar kar rahi hain aur tum yaha nakhre kar rahi ho. meri nahi to kam se kam di ki baat to man lo.

Sarita- Main aapki yaar waar nahi hoon. isliye agli baat se ye sab mat boliyega samjhe. nahi to munh noch lungi aapka main.


Itna kahkar Sarita bahar jane ke liye aage badhti hai tabhi uska pair niche gire kapde me fans jata hai aur wo niche girne lagti hai ki tabhi furti se Nishchal ne Sarita ki kalai pakad liya aur apni taraf kheech liya. sarita jakar sidhe Nishchal ke sine se takra gayi. sarita ne girne se bachne ke liye apna hath nischal ke gale me daal diya.


images-160


Nishcal ne ek hanth se sarita ki kalayi pakdi hui thi aur apni taraf kheechne ke baad ek hanth uski pith par lappet liya. Sarita ne apni najar uthakar upar dekha to nishchal ki najaro se uski najar takrayi. dono ek doosre ki aankho me dekh rahe the. dono ke chehre itne paas the ki dono ki sanse ek doosre ke chehre par pad rahi thi.


dono ek doosre ki aankho me dekhte huwe ek doosre me kho gaye. thodi der aisi hi position me khada rahne ke baad nishchal ne apna chehra aage ki taraf badhana shuru kiya to Sarita ki aankhe apne aap band hoti chali gayi. uske honth thartharane lage. dil ki dhadkar jaise doguni rafter se chalne lagi. Nishchal ne apna munh sarita ke kan ke paas lejate huwe dhire se kaha.


Nishchal- Sorryyyy Miss Joshi.


Nishchal ki aawaz sunkar Sarita ko hosh aaya to usne apne aapko nishchal ki baaho me paya. usne turant nishchal ko dhakka dekhar apne se alag kiya aur gusse se boli.


Sarita- Ye kya badtamizi hai. main aapko maaf nahi karungi iske liye.


Itna kahkar SArita apne kamre se bahar aa jati hai aur Nishchal wahi khada use jate huwe dekhta rahta hai.
 
Mahi Maurya's SIGNATURE
OP
Mahi Maurya
Member

0

0%

Status

Offline

Posts

68

Likes

11

Rep

0

Bits

0

2

Years of Service

LEVEL 1
100 XP
UPDATE- 45


Sarita- Ye kya badtamizi hai. main aapko maaf nahi karungi iske liye.


Itna kahkar SArita apne kamre se bahar aa jati hai aur Nishchal wahi khada use jate huwe dekhta rahta hai.


Sarita jab niche hall me dekhti hai to waha par koi nahi tha. ye dekhkar Sarita Savita ke kamre me chali jati hai. usne dekha ki SAvita abhi bhi apne bister par leti hui thi. Sarita ne dhire se pukara.


Sarita- Di.

Savi- (chaunk kar) Haann… kaun hai.

Sarita- Main hoon di… Aapne khana khaya.

Savi- Nahi Sarita. main tumhara hi intezar kar rahi thi.

Sarita- Chaliye di fir kuchh kha lijiye. aise bhukhe mat rahiye.


Sarita ye bolkar Savita ko apne sath niche le jane lagti hai. jab dono waha pahuchati hain to Nishchal waha par pahle se hi baitha huwa tha. dono waha baith gayi aur khana khane lagi. khana khate huwe Savi to thoda bahut dono se baat kar rahi thi, lekin Sarita chupchap baith kar khana kha rahi thi. Sarita shant hokar khana kha rahi thi ye baat Nishchal ko bilkul bhi achhi nahi lag rahi thi.


Use to wahi chahakati hui Sarita achhi lagti thi jo baat baat par uspar gussa karti thi. Nishchal ne ye dekhkar do-tin baar baat karne ki koshish bhi ki, lekin Sarita ne haan hoon me jawab dekar baat khatam kar di. ye dekhkar Nishchal ne bhi abhi baat karna munasib nahi samjha aur khana khakar apne kamre me chala gaya.


Sarita aur Savita khana khane ke baad kuchh der wahi baithi rahi aur baat karti rahi. Savita thoda udas thi to Sarita ne kaha.


Sarita- Di aap aise udas bilkul bhi achhi nahi lagti. mujhe to meri pahle wali di chahiye jo hamesha hansti muskurati rahti thi.

Savi- Abhi mujhe thoda sir me dard hai. kal subah tumhe tumhari wahi di milegi.

Sarita- (pareshan hokar) Aapke sir me dard hai aur aapne mujhe bataya bhi nahi, ye sab us hitlar ke karan huwa hai. na wo aap par chillate. na aap roti aur na hi aapka sir dard hota, laiye main aapka sir daba deti hoon.

Savi- Hitlar… Waise achha nam hai. tum lady don aur wo hitlar. mera sir dabane ka rahne do. main abhi dava kha lungi to raat bhar me thik ho jayega.

Sarita- aap dawa bhi kha lijiyega, lekin main aapka sir bhi daba dungi to aapko jaldi aaram aayega aur aapko jaldi neend bhi aayegi.


Savita Sarita ko baar baar mana karti rahi lekin Sarita nahi mani aur apni chair se uthkar Savita ki chair ke piche jakar khadi ho gayi aur Savit ka sir dabane lagi. Savita ne bhi ab jyada na nukur nahi ki aur Sarita ko sir dabane di.


Udhar nishchal apne kamre me baitha huwa kuchh soch raha tha tabhi use dhyan aaya ki Savita ka sir dard kar raha tha jiske bare me wo Savita se puchna hi bhool gaya.


Ye khyal aate hi wo apne kamre se bahar nikalkar Savita ke kamre ki taraf jane laga. tabhi uski najar niche dining table par gayi to usne dekha ki Sarita baat karte huwe Savita ka sir daba rahi hai aur Savita aankh band karke chair ki pust par sir tikaye baithi hai. ye dekhkar Nishchal ke chehre par muskan aa gayi aur wo man hi man apne aapse bola.


Nishchal- (man me) Is ladki ka rang hi samajh me nahi aata. pal me sona aur pal me masa. abhi thodi der pahle mujhse kitna naraz thi, lekin di ke sath to aise baat kar rahi hai jaise kuchh huwa hi nahi. dono me kitna pyaar hai. Sarita di ko kitna samajhti hai. kash ye mujhe bhi aise hi samajhti. Lekin kya main di ko aaj tk samajh payaa. Kahin main kuchh galat to nahin kar raha di ke sath.


Ye aakhiri line sochkar Nishchal ke chehre par hansi aur dukh ka milajula bhaav aa gaya aur usne apne hanth ko apne sir par mara aur bathroom chala gaya. Thodi der sir dabwane ke baad Savita ne kaha.


Savi- Ab bas karo Sarita. Chalo ab sone chalte hain. kal tumhe PS bhi to jana hai.


Uske baad dono apne apne kamre me sone ke liye chale jate hain. Sarita subah roj ki tarah uthi aur niche chali gayi. use fir se gatekeeper ne guldasta lakar diya. jisme wahi likha tha jo pichhle do dino se likha huwa aa raha tha.


Sarita pareshan ho gayi aur usne guldaste ko dustbin me dal diya. Sarita jaldi naha dhokar nashta karke PS ke liye nikal gayi. Savita ko NGO jana tha to wo jaldi se taiyar hokar NGO ke liye nikal gayi.


Nishchal der raat tak kal jo bhi huwa tha usi ke bare me soch raha tha. Sarita aur Savita dono usi ki wajah se gussa thi. yahi sochte huwe Use der raat neend aayi isliye wo Sarita aur Savita ke jane ke baad utha.


Wo jaldi se nahadhokaar taiyar huwa aur niche jakar nashta kiya aur ghar se nikalne laga to use Sarita ki baat yaad aayi jab wo packing kar rahi thi. pata nahi kya sochkar Nishchal ghar ke andar aaya aur Sarita ke kamre ki taraf chala gaya. Sarita ke kamre ke bahar pahucha to usne dekha ki kamre me tala latak raha hai jise dekhkar wah chaunk gaya aur sochne laga.


Nishchal- (man me) Are yaar lagta hai ye chali gayi. galti bhi meri hi hai maine use kitna kuchh suna diya tha. wo bahut jiddi hai dobara yaha aane ke liye manegi bhi nahi. main didi se bhi nahi pooch sakta. didi se poocha to wo ulta mujhe hi sunane lagengi.

Naukaro se poochu kya. Nahi rahne deta hoon unhe kya pata hoga iske bare me. Mujhe turant PS jana hoga aur Sarita se baat karni hogi aur use wapas aane ke liye manana hoga.


Yahi sab sochkar Nishchal jaldi se ghar ke bahar aaya aur Sarita se milne ke liye PS chala gaya.
******

Idhar Raghu apne khas pantar Heera ke sath baitha huwa gappe maar raha tha. gappe marte marte Heera ne Raghu se kaha.


Heera- Raghu bhaai. ek baat poochu aap naraz to nahi honge.

Raghu- Are nahi be. pooch kya poochna hai tujhe.

Heera- bhai. main pichhle kai dino se dekh raha hoon ki aap us inspectorani ko guldasta bhejte ho. aapko guldasta bhejkar kya milta hai. Uspar sala aap apna naam likho tab to samajh me aata hai. bina naam ke khali phokat.

Ek bahadur aur Janbaj Police Officer ko is nachhez ki or se tuchchh si Bhent. Aapka Sabse bada Fan aur Shubhchintak. likhkar bhej dete ho. are apna naam likho tab to us inspectorani ko pata chale ki wo aapne bheja hai.

Raghu- Tumhe nahi pata heera. agar naam likhkar bhejenge to wo uski taraf dekhegi bhi nahin.

Heera- Wahi to main kah raha hoon. ki jab aapko lagta hai ki aap naam likhkar denge to wo us taraf dekhegi hi nahi to aap guldasta bhejte hi kyon hain.

Raghu- tum nahi samjhoge be. kuchh alag hi mamla hai ye. ab tum hamare itne khas ho to ham tumhe bata dete hain. tumhare bhaai ka dil aa gaya hai us inspectorani par.

Heera- (khushi se uchhalte huwe) Kyaa baat kar rahe hain bhaai.

Raghu- Main sahi kah raha hoon be. Dekh agar main use naam likhkar bhejunga to wo ek din dekhegi aur uske baad mere guldaste ko doobara nahi dekhegi, kyonki use pata rahega ki koi raghu naam ke aadmi ne gulasta bheja hai.

abhi main uspar apna nam nahi likh raha hoon to uske man mein bhi ye baat rahegi ki aakhir use guldasta bhejne wala aadmi hai kaun. isi baat ko jan-ne ke liye wo roj mera guldasta uthakar dekhegi ki shayad aaj mera naam us guldaste me likha huwa mil jaye. Samjhe ki nahi .

Heera- Wahh bhaai. kya dimag lagaya hai aapne.

Raghu- Tum kya samajhte ho. dimag in police walo ke paas hi hota hai kya.

Heera- Wo to thik hai bhai lekin aapko pata hai ki agar Bachha bhaai ko iske bare mein pata chal gaya to fir kya hoga.

Raghu- Unko kaun batayega. main to batane se raha. tum bataoge nahi to unhe pata kaise chalega. abhi to kisi tarah se bahana banakar unko samjhaye huwe hain. lekin main jyada din bhaiya se jhooth nahi bol sakta. mujhe kuchh bhi karke Sarita ko yaha se hatana hoga. mera matlab hai ki uska tabadla karwana hoga yaha se. nahi to uski jaan ko yaha par khatra hai.

Raghu ki baat sunkar Heera jor jor se hansne lagta hai. Use hansta dekh Raghu chidhte huwe usase poochta hai.

Raghu- Ab tum kyon kees baa rahe ho. maine koi joks mara hai kya.

Heera- Ye kisi joks se kam thode hi hai. Aap uska tabadla karwayenge. Aap to aise bol rahe hain jaise aap hi yaha ke aala adhikari ho aur ek hi phone ghumakar uska tabadla karwa denge.

Raghu- Abe tu Uska mat bol. wo teri bhabhi hain to main use Use bolunga aur tu use bhabhi bolna. Samjha ki nahi.

Heera- Haan bhaai samajh gaya. to aap bhabhi ka tabadla kaise karwayenge.

Raghu- (kuchh sochte huwe) Haan bhaiya ne Kisi neta ka naam bataya tha us din. Usi se baat karke dekhte hain. agar wo tumhari bhabhi ka tabadla nahi karwa paya to fir mujhe hi kuchh rasta nikalna padega. main kuchh bhi karunga uske liye lekin use kuchh hone nahi doonga.

Heera- Kya bhaai. lagta hai aap uske pichhe, mera matlab hai bhabhi ke pichhe pagla gaye ho. ek baar aap aur soch lijiye kyonki aap jo kam karne ja rahe hain agar uski thodi bhi bhanak Boss aur Sarkar ko mil gayi to wo bhabhi ji ke sath sath aap ko bhi Nuksan pahucha sakte hain. upar se Bachha bhaiya ka bhi dar bana huwa hai.

Raghu- Kuchh nahi hoga use. main use kuchh hone bhi nahi doonga. jo bhi uski taraf aankh uthakar dekhega main uski aankhe nikal loonga. bas kuchh din ki hi to baat hai uske baad wo sirf meri hogi.

Heera- Jab aap usase itna pyaar karte hain to Itna taam jhaam karne ki jaroorat kya hai. gadi lekar chalte hain aur use jabardasti utha late hain.

Raghu- (Gusse mein) ye kya baat kar raha hai tu. main Isase to wo mujhe kabhi nahi milegi. main jo kuchh karunga uski marzi se karunga iske liye main koi jaldbazi nahi karna chahta.

Heera- aap jis raste par chal rahe hain us raste par chalkar jaroori nahi ki aapko aapki manjil mile hi. meri baat maniye to aap samne se jakar hi bhabhi ji ko guldasta de dijiye. kam se kam bhabhi ji us aadmi se to mil lengi jo unhe deewano ki tarah pyaar karta hai.

Raghu- Nahi be. main abhi aisa nahi kar sakta. Abhi agar main uske samne apni asali pahchan lekar gaya to wo mujhse baat karna to door mujhe dekhna bhi pasand nahi karegi, kyonki abhi uske man me mere liye pyaar hoga hi nahi to ho sakta hai ki wo mujhe pakadkar jail me dal de.

pata chala ki ham uske prem me giraftaar hone se pahle hi giraftar kar liye jaye. pahle main aise hi bina nam ka guldasta bhejkar uske dil me us anjan ke liye pyaar jagana hai aur itna pyaar jagana hai ki jab ham usko bataye ki usko jo roj guldasta bhejta tha wo ham hi hain to wo khushi khushi meri baho me chali aaye, kyonki fir to wo dil ke hantho majboor ho jayegi.

aur jaisa ki bhaiya ne bataya hai ki wo khoobsurat hone ke sath sath chalak, dimakdar aur shatir bhi hai. waise to mujhe kisi ne dekha nahi hai, lekin ho sakta hai ki isne apne shatir dimag ka istemal karke mere bare me bhi jankar juta li ho. aisi sthiti me direct uske samna jana khatre se khali nahi hai. jab wo mere pyaar me giraftar ho jayegi tab uske samne jane par koi khatra nahi hoga mere liye.


Heera- Wahhh bhaiyaa ji kya dimag paya hai aapne. isiliye main aapka shagird hoon. Lekin bhaai aapko pata kaise chalega ki bhabhi bhi aapse pyaar karne lagi hain.

Raghu- Wo bas tum dekhte jao ki main use kaise apne pyaar mein pagal karta hoon. wait and watch.

Heera- Kisi ne sahi kaha hai. Pyaar kisi se kya na karwa le. sher ko bhi gidad bana deta hai pyaar. kahaa aap wo raghu bhaai the. jiske naam se log thar thar kanpte the. jo cheej chahiye hoti thi uske liye itna sochna nahi padta tha.

jabardasti hasil kar lete the. jo ek baar kisi kaam ko apne hanth me le leta tha to jald se jald khatam karke hi dam leta tha. kisi ka murder karna jiske liye baye hath ka khel tha. isi liye bachha bhaai bhi aapko kitna mante the. lekin aaj ek ladki ne aapko nikamma bana diya bhaai.

babbar sher ko bhigi billi bana diya bhabhi ne. aapka ye roop bhi ho sakta hai maine to kabhi socha bhi nahi tha. ek baat aur bolna tha bhaai. Wo CO hai na suna hai aajkal wo bhabhi ke kareeb rahta hai. Hamesha unke aage pichhe mandrata rahta hai. Kanhi wo bhabhi se pyaar to nahi karta .


Heera ki baat sunkar Raghu kuchh nahi bolta bas ek kamini hansi muskura deta hai aur apni jagah se uthkar us neta se milne ke liye chala jata hai.
*****


Subah Sarita jab PS pahuchti hai to waha Janhavi ki table par guldasta rakha huwa tha. Sarita ko dekhte hi janhavi selute karti hai aur muskurane lagti hai to SArita ne kaha.


Sarita- Aaj mat kahna ki ye guldasta mere liye hai.

Janhavi- Ofcource aapke liye hi hai madam.

Sarita- Kya yaar. is aadmi ne to mera dimag kharab kar diya hai. Subah ghar par bhejta hai aur Yaha PS me bhi bhejta hai. aakhir ye aadmi hai kaun.

Janhavi- Kya baat kar rahi hain madam. ghar par bhi guldata bhejta hai ye aadmi.

Sarita- Haan yaar. main to pareshan ho gayi hoon.

Janhavi- Kya baat kar rahi hain madam. lagta hai aapka koi chahne wala hai jo aapse aakar milne se dar raha hai. tabhi to apni baat guldaste ke jariye aap tak pahucha raha hai.

Sarita- (muskurakar) Kuchh bhi mat bolo tum. jis din samne aaya na to dant tod dungi uska main.

Janhavi- Isiliye to wo samne nahi aa raha hai. kyonki wo janta hai ki aap uska dant tod dengi.


Janhavi ki baat sunkar Sarita hansne lagi. Janhavi bhi sarita ke sath hansne lagi. thodi der baad sarita ne kaha.


Sarita- Is guldaste ko dustbin me dalo aur apna kam karo. jald hi main iska pata lagaungi ki ye harkat kaun kar raha hai.


Itna kahkar Sarita Apne cabin me chali jati hai. thodi der file par kaam karne ke baad Use Rawat Sir ka phone aata hai jinhone Sarita ko apne chambar me bulaya. Sarita Rawat Sir ke cabin me chali jati hai. Sarita ke jane ke baad Nishchal PS me aata hai aur Sidhe Sarita ke cabin me chala jata hai. Sarita ko waha na pakar wo Janhavi ke paas aata hai aur kahta hai.


Nishchal- Miss Joshi kaha par hain.

Janhavi- Jai hind Sir. madam Rawat Sir ke paas gayi hain.
Nishchal- thik hai.


Itna bolkar Nishchal fir se Sarita ke cabin me chala jata hai aur Sarita ka wait karne lagta hai.
 
Mahi Maurya's SIGNATURE
OP
Mahi Maurya
Member

0

0%

Status

Offline

Posts

68

Likes

11

Rep

0

Bits

0

2

Years of Service

LEVEL 1
100 XP
UPDATE- 46


Itna bolkar Nishchal fir se Sarita ke cabin me chala jata hai aur Sarita ka wait karne lagta hai. thodi der baad Sarita Rawat Sir ke cabin se bahar nikalti hai aur apne cabin me jati hai, lekin waha Nishchal ko dekhkar chaunk jati hai aur usase kahti hai.


Sarita- Aaap yaha kya kar rahe hain Sir.

Nishchal- Wo sab chhodo. pahle ye batao ki tum ghar se kyon chali aayi.

Sarita- Ghar se kyon chali aayi se kya matlab hai aapka Sir. ye meri duty hai to ghar se karungi nahi iske liye PS aana hi padega. Isliye ghar se chali aayi.

Nishchal- Main yaha aane ki baat nahi kar raha hoon Miss Joshi. Tum ye batao ki tum apna saman lekar kyon chali aayi.


Nishchal ki baat sunkar Sarita uske paas chali gayi aur uska sir pakadkar idhar udhar karke dekhne lagi. Nishchal ko kuchh samajh me nahi aa raha tha. Sarita na kaha.


Sarita- Chot to kahi lagi nahi hai sir par phir aisa bartav kyon kar rahe hain aap.

Nishchal- tum kahna kya chahti ho Sarita.

Sarita- Main ye kahna chahti hoon ki subah subah aapko kya ho gaya hai. aapko kahi saman dikh raha hai hai yaha cabin me jo aap aisi baat kar rahe hain.

Nishchal- main thik hoon. mujhe kuchh nahi huwa hai. bas tum ye batao ki tum apna saman lekar kyon chali gayi.

Sarita- Main apna saman lekar kyon jaungi.

Nishchal- (jhunjhulakar) Dekho Sarita. mera dimag is samay bahut kharab hai. tum ise aur jyada kharab mat karo aur sidhe ghar chalo.

Sarita- Main abhi ghar kyon chalun.

Nishchal- Uffff yaaar tum itna irritate kyon karti ho saman kaha hai tumhara.

Sarita- Aapke ghar par hai.

Nishchal- (chaukte huwe) mere ghar mein. lekin mere ghar me kaise ho sakta hai.

Sarita- Kyon nahi ho sakta. jab aapke ghar me rahti hoon to saman bhi to aapke ghar me hi hoga na.

Nishchal- Lekin jis kamre me tum rahti ho us kamre me to tala laga huwa hai.

Sarita- Achhhha woo. Soryy di ne kaha tha ki darwaza band kar lena, lekin meri aadat padi hai room lock karne ki, isliye jaldi jaldi me dhyan hi nahi raha is baat ka.

Nishchal- main kab se pooch raha hoon. ye baat tum mujhe pahle nahi bata sakti thi.

Sarita- Meri chhodiye. aap bataiye, kya aap yahi poochne aaye the yaha par.


Ye baat sarita ne Nishchal ko aankhe dikhate huwe kahi, Sarita se aise sawal ki ummeed nishchal ko nahi thi. wo Sarita ki baato se sakpaka gaya aur haklate huwe bola.

Nishchal- wo.. mai… mera matlab hai ki…. bilkul bhi nahi main to ek kam se yaha aaya tha.

Sarita- To fir jaiye na. yaha par apna samay kyon barbad kar rahe hain.

Nishchal- haan to ja raha hoon, tumhe batane ki jaroorat nahi hain.

Sarita- haan to jaiye na. (apne man mein) Akad nahi jayegi inki, rahenge to ye wahi akdu hitlar.


Nishchal SArita se baat karne ke baad chala gaya. Sarita uske jane ke baad kuchh soch me doob jati hai. Isi tarah poora din bit gaya. Sham ko Sarita PS se ghar ke liye chali gayi.


******

Udhar Raghu us neta ke banglow par pahuch gaya jiske bare me bachha singh ne use bataya tha. Neta se milkar Haal chal puchhne ke baad asli mudde ki baat hone lagi.


Neta- Haan to Raghu bhaai. bataiye aaj mujhe kisliye yaad kiya tumne.

Raghu- Ek kaam tha aapse Neta ji. Jisme mujhe aapko madad chahiye.

Neta- Haan bataiye. mujhse jo madad ban padegi wo main karunga tumhari madad.

Raghu- wo to main bataunga hi neta ji, Lekin aapko ye wada karna hoga ki Ye baat Aap bhaiya ko nahi batayenge. Ye baat mere aur aapke bich me rahegi. aap samajh rahe hain na ki main kya kah raha hoon.

Neta- Bilkul samajh gaya Raghu bhaai. tum kaam batao. ye baat ham dono ke bich me rahegi.

Raghu- main ek Police inspector ke tabadle ke silsile me aapse milne aaya tha. main chahta hoon ki aap uska tabadala yaha se doosri jagah karwa dijiye. Uski wajah se Mere kaam me adchan aa rahi hai.

Neta- Kis Inspector ke transfer ki baat kar rahe ho tum.

Raghu- Inspector Sarita Joshi ki baat kar raha hoon. main chahta hoon ki uska tabadala aap yaha se kahi doosri jagah karwa dijiye.

Neta- Kya baat kar rahe ho Raghu bhai, ye kaam bahut muskul hai. Kyonki tum jiski baat kar rahe ho wo aaj ke samay me public figure ban chuki hai. Uske tabadale ke mamale me koi bhi hanth nahi dalega. khas kar is samay to main bilkul bhi khatra mol nahi lunga. Kyonki abhi election sir par hai. is liye main tumhari koi madad nahi kar paunga.


Neta ki baat sunkar Raghu ko bahut gussa aaya, lekin wo apne gusse ko jabt kar gaya aur neta se bola.


Raghu- Thik hai neta ji. main bahut ummeed lekar aapke paas aya tha lekin aapne mujhe nirash kiya. ab main chalta hoon. jald hi aapse mulakat hogi.


Ye bolkar Raghu neta ke yaha se nikal kar apne ghar chala gaya.


******

Aise hi 3-4 din aur bit jate hain, guldaste ka aana roj jari tha. ek din guldasta Nishchal ke hanth lag gaya to usne Sarita se Poocha.


Nishchal- Sarita. Ye tumhare liye guldasta aaya hai.

Sarita- Thank You.

Nishchal- Waise ye Guldasta kisne bheja hai tumhe.

Sarita- Aapse matlab.

Nishchal- Nahi main to bas aise ho pooch raha tha.

Sarita- (Nishchal ko jalane ke liye) Hai koi mera chahne wala.

Nishchal- (bura sa munh banakar) Achha Kaun hai ye to bata do.

Sarita- Aaapse kya matlab. Kam se kam koi to hai jisne mere kam ki tareef ki hai. ek aap hain jise koi kaam achha nahi lagta mera.

Nishchal- (chidhkar) Achha bas bas. Jyada tareef karne ki jaroorat nahi hain.

Sarita- Kyon jalan ho rahi hai kya.

Nishchal- Mujhe kyon jalan ho ne lagi. tum raho apne chahne walo ke sath.


Itna kahkar Nishchal apne kamre me chala gaya. Sarita use pichhe se aawaz deti rahi lekin wo nahi ruka. Sarita ko bhi ab is guldaste wale ka pata lagana tha isliye usne agle din ke liye ye sab chhod diya aur PS chali gayi.


Sare PS ko pata chal chukka tha ki koi anjan sakhs Sarita ko bahut chahta hai aur guldasta bhajta hai. Ye baat Sarita ko bahut pareshan kar rahi thi. Usne socha ki kam se kam pata to chale ki use kaun guldasta bhejta hai to usne PS ke samne lage CCTV dekhne ka nishchay kiya.


Jab Sarita ne CCTV dekha to pata chala ki subah tadke ek chhota sa bachha gate ke bahar guldasta rakh kar chala jata hai. Sarita ne soch liya ki kal wo is bachhe se mulakat karegi aur wah guldasta kyon aur kiske kahne par rakhta hai usase baat karegi. Sara din kaam karne ke baad Sarita ghar chali jati hai aur agle din ka intezar karne lagti hai.


Doosre din Sarita Subah jaldi uthi aur ek lower t-shirt pahankar Savita se ghoomne jane ka bolkar chali gayi aur PS ke paas pahuch kar kuchh door bait gayi.


Kuchh hi samay me wo bachha guldasta lekar aaya aur gate ke bahar rakhkar jane legato Sarita ne use pakad liya. Pahle to wo ladka Sarita ko dekhkar dar gaya, lekin jab Sarita ne use samjhaya to wo samanya ho gaya. Sarita ne usase poochha.


Sarita- tum ye guldasta kiske kahne par rakhte ho yaha par.

Ladka- Mujhe ek bhaiya yaha aisa karne ke liye bolte hain. mujhe unka naam nahi pata hai.

Sarita- Kya tum mujhe apne us bhaiya se milaoge.

Ladka- Main unhe nahi janta. wo munh par kapda bandhkar aate hain aur mujhe guldasta rakhne ke liye dete hain. jab main guldasta rakh kar jata hoon to wo roj mujhe iske liye paise dete hain.

Sarita- To tum ye paiso ke liye karte ho. kitne paise dete hain wo bhaiya tumhe.

Ladka- Mujhe paiso ki bahut jaroorat hai. Mere papa Koi kam nahi karte aur amma kam karke jo paise lati hai wo sab chheenkar papa sharab pi jate hain. isliye main bhi thoda bahut kaam kar leta hoon. taki meri amma aur main bhukhe na rahe.

Sarita- Thik hai. main tumhe us bhaiya se jyada paise dungi aur tumko khane ke liye bhi paise dungi, lekin agli baar jab wo bhaiya tumse aisa karne ke liye bole to tum mana kar dena.

Ladka- Lekin main unse kahunga kya.

Sarita- tum unse bol dena ki Jiske liye wo guldasta bhijwate hain unhone kaha hai ki unhe ye sab pasand nahi.

Ladka- Thik hai. main aisa ho bolunga.

Sarita- tum school jate ho padhne ke liye.

Ladka- (udas hokar) nahi. papa ke karan main ab school nahi jata hoon. lekin mujhe padhna bahut achha lagta hai. main bhi padh likh kar bada aadmi ban-na chahta hoon.

Sarita- Woow. bahut achha. to tum kal se school jaoge. tum aaj dophar mein mujhse milne ke liye Is thane me aana. main tumhare liye bags aur kitabein lekar aaungi. aur tumhara dakhila bhi karwa dungi. main isi thane me kaam karti hoon. tum kabhi bhi mujhse milne aa sakte ho.


Sarita ki baat sunkar ladka bahut khush huwa. wo khushi se uchhalte huwe bola.


Ladka- Aap sacha kah rahi hain na. aap mera dakhila karwayengi school me.

Sarita- Haan aur kal se tum mujhe school me dikhne chahiye yaha par nahi.


Sarita ki baat sunkar wo ladka uchhalta kudata waha se chala gaya, lekin do Jodi aankhe use hi dekh rahi thi. wo koi aur nahi Raghu hi tha jo wahi par chuupa huwa Sarita ko bachhe se bate karte huwe dekh raha tha.


Sarita ne jakar gate ke paas se guldasta uthaya aur paas me lage kudedan me fenk diya. jab wah ghar aayi to Savi gadi se kahi ja rahi thi. Jab Savi ne Sarita ko dekha to Usne gadi rokkar Sarita ko apne paas bulaya aur kaha.


Savi- Achha huwa tum aa gayi Sarita. nahi to mujhe phone karna padta tumhe. wo baat ye hai ki mujhe NGO ke kam se urgent bahar jana hai. main kal tak aa jaungi. maine Kaka (Rasoiya) ko sahej diya hai. wo sab dekh lenge.

Sarita- thik hai di. aap jaldi jakar aaiye. waise aap akeli ja rahi hai ya koi aur sath me hai.

Savi- Nahi Raghav bhi sath ja raha hai main use Aage raste mein pichup kar lungi.

Sarita- Thik hai di. Bye.

Savi- Bye. aur haa tum apna dhyan rakhna aur plz Nishu aur tum ladai mat karne lagna.

Sarita- Thik hai di. (man me) main nahi karti ladai di. wo hitlar hi shuru karta hai pahle.


Savi ke jane ke baad Sarita naha dhokar taiyar hui aur nashta karke PS ke liye nikal gayi. Raste me Sarita ne ATM se paise nikale aur PS pahuch gayi. Sarita sidhe apne cabin me chali gayi. Kuchh der baad janhavi uske cabin me pahunch gayi aur boli.


Janhavi- Madam aaj to kamal ho gaya. guldasta abhi tak nahi aaya.

Sarita- (hanste huwe) Maine to tumse pahle hi kaha tha ki koi mere sath mazak kar raha hai, lekin tum logo ko lagta tha ki mera koi sirfira aashik hai jo mujhe roj guldaste bhej raha hai. dekha aaj nahi bheja usne guldasta.

Janhavi- madam ho sakta hai ki bechare ki tabiyat kharab ho. ya wo kahi bahar chala gaya ho. jiske karan usne guldasta nahi bheja.

Sarita- Ohhhh Realy. to tum is samay yaha kya kar rahi ho. jakar uski khojbin karo aur sachhai ka pata lagao. tumhara is PS me kya kaam .

Janhavi- I am sorry madam, mera wo matlab nahi tha. main to bas majak kar rahi thi. I am realy sorry.

Sarita- Its okkkk. Waise main bhi majak hi kar rahi thi.


Itna kahkar dono jor jor se hansne lagi. thodi der hansne ke baad sarita ne kaha.


Sarita- Thik hai ab tum jao aur haan dophar tak shayad ek chhota bachha aaye. use tum mere paas bhej dena.

Janhavi- Okk madam.


Janhavi ke jane ke baad Sarita apna kam karne lagi. Dophar me Janhavi ne Sarita ko bataya ki ek bachha aaya hai usase milne to Sarita ne use cabin me bhejne ke liye kaha. fir Sarita ne jawed ko phone karke apne cabin me bulaya aur kaha.


Sarita- Jawed ji. aap is bachhe ko lekar jaiye aur kisi ache se school me iska dakhila karwa dijiye.

Jawed- Ji madam jaisa aap kahe.

Sarita- Ye lijiye paise. iski school dress aur kitabo ke liye aur dakhile ke liye. (fir us bachhe se) Dekho beta. main tumhara dakhila school me karwa rahi hoon to tumhe roj school jana padega. (jawed se) aur ye lo Jawed ji kuchh paise jab is bachhe ko iske ghar chhodne jaiye to iski maan ko de dijiyega aur iske papa agar mile to unki thodi ache se khatirdari karte huwe samjha dijiyega.

Jawed- Ji Madam.

Sarita- (us bachhe se) Tumhe kisi bhi cheej ki jaroorat ho to mujhse aakar bolna. par main tumhari baat tabhi manungi jab tum khoob man lagakar padhai karoge aur ache number se paas hoga. promiss karo ki tum meri baat manoge.

Ladka- Promiss. main khoob ache se padhunga.


Jawed us bachhe ko lekar cabin ka bahar nikal jata hai. Sarita bhi uske baad aapna kam karne lagti hai aur Sham ko PS se ghar chali jati hai.


Jab Sarita ghar aati hai to guard use ghar ki chabi deta hai to Sarita kahti hai.


Sarita- Kaka kahan gaye hai.

Guard- bitiya. uski patni ki tabiyat achanak se kharab ho gayi isliye wo apne ganv chale gaye hain. jate vakt wo bolkar gaye hain ki wo jaldi hi aa jayenge. waha jate huwe khana banakar rakh kar gaye hain. aap kha lijiye aur jab Sahab aayenge to unhe bhi khila dijiyega.


Sarita chabhi lekar andar aati hai aur darwaza kholkar ghar me jati hai aur apne man me badbadati hai.


Sarita- Kya musibat hai yaar. Di ko aaj hi kaam se jana tha. kam se kam wo rahti to mujhe is hitlar ke sath akele to nahi rahna padta.


Sarita fresh hokar chaai banati hai aur cup lekar balcony me chali jati hai aur chaai pine lagti hai. chai pine ke baad wo cup wahi par rakhkar apna phone nikalti hai aur ghar par phone kar deti hai. phone manisha ne uthaya.


Manisha- Hey didiya. kaisi ho tum.

Sarita- Main thik hoon, tum kaisi ho.

Manisha- Main bhi bahut badhiya hoon didiya. tum to yaad hi nahi karti hame. kitne din baad baat kaar rahi ho tum.

Sarita- Tujhe to pata hai ki mujhe kitna kam rahta hai. samay hi nahi mil pata kahi baat karne ka. Achha ye sab chhod aur mummy papa ko phone de.

Rani- Haan Sarita beti. yahi hoon main bol sun rahi hoon.

Sarita- Kaisi hai aap mummy aur papa kaise hain.

Rani- Main thik hoon beti. tere papa bhi thik hain. abhi wo aaye nahi hain auto lekar.

Sarita- Maine papa ko kitni baar kaha hai ki ab auto chalana band kar dein. ab main kamane lagi hoon to papa ko auto chalane ki kya jaroorat hai.

Rani- Din bhar ghar mein baithkar bhi kya karna hai. Isi bahane kam se kam ghar se bahar chale jate hain. chaar logo se milna julna ho jata hai. jab main tere papa se kahti hoon to wo mujhko yahi baat suna dete hain aur main chup ho jati hoon. tum hi apne papa se baat karna iske bare mein.


Fir kafi der tak Sarita apni Mummy aur Manisha se baate karti hai aur phone rakh deti hai. baithe baithe Sarita ko bhookh lagne lagti hai to wo Jakar khana kha leti hai aur Apne kamre me chali jati hai.
 
Mahi Maurya's SIGNATURE
OP
Mahi Maurya
Member

0

0%

Status

Offline

Posts

68

Likes

11

Rep

0

Bits

0

2

Years of Service

LEVEL 1
100 XP
UPDATE- 47


Sarita apne kamre me jakar Kitaab Nikaal kar padhne Lag jati hai. Kuchh der padhne ke baad wo so jati hai. Raat ke kareeb 12 baje ke aas paas ghar ki well bajti hai aur kaka kaka ki aawaz sunai deti hai. Sarita jamhuwai lete huwe uthti hai to use pata chalta hai ki ye Aawaz Nishchal ki hai. Waha niche jakar darwaza kholti hai to Nishchal use dekhte hi poochta hai.


Nishchal- Tum abhi tak jag rahi ho. soi nahi. kaka kaha par hain. main kab se aawaz de raha hoon lekin wo kuchh bol hi nahi rahe hain.

Sarita- Aap jakar fresh ho jaiye tab tak hain khana lagati hoon aapke liye.


Nishchal Sarita ke aur kuchh poochta usase pahle hi Sarita kitchen me chali gayi aur khana garam karne lagi. NIshchal bhi apne kamre me chala gaya aur fresh hokar bahar aaya. tab tak Sarita ne khana garam karke table par laga diya tha aur wahi paas rakhi kursi par baithi hui thi. Nishchal jakar uske samne baith gaya aur usase kaha.


Nishchal- Tumne khana khaya.

Sarita- Haan.

Nishchal- Kaka kahi gaye hain kya.

Sarita- (jamhuwai lete huwe) Haann….. woo… unki wife ki tabiyat khatab thi to wo ganv chale gaye hain.


Iske baad Nishchal kuchh nahi bolta hai aur chupchap khana khane lagta hai. Khana kha chukne ke baad hanth dhote huwe wo Sarita se kahta hai.


Nishchal- Main khana kha chukka hoon. ab tum jao aur so jao.


Sarita ki taraf se koi jawab na pakar wo Uski taraf dekhta hai to Muskurane lagta hai. subah jaldi uthne ke karan Sarita ko itni gahri neend lagi thi ki wo wahi par baithe baithe so gayi Nishchal kaafi der sarita ko aise hi niharta raha.


Nishchal apni jagah se utha aur Sarita ko aawaz dene laga lekin Sarita ne koi jawab nahi diya to wo Sarita ke paas aaya aur uske kandhe pakadkar hilane laga to Sarita ne neend me hi kaha.


Sarita- Kyon pareshan kar rahe ho sone do na.


SArita ki aawaz sunkar Nishchal ke chehre par muskan aa gayi wo man hi man sochne laga.


Nishchal- (man me) Dekho is samay kitne prem se baat kar rahi hai abhi hosh me hoti to chune ke karan mujhe ek thappad laga chuki hoti. ab main kya karu. ise aise to poori raat chhod nahi sakta pata laga kab neend me hi kursi samet niche gir pade. par iski nigrani me sari raat yaha bita bhi nahi sakta hoon. subah duty par bhi jana hai.


Nishchal kuchh der aise hi khada sochta raha fir Usna Sarita ki kamar me hath dalkar use apne god me utha liya. Sarita neend me doob chuki thi isliye use kuchh pata nahi chala. Nishchal use apni god me uthakar sidhiya chadhta huwa upar uske kamre me le gaya aur use bed par litakar turant uske paas se hat gaya,


Kyonki use pata tha ki agar usne Sarita ki taraf dekha to uska dil uski taraf kheechne lagega aur apne upar se control bhi kho sakta hai, isliye usne Sarita ki taraf ek baar bhi nahi dekha. Sarita ko bed par litane ke baad wah darwaze ke paas aaya aur waha khada hokar SArita ko niharta raha. kuchh der Sarita ko dekhne ke baad wo uske kamre ka darwaza band kar apne kamre me chala gaya.



Subah Sarita ki jab nind khuli to uthkar wo niche aayi. NIshchal use kitchen me nashta banate huwe mila. to Sarita ne kaha.


Sarita- Are aap yaha kya kar rahe hain. aap mujhe bol dete to main bana deti.

Nishchal- Ohhh tummm uth gayi. Are koi baat nahi. kaka ka subah hi phone aaya tha ki wo abhi kuchh din apne ghar par rukenge to maine socha ki main khud hi nashta bana loon. Waise tumhare us chahne wale ne guldasta bheja hai wo waha sofe par rakha huwa hai.

Sarita- (man me) Are yaar is bande ne to pareshan kar ke rakh diya hai. aakhir ye chahta kya hai. baad me dekhti hoon ise. (nishchal se) Agar kaka ka phone aaya tha to aap mujjhe to bol sakte the main nashta bana deti. waise kal raat ko main niche thi to apne kamre me kaise pahuchi.


SArita ki baat sunkar Nishchal chuank gaya aur chukanna ho gaya. usne socha ki agar usne sach bataya to ye kali ka roop dharan kar legi. koi na koi bahana marna padega nahi to ye pichha nahi chhodegi. Nishchal ko sochte dekh sarita ne phir poocha.


Sarita- maine kuchh poocha hai aapse. main kal niche se upar kaise pahuchi.

Nishchal- Mujhe kya pata. tum khana dene ke baad kuchhh der yaha baithi thi aur fir apne kamre me chali gayi thi.

SArita- Achha. Kya sach me yahi huwa tha. Kal bahut neend lagi thi mujhe. mujhe kuchh yaad hi nahi aa raha hai.

NIshchal- (man me) thank You bhagwan aaj to bal bal bacha hoon main.

SArita- aap hatiye main banati hoon.

Nishchal- tum chalkar table par baitho. nashta ban gaya hai main lagata hoon.


Sarita jakar dining table par baith gayi. Nishchal nashta lekar aaya aur samne baith gaya. dono nashta karne lage. Nashata karte huwe Sarita ne kaha.


Sarita- Waaahhhhhh Sirrr. Kya nashta banaya hai aapne. Kitna lajeej hai. aaj se ek kaam kariye aap. kaka ko bol dijiye ki ab wo apne ghar me hi rahe. aaj se nashta aap hi banaiye roj.

Nishchal- Very funny. Kya main tumko naukar dikhta hoon kya.

Sarita- Aap naukar to hain hi. abhi sarkaar ke naukar hain aur jab shadi ho jayegi to apni bibi ke naukar ban jaenge.


ye baat kahkar Sarita jor jor se hansne lagi. Sarita ke hansne se Nishchal chidh gaya aur bola.


Nishchal- Jyada battishi dikhane ki jaroorat nahi hai. Sham ko aana aur khud banakar kha lena. main tumhe banakar khilane wala nahi hoon.

SArita- to aapse mang kaun raha hai. abhi mere dono hath sahi salamat hain. aapse achha nashta aur khana bana sakti hoon. waise bhi main apna kaam khud hi karti hoon. aapko batane ki koi jaroorat nahi hai.

Nishchal- Wo to dikh hi raha hai ki kitna kam karti ho tum.

SArita- Jab dikh raha hai to bol kyon rahe hain aap.

Nishchal- Do minute munh band karke chupchap nashta nahi kar sakti ho kyat um.

Sarita- Agar yahi baat main kahu aapse to.

Nishchal- Are yaar. tumse to baat karna hi bekar hai. main hi pagal hoon jo tumse baat kar raha hoon.


Ye bolkar Nishchal apni chair se utha aur apne kamre ki taraf chala gaya. pichhe se Sarita chillate huwe bolti hai.


SArita- to mat kariya na. Kisne kaha hai mujhse baat karne ke liye. main bhi mari nahi ja rahi hoon aapse baat karne ke liye. (apne man me) Pata nahi kya samjhte hain apne aapko. hitlar kahi ke. Nashta nahi lag raha hai jaise sanjiwani buti lane ke liye gaye the mere liye. haan nahi to. huuunhun.


Nashta karke Sarita bartan kitchen me rakhne jati hai tabhi Nishchal taiyar hokar tezi se ghar se bahhar nikal jata hai. Sarita bhi apne kamre me jakar taiyar hoti hai aur PS ke liye nikal jati hai.


PS pahuch kar wo Apna kam karna lagti hai. Kuchh ghante baad Ranjana bhagte huwe Uske cabin me aati hai. Wo bahut ghabraai hui thi. Sarita ne Usase poocha.


Sarita- Kya huwa Ranjana, Tum itna ghabrai hui kyon ho.

Ranjana- Wo madam. Jis sensitive ilake mein Aapne police tainat ki thi Waha par abhi danga ho gaya hai. Bahut Jyada Afra tafri mach gayi hai. Police force ki kami ho gayi hai waha. Abhi jawed Sir ka phone aaya tha. Unhone aur police force bhejne ke liya kaha hai.

Sarita- (chauk kar) Kya. Kya baat kar rahi ho tum. Ruko main Sir se baat karti hoon.

Ranjana- Jawed Sir ne kaha hai ki Sir ne Aapko Waha aane ke liye mana kiya hai.


Sarita ne uski baat ka koi jawab nahi diya aur Ranjana, Janhavi aur Kaushal ko PS me Rukne ka nidesh dekhar waha jane lagi to Ranjana ne kaha.

Ranjana- Madam Aap kaha ja rani hain.

Sarita- Usi jagah Jahan danga bhadka hai.

Ranjana- Nahi madam Aap waha nahi ja sakti. Sir ka sakht nidesh hai ki aapko waha na aane diya jaye. Sir log to hain waha par wo sab sambhaal lenge. Waise bhi Jawed Sir ne bataya hai ki waha ka mahaul bahut kharab hai. Kuchh bhi ho sakta hai.

Sarita-Nahi Ranjana. Darne ki koi jaroorat nahi. Mujhe kuchh nahi hoga. Wahan Sir log to hain hi. Aur wo mera area hai to mujhe waha jana jaroori hai. Tum log yahi par rukna.

Ranjana- Lekin madam Sir ne aapko waha aane ke liye mana kiya hai.


Ranjana ke kahne ke baad bhi Sarita nahi rukti. Sarita ke jane ke baad Ranjana ne Jawed ko phone kiya, lekin Jawed ne phone nahi uthaya. Udhar Sarita jaldi se apni gadi me baithkar Us jagah Pahunchi Jahan par Danga bhadka tha.


Sarita ne dekha ki waha aurat bachhe aur mard Badi sankhya me ek doosre se bhide huwe hain. Kuchh ke hantho me banduk thi. To kuchh ke hantho me honcky stick aur dande. Kuchh log police par patthar baji kar rahe the.


Halanki police ne helmet pahan rakha tha. SSP Sir Mike lekar Logo ko shant hone ke liye bol rahe the, unhe samjha rahe the, lekin unki bato ka kisi par koi prabhav nahi pad raha tha. Pore ilake me arajakata jaisi sthithi paida ho gayi thi. Har koi marne maarne par utaru ho gaya tha.


Tabhi Sarita ka najar Ek Aadmi par padi jisne munh par kala kapda bandh rakha tha. Wo Aadmi ek police wale par gun se nishana laga raha tha jo us bhid par kabu pane ki koshish kar raha tha. Us Police wale ki pith Sarita ki taraf thi, isliye wo pahchan nahi payi ki wo police wala kaun hai.


Sarita ko kuchh samajh me nahi aa raha tha ki wah kya kare. Sarita ne socha ki agar wah goli chalayegi. To ho sakta hai ki goli ki aawaz sunkar bhid aur bhi jyada Ugra ho jaye, lekin agar wo goli nahi chalayegi tab bhi ek Police wale ki jan ja sakti hai aur bhid bhi ugra ho sakti hai.


Sarita ne do-tin baar Aawaz bhi lagayi, lekin bhid aur shor itna jyada tha ki Sarita ki aawaz us police wale tak nahi pahuch pa rahi thi. Sarita ko kuchh samajh nahi aa raha tha ki wo kya kare. Fir ekaek use paas mein ek danda pada huwa dikhayi diya.


Sarita ne us dande ko jhapat kar uthaya aur daudte huwe us Aadmi ke hanth par phenk diya. Nishana ekdan Satik tha. danda siddha us nakabposh ke hath par laga aur uski banduk chhutkar niche gir padi.


Sarita daudkar us police wale ke paas pahuchi aur jaise hi usne apne hanth se us police wale ke dhakka dene ke liye uske kandhe par rakhna chaha, isase pahle ki Sarita ka hanth us Police wale ke kandhe par padta, us nakabposh aadmi ne apni banduk fir se utha li aur us Police wale ke upar fire kar diya,


lekin tab tak Sarita Police wale aur goli ke bich me aa chuki thi. Goli Sarita ki pith par dayi taraf lagi aur aaaaaahhhhh ki tez aawaz waha par gunji. Sarita ka hath us police wale ke kandhe par padha aur sarita ke niche girte huwe fisalta huwa niche ki taraf jane laga.


Us Police wale ne piche ghoomkar dekha tab tak Sarita jameen par girne wali thi aur uski aankh band ho gayi thi. Jaise hi Us police wale ki najar Sarita par padhi Uske munh se ek jordar cheekh nikal gayi.


P.W.- Saritaaaaaaaa…aaaaaa


Ji haan ye police wala koi aur nahi balki Nishchal tha. Nishchal ne turant Sarita ko sambhal liya aur bola.


Nishchal- Sarita. Sarita. Aankhe kholo Sarita. Tumhe kuchh nahi ho sakta. Sarita Aankhe kholo apni.


Lekin Sarita ne apni aankhe nahi kholi. Ye dekhkar Nishchal ghabra gaya, Usne turant Jawed ko jaroori instruction dekar Sarita ko lekar apni gadi ke paas aaya aur Sarita ko gadi me baithakar khud uske sath baith gaya aur Driver ko Nazdiki hospital mein chalne ke liye kaha.


Nishchal ne pani ki botal lekar Sarita ke upar pani ke chheete mare Sarita ki aankh dhire se khuli aur fir band ho gayi. Nishchal Sarita ko jhinjhod jhinjhod kar baat kar raha tha taki uski aankh na band ho ye wo behosh na ho. Nishchal ki aankhe Sarita ko is halat me dekhkar nam ho gayi thi, lekin Nishchal ko is baat se koi fark nahi pad raha tha.


Uska Uniform bhi Khoon se jagah jagah ganda ho gaya tha. Use aaj Hospital ka safar milo ka lag raha tha. wo Kuchh anarth hone se pahle hospital pahuchana chahta tha. Nishchal ne Driver ko chillate huwe bola.


Nishchal- Bailgadi chala rahe ho kya. Thoda tez nahi chala sakte.


Nishchal ki aawaz sunkar Driver dar gaya aur usne gadi ki speed aur tez kar di. Thodi hi der mein wo hospital me pahuch gaya. Nishchal turant gadi se niche utra aur strature ka wait kiya bina hi sarita ko apni god me uthaya aur Hospital ke andar chala gaya.


Ab CO kisi ko hospital me lekar aaya tha to deri ka sawal hi paida nahi hota tha. Sarita ko turant Admit kar liya gaya. Doctor ne use bahar baithne ke liye kaha. Nishchal bahar baith gaya. Use subah ki baate yaad aane lagi jab nashte ko lekar dono ke bich tu tu main main hui thi. Jise yaad karke uski aankho se aanshu bahne lage.


Use yaad aane laga ki kaise subah Sarita usase chhid kar baat kar rahi thi. Kaise use chhed rahi thi aur abhi itni khamosh ho gayi hai. Use Sarita par gussa bhi aa raha tha ki uske mana karne ke baad bhi wo waha par kyon aayi.


Jab usase baitha nahi gaya to wo khada ho gaya aur bechaini se idhar udhar tahalne laga. Tabhi Doctor bahar aate hain to Nishchal daud kar unke paas jata hai aur pochhta hai.


Nishchal- (ghabrate huwe) Ab Sarita ki condition kaisi hai doctor sahab. Use kuchh hoga to nahi na. Wo thik to ho jayegi na.

Doctor- Abhi kuchh kah nahi sakte Sir. Hame 24 ghante tak wait karna hoga. Agar 24 ghante ke andar inhe hosh aaya to thik hai nahi to inki condition critical ho sakti hai. Abhi hame Inhe Opration ke liye OT (operation Theatre) me le jana hoga. Dekhne se lag raha hai ki goli bahut andar tak ghus gayi hai. Ham Apni taraf se poori koshish karenge ki Operation Safal ho jaye. Baki Bhagwan ki marzi. Tab tak Aap Kuchh jaroori formilitise pori kar dijiye.


Doctor ki baat sunkar Nishchal ki aankho se jhar jhar aanshu bahne lage. Usne Doctor ke samne hanth jod liye aur kaha.


Nishchal- Please Doctor Sahab. Sarita ko bacha lijiye. Kuchh bhi karke use bacha lijiye.

Doctor- Ham apni taraf se poori koshish karenge Sir. (Nurse se) Sister Opration ki taiyaari karo.


Ye bolkar doctor waha se chale jate hain. Unke pichhe pichhe nurse bhi chali jati hai. Nishchal wahi bechaini se tahal raha tha aur bhagwan se sarita ke liye man hi man prarthana kar raha tha. thodi der baad Nurse Nishchal ke paas aati hai aur kahti hai.


Nurse- Madam ke sath family ki taraf se koi aaya hai.

Nishchal- Nahi koi nahi hai main akela hoon.

Nurse- Hamein Opration karne se pahle is paper par sign chahiye the.

Nishchal- Laiye main kar deta hoon.

Nurse- Aap unke kya lagte hain.

Nishchal- Main unke sath kaam karta hoon. unka senior hoon. aur aapka jo bhi kam hai use thoda jaldi kar lijiye aur jaldi se operation kijiye uska.


Nishchal ki baat sunakr Nurse Use gaur se dekhne lagi aur man hi man sochne lagi.


Nurse- Bata to rahe hain ki madam ke senior hain, lekin bahut parwah hain inhe madam ki, ro bhi rahe hain, lagta hai bahut pyaar karte hain madam se ye.


Nurse ne Nishchal ko Paper de diya aur Nishchal ne us par sign kar diya. Papar lekar Nurse chali gayi.
 
Mahi Maurya's SIGNATURE
OP
Mahi Maurya
Member

0

0%

Status

Offline

Posts

68

Likes

11

Rep

0

Bits

0

2

Years of Service

LEVEL 1
100 XP
UPDATE- 48


Nurse ke jane ke baad Nishchal hatas hokar baith gaya. Nishchal ka dil baitha ja raha tha. Wah man hi man bhagwan se Sarita ke thik hone ki prarthana kar raha tha. Aaj use Apne sare ishtdev yaad aa rahe the. use Sarita se pahli mulakat yaad aa gayi jab Sarita ne galatfahmi me uske dono gal lal kar diye the.


uski aankho se aanshu thamne ka nam nahi le rahe the. Wo apne soch me hi gum tha ki tabhi uska mobile bajne laga. Usne dekha ki Savita ki call thi. Nishchal ne apne aanshu pochhe aur sanyamit swar me kaha.


Nishchal- Haan di.

Savi- Nishu. Sarita kahan hai kab se uska phone try kar rahi hoon. uska phone lag nahi raha hai uske Office wale number par bhi phone kiya lekin usne wo bhi nahi uthaya. wo thik to hai na.


Savita ki baat sunkar Nishchal ki aankho se phir se aanshu nikalne lage. Usne kisi tarah apne aapko sanyamit kiya aur kaha



Nishchal- (jhooth bolte huwe) Pata nahi di. main to Usase mila bhi nahi aaj. main to bahar aaya hoon. ho sakta hai ki wo kisi kaam me vyast ho aur mobile band kar diya ho. ho sakta hai ki wo apne cabin me na ho isliye wo office wala phone nahi utha rahi hai. AaP ghar aa gayi hain kya di.

Savi- Abhi nahi pahuchi nishu. Abhi raste mein hoon. Kuchh samay lagega abhi mujhe.

Nishchal- Thik hai di aap ghar pahuchiye. aap se baad me baat karta hoon di. abhi kuchh jaroori kaam kar raha hoon.


Nishchal ne jhooth bolkar phone rakh diya. agar wo thodi der aur Savi se baat karta to nishchit hi rone lagta. phone rakhne ke baad usne apne dono hantho se apne sir ko pakad liya aur sir niche karke baith gaya. Tabhi waha par nurse daudkar aati hai aur nishchal se kahti hai.


Nurse- Sir, Madam ko goli lagne ke karan khun bahut bah gaya hai. Unhe khoob chadhana padegaa.

Nishchal- to aap der kyon kar rahi hain. Khun chahaiye na use. Mujhe kyon bataa rahi hain ye aap.

Nurse- madam ka jo blood group hai us group ka blood kahi mil nahi raha hai. Hamne kai blood bank aur hospital mein phone karke pata lagaya hai, lekin blood nahi milaa.

Nishchal- (pareshan hokar) Kya. Ye kya kah rahi hain aap. Kaun se blood group hai sarita kaa..

Nurse- O Negative.

Nishchal- Mera bhi blood group O Negative hai. aap mera blood use chadhana dijie. Jaldi kariye aap log. Use bachaa lijiye.

Nurse- Aap jaldi se mere sath aaiye.


Itna kahkar nurse Wapas andar chali gai. Nishchal bhi uske pichhe pichhe andar chala gaya. Nishchal ko sarita ke bagal ek khali bed par lita diya gaya aur khun nikalne sur sarita ko khoon chadhane ki prakriya shuru ho gayi.


Nishchal ek tuck sarita ko dekhe ja raha tha jo besudh si padi hui thi. Ye dekhkar Nishchal ki aankhon aanshu nikalne lage. Thodi der baad nishchal ko bahar bhej diya gaya. Nishchal bahar aakar waiting area mein apne sir ko thaam kar baith gaya. Tabhi waha par jawed aur Mohit aa gaye aur Jawed ne poochha.



Jawed- Sir ab madam ki halat kaisi hai.


Jawed ko dekhkar Nishchal ko pata nahi kyon gussa aa gaya aur wo tez aawaz me Jawed se bola.


Nishchal- Tum log kisi kaam ke nahi ho. kya kar rahe the tum log. Use mana nahi kar sakte the waha aane se. Maine tumko kaha tha na ki thane phone karke Sarita ko aane ke liye mana karo. Wo to ek number ki ziddi aur pagal ladki hai kisi ki nahi sunti. Lekin tum logo ko to thodi bahut akal honi chahiye thi.

Mohit- Sir Us samay ham log thane me nahi the apke sath hi the. Jawed ne Ranjana ko bola tha ki Madam ko waha mat aane de. lekin madam ne uski baat nahi suni. Waise ab madam ki halat kaisi hai.


Mohit ki baat sunkar Nishchal ko dhyan aaya ki Jawed aur Mohit to usi ke sath the poore samay. use apne aap par gussa aaya ki usne bewajah dono ko dant diya. sath me Hospital me use is tarah se chilla kar baat nahi karni chahiye thi. Nishchal ne apne aapko sanyamit karke sir niche jhuka liya aur kaha.


Nishchal- Sorry yaar. main bahut tension me hoon. isliye tum logo ko pata nahi kya kya bol gaya. maaf kar dena. ABhi use hosh nahi aaya hai. doctor ne bhi 24 ghante se pahle kuchh bhi batane se mana kar diya hai.

Mohit- Aap thik to hain Sir.

Nishchal- Haan main thik hoon. mujhe kya hoga. waise waha ki kya khabar hai.

Jawed- Sir bahut Muskil se bheed ko kabu kiya gaya hai. Aanshu gais ke gole tak chhodne pade. lathi charge karni padi. Apne Yadav ji aur Patel ji bhi is hatha paai me ghayal huwe hain. Unki bhi marham patti ki gayi hai. Abhi kuchh hi der me Rawat Sir Aur SSP Sir aate hi honge yaha par.

Nishchal- (kuchh sochkar) Tum log abhi yaha par rahoge na kuchh der.

Jawed- Ji Sir. ABhi rahenge ham dono.

Nishchal- Thik hai tum log yahi ruko. main ghar jakar Apni uniform change karke aata hooon. Poori khoon ke dhabbe se kharab ho gayi hai. Jab tak main na aa jaun tum log jana mat yaha se. Sarita ki jaan ko pahle bhi khatra tha. ab uske liye khatra aur bhi badh gaya hai. Isliye Sarita Ke paas bina ID prouf ke kisi ko bhi jane mat dena. fir wo chahe koi bhi Kyon na ho.

Mohit- Thik hai Sir. Aap jaiye.


NIshchal Hospital se bahar chala jata hai. Waha se nikal kar wah ek sunsan jagah par chala gaya. Uska dil kar raha tha ki wah jor jor se roye apne dil ki poori bhadas nikal de. Aur aakhirkar uske aanshuwo ne uski aankho ka sath chhod diya aur hichkiyo se shuru hui aawaz rudan me badal gayi.


Nishchal 10 minute tak rota raha. fir usne apne aanshu saaf kiye aur apne aapko sanyamit kar ghar ke liye nikal gaya. thodi hi der me wo ghar pahucha. ghar pahuchkar wo bathroom mein ghus gaya aur apne aapko Aaine me dekha. Jagah Jagah Uniform par khoon ke dhabbe. rone ke karan aankhe lal ho gayi thi. ball poori tarah se bikhar gaye the.


Usne jaldi se apni uniform uthari aur washing mashine me dal di aur jaldi jaldi hanth munh dhokar apne kamre me jakar formal kapde pahankar wo bahar jane laga. tabhi Savita ki gadi aa gayi. jise Raghav Drive kar raha tha. Savita gadi se utarkar Nishchal ki taraf aayi. to wo use najarandaz karke jane laga to Savita ne poocha.


Savi- Kya huwa Nishu. tum is vakt ghar par. aur ye kapde pahan kar kahan ja rahe ho.


Savita ki baat par Nishchal ne koi pratikriya nahi di. Nishchal ne to SAvita ki taraf dekha tak nahi. Use samajh me nahi aa raha tha ki wo Savita ka samna kaise kare. Koi jawab na pakar Savita ne pichhe se daudkar uska hanth pakad liya aur kaha.


Savi- Kya huwa Nishu. Sab thik to hai na. tum thik ho. Sarita thik hai.

Nishchal- (najar churakar) Haan di. sab thik hai. wo di mujhe kuchh kaam yaad aa gaya hai. main thoda jaldi mein hoon. aakar baat karta hoon aapse.



Nishchal ne ye baat thoda gambhir hokar kahi. Raghav ne ye baat note kar li. use samajh me nahi aa raha tha ki NIshchal aisa vyavhar di ke sath kyon kar raha hai. Nishchal ki baat sunkar Savita ne kaha.


Savi- Achha thik hai tum jao. Sarita aai ki nahi abhi tak.

Nishchal- Nahi di. aa jayegi.

Savi- pata nahi ye ladki kaha par hai. na hi mera phone utha rahi hai aur na hi abhi tak ghar pahuchi hai. kuchh bataya bhi nahi usne.

Nishchal- Di main jar aha hoon.

Savi- Thik hai tum jao. jaldi aana.


Itna kahkar Savita ghar ke andar chali gayi. Nishchal ne apne aankho par kala chashma lagaya tha jiske karan uski aankho ke aanshu SAvita ko najar nahi aaye.


Uske jane ke baad Nishchal ne chashme ke dono kone par apni ungli se aankh se bah aaye aanshu saf kiye, lekin ye Raghav ki najaro se nahi bach saka. Jaise hi NIshchal chalne ko huwa. RAghav ne use aawaz dete huwe kaha.


Raghav- Nishchal tum thik to ho na bhaai. Kuchh pareshan se lag rahe ho.

Nishchal- Nahi Raghav main bilkul thik hoon. Abhi main jaldi mein hoon baad mein baat karta hoon.

Raghav- Agar tumhe koi samasya hai to tum mujhse share kar sakte ho.


Lekin Raghav ki is baat par Nishchal bina koi jawad diye aage badh gaya. Raghav ko Nishchal ka yah bartav bahut ajeeb laga. Nishchal ne kabhi bhi aisa bartav nahi kiya tha Raghav ke sath. Use kabhi Ignore nahi kiya tha, Raghav ne bhi Abhi Nishchal ko pareshan karna sahi nahi samjha aur ghar ke andar chala gaya.


Udhar Nishchal ghar se nikal kar sidha hospital ke liye chala gaya. Jab wo hospital pahucha to Rawat Sir Aur SSP Sir dono hospital aakar chale gaye the. Nishchal jab waha pahucha to Sarita ka poora staff waha par jama tha. Nishchal ne waha pahuchte huwe sabse kaha.


Nishchal- Kya jaroorat thii aap sabko pareshan hone ki. main to yaha par tha hi Sarita ki dekh bhal ke liye.

Janhavi- Koi baat nahi Sir. Ham log bhi aapke sath yahi rahenge. jab tak Madam ko hosh nahi aa jata.

Nishchal- Ye hospital hai. Yaha par bewajah bhid lagane ka koi fayda nahi hai. Abhi uske hosh mein aane me bahut samay hai. waise bhi doctor ne bola hai ki 24 ghante wo kuchh kah nahi sakte. to aap sab ghar jaiye. jaise hi use hosh aata hai main sab ko inform kar donga.

Ranjana- Lekin Sir.

Nishchal- (uski baat katkar) Lekin Vekin kuchh nahi. Abhi aap log jaiye.


Abhi Nischal ne itna hi kaha tha ki tabhi Ek Nurse waha par aayi aur boli.


Nurce- Yaha par bhid mat lagaiye. Pateint ke sath koi ek do log hi ruk sakte hain. aur log jaiye yaha se.


Nurse ke kahne ke baad Nishchal ne bhi sabhi ko jane ke liye bol diya. SAbhi ke jane ke baad NIshchal wahi par lagi kursi par baith gaya aur upar wale se Sarita ke liye prarthana karne laga.


Udhar Savita aur Raghav jab ghar mein gaye to dono bathroom me jakar fresh huwe. fresh hokar niche aane ke baad Savita kitchen me chaai banane ke liye chali gayi aur Raghav T.V. On karke Hall me lage sofe par baith gaya. wo channel change karne laga. tabhi news channel par uski nigah gayi to uske hanth remote se hat gaye aur wo Jor Jor se Savita ko aawaz dene laga.


Raghav- Di. Kahan hain aap jaldi aaiye.

Savi- (kitchen se) Do minute Ruko Chaai bana rahi hooon.

Raghav- Di chaai ko maro goli. Ye dekhiye News mein kya dikha raha hai.


Raghav ki aawaz sunkar Savita bhagkar haal me pahuchi aur News dekhne lagi. News me dikha raha tha ki Aaj ……………..Area me hinsa bhadak gayi. Jise kabu karne me police ko bahut masakkat karni padi. Is dauran Bhid se hui hathapai mein Kuchh police karmi bhi ghayal ho gaye hain sath hi ek Lady Inspector ko goli lagi hai aur wo Hospital me admit hain. Bataya jata hai ki wo Lady Inspector …………… thane me tainat hain aur ye area Unke thane ke undar aata hai.


Ye khabar dekhkar Savita chaunk gayi aur Sath me Raghav bhi chaunk gaya. Savita ne Raghav se kaha.


Savi- Ye to Sarita ka thana hai.

Raghav- Haan di. ye to Sarita ji ke thane ka nam bata raha hai.

Savi- Kahi wo Lady Inspetor Sarita to………….. nahi nahiii aisa nahi ho sakta. Agar aisa hota to nishu mujhe batata, lekin Sarita ka phone bhi to dopahar se band aa raha hai aur uske office wala phone bhi nahi uth raha hai. Nishu bhi kuchh ajeeb bartav kar raha hai roj ki apeksha. mera dil bahut ghabra raha hai. Tum phone lagao Nishu ko.


Savi ki baat sunkar Raghav ne Nishchal ko phone laga diya. Udhar Sabke jane ke baad Nishchal wahi rakhi chair par baith kar Sarita ke thik hone ki bhagwan se man hi man prarthna kar raha tha ki tabhi uska phone baja.


Phone Raghav ka tha. Raghav ka Number dekhkar usne phone silant me kar diya. poori bell bajne ke kuchh second baad hi phone phir se baja to is baar Nishchal ne Khud ko sanyamit karte huwe phone uthaya. aur kaha.


Nishchal- Haan Raghav.

Savi- ( gusse mein) Sarita kahan hai Nishu.


Savita ki baat ka kya jawab de Nishchal use kuchh samajh me nahi aa raha tha. Nischal ki taraf se koi jawab na pakar Savi ne fir se aur jyada gusse me kaha.


Savi- Nishu maine poochha Sarita kaha hain. Plz Nishu Kuchh to bolo. Kaha hai Sarita. Ye news Channels wale pata nahi kya kya news dikha rahe hain. Mera dil bahut ghabra raha hai Nishu. Sarita se Abhi meri baat karao. Plz Nishu.


Nishchal bhi ab samajh gaya tha ki ab jhooth bolkar koi fayda nahi hone wala to usne sach bolna hi sahi samjha aur bola.


Nishchal- Di … Sarita ko goli lagi hai.

Savi- (Chillate huwe) Kyaa. Kyaa bol rahe ho tum Nishu. kah do ki ye sab majak kar rahe ho tum.


Sarita ki baat sunkar Nishchal ki aankho se aanshu bahne lage. Nishchal ko hichkiya aane lagi. Jo samne Savi ko bhi sunai pad rahi thi. Hichki lete huwe Nishchal ne kaha.


Nishchal- Nahiii.. diii. mainnn sachh boll.. rahaa hoon. Saritaa koo goliii lagiii hai. wo is Samay ICU mein haiii.


Savi- (pareshan hokar Nam aankho se) Tum Mujhe address send karo main aa rahi hoon.


Nishchal- Use abhi hosh nahi aaya hai di. 24 ghante baad hi doctor kuchh bata sakte hain. jab use hosh aa jayega to main aapko bata dunga tab aap aaiyega.

Savi- (gusse se) maine kaha na ki mujhe address do. mujhe abhi aana hai. jaldi se address bhejo.


Nischal Savita ko Address bhej deta hai. 20-22 Minute baad hi Savita aur Raghav Hospital pahuch aate hain. Hospital pahuchte hi Savita Nishchal ke paas gayi aur kheechkar ek jhapad Nishchal ke gal par jama diya aur gusse se boli.


Savi- Tum pagal ho gaye ho kya. Itni badi baat ho gayi aur tumne mujhe batana jaroori nahi samjha. ghar par bhi mujhse jhooth bolkar yaha chale aaye. wo to achha huwa ki Raghav ne News dekh li aur hame pata chal gaya. nahi to tum batane wale hi nahi the ham logo ko kuchh.


Itna bolte bolte Savita ki aawaz bharra gayi aur uski bhi aankho se aanshu bahne lage. Nishchal ne Savita ke aanshu pochhte huwe kaha.


Nishchal- Sorry di. main aap ko pareshan nahi karna chahta tha. isliye nahi bataya.

Raghav- (bich mein) Achha chalo maan liya ki tum di ko pareshan nahi karna chahte the isliye tumne unko nahi bataya, lekin jab maine tumse poocha ki koi pareshani ho to tum mujhse share kar sakte ho tab tumne mujhko bhi kuchh nahi bataya.

Nishchal- Mujhe Us samay samajh me nahi aa raha tha ki main Kya karu. Is baat ko kaise bataun aap dono ko.


Abhi ye baat hi kar rahe the ki Savi ka phone bajne laga. Savi ne phone uthakar dekha to Manisha naam likha dikh raha tha. Manisha ka phone dekhte hi tino ke chehre ke bhav hi badal gaye. phone bajkar kat chukka tha. kuchh second baad hi dobara phone aane laga to Raghav ne kaha.


Raghav- Di phone to uthao. Ek baar bajkar kat chukka hai. wo bhi pareshan ho jayenge.

Savi- (kanpti hui aawaz me) Manisha ka phone hai… lag raha hai ki un logo ko bhi khabar mil gayi hai. main kaise aur kya baat karungi unse. kya bataungi unhe.

Raghav- Aap mujhe phone dijiye main bat karta hoon.


Itna kahkar Raghav ne Savita ke hath se phone le liya aur freehand me daal diya. jaise hi phone receive huwe. Raghav ke bolne se pahle hi Manisha bol padi.


Manisha- Hello didi. Phone kyon nahi utha rahi thi aap. wo didiya ka Phone band aa raha hai. Main dophar se unhe phone kar rahi hoon, lekin phone lag nahi raha hai. Mummy bahut pareshan hain. AAp unse baat karwa sakti hain.

Maine mummy ko samjhaya ki didiya abhi duty par hogi isliye phone band karke rakha hoga, lekin ab to duty bhi khatam ho gayi hogi didiya ki. phone ab bhi band aa raha hai unka. didiya ne pahle aisa kabhi nahi kiya. aap meri baat karwaiye didiya se.


Manisha bina ruke bole ja rahi thi. Jab sabne suna ki abhi unko is khabar ki jankari nahi hai to unhone rahat ki sans li. Uske baad Raghav ne phone normal kar diya aur kan me lagakar kaha.


Raghav- Hello main Raghav bol raha hoon.

Manisha- Ohhhh. aap hain. Par ye to Savi didi ka phone hai na to aapke paas kya kar raha hai unka phone.

Raghav- Haan ye unka hi phone hai. wo baat ye hai ki main aur Di NGO ke kam se thoda bahar aaye the. abhi ham log raste mein hain. ghar pahuchte hain to aapki baat karwate hain aapki didi se.

Manisha- Haan thik hai. baat karwaiyega. Lekin ye bataiye didiya ka phone band kyon hai. didiya to aisa kabhi nahi karti thi iske pahle.

Raghav- Ho sakta hai ki wo kisi Important Kaam mein fans gayi ho. isliye unhone apna phone band rakha ho. Ye aap apni didi se hi pooch lijiyega.

Manisha- Haann ye baat aapne thik kahi. Meri didiya Workoholic jo hai. Kaam ke aage kuchh dikhai hi nahi deta didiya ko. Ye sabh chhodiye. ye bataiye ki aap kaise ho.

Raghav- Main bilkul thik hoon. Aap kaisi hain.

Manisha- Main bhi bilkul thik hoon.

Raghav- Achha main ab phone rakhta hoon. drive kar raha hoon. ghar pahuchkar aapki didi se baat karata hoon. bye.

Manisha- Hhmmmm. bye.


Itna kahkar Manisha ne phone rakh diya.
 
Mahi Maurya's SIGNATURE
OP
Mahi Maurya
Member

0

0%

Status

Offline

Posts

68

Likes

11

Rep

0

Bits

0

2

Years of Service

LEVEL 1
100 XP
UPDATE- 49


Idhar Manisha ka phone aane ke baad Savita pareshan ho gayi thi. Use samajh me nahi aa raha tha ki jab Sarita ke gharwalo ko ye baat pata chalegi to wo unhe kya jawab degi. Yahi baat usne Nishchal se kahi.


Savi- Nishu. Ye baat to Sarita ke gharwalo ko bhi der saber pata chal hi jayegi, Agar wo ham logo se sawal karenge to ham kya jawab denge unhe. Sarita Apne ghar me rahti thi to wo Apni jimmedari thi. Aunty ji ne bhi jate samay mujhe Sarita ka dhyan rakhne ke liye kaha tha, lekin main uska dhyaan nahi rakh payi.

Raghav- Ab jo hona tha wo ho gaya di. Aap itna pareshan mat hoiye. Ab Bas bhagwan se prarthana kijiye ki Unhe jaldi se hosh aa jaye aur sabkuchh thik ho jaye. mujhe vishwas hai ki bhagwan hamari prarthana jaroor sunega aur Unhe kuchh nahi hone dega.

Nishchal- Di. aap thak gai hogi. aap ghar jaiye. jaise hi Sarita ko hosh aayega main use bula lunga.

Savi- (Nam aankho se) Nahi Nishu. mera ghar me bilkul bhi man nahi lagega. mujhe yahi baithe rahne do.


Itna kahkar Savita Nishchal ke bagal me baith gayi. Raghav bhi uske bagal mein baith gaya. Tino man hi man prarthana kar rahe the ki Sarita ko kuhch na ho. Watavaran me khamoshi thii.


Is khamoshi ko bhang kiya Savita ke bajne wale phone ne. Phone kisi Unknown Numbar se tha. Savita ne Phone ko silant par dal diya. Phone kat chukka tha. Kuhh second mein phone fir se bajane laga to Savita ne phone uthaya aur bola.


Savi- Hello.

Raani ji- Hello Savita bitiya. main Sarita ki mummy bol rahi hoon. Manisha ne bataya ki tum NGO ke kam se bahar gayi hui ho. mujhe Nishchal bête ka Number de do. Mujhe usase baat karni hai. Yaha T.V. mein kaisi kaisi News dikha rahe hain ki Jaunpur mein danga ho gaya hai. ye danga ……………… ke paas huwa hai. Isi thane me Sarita bhi to hai.

Ye bata rahe hain ki dhange mein kuchh log ghayal huwe hai. Ek lady Inspector ko goli lagi hai… Main Sarita ka Numbar Dophar se laga rahi hoon lekin Uska number lag nahi raha hai. Mere man me bahut bechaini ho rahi hai. bahut bure bure khayal aa rahe hain. ek baar Nishchal beta Sarita se baat kara de main nishchint ho jaungi.


Rani jii ye baat bahut hadbadakar bol rahi thi. Unki baat sun-ne ke baad Savita ko samajh me nahi aa raha tha ki wo kya kare. Savita ki aankhe bhi ro ro kar lal ho gayi thi. use kuchh samajh mein nahi aa raha tha ki Ye khabar kaise Sarita ke ghar walo ko di jaye. aur is khabar ko sunkar unka kya haal loga. fir bhi Sarita ne kaha.


Savi- Thik hai Aunty ji. main Numbar de rahi hoon aap note kar lijiye. 9876543210


Number note karne ke baad Savita ka phone cut gaya. kuchh hi second me Nishchal ka phone bajne laga. Nishchal ne khud ko sanyam it kar phone uthaya aur kaha.


Nishchal- Hello.

Rani jii- Nishchal beta main Sarita ki mummy bol rahi hoon.

Nishchal- Namste Aunty. Kaisi hain aap.

Raani ji- Main thik hoon beta. wo Sarita ka phone nahi lag raha hai aur news mein pata nahi kya kya bata rahe hain. mujhe bahut ghabrahat ho rahi hai. meri ek baar Sarita se baat karwa do. mera man shant ho jayega.

Nishchal- (Jhooth bolte huwe) Aunty. News wale sahi bata rahe hain. Sarita ko mamuli si chot aayi hai. Us dhange ki afra tafri me Sarita ka phone kahin gir gaya hai isliye uska phone uske pas nahi hai. wo abhi hospital mein hai. main bhi uske sath hi hoon.

Doctor ne use neend ki dawa di hai, isliye wo so rahi hai. doctor ne disturb na karne ke liye kaha hai isliye main abhi aapki baat nahi karwa sakta Sarita se.

Aap nishchint rahiye main uska poora dhyan rakhunga. Kuchh der me di bhi aa jayengi. Subah ham Sarita ko ghar lekar jayengi to aapse baat karwa denge. Abhi main phone rakh raha hoon. Doctor bula rahe hain.


Nishchal ne jhooth bolkar phone rakh diya. Udhar jaise hi Raani ji ne ye suna ki Sarita ko bhi chot lagi hai aur wo hospital mein hai Wo rone lagi. Unke rone ki aawaz sunkar Manisha kamre se bahar aayi to Rani ji ne use sab kuchh bata diya. Manisha Unhe chup karane lagi. Udhar Nishchal ne phone rakhne ke baad Savita se kaha.


Nishchal- di kya ham log sahi kar rahe hain.

Savi- Matalab.

Nishchal- Main ye kahna chahta hoon ki Sarita ke bare me Poori jankari unko honi chahiye aakhir Sarita Unki beti hai. Ham log kab tak ye baat chhupayenge unse aur mujhe ye thik bhi nahi lag raha hai.

Savi- Baat to tum sahi kah rahe ho nishu. Unko batana jaroori hai, lekin batayein kaise. mujhe kuchh samajh me nahi aa raha hai.

Nishchal- Main manisha se baat karta hoon aur use ache se samjha dunga. wo kisi tarah Waha apne mummy papa ko handle kar legi.

Raghav- Haan ye thik rahega.


Nishchal ne Manisha ko phone laga diya. udhar manisha apni maa ko samjha rahi thi. chup kara rahi thi. sath me Aanand ji bhi baithe huwe the wo bhi Rani ji ko samjha rahe the tabhi Manisha ka phone baja. Manisha ne phone uthaya.


Manisha- Yes boos.

Nishchal- Mujhe tumse ek jaroori baat karni hai. tum thoda Aunty se door ho kar mujhse baat karo.


Nishchal ki baat sunkar Manisha tension me aa gayi. Wo Apne ghar se bahar sadak par chali gayi aur boli.


Manisha- Haan main ab ghar se bahar aa gayi hoon. Kya baat hai.

Nishchal- Dekho main jo kahne ja raha hoon. use sunkar tum chillana mat. Ye baat tum logo ko jan-na jaroori hai isliye bata raha hoon.

Manisha- Aakhir baat kya hai. Didiya thik to hai na. Mummy bata rahi thi ki us dange me didiya bhi ghayal hui hain.

Nishchal- Dekho Manisha. ye sahi hai ki us dange me Sarita bhi ghayal hui hai, lekin Jis lady Inspector ko goli lagi hai wo tumhari didi hai. Abhi wo ICU mein Admit hai. main di aur Raghav Sab Abhi Hospital mein hi hain.


Nishchal ki baat sunkar Manisha rone lagi. Nishchal ne use chup karate huwe kaha.


Nishchal- Dekho Manisha Ye samay rone ka nahi hai. ye baat tumhe apne mummy papa ko bhi batani hai. unhe sambhalna hai. yaha ham Sabhi SArita ke sath hain. Use kuchh nahi hoga. Main ab phone rakhta hoon. tum Aunty aur uncle ka dhyan rakhna.


Phone par baat karke jab Manisha andar gayi to Aanand ji ne Manisha se poocha.


Aanand ji- Kiska phone tha manisha.

Manisha- Kisi ka nahi papa, ab aise hi koi wrong Numbar tha.

Aanand ji- Wrong Number tha ya tum mujhse kuchh chuupa rahi ho. Wrong Number par koi itni der baat nahi karta hai aur tumne phone uthakar Yes boss bola tha, iska matlab tum use janti ho. batao manisha baat kya hai. tumhara chehra bhi latka huwa hai aur aankho me aanshu bhi hain.


Aanand ne itna kaha ki Manisha daudkar unse lipat gayi aur rone lagi. Manisha ko rote dekhkar Rani ji use chup karane lagi aur poochne lagi ki baat kya hai. fir manisha ne sab kuchh sach sach bata diya.


Jise sun-ne ke baad to Rani ji aur Aanand ji bhi rone lage. Rani ji turant Sarita ke paas jane ki zid karne lagi. Aanand ji ne turant apne jan-ne wale ko phone kiya aur ek car ke liye bol diya.


Raat ke 10 baj gaye the. lekin kisi ko khane pine ki fikar nahi thi. Allahabad me Aanand ji, Rani ji aur Manisha aur Hospital mein Raghav, Nishchal aur Savita ki bhookh mar chuki thi. sabhi ke chehre par dukh aur pareshani chhai hui thi.


Nishchal, Savi aur Raghav OT ke bahar Waithing hall mein baithe huwe the tabhi doctor OT se bahar nikale to tino ne unhe gher liya. Savita ne poochha.


Savi- Doctor sahab, Sarita thik to hain na, use hosh aaya ki nahi. Please Doctor Sahab. Meri bahan ko bacha lijiye. pls.


Savita ne doctor se rote huwe vinti ki. doctor ne kaha.


Doctor- Ji nahi. Abhi to unhe hosh nahi aya hai, lekin Itna kah sakta hoon ki ab wo khatre se bahar hai. jaldi hi unhe hosh aa jayega.

Raghav- Kab tak hosh aayega Doctor sahab.

Doctor- Ab kab tak hosh aayega ye to main nahi bata sakta. 1 ghante bhi lag sakte hain aur 1 din bhi lag sakta hai. darasal goli bahut andar tak ghus gayi thi. Jise hamne nikal diya hai, lekin Goli kandhe ki handi mein touch ho gayi thi isliye body ko sence mein aane mein thoda samay lagega.

Nishchal- Aur koi pareshani ki baat to nahi hai na doctor sahab.

Doctor- Dekhiye Sir. jaha tak mujhe lagta hai ki Body Movement mein kuchh din tak problems aayegi. chunki goli right side ke kandhe ke paas haddi ko touch ho gayi thi to right hand ke movement mein bhi problems aayegi. lekin abhi is bare me shyor nahi hoon. ye to patient ke hosh me aane ke baad hi pata chalega ki aur kya problems ho sakti hain.

Savi- Kya ham use dekh sakte hain Doctor Sahab.

Doctor- Haan Kyon nahi. lekin 1 hours baad hi aap log unhe dekh sakte hain wo bhi door se.


Itna kahkar Doctor waha se chala gaya. Udhar Nishchal bhi Waha se hatkar Hospital ke bahar chala jata hai aur bahar neem ke ped ke paas bane huwe chabutare par baith jata hai.


Sadak ke us paar Chaai ki dukan par radeo par gana baj raha tha jo Raat ki tanhaiyo ko cheetah huwa apni taan bikher raha tha. us gane ko Nishchal khud mein mahsoos kar raha tha.
bahut pyaar karte hain tumko sanam- 2
kasam chahe le lo
kasam chahe le lo khuda ki kasam
bahut pyaar karte hain tumko sanam- 2
hamari gajal hai tasavvur tumhara
tumhare bina ab na jeena gawara.
tumhe yuun hi chahenge
tumhe yuun hi chahenge jab tak hai dam
bahut pyaar karte hain tumko sanam-2
sagar ki bahon mein mauje hain jitni.
hamko bhi tumse mohabbat hai uthi.
ki ye bekarari.
ki ye bekarati na ab hogi kam
bahut pyaar karte hain tumko sanam- 2


ye gana bajkar band ho gaya to doosra gana shuru ho gaya jo Nishchal ko Sarita se jodne laga Nishchal us gane ko sunte huwe Kho gaya.
Kitne bhi tu kar le sitam.
hans hans ke sahenge ham.
ye pyaar na hoga kam
sanam teri kasam
ho o o sanam teri kasam.- 2
Jitna tadpayegi mujhko.
utna hi tadpegi tu bhi
jo aaj hai aarzu meri
vo kal teri aarzu hogi-2
ye Jhoth nahi sach hai sanam
sanam teri kasam
ho o o sanam teri kasam
sanam teri kasam.



Aise hi gane bajte rahe aur nishchal un gano mein khota raha. rota raha. bahut der tak Nishchal Wahi par baitha raha Tabhi uske kandhe par kisi na apna hanth rakha.


Nishchal ne Apni najre uthakar dekhi to Wo Raghav tha jo use dhoondhta huwa waha aaya tha. Raghav bhi uske bagal mein baith gaya aur bola.


Raghav- Kya baat hai dost. pareshan ho.

Nishchal- Nahi to.

Raghav- Achha beta. Ab dost se bhi jhooti bologa. ham bachpan se sath hain. tumhare chehre par har badalte huwe bhavo ko dekh raha hoon main aur samajh raha hoon ki tumhare man mein is samay kya chal raha hai. Tumhe dar lag raha hai na ki kahin tum use kho na do.


Raghav ki baat sunkar Nishchal ne uski taraf dekha, lekin bola kuchh nahi aur samne ki taraf dekhne laga. Raghav ne aage kaha.


Raghav- Tumhe pata hai maine doosri baar tumko is tarah se hairan pareshan dekha hai. ek abhi aur ek tab dekhta hoon jab Anant ji ko lekar tumhai Di ke sath tikhi bahash hoti hai. wo bhi khoob roti hain aur tum bhi khoob rote ho.. tab se lekar abhi tak maine aaj tumko us hal detha hai.


Raghav ki baat sunkar Nishchal ne fir uski taraf dekha aur koi jawab nahi diya aur jameen ki taraf dekhne laga. Raghav ne phir kaha.


Raghav- Chinta mat karo aur pareshan mat ho. tumhara pyaar haar nahi sakta. wo bahut jaldi thik ho jayegi.


Raghav ki baat sunkar Nishchal ke sabar ka bandh toot gaya aur wo uske gale lagkar rone laga. Raghav ne bhi kuchh bolna sahi nahi samjha aur Nishchal ki pith ko sahlate huwe use santvana dene laga. Raghav janta tha ki Nishchal par is samay kya bit rahi hogi isliye usne aage koi baat nahi chhedi aur Nishchal ko santvana deta raha.


fir Nishchal Raghav se alag ho gaya. dono shanti se baithe rahe Is samay raat ke lagbhag 1 baj raha tha. Tabhi Nishchal ka phone bajne laga. Nishchal ne phone dekha to chhote miya naam flase ho raha tha. Nishchal ne phone uthaya.


Nishchal- Hello.

Manisha- Boss. Ham log yaha par aa gaye hain.

Nishchal- ( hadbadakar) Kaha par aa gayi ho.

Manisha- Matlab ki ham log Jaunpur aa gaye hai. Hospital ka address sent kaiye jaldi.

Nishchal- (chaukte huwe) Kyaa….. yaha aa gayi ho.. Achha ruko main address bhej raha hoon.


Itna kahkar NIshchal ne phone rakh diya. Raghav ne Nishchal se poocha.


Raghav- Kya huwa. Kiska phone tha.

Nishchal- Manisha ka phone tha. wo log Jaunpar aa gaye hain. hospital ka address mang rahe the.

Raghav- Hmmmmm. AB Khabar hi aisi hai ki koi bhi maan baap beti ko is hall me jankar kaise nahi aate.


Nishchal ne Hospital ka Address Whatsupp kar diya. 30 minute me hi Sarita ka pariwar Hospital aa gaya. Nishchal aur Raghav hospital ke bahar hi Unhe mile. Milne ki aupcharikta ke baad Dono Sarita ki family ko lekar andar gaye. Rani ji Andar jate hi Savi ke gale milkar rone lagi. Savi ne Rani ji ko samjhate huwe kaha.


Savi- Aap shant ho jaiye Aunty ji. Sarita ko kuchh nahi hoga. wo ab thik hai.

Rani- Ye sab kaise ho gaya. meri bachhhi.

Savi- Doctor ne kaha hai ki wo khatre se bahar hai. lekin aap log yaha par itni jaldi kaise.

Manisha- Jab Boss ne.. matlab Nishchal ji ne mujhe bataya ki didiya ko goli lagi hai to maine mummy aur papa ko bhi bata diya. mummy ne to rote rote bura hall kar liya aur yaha aane ki zid karne lagi. to papa ne car ka intezam kiya. isliye ham itni jaldi yaha par aa gaye.

Aanand- Ab main kya karta. mera bhi man tha apni beti ko dekhne ka, upar se jab ye zid karne lagi to maine bhi socha ki waha par rahkar Sarita ke bare mein sochne se behtar hai ki yaha aakar Sarita se mil lein.


Sabhi ne ICU ke bahar se hi Sarita ko dekha. Nishchal ne jakar Car wale ka payment kar diya. Sarita ko abhi tak hosh nahi aaya tha. isliye sabhi uske hosh me aane ki pratiksha kar rahe the. Isi tarah baithe baithe.


Sarita ki salamti ki prarthana karte huwe subah ho gayi. raat mein koi bhi nahi soya. Subah hone par Nishchal ne sabhi ke liye chaai, biskit aur tost lekar aaya. lekin sabne sirf chaai hi pi.


Subah ke lagbhag 9 baje ke kareeb Sarita ko hosh aaya. Jiski suchna Nurse ne aakar Unhe di.
 
Mahi Maurya's SIGNATURE
OP
Mahi Maurya
Member

0

0%

Status

Offline

Posts

68

Likes

11

Rep

0

Bits

0

2

Years of Service

LEVEL 1
100 XP
UPDATE- 50


Subah ke kareeb 9 baje Sarita ko hosh aa gaya. Doctor ne jakar Sarita ka chack-up kiya aur gharwalo ko usase milne ki anumati de di. Sabhi Sarita se milne ICU mein ghus gaye.


NIshchal ki himmat nahi ho rahi thi ki wo Andar jaye isliye wo bahar hi ruka raha. Sarita ko Is halat me dekhkar Rani jii ke aankho se aanshu bahne lage. Rani ji ke alawa bhi jitne log the sabhi ki aankhe nam thi. Rani ji ko rota huwa dekhakr Sarita ne kaha.


Sarita- Maa. Aap ro kyon rahi hain. Plz Chup ho jaiye. dekho main thik hoon.

Rani ji- (Sisakte huwe) Kya thik ho tum. Hospital ke ICU mein leti hui ho aur bol rahi ho ki thik ho. meri jaan nikal gayi thi ye sunkar ki tumhe goli lagi hai aur tum kah rahi ho ki main thik hoon.

main shuru se hi tumhari is naukari ke khilaf thi. main nahi chahti thi ki tum ye naukari karo, lekin tum baap beti ne meri ek baat nahi mani. thodi bahut bachi khuchi kasar Manisha ne poori kar di. Aaj agar tumhe kuchh ho jata to tumhari maa ka kya hota tumne kabhi socha hai.

Sarita- Kya maa aap fir se shuru ho gayi. maine kitni baar kaha aapse ki ye bas ek dhun thi us samay jiske karan mujhe ye karna tha.

Rani ji- kya dhun thi tumhari. us dhun ke chakkar mein aaj tum hospital mein ho. tumhe bilkul bhi andaza hai ki tumhare papa aur main kitna ghabra gaye the.

Aanand ji- Are bhagyawan, Bitiya abhi abhi hosh me aayi hai aur tum ho ki usko dante ja rahi ho.

Raani ji- Aap to chup hi rahiye. ye sab aapke karan hi huwa hai. agar meri baat pahle hi maan lete to aaj ye sab na hota.

Aanand Ji- Waise bhi main tumhare aage kahaan bolta hoon.😃😂



Aanand ji ki baat sunkar Raani ji ne unhe aankh dikhaai to wo chup ho gae. Savi ne Rani ji ko samjhate huwe kaha.


Savi- Thik hai Aunty. Jab ye ghar par chalegi thik hokar to ise khoob datiyega. isne ham sab ko bahut rulaya hai. lekin abhi ise kuchh mat kahiye.


Rani ji ke hatne ke baad Manisha ne Sarita ko gale lagaya aur turant hi ICU se bahar aa gayi. Kyon ki use bahut tez ruwai aa gayi thi. ICU ke bahar aakar wo kursi par baith kar rone lagti hai.


thodi der rone ke baad wo Nishchal ko dhoondhne lagti hai to NIshchal use Corridor me khada huwa dikhayi deta hai. Manisha uske paas chali jati hai aur bolti hai.


Manisha- Aap yaha kya kar rahe hain boss. didiya se milne nahi gaye aap. kya aapko didiya se nahi milna.


Manisha ki aawaz sunkar Nishchal ne turant chashma pahan liya, lekin manisha ki bato ka jawab nahi diya to manisha ne fir se kaha.


Manisha- Main aapse kuchh pooch rahi hoon boss. aap didiya se milne kyon nahi gaye aur ye hospital mein aapne chashma kyon pahan rakha hai wo bhi kala chashma.

Nishchal- (haklate huwe) Wo… wo… haan wo mujhe conjunctivitis ho gaya hai. ( simpal shabdo mein ise aankh ka aana kahte hain.)

Manisha- Achha. lekin aap didiya se milne kyon nahi gaye.

Nishchal- Sab log to usase milne gaye huwe hain na. isliye main nahi gaya.

Manisha- Sab logo ki chhodiye aap apni bataiye ki aap didiya se milne kyon nahi gaye.

Nishchal- Are yaar chhote miya. tum to isi baat ke pichhe hi pad gayi ho. bheed bahut thi uske paas isliye main nahi gaya usase milne. ab khus.

Manisha- Bhadak kyon rahe hain boss. bheed thi ya aapki himmat hi nahi hui didya ka samna karne ki.

Nishchal- (niche dekhte huwe) Aise kuchh nahi hai. Mujhe himmat kyon nahi hogi.


Nishchal ne ye baat jameen ki taraf dekhte huwe kahi thi. Ye dekhkar Manisha ne aage badhkar Uska Chashma nikal liya. jisase Nishchal hadbada gaya aur uski taraf dekhne laga. Manisha ne Nishchal ki aankho me dekhte huwe kaha.


Manisha- Conjunctivitis to kahi dikh nahi raha hai. bas aankh lal hai aur aankho mein aanshu dikh rahe hain. jise dekh kar lag raha hai ki aap bahut roye hain aur raat bhar nahi soye hain.


Nishchal ko Manisha par is samay bahut gussa aa raha tha lekin wo apne gusse par control karte huwe kahta hai.


Nishchal- Haan wo raat bhar jag raha tha to isliye neend poori nahi hui.

Manisha- Aur ye aankho mein aanshu kisliye.

Nishchal- Are yaar Tumhe har baat batana jaroori hai kya. Jao yahan se.

Mansiha- Aap didiya se pyaar karte hain.


Nishchal ko Manisha se aise sawal ke ummeed katai nahi thi. Manisha ki baat sunkar Nishchal sakpaka gaya aur idhar udhar dekhne laga to manisha ne kaha.


manisha- Jawab dijiye boss.

Nishchal- Kya jawab doon.

Manisha- yahi ki aap didiya se pyaar karte hain ya nahi.

Nishchal- Nahiiii…… naa.. to.. nahi to aisa kuchh bhi nahi hai.

Manisha- Jhooth Kyol bol rahe hain boss. main aapko kal se notice kar rahi hoon. jab bhi didiya ki baat hoti hai aapke chehre ke bhav badal jate hain. kal se dekh rahi hoon ki kitni parwah hai aapko meri didiya ki.

kal se aapki harkato ko observe kar rahi hoon main. Infact jab main aapse pahli baar mili thi tab se note kar rahi hoon. aur aapki harkate yahi batati hain ki aap didiya se bahut pyaar karte hain. boliye boss main sahi kah rahi hoon na.

Nishchal- Mujhe kuchh kaam yaad aa gaya main aata hoon kuchh der mein.


Itna kahkar Nishchal Hospital se bahar chala jata hai. Usko jata dekhte huwe Manisha man me kahti hai.


Manisha- Bhagiye boos kitni door bhagkar jayenge. ek din aap khud kahenge ki aapko didiya se pyaar hai.
*****

Udhar Apne Adde par Raghu gusse mein tilmilaya huwa tha sur apne aadmiyon par bharosa huwa tha. Sarita ko goli lag gayi thi ye usase bardast nahi ho raha tha. Sath mein uska khas panter Heera bhi tha. Raghu gusse se chillate huwe Heera se Kaha.


Raghu- tum sab sale nikamme ho. Kisi kaam ke nahin ho. Mujhe to ye samajh mein nahin aa raha hai ki Use goli kaise lagi.

Heera- bhadak kyon rahe hain bhaai aap. Ham to pahle hi aapse mana kiye the ki ye sab mat karo. Lekin aapne hi meri baat nahi suni. Agar aap ye sab na karte to aaj ye sabkuchh nahi hota.

Raghu- Abe Sale hamko thodi hi pata tha ki Goli use lag jayegi. Jab tumne mujhe us din bataya tha ki Uske Sath Us CO ka bhi lafda chal raha hai to maine bahut soch samajhkar ye plan banaya.

Hamne Ye danga isliye karwaya ki Is dange Mein Us CO ko bhi Maar denge aur Ye area Tumhari Bhabhi ke thane mein aata hai to apna kam thik se na karne aur CO ki maut ka jimmedar mankar Uska tabadla kar diya jayega.

Lekin hamko thodi hi pata tha ki CO ko goli marte samay ye bich mein aa jayegi aur mera sara plan chaupat kar degi. Agar wo neta meri baat sun leta to ye danga karwane ki naubat hi nahi aati.

Heera- Dekho Bhaai ham to pahle hi aapse bol rahe the ki ye sab karke kuchh hasil hone wala nahi hain. Bhabhi ko utha lete hain. Lekin aap hi meri baat nahi mane aur baithe baithaye ek naya kand karwa diya aapne.

Raghu- Abe Mujeh kahe dosh de raha hai. Tu bhi to tha sale waha par. Tum bhi to nahi bacha paye apni Bhabhi ko goli lagne se.

Heera- Ab Hamko Kya pata tha ki Bhabhi bich mein aa jayegi. Agar mujhe pata hota to main Bhabhi ko waha jane hi na deta.

Raghu- Hamko dekhna hai use. Wo kis haal mein hai. Bahut khoon baha hoga uska. Hamko milne jana hai usase. Bahut yaad aa rahi hai uski Kuchh kar Heera.

Heera- Pagla gaye ho kya bhaai. Abhi to Usase bahar wala koi nahi mil sakta. Abhi na hi halat sahi hain aur na hi Unse milne ka wakt sahi hai. 24 ghante Bhabhi ke paas koi na koi rahta hi hai. Aur bina ID Proof ke unse kisi ko milne nahi diya ja raha hai. Waha jane ka matlab hai apne aapko khatre mein dalna.

Raghu- Mujhe kuchh nahi pata Heera. Mujhe usase milna hai matlab milna hai. Tum kisi tarah usase milne ka juwad karo mera.

Heera- Aap na Bhabhi ke ishq mein ekdam pret aatma ban gaye ho. har samay Bhabhi se chipke rahna chahte ho. Kuchh na kuchh to karna padega apke liye.


Abhi dono baat kar hi rahe the ki Raghu ka phone bajne laga. Raghu ne dekha to Bachha Singh ka phone tha. Raghu ne heera ko chup rahne ko bolkar phone receive kiya aur kaha.


Raghu- Pranam bhaiya.

Bachha- Pranam chhote. Tumne to ekdam dill khush kar dene wala kaam kiya hai chhote. Isiliye to ham tumko itna mante hain. Tum sher ho sher. Hamko shuru se Pata tha ki ye kaam tumhare alava aur koi nahi kar sakta hai. Isliye to hamne tumko is kam ke liye chuna. Tumne khush kar diya mujhe chhote. Jaldi aakar mujhse mil.

Raghu- (man masoskar) Ji bhaaiya Agar aap khush hain to ham bhi khush hain.

Bachha- Ab fir se waha ka kaam shuru karwa do. Us laundiya ke chakkar mein sare dhandhe ki maa bahan ek ho gayi thi. ab raste ka kanta saf ho gaya hai.

Raghu- Jii bhaiya Jaroor.


Itna kahkar Raghu ne phone rakh diya aur kuchh sochne laga.
*****

Idhar hospital mein kafi der lete lete Sarita ko Uub lagne lagti hai to wo Nurse se is bare mein bolti hai. Narse ne use Sahara dekar Pillo ke sahare baitha diya. Uska Sara Staff Sarita se milne ke liye aaya huwa tha. Rawat Sir bhi Sath mein aaye huwe the. Rawat Sir ne Sarita se poocha.


Rawat sir- Hey Brave Lady, Kaisi ho tum. Kaise feel kar rahi ho abhi.

Sarita- Sir main bilkul thik hoon aur Achha feel kar rahi hoon.

Rawat sir- Mujhe pata hai Beti. Tumhari himmat aur hausle kea age ye chhote mote hadse kuchh bhi nahi hain. Ab tum jaldi se thik ho jao aur apna PS Sambhalo.


Rawat Sir ki baat sunkar Sarita muskurane lagi. Janhavi ne kaha.


Janhavi- Madam Aap jaldi se thik ho jaiye. Aap ke bina PS suna suna sa lagta hai. Sabse badi baat to bina aapki dant suna kaam karne ka dil hi nahi karta.

Sarita- Achha ye baat hai. To aisa kiya karo ko PS jate samay mere paas hokar jaya karo. Main yahi tumhe dat diya karungi.


Sarita ki baat sunkar Sabhi hansne lage. Thodi der Sarita se milne ke baad Sabhi ICU se bahar nikal gaye. Nishchal bahar baitha huwa tha. Rawat Sir uske paas gaye aur kaha.


Rawat sir- Kaise ho beta.

Nishchal- Thik hoon Sir.

Rawat sir- Himmat rakho. Sab thik ho jayega.

Nishchal- Ji Sir.


Rawat Sir bhi Hospital se chale gaye. Sab ke jane ke baad nishchal ne Savi se kaha.


Nishchal- Di. Aap sabhi ko ghar le jaiye, Jab se aaye hain thik se so nahi paye hain. Khana bhi nahi khaya hai kisi ne. main yahan hoon abhi.


Nishchal ki baat sunkar Raani jj ne inkar karte huwe kaha.


Rani ji- Nahi beta main thik hoon. Main Sarita ke paas rukti hoon. Tum sab ghar jao.

Nishchal- Nahi Aunty. Aap jakar thoda aaram kar liye. Nahi to aapki bhi tabiyat kharab ho sakti hai. Main yahi par rahunga. Ye Shahar apke liye naya hai. Agar doctor ko kisi cheez ki jaroorat pad gayi to aapko pareshani hogi.

Rani ji- Lekin….

Savi- (baat kat-te huwe) Nishu sahi kah raha hai Aunty ji. Abhi ham logo ko chalna chahiye. Kha pi kar kuchh der aaram karne ke baad phir se aa jayenge ham log.

Nishchal- Di. Aap Raghav ke hath se Sarita ke liye thoda Sada khana bhi bhijwa dijiyega.

Savi- Haan. Main bhijwa doongi.


Savita sabko lekar ghar chali jati hai. Ab Hospital mein Nishchal akele tha. Sabke rahte huwe wo Sarita ke paas nahi gaya tha, lekin ab jab wo akela tha to Sarita se milna chahta tha, isliye wo Sarita ke ward mein chala gaya. Nishchal ne dekha ki Sarita apna hanth uthane ki koshish kar rahi hai. Use dekhkar Nishchal ne poochha.


Nishchal- Kuchh chahiye kya tumhein.


Nischal ki aawaz sunkar Sarita chauk jati hai aur Nishchal se bolti hai.


Sarita- Itni der kahan the aap. Mujhe dekhne kyon nahi aaye. Main aapki raah dekh rahi thi aur aapne aankho par ye kala chashma kyon pahan rakha hai.

Nishchal- Sab to yaha par the na. Isliye main nahi aaya. Aur ye kaha par likha hai ki hospital mein chashma pahan-na allow nahi hai.

Sarita- Nahi Kahin likha nahi hai, lekin main isliye kah rahi thi ki maine aapko iske pahle chashma lagate huwe nahi dekha.

Nishchal- (bahana banate huwe) Wo Conjuctivitis Hui hai mujhe. Isliye chashma lagaya hai.

Sarita- Achha. Itni jaldi kaise ho gaya Conjuctivitis. Abhi tak to nahi tha.

Nishchal- Abhi ye pooch tachh karna jaroori hai kya.

Sarita- Jaroori kyon nahi hai. Aap mujhe bataiye ki aapne chashma kyon lagaya hai.

Nishchal- Mera man. Main chahe jo lagaun tumse kya.

Sarita- Mujhe pata hai. Sisters ko impress karne ki koshish kar rahe hain na aap.


Sarita ki baat sunkar Nishchal ko gussa aa gaya. Wo Sarita se gusse mein bola.


Nishchal- Bahut pata rahta hai tumhe sab. Lekin tumhe shayad ye pata nahi hai ki tum kitne ghanta behosh thi. Kya jaroorat thi tumhe waha par aane ki. Maine tumhe waha par aane ke liye mana kiya tha na. fir tum waha par kyon aayi.

Maine tumhe kitni baar kaha hai ki bina apne Staff ke ya mujhse pooche tum kahi nahi jaogi. Tumhe ek baar mein meri baat samajh mein kyon nahi aati. Agar tumhe kuchh ho jata to mera kya hota.


Nishchal ke andar Abhi tak jitna gussa daba huwa tha wo bahar foot pada. Aur is gusse mein wo bol gaya jise sarita ne pakad liya aur pooch baithi.


Sarita- Aap Itna chilla kyon rahe hain. Isme chillane wali kaun si baat hai. Main apni duty kar rahi thi. aur aapne abhi kya bola ki agar mujhe kuchh ho jata to aapka kya hota. iska kya matlab hai.


Sarita ki baat sunkar Nishchal bhi stabdh rah gaya. Use samajh me nahi aa raha tha ki ab wo Sarita ke is sawal ka kya jawab de. Lekin kuchh na kuchh to jawab dena hi tha. Nishchal ne kaha.


Nishchal- Bas Koi baat pakadna aur Zid karna hi tumhe achhi tarah se aata hai. Tumhe har cheez majak hi lagti hain na. Tumhe goli lagi hai. Agar kuchh ulta siddha ho jata to jawab to mujhe dena padta na seniors ko, Afterall tum mere undar kaam karti ho. meri to naukari chali jati.

Sarita- Very Funny, mujhe kuchh nahi hota Samjhe aap.

Nishchal- Haan bahut badi antaryami ho na tumm. Jo tumhe pata hai ki kuchh nahi hota. (man me) Tumhe kya pata Sarita Agar tumhe kuchh ho jata to main jeete ji mar jata. Pata nahi kyon tumhe lekar mere man mein hamesha insecurity bani rahti hain. Shayad Raghav aur Chhote miya sahi bolte hain. Mere dil mein tumhare liye alag feelings hain. Shayad ye pyaar hi ho.


Nishchal apni socho mein hi gum tha. Sarita use aawaz de rahi thi, lekin use sunai nahi pad raha tha. Sarita ne tez aawaz lagayi to uska dhyan toota aur hadbadate huwe bola.


Nishchal- Han…woo… Kuchh kaha tumne.

Sarita- Main kab se aapko aawaz de rahi hoon, aap pata nahi kis duniya mein khoye huwe hain.

Nishchal- Nahi kuchh nahi. Ab tumari tabiyat kaisi hai.

Sarita- dikhayi nahi deta kya aapko. Jaisi bhi hoon aapke samne hoon.

Nishchal- Tum kisi sawal ka siddha jawab nahi de sakti ho kya. Har baat ko ghuma kar karna tumhari aadat ho gayi hai.

Sarita- Aap sawal hi aisa karte hain.

Nishchal- Thik hai tum aaram karo main bahar ja raha hoon.


Itna kahkar Nishchal bahar ki taraf chala gaya.

Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 
Mahi Maurya's SIGNATURE

55,654

Members

299,724

Threads

2,626,640

Posts
Newest Member
Back
Top