Thriller Rakhtranjit ek Rahasya

Member

0

0%

Status

Offline

Posts

40

Likes

8

Rep

0

Bits

0

4

Years of Service

LEVEL 1
100 XP
Chay le lo chay, chay garam, chay garam" .... "Ek rupya de do sahab, mere bache bhuke hain.. aap ko dua lagegi".... "Vanita, mayapuri, oulook, sarita... magazine le lo magazine".... "Yatrigan kripya dhyan den, train no 12406, Mumbai howrah mail apne nirdharit samay se ek ghanta late hai... aap ke hui aswidha ke liye hume khed hai"
"Ufff kitni bhid hai yahan... ye main kaun si grah par aa pahuncha, ye to chidiyakhana jaisa lag raha hai".....
Nischal, Kalyan junction ke platform no. 4 par khada wahan ki bhir ko dekh ascharya me par gaya. Ajib tarah ke mahol, ajib tarah ke log aur bhasha to bikul samjh se pare.
Tabhi koi train uss plateform par aa kar ruki aur logon ki bhir utri.... ek aurat upar se niche bag lade, chillati hui kahne lagi.... "Ae khambe ki tarah raste me kyon khada hai, side hat na. Dikhta nahi bhari saman uthaye hun"
Nischal uss aurat ke ajib si baat ko samjh to nahi paya bas usse laga ki wo kuch kah rahi hai. Nischal hathon ke ishare me puchha "Kya hai"
Aurat.... Pagal hai kya hatne kah rahi hun to tujhe samjh me nahi aa raha hai kya....
Uski bhasha Nischal ke samjh se pare thi. Aur khada bas isharon me puchhne ki kosis kar raha tha ki wo kahna kya chahti hai.... anth me haar kar wo aurat he uske bagal se nikal gayi.
Wo aurat karib char kadam aage gayi hogi, Nischal ne samne dekha to uss aurat ka ek jhola sayad wahin chhut gaya tha... Nischal ne jhola liya aur teji se mura jhola usse wapas dene ke liye....
"Hey bhagwan ye mukhiya ji ke aadmi mujhe dhundhte yahan na aa jaye. Please bhagwan un kamino ki najar nahi pare mujh par, bacha lo prabhu... bacha lo"
Jabardasti shadi ho rahi thi, aur Jivisha shadi ke din he bhag aayi. Jab se train me baithi thi, usse ek he dar sata raha tha kahin mukhiya ji ke aadmi na dekh le, aur pakar kar uski jabardasti shadi na karwa de...
Dulhan ke libas me, upar se niche tak sazi Jivisha.... "Bhagwan-bhagwan" karti chali ja rahi thi.... tabhi... "Ticket... ticket"... karte huye T.T bhi pahunch gaya...
T.t ko dekh dekh kar Jivisha jor-jor se rone lagi. Halanki uski aankhon me aanshu to nahi the par awaz me rone wali siskiyan jaroor thi.
Kuch he der me bhir jama ho gayi..... "Kya hua bitiya, tum ro kyon rahi ho, tumhare sath wale log kahan gaye"
Bhir me se ek dayalu lady, Jivisha ko satwana deti puchhne lagi..... Jivisha apne naak aur aankh ponchhti kahne lagi..... "Mere sath koi bhi nahi. Pata nahi mere pati kahan chale gaye. Subah jab nind khuli to mere pass nahi the. Kab se unhe dhund rahu hun mil he nahi rahe. Ticket, paisa sab unhi ke pass hai... subah se bhukhi bhi hun, kuch khayi tak nahi".
T.t, wahan ke mahol ko dekh kar he nikal gaya. Usse samjh me aa gaya tha ki aage kuch kaha to public puri lapat paregi.
Train ke achhe bhale log, sab uss bechari akeli asahay ladki ko wahan se utha kar apne stah wali berth par le aaye. Pahle to khub khilaya pilaya, fir Jivisha ke pati ko 100 galiyan dete huye usse kosne lage.....
Train apni puri raftar se apne har paraw par rukti hui chal rahi thi. Jivisha ka safar achha katne laga, lekin tabhi lobby me najar gayi aur dar se Jivisha ka kaleja dhak-dhak karne laga. Mukhiya ji ke aadmi Jivisha ko dhundhte uss compartment me pahunch chuke the.
"Ab kya karun... Bhagwan kaha tha na thodi madad karo... nahi suni na aap ne"... Jivisha chupke se wahan se uthi aur ja kar bathroom me ghus gayi... idhar mukhiya ji ke aadmi usse pure compartment me dhundhte aage badh rahe the.... Tabhi Kalyan junction par train ruki aur Jivisha chhipte-chhipate bahar nikal gayi.....
Jisvisha mud-mud kar aage pichhe dekh rahi thi aur bari teji se aage badh rahi thi. Nischal uss aurat ka bag utha kar usse dene ke liye mura he tha... aur ussi waqt Jivisha mur kar train ko dekh rahi thi aur apne kadam aage badha rahi thi.....
"Dharam"....... Jivisha aur Nischal ki takkar ho gayi... Jivisha larkhara kar girne lagi. Tabhi Nischal ne uske kamar ko apne hathon me tham liya aur usse girne se bachaya....Nischal ne aakhen munda... sara ghatnakarm usse slow motion me dikh raha tha.... uska murna... aur Jivisha ka kandha uske sine se takraya..
Uski gardan piche ki ore mure aur kadan aage tha.... uffff jhatke ke sath gardan ghumate aage muri... khubsurat se chehre par pura baal bikher gaye. Uske aage ka paun larkharaya, aur wo girne lagi...
Nischal ne apni aakhen khol diya... Jivisha ko ab bhi wo apne hathon me thame tha... aur Jivisha ka chehra pura balon se dhaka tha.... Jivisha apne chehre par aaye bikhre baal ko hatayi... "Uffff kya masoom, khubsurat si jhalak thi, aur ye dulhan ka libas iss roop me par aur char chand laga raha tha"
Nischal ke liye ye pal jaise tham sa gaya ho, aur najren bas Jivisha par he tiki rah gayi. Idhar Jivhsa khud ko balance nahi kar payi aur wo larkhara kar girne lagi. Bikhre baal sidhi karti wo jab uthne ki kosis kar rahi thi, tabhi samne Nischal ka wo khubsurat sa chehra tha....
Ek pal ke liye aisa laga ki ye chehra dil me utar raha hai. Par agle he pal jab wapas najren train ki ore gayi to pata chala ki mukhiya ji ke aadmi issi taraf aa rahe hain....
Jivisha, Nischal ke kalai ka sahara le kar sidhi khari hui. Apne aeriyon ko unchi karti thodi upar hui aur Nischal ke gale me hath dal kar hont se hont laga diya. Jisvisha apna chehra chhipane ke liye Nischal ke hont se hont laga, usse chumna shuru kar di.... Nischal ki aankhen fati ki fati rah gayi... usse samjh me he nahi aaya ki ek he pal me ye kya ho gaya....
Jivisha hont se hont lagaye rakhi, aur najren utha kar dekh bhi rahi thi ki wo log unhe cross kiye kiye ya nahi. Aankhen khuli to pata chala ki mukhiya ji ke log bhi wahan khadey ho kar free ka show enjoy kar rahe hain.....
"Fas gayi Jivisha iss filmy trick ke chakkar me. Bhagwan ab aur kitne twist haan, kuch to raham karo. Kab tak main iss anjaan ke sath kiss karti rahun".
Jivisha aakhen kholti aur fir kiss continue karne lagti. Chhota kiss to samajh me bhi aata hai, logon ka dhyan nahi jaye. Lekin ye kiss to lamba, aur lamba he hota chala ja raha tha, aur logon ki puri bhir jama ho kar bas yahi najara dekh rahi thi.... tabhi Jivisha ke kano tak aawaz pahunchi....
"Chalo re inhe romamce kar lene do, lagta hai honeymoon bhi yahin mana kar jayenge. Chalo Jivisha ko ander train me he dhundhte hain"
Train ne horn dena shuru kiya aur mukhiya ji ke log nikal liye. Train jab badh chali to Jivisha, Nischal ke hont chhorti, yakkk-yakk karti apne hont ko rumal se pochh ne lagi....
Khud ko thik kar ke najar jab samne ghumayi... Nischal bari si aakhen kiye usse tukur-tukur dekhe ja raha tha.... Jivisha ke pass bhi koi sabd nahi the ki ab iss bechare ko kya jawab de jo kiss ke baad hakka-bakka khada tha.... Dono nisabd khadey bas ek dusre ko he dekh rahe the....
 
OP
S
Member

0

0%

Status

Offline

Posts

40

Likes

8

Rep

0

Bits

0

4

Years of Service

LEVEL 1
100 XP
Update - 2

Khud ko thik kar ke najar jab samne ghumayi... Nischal bari si aakhen kiye usse tukur-tukur dekhe ja raha tha.... Jivisha ke pass bhi koi sabd nahi the ki ab iss bechare ko kya jawab de jo kiss ke baad hakka-bakka khada tha.... Dono nisabd khadey bas ek dusre ko he dekh rahe the....

Jivisha.... Aise kya dekh rahe ho, jo bhi hua usse bhul jao aur bhago yahan se.

"O' Khudaya, kuch to aisa karo ki inki baat mujhe samjh me aa jaye. Khair baat samjh me aaye ki na aaye, inka andaz pasand aaya, issi ke sath chalta hun, kafi friendly nature hai iska".

Jisvisha.... Abhi tak yahin khare ho aur aise tukur-tukur kya dekh rahe ho. Ek baar kahi to samjh me nahi aa raha kya. Ab main kyon isse samjha rahi hun. Tum maro yahin main chali.

Jivisha, Nischal ko chhor kar platform se bahar jane lagi, aur Nischal bhi uske pichhe-pichhe chal diya. Jivisha pani bottol kharidne ek stall par ruki, tabhi Nischal bhi uske pass aa kar khada ho gaya......

Jivisha ki najar jaise he uss par gayi..... "Jivisha, pagal, jhalli, ullu... kis chipku ko kiss kar di duffer, pichha he nahi chhor raha".... bari si aankhen kiye bebas bhari najron se Jivisha, Nischal ko dekhte, hath jor kar kahne lagi.....

"Unnnnnhhhh huuuunnn hunnnn.... sorry baba wo jaan bachani thi isliye kiss kiya, mera pichha chhor do please. Dekho tum mera pichha chhor do to badle me main tumhe bahut sara rupya dungi"... Itna kah kar Jivisha ne kuch 500-1000 ke note aage badha diye...

"Bechari ladki, kitni musibat me hai, lekin ye bekar si chij mujhe kyon de rahi hai... Lagta hai issi wajah se paresan hai".... Nischal ne khud me jo samiksha karna tha kiya aur Jivisha ke hath se note le kar tukra-tukra kar diya....

Jivisha gusse me usse dekhti.... "Tum ye paise far kar kya dikhana chahte ho, bahut bare raish ho... huhhh. Dekho ab tak pyar se kah rahi thi lekin ab yadi pichha nahi chhora to police se pakrwa dungi"....


Nischal ko ab kya samjh me aaya ki wo kya kah rahi thi, wo bas haan me apna sir hila diya. Haan me usne jaise he sir hilaya, Jivisha halki muskurayi .... "chalo picha chhuta"... Jivisha ko muskurata dekh Nischal bhi muskuraya..... "Lagta hai ye bechari uss kachre ke wajah se paresan thi, ab khush lag rahi hai"

Jivisha muskurati bye ka ishara karte usse chhor kar jane lagi.... Nischal bhi hath hilata uske sath-sath chalne laga.... Jivisha mukurate huye usse fir dekhi aur kahne lagi...... "Darling abhi to kahe the ki tum mera pichha nahi karoge, fir mere sath kyon chal rahe ho... tum apne raste jao main apne raste"

Ek baar fir Nischal ne haan me sir hilaya... Jivisha ko fir laga ki ab ye apne raste jayega aur main apne raste.... wo apne kadam aage badhayi... aur fir se uske sath Nischal bhi chal diya....

Jivisha sir pit'ti wahin jamin par baith gayi aur nakiyate jor se chillayi..... "Mammiiiiiiiii"..... Agle he pal Jivisha khud ko kosne lagi... "wo kaun si manhush ghari jo main bhagi aur ye chipku mil gaya, na main bhagti aur na he ye chipku milta".....


Jivisha in flash back... kuch din pahle....

Buglow ke bahar ki jhalak... Main gate par Swarn Villa likha hua... ander uski pyari mom Priya Rajput apne pati Himanshu Rajput ke sath sofe par baithi hai... uske gode me pariwar ka sab se chhota sadasya yani ki unka pota Chirag Rajpur, apni dadi ke gode me baitha tha aur uski dadi pyar se usse seb khila rahi thi.

Samne se uski bahu Nandita Rajput apne hathon me chay ka tray liye aa rahi. Pahle apne saas sasur ko serve ki fir apne pati Ravi Rajput ki ore chay badha di. Pass me he uska ladla dever Avinash Rajput bhi baitha tha, usse bhi chay deti wo sab ke sath baith gayi....

Chay ki pahli chuski ke sath Papa Himanshu bole.... "Ab tak soyi he hui hai, ye bitte bhar ka bacha jaag gaya aur wo ladki ab tak so rahi hai"

Priya.... Jane do na ji, sone do. Kal der raat tak usne padhai ki hai....

Abhi..... Isliye kahta hun mom thoda bahut khud bhi padh liya karo. Aap ki ladli beti jasusi novel padh rahi thi... koi apne course ki kitab nahi padh rahi thi.

Priya.... Kuch bhi padh to rahi thi na. Wo nahi padhegi, nahi padhegi... shadi kar ke apne sasural jayegi, teri tarah to nahi hai... pura din apne awara doston ke sath ghumta hai aur bhar din mobile me laga rahta hai....

Nadita, hasti hui kahne lagi.... "Maa ji, dever ji ke mobile par to ladkiyon ke bhi phone aate hain"

Priya.... Kya ??? Dekha ji aapne... main shuru se kahti thi ye ladka kuch na krega gawn bhej do isse, wahin apna khet dekhega. Par iss ghar me meri koi sune tab na... dekhna kisi din kisi ladki ko bhaga le aayega to fir mujhe kuch mat kahna....

Abhi apni bhabhi ko ghurte huye dekhne laga.... tabhi bhai Ravi topic ko divert karte kahne lage.... "Bas bhi karo sab, yahan Jivisha ki baat ho rahi thi, aur tum sab Abhi ke pichhe he par gaye"....

Himanshu.... Ek minute tum sab jarra shant ho jao. Mujhe kuch jaruri baat kahni hai...

Sara pariwahe dhyan se Himanshu ki ore dekhne laga...... "Mere dost hai na Punya pratap singh, uska beta abhi-abhi foreign se lauta hai. Dikhne me smart hai, videsh se padh kar lauta hai, aur kuch din baad apne company ko chalayega.... Mujhe to Jivisha ke liye iss se achha rista kahin nahi milega... kya kahte ho tum sab".....

Pura pariwar "Haan-haan" kart charcha karne lage... tabhi chhotu ustad Chirag apni dadi ki gode se utar kar, chupke se apne bua ke kamre me chala aaya...

Jivisha, makhmal me bistar par, takiye ko apne sine se lagaye muskurati so rahi thi. Chirag ne idhar-udhar dekha aur mej par rakha pani ka jug utha kar Jivisha ke upar pani pura urrel diya....

Jivisha harbara kar uthi aur uth kar baith gayi. Dhime se ek aankh kholi aur samne Chirag.... "Chhoku, tujhe to main aaj batati hun"

Jivisha jhapat kar dauri, wo pure kamre me idhar udhar bhagta raha aur Jivisha uske pichhe-pichhe bhag rahi thi... tabhi Jivisha ne usse pakra aur pakar kar bistar par patak di... "Saitan kahin ka aise jagate hain"

Jivisha usse pakar kar gudgudi karne lagi.... "Bol fir karega aisa... bata"

Chirag.... Heee heee heee ... bua chhoro bhi... bua...

Jivisha.... Bua bol kar chidha raha ruk tujhe abhi batati hun ....

Jivisha uske naak par dant katne lagi.....

Chirag.... Di bolo to maa marti hai, bua kaho to aap gussa karti ho... bhagwan main karun to kya karun....

Jivisha.... Nalayak tum mera beta hai ki apni maa ka. Jo main bolungi wahi karna kisi ki mat saun'na....

Chirag... Thik hai di, ab mujhe chhoro warna aap he fasogi....

Jivisha.... Ohhh ! Ye emergency wake up tha kya...

Chirag apna sir hilate.... Haan di, ye emergency wake up tha.... mukhiya ji aap ki shadi tay kar rahe hain....

Jivisha.... Mukhiya ji ki itni himmat... chal tu mere sath... aaj inki family meeting ki to fis-fis...

Jivisha, bahar hall me aayi... tab tak inki family meeting chal rahi thi aur sab log khusiyan mana rahe the... kyonki un sab ki ore se ye rista pakka ho gaya tha.....
Jivisha ko aate dekh, Priya..... "Bare achhe samay par aayi hai, sun beta har ladki ko ek na ek din"...

Ek na ek din bar abhi baat chal he rahi thi ki Jivisha apni ek hath aage dikhati..... "Bas... to yahan mukhiya ji ke dekh rekh me puri panchyat bithayi gayi hai meri shadi ke liye. Lekin ek baat aap sab bhi sun lo, aur mukhiya ji khas kar aap... main abhi shadi karungi"

Himanshu... Par kyon beta, itna achha rista hai.. hum sab ko pasand hai, fir tu kyon inkaar kar rahi hai.. dekh hum sab tera bhala he chahte hain....

Abhi.... Ye na karne wali hai shadi kyonki ye to pahle se he apna bf pasand kar chuki hai... main shuru se kahta tha ki iska aur Videh ka koi chakkar chal raha tab kaun tha jo mujhe naroow minded kahta tha....

Jivisha apni bhawen sikori... muh chamkayi..... "Bhaiya main aap ka khun kar dungi. Papa dekha na kaise awara ladkon ke sath rah-rah kar inki soch bhi gandi ho gayi hai. Chhi, aisi baten... aaj ke baad iss gandi soch wale se mera rista khatam. Main tumhe ab rakhi bhi nahi bandhungi"...

Abhi... Kaun sa free me bandhti hai. Last time scooty li thi bhul gayi. Main he tha jo sab se lar kar tujhe scooty diya tha. Abhi tu mujhe he suna rahi hai. Papa aap ne jaisa socha hai waisa he hoga...

Jivisha.... Nahi, main abhi shadi nahi karungi... yadi jabardasti kiye to main aap sab par police case kar dungi....

Himanshu.... Sab chup... beta yadi Abhi jhoot kah raha hai, aur tu ne kisi ko pahle se pasand nahi kiya to baat kya hai inkaar ki....

Jivisha ke chehre par faili muskaan .... wo tahalti hui apni baat kahne lagi....

"Nahi mera koi bf nahi aur koi hoga bhi nahi... mera to prince charm aayega... Jab wo aayega to me ek ajib si khusbu hogi, mahol surmayi tarange bikherenge.... uska roop itna lubhawna hoga ki dil me utar jaye. Aur jab uss ko mujhe se pyar hoga to nile asmon me wo I Love You likh dega... Dekhna wo pure himmat ke sath, aap sab ki aankhon me aankhen dal kar, mujhe aap sab se magne aayega... Bas ussi ke intzar me hun, aur main ussi se shadi karungi".....

Idhar Jivisha apne sapney me khoyi apni dil ki baat pure pariwar ko bata rahi thi, aur udhar uski maa ka B.P high hota ja raha tha......
 
OP
S
Member

0

0%

Status

Offline

Posts

40

Likes

8

Rep

0

Bits

0

4

Years of Service

LEVEL 1
100 XP
Update - 3


Idhar Jivisha apne sapney me khoyi apni dil ki baat pure pariwar ko bata rahi thi, aur udhar uski maa ka B.P high hota ja raha tha......

Jivisha jaise he apni baat kah kar aage mudi...... "chatakkkkk.... chatakkkkk" do thappad Jivisha ke gal par....

Pura ghar shocked.... Sab ke muh khule ke khule rah gaye..... butt ban kar jaise sab apni jagah khadey ho....

Himanshu.... Priya, bachon ko koi aise marta hai kya...

Priya.... Himmat to dekho iss ladki ki, sab ke samne kaise besharmon ki tarah kah rahi hai. Jarra bhi sharm na aayi isse. Suniye ji ye aap sab ke lad pyar ka natija hai. Ek he baat hogi yadi ye shadi na hui to main zahar kha lungi....

Himanshu.... Ye kya pagalpan hai Priya....

Jivisha action me aati.... "Bas mukhiya ji bas.... ab no argument... aap sab yahi chahte hain na ki main aap sab ki marji se shadi kar lun, to thik hai bajwaeye dhol, kar dijiye mere hath pile... meri khushi na mili to na sahi, aap sab ki khushiyon ke liye ji lungi"....

Aisa laga jaise background me abhi se he sahnaeyan baj gayi ho. Ghar wale sab khush. Jivisha sab ka chehra dekhti sochne lagi.....

"Kamal hai ye to, maine senty dialogue mare to kisi ne bhi ye na kaha, achha thik hai teri pasand se he shadi karenge. Meri baat ko ulta meri rajamandi samjh kar aise khush ho rahe jaise ladka abhi pass hota to abhi he shadi kara ke vida kar dete. Pagal, ullu, jhalli, barboli kahin ki... aur maar le dialogue"....

Ussi din ladkey aur ladki, dono ne ek dusre ko dekh kar pasand bhi kar liya. Agle din magni tay aur 10 din baad ki tarikh bhi pakki ho gayi.......

Raat ke waqt....

Chirag apni bua ke kamre me aaya aur uske gode me apna sir rakh kar so gaya.... Jivisha uske galon ke chumti puchhne lagi..... "Kya hua mere bache ko, aaj itna gumsum kyon hai"

Chirag, Jivisha ke gal par hath ferte kahne laga..... "Bahut gandi hai dadi, aap ko kitni jor se mara"

Jivisha.... Achha, tab tune kuch kaha kyon nahi, bas chup-chap dekhta raha...

Chirag.... Dadi thi na isliye chhor diya, koi aur hota to chir far deta...

Jivisha.... Basss, bahut badmas ho gaya hai. Yahi sikhaya hai kya maine tujhe...

Chirag.... Haan to, aap ko koi kuch karega to kya main chup rahunga...

Jivisha.... Maar khayega betu, kahi na bass... waise ye bata tu abhi yahan kya kar raha hai... sone nahi gaya.... fir koi presani hai kya...

Chirag..... Di aap kaise sab samjh jati ho....

Jivisha.... Tu to mera bacha hai, tujhe na samjhungi to kise samjhungi...

Chirag..... Di main mathmatics me fail ho gaya. Aaj to aap ke shadi ke baat ke karan bach gaya, lekin kal mamam mujhe mar degi... bacha lo please...

Jivisha.... Tu fail kaise ho gaya.... Fail hone wala to tu nahi tha. Kya karan hai tumhare fail hone ki.

Chirag.... Di tum bhi reason he puchogi, ya mujhe save karogi.

Jivisha, aakhen dikhate.... "Jaldi muh kholo"

Chirag.... Di wo meri gf fail hoti to uski maa bahut marti, aur uske pass to meri tarah pyari di bhi nahi jo usse save kar sake, isliye maine paper exchange kar diye. Bahut cute hai wo di, bilkul aap ki tarah.

Jivisha uss ki baat sun kar hasne lagi...... "Bitte bhar ka ho kar abhi se tere pass gf bhi hai"

Idhar Himanshu, subah hui ghatna par apni patni ko sunate huye kahna laga.... "Priya, Jivisha ko mari kyon".

Priya.... Aap ne nahi dekha kaise wo badh-chadh kar bol rahi thi...

Himanshu.... Bachi hai wo... apne armaan humare pass nahi kahegi to kya padosiyon ke pass kahegi. Aur kya burai hai yadi wo apne pasand ke ladkey se shadi karegi...Priya.... Aap ko to koi bhi baat galat he nahi lagti. Chadha lo usse sir par...

Humanshu.... Had hai, shadi ka matlab beti khush rahe jiske bhi sath rahe. Humara kaam to itna dekhna hai ki ladka wo chune ya hum, bas chunaw galat nahi ho... tabhi to bachi khush rahegi. Kya maa-baap se ladka pasand karne me galti nahi hoti...

Priya.... Haan thik hai samjh gayi, mujhe hath nahi uthana chahiye tha. Lekin mujhe bura laga to hath uth gaya. Gussa kyon nahi aayega aap batao. Aap ko to pata he hai na, Jivisha ke bare me, uski kundli, uski indriyan gyan aur uski alp aayu. Aap bhawnao me bah kar pahle bhi 5 shadi cancel kar chuke ho. Par iss baar nahi Himanshu... Jivisha ki slamati ke liye hume ye shadi kisi tarah karwani he hogi, fir chahe wo mane ya na mane.

Himanshu.... Maan to gayi hai wo, fir kyon itni paresan ho rahi ho....

Priya... Haan, maan gayi hai.... Natunki kar rahi hai nautanki, Jaroor wo apne dimag me kuch khichdi paka rahi hogi...

Humanshu.... Hahaha... to chalo uske dimag ki khichdi kha kar aate hain....

Himanshu aur Priya, dono ke kadam badh chale the Jivisha ke kamre ki ore. Dono jab uske gate par pahunche, tabhi Chirag aur Jivisha ki baten bhi shuru hui thi. Dada, dadi apne pote ki baat par hase bina rah nahi paye.....

Priya, hasti hui ander aayi.... "Ohh hoo, to Bua-Bhatije me ye khichdi pak rahi hai. Kyon re main gandi hun, ruk abhi teri maa ko main teri kartut batati hun".

Chirag jhat se apne dadi ke dono paun pakar kar...... "Nai, nai, nai... dadi please maa ko mat bolna. Janti to ho kitni khukhar hai wo. Main to bas didi ko khush karne ke liye aap ko aisa bol diya. Sachi.... baki aap to meri pyari dadi ho....

Himanshu.... Ha, ha, ha.... Chal ja ab so ja.

Chirag.... Kyon mukhiya ji iss baar Di se private panchayat karne aa gaye....

Jivisha, Chirag ko aankhen dikhati.... "Badmassss.... aisa bolte hain... chal bhag"

Priya.... Beta I am sorry. Gusse me mera hath uth gaya....

Jivisha, apne maa ke gale me dono hath dal kar usse hilati hui kahne lagi.... "Koi na maa, do aur maar lo, mujhe bilkul bura nahi laga. Par.. maaaaaa... ye shadi... please mujhe nahi karni na... fir bhi jabardasti sab kar diye. Kya main kisi ke sath bhagi ja rahi thi jo itni jaldi sab kuch tay kar diya...

Himanshu, Apni beti ke sir par hath ferte..... "Aaj na kal, shadi to karni he thi na. Waise ab bhi kuch na hua hai, tumhe agar ab bhi lagta hai ki hum jabardasti kar rahe to main Punya ko bol kar cancel kar deta hun ye rista. Par beta jarra soch... jaise ladkey ki tu talash kar rahi thi wo gun tere hone wale pati me bhi to ho sakta hai na.... sirf iss baat ke liye shadi se inkaar kar dena ki arrange marriage hai, jayaj to nahi"....

Jivisha...... Thoda bura lag raha tha ki aap ne meri feeling nahi suni, bas sab tay kar diya, lekin ab khush hun. Aap ki baat samjh me aa gaya papa, mera prince charm mera hone wala he hai... aur yadi waisa nahi hua to belan se maar-maar ke usse apne khawon ka sahzada bana dungi....

Shadi ke din.....

Sahnaeyan bajna shuru ho gayi thi. Din ke 2 baj kar 22 min ka subh muhrrat nikla tha... Pura ghar saza tha, har koi khush tha. Papa ki aankhen na jane aaj subah se he kyon nam thi... Chhote bhaiya Avinash jo hamesa khinchatani karte rahta tha, na jane usse aaj kya ho gaya tha... bas apni bahan se pyar he jata raha tha.

Maa shadi ki sari rashmon ko pura karne me lagi thi... Bare bhaiya aur bhabhi sare guest ka swagat aur unke dekhbhal me lage the. Ek achhe host ki tarah welcome karne me lage huye the... Mandap saja... barat aayi, Dulhe-Dulhan ki pahli jhalak sab ne jaymala stage par dekhi... Sab ke muh se ek he baat nikal rahi thi... "Kya jodi hai, made for each other"

Jaymala chal rahi thi, Jivisha ko sab upar uthaye the, uska hone wala dulha Shresh usse war-mala dalne ki kosis kar raha tha. Hansi-mazak ka mahol tha, tabhi Shresh ke mobile ki ghanti baji, aur uss ne pick kar ke usse baad me call karne ko kaha.

Kisi ko iss harkat se koi fark nahi para kyonki chhanik mamla tha, Shresh ne ek line msg diya aur uss mahol me ram gaya tha. Lekin ye baat Jivisha ne notice kar li....

Jaymale ke baad wo apne kamre me akeli baithi thi, idhar shadi ke mandap par tab tak rashmen nibhayi ja rahi thi.....

"Kya karun, kisi se kahungi ki ye ladka thik nahi to sab emotional drama karne lagenge. Fir itne sare ristedar, izzat-bejjati.... Bhag Jivisha bhag, itne jhamelon se achha hai ki abhi nikal le. Sab thoda naraj he honge na, koi na apne he ghar ke log hain mana lungi"

Idhar 2 baje pandit ji ne awaz laga di.... "dulhan ko le kar aaeye, vivah ka subh muhrat nikla ja raha hai"

Teen-char ladkiyan gayi Jivisha ke kamre tak, aur sabhi daurti hui wapas aa kar chillane lagi..... "Dulhan apne kamre me nahi hai, wo bhag gayi"......
 

55,664

Members

299,880

Threads

2,627,516

Posts
Newest Member
Back
Top