Xdreams - Desi Adult Community

There are many great features that are not available to guests at Xdreams, Login for limitless access, participate in daily challenges and earn money with us.

Mixed Bag Ron~The Dragon Holder(Sgp2009)

Member

0

0%

Status

Offline

Posts

347

Likes

137

Rep

0

Bits

0

5

Years of Service

LEVEL 1
85 XP
Samundar me ek ke baad ek uthati hui ,tej aur vishal lahro ko chirta hua ek jahaj Atlantic ocean ke pashchimi disha me aage badh raha tha..us ship ke ek chhor pe khada us ship pe kaam karne wala ek shaks apni ankho ki range se door dekhane ki koshish kar raha tha.wo samne uth rahe bhayankar bawandar ko dekhkar sak paka gaya..

"Captain,hum shayad devils traingle ke pass pahunch gaye hain.."
kuch der wo wahi khada raha,jab us taraf koyi dusara nahi aaya toh usne ek baar phhir wahi lagayi...
"ye kaisa tharki captain diya hain,jab dekho tab ship me maujood ladkiyo ke sath maje karta rahta hain..aur hume yaha khada karke rakhwali karwata hain..sala tharki.."
"kya hua be apna gala kyun phad raha hain.."
samne se aate hue lambi height ,aur majboot sharir wale shaks ne apna shirt ko thik karte hue kaha..
"Captain Aditya,mujhe lagta hain hum shayad devils traingle ke pass pahunch gaye hain.."
"pahunch gaye,itni jaldi..chal samne se hat.."
Captain Aditya ne apne shirt ki jeb se map nikala aur samne faile vishal samundar ki taraf dekhne laga..
"ye map bhi phat gaya hain,sahi situation ka maloom nahi chal raha.."
"ab kya kare captain..bolo toh jahaj ko rok du.."
"abe ship ko kyun rokega..apni ye gatayan jaisi ankho se dekhta rah,koyi khatra dikhe toh phhir se awaj dena..main aata hoon kaam adhura chhut gaya tha.."
Aditya waha se wapas ship ke andar bane ek room me chala gaya..gate khula hua tha,gate ko dhakka dekar wo room me aa gaya..samne bed pe ek ladki apni taange khole hue padi thi,uska pani tapak kar bistar par lagatar gir raha tha..
"aa gaye mere captain..aaja, ab aur intezar nahi hota.. "
"sali ye apna jharna band kar,ye chadar tera baap aakar dhoyega.."
Aditya ne apni ungali uski choot me ghusa di..
aaaahhhhhhhh.......dheere captain dard hota hain..
"le pahle lund choos kar khada kar ,us sale langoor ne bulakar ise baitha diya..."
biatar pe leti hui wo ladki khusi se Aditya ka lund apne hath me bhara aur jaise hi wo apne mu me lene wali thi..ship buri tarah hilne laga..
"ab kya hua,tu yahi padi padi apna jharna bahate rah main dekhkar aata hoon..."
ship ke bahar khada wo shaks ab bhi samne ki taraf dekh raha tha..
"abki baar kya hua be.."
"captain ,lagta hain bawandar pass aa raha hain,"
"bawandar ,iska matlab samundar ki gand me khujali ho rahi hain....abe ye kya hain.."
"kaha captain.."
"samne dekh ..ye asman me itne bade panchi kab se ghumne lage.."
pure jahaj pe andhera chhane laga,..samundar ki bhayankar lahre lagatar ship se takra rahi thi..ship me jhatke lagne se ship me maujood sabhi log bahar ki taraf bhagne lage...aur samne faile andhere ko dekhne lage...
"Aditya-abe koyi batayega ki,asman me kya ud raha hain..
"captain ,hato .."jahaj me kaam karne wale ne Aditya ko pichhe ki taraf khinch liya..aur uske baad jo hua waha khade har ek shaks ke rongate khade ho gaye..
"captain ye toh dragon hain.."
"achchha toh ye dragon hain,isiliye inki gand se aag phek raha hain..bandooke nikalo,aur bhoon dalo ,aaj raat ke khane ka intezam ho gaya..."
sabhi shant khade zinda jal rahe do logo ko dekh rahe the..
"Aditya-abe,inhe nahi khana hain,jao aur bhoon dalo in dragons ko 
Sabhi jahaj ke andar se apni bandooke nikal kar samne faile bhayankar andhere me goli chalane lage..samundar ke andar se ek tej awaj pure mahol me phail gayi..sabke hath unki bandooke chhodkar unke kaan pe aa gayi..
"Aditya-ab samundar ke andar kaun besura hain..
"captain....samne dekho..."
samne samundar ka kayi guna upar utha gaya tha..aur wo awaj ek baar phhir gunji..aur samundar ke uthe hue vishal roop ne us jahaj ko ek jhatke me apne andar le liya..........
CALCUTTA,india....
calcutta ke famous hotels me shumar Oberoi grand ke samne ek ke baad ek kayi mahangi car ki line lag rahe thi..jiska karan tha oberoi brand me hone wali emergency meeting ,jisme sahar ke sabhi rahis aa aaye hue the..
"sabhi aa gaye..yaha"meeting room me baithi ek 23 saal ki navyuvati apne seat se uth kar boli...sabhi ne haan me jawab diya..us ladki ka 

Jaldi-jaldi ship me baitho ,kuch hi der me hum sabhi yaha se nikalne wale hain,..neeche khada Captain Nair sabhi ko ship me jane ke liye bol raha tha..ship me Ron aur Riya pahle se hi the..dono Captain Nair ko dekh rahe the..

"Riya-dekha ,Ron ek navy ko lene ka fayada..is baar hum jaroor kamyab honge..

"Ron-waise har baar tum yahi bolti ho..

"Riya-lekin is baar confirm karke bol rahi hoon..

"main hoon isliye na.."

"nahi main hoon isliye.."

"Riya ,tumne abhi tak mujhe ye nahi bataya ki,akhir us devils traingle me rakha kya hain.."

"vaqt aane me pata chal jayega..waise tum waha kabhi gaye ho.."

"hmm..haan karib 200 saal pahle main wahi rahta tha.."

"kya,200 saal pahle,majak mat karo.."

""khair chhodo ,tumne mujhe Captain kyun nahi banaya..."

"wo bhi tumhe vaqt aane pe maloom chal jayega.."

Riya aur Ron baat kar hi rahe the ki waha Captain Nair aata hain..

"Nair-mam ,ab ship ko chalne ka adesh dijiye ,.sab ready hain..

"Nair tumne map liya..aur ye kuch goro ko kyun apne sath liya hain.."

"mam,inhe bas sharab do,kaam ki ye chinta nahi karte..aur rahi map ki baat toh wo ship ke main chamber me fit hain..hume har jagah ki location milati rajegi..aap befikra rahiye.."

"Ron-tumhara map Atlantic ko paar karne ke baad kaam nahi karega..toh thik yahi hoga Riya darling ki Captain mujhe bana do..

"Nair-mam,ye namoona kaun hain..

Ron apne jeb se sharab ki botal mu se lagate hue.."Namoona ,lekin mera nam toh The Ron hain..famous shikari.."

"famous shikari,kiska maine toh tumhara nam kabhi suna.."

"ab tumne name nahi suna ,toh doob maro .."

"abey oye yadi is ship me safar karna hain toh jo main kahta hoon wo karna hoga..warna abhi tujhe utar dunga.."

"achchha toh ye baat hain,lekin ek baat tu bhi yaad rakh le yadi us jagah se zinda wapas aana hain toh mujhe toh is ship me rakhna padega..."Ron waha se chala gaya,Ron ko jate hue Captain Nair aur Riya dono dekh rahe the..

"Riya-relax,Captain,Ron kya kya bol ke nikal jata hain,use koyi nahi samajhta ..chalo aage ki planning karte hain..

"Captain Nair-mam,main aapko apne assistant se milwata hoon..Seth idhar aao,..

ship ke dusari taraf se seth bhagta hua Riya aur Captain Nair ke pass aaya..

"Seth-Captain aapne mujhe bulaya..

"Nair-haan,inse milo ye hain miss Riya..aur mam yahi hain mera khas assistant aur mera dost Seth..

"Riya-ab chal kar aage ki planning kar le..

teeno ship ke andar bane ek chamber me aa gaye jaha unke samundari raste ka map laga hua tha..

"Captain Nair-mam...ye place hain Atlantic ocean ka ,yaha tak pahunchane me hume koyi jyada pareshani nahi hogi..lekin uske baad yaha se west direction ke Samundar ke baare me andaja lagana mushkil hain..waha pahunchkar hi main kuch bata paunga..

"Riya-its ok..ab main thoda aram kar loon..raat ka kya intejam kiya hain..

Captain Nair ,Riya is sawal par Seth ki taraf dekhane laga..

"seth-mam,maine saari lights check kar li hain ,sabhi thik hain ..aur jaisa ki captain ne bataya Atlantic ocean ke pahle humare liye koyi khatra nahi..bas ek iceland padega ..lekin wo sab bahut door ki baat hain aaj raat ship samundar ke uchhal bhare pani ka samna karna hoga ,jo koyi badi baat nahi..thats all..

"Riya-well done seth..now i am going to sleep ,gd night..

Riya us chamber roon se bahar nikal gayi..Captain Nair ne bhi Seth ko gd night bola ..

Ron ship ke party wale mahol me abhi bhi baith ke sharab pi raha tha...usne hath me ek botal uthayi aur ship ke bahar aa gaya..

"maloom nahi aaj kal ke launde apne aap ko kya samajhte hain..koyi baat nahi Ron tujhe jis mauke ka intejar tha wo ab aa chuka hain..chal ab fatafat Naksha khol aur dekh daal.."

Ron ship ke khule area me aa chuka tha,apne jeb se usne ek Naksha nikala ,jo Kapde ka bana hua tha..Ron ne sharab ki botal ek side me rakh di..aur wahi baithkar Naksha dekhane laga..

"yaha se daye..bahut achchhe jahaj ko daye hi moda hain..,lekin inko ye nahi maloom hain ki Atlantic ke pahale do iceland milenge..inhe keval ek ka pata hoga..hun..wo dusara wala iceland kabhi kabhar hi samundar se bahar nikalta hain..aur ye samay uske bahar rahne ka hain..mera kaam ho jayega..."

Captain Nair raat ko sone se pahle ek baar ship ko puri tarah check kar rahe the..ship ka round lagate hue wo Ron ke pass ja pahunche..

"Captain Nair- tu yaha kya kar raha hain,aur ye tere hath me kya hain...

Ron hadbada kar utha aur Nakshe ko jeb me rakh liya..

"mere hath me daru ki botal hain,jo main nahi dunga.."

"main is botal ki baat nahi kar raha hoon ,tere jeb me kya hain.."

"mere jeb me,hmm honge kuch samundari machhaliya(fish),jo sad chuki hongi ,mujhe bahut pasand hain.."

Captain Nair ne pass me pada lohe ka ek rod utha liya aur rod ko Ron ki taraf dikhate hue bola..

"jyada hoshiyari nahi,warna pura ka pura tere pet me ghused doonga.."

"nikal le bachhe ,warna maar khayega..wo bhi buri tarah.."

"abe tujh jaiso kitno ko maine thik kiya hain..aaj tu nahi bachega.."

"aisa hain toh phhir aa jao Captain Nair.."

Ron ne apne kamar se talwar nikal li..dono ek dusare ki taraf badhne lage..Captain ne rod ko Ron ke pair ki taraf teji se ghumaya ,lekin Ron upar kudkar Captain ke war ko khali kar diya..

"Ron-koshish achchhi thi,.chal aaja..

Ron itna kahkar waha se bhagne laga..Captain ne bhi uske pichhe daud laga di,."rook sale jungali bhagta kaha hain abhi toh ahjt badi badi baate kar raha tha.."lekin Ron ship ke charo taraf bhagta raha ..Ron ne apni speed dheere kar di ,aur ship ke kinaro pe lage rods pe pair rakhkar chadh gaya..Captain ki speed tej thi ,wo sambhal nahi paya ,Ron ne apne jeb me pada hua ek kapda nikala aur us kapde se Captain ka chehra dhak kar uske chehre ko kash ke kapde se bandh diya..

"ab bol,kya nam hain tera Captain Nair..ab jaan gaya main kaun hoon.."

Captain Nair wo kapda hatane ki koahish karne laga..use kuch nahi dikh raha tha..isi me Nair ship ke side me pahunch gaya aur dekhte hi dekhte ship se neeche Samundar me ja gira....Ron wahi khade use dekhta raha..
"bhag le beta Ron ,yadi kisi ko maloom chal gaya toh khair nahi..chal chup chap do teen botal chadha ke so ja...............

Ye zinda hain..samundar ke beech me bane ek iceland me rahne walo ne samundar ki andhi me bahkar aaye hue shaks ko dekhkar ek dusare se puchhane lage..

"lagta hain mar gaya..iske pahnave se toh ye kisi jahaj ka Captain lagta hain.."us iceland me rahnewalo me se ek ne bola...tabhi neeche pada wo shaks jise sab mara hua samajh rahe the..wo khanste hue utha..

"are ye toh zinda hain.."waha maujood sabhi log aapas me khusar-phusar karne lage..

"hii..i am Captain Aditya.."Aditya ne apna hath un logo ki taraf badhate hue kaha..lekin wo log pichhe hat gaye..

"lagta hain ye jungali log hain,english nahi jante,..koyi baat nahi hindi me baat karke dekhata hoon.."Aditya ne man me socha..aur ek baar phhir apna hath un jungaliyo ki taraf kiya..is baar wo aur bhi pichhe hat gaye...

"Aditya-are tum sab ki phhat kyun rahi hain..main bhi tumhari tarah ek insan hoon...

Aditya ki baat wo log nahi samajh paye aur hua-hua karte hue ek dusare se baat karne lage..

"Aditya-salo tumko hindi bhi samajh nahi aati.. Jawab me Aditya ko keval hua-hua sunne ko mila..

"kaha phans gaya yaar,ek wo Chak se aag phenkne wale janwaro ne pahle se hi maar li hain,upar se ye hua-hua.."Aditya wahi apna sar pakad kar baith gaya..aur un jungaliyo ko dekhane laga..sabhi ke kaan aur nak me chhed tha..aur sabhi Aditya ki taraf dekh rahe the..Aditya ne un jungaliyo ko apni taraf dekhata pakar apna sar niche kar liya.."ye jungali kahi mujhe kachha khane ka vichar toh nahi kar rahe.."Aditya ke khayalo me dakhal dete hue kisi ne use awaj di ...

"hindustani ho kya.."

Aditya ko apne kano pe yakin nahi hua ki koyi usse hindi me baat kar raha hain..Aditya ne upar dekha ,laghbhag usi ke umra ka ek naujwan uski taraf dekh raha tha..

"Aditya-kya..tumne hindi me baat ki..

"haan,main hindi samajh sakta hoon,.."

"good yar..ab mujhe yaha se bahar nikalne ka rasta batao.."

"thoda der aram karo..phhir is bare me baat karenge.."

"are chal na yar ,mujhe jaldi se yaha se bahar nikalna hain.."

"thik hain ruko main intezam karta hoon..."

kuch der ke baad dono iceland ke kinare par the..

"Aditya-ab ye khule samundar ko tair ke paar karna padega ,ya phhir koyi intezam kiya hain..

"pichhe dekho,humare log ek chhoti si nav lekar aa rahe hain.."itna kahkar wo naujwan apne sathiyo ke pass chala gaya..aur ek patwar ki taraf ki taraf Aditya ka ishara kiya..Aditya ne us patvar ko utha liya..dono us nav me baith gaye..aur patvar ke sahare aage badhne lage..

"Aditya-ek baat batao,hum hain kaha..

"hume kabhi jaroorat hi nahi padi ye janne ki.."

"matlab tum mujhe is samundar me gol duniya me ghuma rahe ho..khair chhodo ye batao tumhara nam kya hain.."

"raaj..."

"kya,maine socha ki tera nam kisi jungali ki tarah hoga..lekin aisa nahi hain..kya main vajah jaan sakta hoon.."

"main chhota tha..tab humare ghar se mujhe aur meri ma ko kuch ajib se logo ne jabajasti utha liya tha..aur phhir jab meri ankh khuli toh maine khud ko ek samundar ke kinare paya..lekin usi samay samundar ne mujhe aur meri ma ko nigal liya..main samundar me bahta hua yaha aa gaya..in logo ne hi mujhe bachaya...aur mujhe pala.."

"ab samjha tujhe hindi kaise aati hain..matlab tu in jungaliyo me se ek nahi hain..."

"ab kya is samundar me kud jao tab mera yakin karoge.....

============================

Ron,tumne Captain Nair ko kahi dekha..Riya ,Captain Nair ko na pakar Ron se puchhane lagi..

"mujhe kya maloom..hoga kahi "

"Ron,maine pura ship dhoond liya Captain ka koyi pata nahi chala.."

"ye toh bahut bura hua..lekin Captain Nair kaha gaya..ye tum dhoondo mujhe kuch kaam karne hain.."

Ron ,waha se door aa gaya ,aur apne jeb se Naksha nikal kar dekhane laga.."hmm..toh is registan me wo Naksha dafan hain..lekin waha pahuncha kaise jaye,,bina us Nakshe ke main samundar ka rasta nahi dhoond paunga.."Ron ko usi samay seth ne toka..

"Ron, tumne Captain sir ko kahi dekha.."

"ab tu kaun hain be..aur ye Sab us Captain ko kyun dhoond rahe hain.."

"bina Captain ke is ship ko aage kaun le jayega.."

"agar aisi baat hain toh mujhe Captain bana do..yyakin mano zinda wapas launga.."

"tu aur Captain..he..he..shakal dekhi hain Captain banne ki.."

"abey shakal se toh tu bhi Captain nahi dikhta ..ab fut le yaha se kahi mera dimak na khisak jaye.."

"abhi mujhe kaam hain isliye ,ja raha hoon..lekin agali baar tujhe jaroor jawab dunga,."

"mujhe intezar rahega tere jawab ka..."

sabhi pure ko dekh chuke the lekin Captain Nair ka koyi pata nahi chala..Riya pareshan thi..kyuki Captain ke bina ship ko jyada der nahi chhoda ja sakta tha..

"kya soch rahi ho janeman.."

"Ron,tum yaha mere room me kya kar rahe ho..."

"kuch nahi bas bahar man nahi lag raha tha..socha kyun na apni janeman se mil ke aau.."

"Ron,Captain Nair ka kuch pata nahi.."

"tum log uski fikar kyun kar rahe ho..dar ke bhag gaya hoga..abhi bhi vaqt hain mujhe Captain bana do.."

"Ron,kahi tumne toh kuch nahi kiya.."

"main toh bahut sarif hoon,main bhala kya kar sakta hoon.."Ron ne riya ko ankh marte hue kaha..

"tum mujhpe chance mat maro.."

"darling teri jaisi gulab ki kali maine aaj tak nahi dekhi..lekin mujhe ek baat karni hain..."

"kya.."

"ye tumhara jahaj sahi disha me ja raha hain kya..."

"isme koyi shaq nahi Ron..sab thik chal raha hain.."

Ron waha se jane laga..lekin palatkar riya se bola..

"tum asman me sair karne wale janwaro ke bare me socha hain..."

"kabhi nahi kyunki main in faltu baato pe yakin nahi karti.."

"alwida janeman..meri botal mera intezar kar rahi hogi..baad me milte hain..."

ship me Ron ek hath me botal liye ghoom raha tha,use ek kone me kuch log khade hue dikhayi diye ,wo bhi usi taraf chal pada..

"abey tum log ko koyi kaam dhandha nahi hain kya jahaj ko dayi taraf modo.."

Riya bhi wahi khadi thi..usne waha khade ek shaks ko ishara karke main chamber room me bheja..

"Ron-ye safhed kapde pahne hue ye kyun khade ho be..suna nahi is jahaj ke Captain ne kya bola..

"Riya-Ron,tumhe Captain kisne bana diya..

"Ron-tumne janeman...

"Riya-lekin jaha tak mujhe yaad hain ,maine abhi-abhi Sethji ko is ship ka naya Captain banaya hain..aur jaha tak mujhe ye bhi yaad hain ki tumhara nam Seth nahi Ron hain...sorry The Ron..mahan samundari shikari...

"tum meri bejjati kar rahi ho,ya ijjat kar rahi ho.."

"kabhi apne hath is botal ko alag karke samajhne ki koshish karo toh sab samajh me aayega.."

"main chalta hoon janeman..ek ladki mera intezar kar rahi hain.."

Ron ke jane ke baad waha wo shaks aaya ,jise Riya ne main chamber room me bheja tha..
"Captain Seth ,wo sahi bol raha tha,map ke anusar ship ko dayi taraf modna hain..yahi humari direction hain............
 

54,680

Members

287,072

Threads

2,549,054

Posts
Newest Member
Back
Top