Fantasy Meri Manorma.......... A Vintage Tale.....1913-1938

OP
W
Member

0

0%

Status

Offline

Posts

2,580

Likes

3,502

Rep

0

Bits

0

2

Years of Service

LEVEL 6
210 XP


Update....No:7

***************





rudra nikal pada apne naye safar parr.. nayi nayi dunyayen khojne aur apni maa ke maksad ko pura karne k liye.. jis disha me lakhan wala shehar tha.. rudra uske ulat chal pada tha.. wo rasta bhayanakar junglon ke beech me se guzarta tha..


bade bade aur asman se baaten karte pahaad the rudra ke raaste me.... is raaste par chalte hue rudra ko bahadur ki zarurat to thi.. parr bahadur uske sath pahadon par nahi de sakta tha.. bhayankar junglon me nahi de sakta tha..


rudra ko akele hi jaana tha.. un bhayankar junglon aur asman se baten karte pahadon ke paar jana tha............. rudra speed se chal pada... use koi tension nahi thi..
koi gham abb nahi raha tha.. uski maa bhi abb theek thi.. jiski usay sabse zayada fikr thi.. usi ki pairon ko chhoo kar wo apne aur apni ma ke maksad ko pura karne nikal pada tha...




**********************************************************************************


manorma ke mere sarr par so jaane k baad mujhe ek ghode ki hinhinahat sunaai di. to maine us taraf dekhne laga. wo ghoda bhi mujhe dekh mere paas dauda dauda aaya...

ghoda mujhe pyar karne laga aur main ghode ko.. ghode ko dekh mujhe laga k main ise pahele se hi jaanta hon.. uspar pehle bhi sawari kar chuka hon..

manorma to khun peene k baad mast neend me thi. jiska khun usne piya tha, wo bechara angrez sookh chuka tha.. uske badan ka sara khun manorma ke pet me utar chuka tha..

ghode par sawar hokar mai shahana andaz me aage bhadne laga.. is baar mera huliya badla hua tha........

mai manorma ko sarr pr sulaye ghode ko edd lagata hua jungle ko paar karne laga.. abb khatarnaak junglee ilaka guzar chuka tha. ghoda puri raftar se daudta hua jungle se bahar nikal gaya..................

wo ek pahadi thi.. jispar main ghode samet maujud tha..... meri nazar saamne thi... door bohut door mujhe chhote chhote makaan nazar aa rahe the.. koi shehar tha ya koi badi rayasat.. mai nahi jaanta tha..

main to bass us area ko dekhne me mehz tha.. yahan se sabb kitna khubsurat dikh raha tha........ ye abadi wala ilaka do sides me pahadon me ghira hua tha..


jahan main maujud tha.... mere saamne abadi thi.... to usi abadi ko cross karte hue 10 mile door firse pahadon ka ek silsila shuru ho jaata tha.. mere right side us abadi se 8-10 mile door firse bhayankar junglon ka ilaka tha...... meri left side me us abadi ke shuru hone se pehle ek maidan tha... aur door tak maidan hi maidan tha..
aage jaane wo maidan kahan jaa raha tha...... wahan mujhe kahi kahi chhote chhote fasle par makaan dikh rahe the....

main ilake ki khubsurti me kho gaya..... fir ek lambi saans leta hua pahadi se neeche utarne laga... main bohut skun se utar raha tha.. chaldi to mujhe thi nahi.. kaun sa mujhe kisi se milna tha.. kaun sa mera koi intezar kar raha tha..

kuch der me main pahadi se utra..... peeche dekha to pahadi se neeche kai raste jungle me jaa rahe the.. abhi bhi kahi kabhi chhoti chhoti pahadiyan thee.. lekin ghode ke sath mujhe aage badhne me koi pareshani nahi hui.....


pahadiyon ka silsila bhi khatam hua aur ek maidan aa gaya.... normal speed se main ghode ko daudane laga.. mitti udne lagi to ek saafa mere paas tha usse apne chehre ko dhak liya...... manorma to sabb jaanti thi.. usne sabb intezam kar dia tha.. khud to wo maze se so rahi thi.. meri liye bhi sabb pareshani usne khatam kar di thi..


ghoda par sawar mai abadi me ja pohncha..... sab mujhe aur mere ghode ko dekh rahe the.. ghode ko dekh kar hi main samjh gaya tha k is ghode jaisa ghoda aas paas ke kisi ilake me nahi hoga..... ghoda tha hi is khubsurat, itna sehat mand.. ghode ke muscle bohut khubsurat the.. uski chaal

uski chaal ka to koi jawab hi nahi tha.. sabb mujhe aur mere ghode ko bade shauk se dekhne lage...... aur main shaane beniyazi se chalta hua aage badhne laga.. log mujhe aur mere ghode ko mud mud kar dekh rahe the......



abb maine apne chehre se saafa bhi hata dia tha.. ghoda aur ghod sawar dono hi dekhne walun ke shuad ko badha rahe the.. agar main kahin rukta to zarur mujhse sabb kuch na kuch poochte.... lekin main nahi ruka aur chalta hua aage badhne laga.... main sath me us ilake ko bhi bade ghaur se dekh raha tha... bazaar the . dukanen khuli hui thee. aur dukano par lod maujud the.... wo sabb kharidari chhod kar mujhe aur mere ghode ko dekhne lage...



ek bhare pure bazaar me ek dhabe wale ke paas main ruk gaya.. ghode se utar ka ghode ko dhabe se kuch feet par chhod dia.. mujhe lag raha tha k ghoda kahi nahi jaayega.. use bandhne ki koi zarurat nahi hai... ghode ko chhod main dhabe ke andar dakhil ho gaya.....

andar kaafi ronaq lagi hui thi.. lakdee ki kai table andar rakhi hui thee mujhe ek khali table dikhi to mai uski or badh gaya, wahan pohncha aur ek kursi par baith gaya... foran hi ek ladka aaya aur bade adab se mujhse poochhne laga..


ladka:- jagirdar saab kya laaon main aapke liye..

wo mujhe jagirdar samjha tha, main dil hi dil me hassne laga, manorma ne mujhe kya bana dia tha mujh jaise junglee ko.. maine khud par kaabu paaya aur usse poochne laga k kya kuch hai .. to batane laga to maine order de dia...... kapde check karte hue mujhe apni jeben bhi bhari hui mehsus ho gai thi. isi liye main yahan parr aaya tha..

ladka order le kar chala gaya to wahi kahi ek table par ek admi bhi baitha hua tha, 35 ki age ka hoga.. wo uth kar mere paas aa gaya.....

admi:- mera naam george hai.. usne apna naam mujhe bataya to main use dekhne laga, wo dekhne me angrez to lag hi nahi raha tha... haan parr kuch kuch wo angrezo se milta julta tha.. wo meri ankhon me dekh jaan gaya k main kya soch raha hon....

george:- haha mujhe dekh lagta nahi hai k main angrez hon.. main adha angrez hon adha hindu hon... mera naam bhi kuch aur tha, par fir jab mujhe pata chala k main ek ghulam maa ka beta hon........ main najayaz hon, mera baap saala kaun angrez tha ye to meri maa ko bhi nahi pata.. wo ghulam thi naa to wo batati k us ek mahine me use bhogne walun me se kis ka beej uske pet me utar gaya tha.. bass tabhi se maine apna naam george rakh lia......... uski awaz me koi dukh nahi tha, wo khud ko halat ke saanche dhaal chuka tha...... mujhe kuch dukh to hua lekin fir main bhi uske jaisa ho gaya ....


ek normal insan.. george jitne to to itne the k pura hindustan chhan maara jaaye to ginti hi khatam na ho.. hindustan me to ye ek aam baat thi...

kai ghulam the log yahan par...... rajaon ke mehak bhare pade the.. nawab zaade the to wo bhi ayyash the, wo bhi apne mehlon me kaneezo ko bhare hue the.. koi bada zameendar tha ya koi bada jagirdar sabke sabb ghulamo ke malik the.... ek george ki maa bhi un ghulam me se ek nikli to koi badi baat nahi thi..... george ek khush mizaj insan tha.. mai use hi dekh raha tha mujhe laga k wo kai dino se bhuka hai

arjun:- mera naam arjun hai......khana khaaoge mere sath..... khane ki baat mere mohn se sunke uske mohn me paani aa gaya aur wo apne pet par hath ferne laga..... fir khud par kaabu paaate hue bola

george:- haan babu ji kai dino se kuch nahi khaya, main aaya bhi isi maksad ke liye tha.. mere ko aap dilwale dikhe to mai aapki table par aa gaya..

arjun:- george dosti karoge mujhse.. mujhe bhi yahan koi nahi jaanta.. mai yahan naya hon.... mujhe bhi ek dost mil jaayega.. mujhe george kaafi interesting banda lag raha tha.....

george to ekdumm se uchhal hi pada..

george;- maa kasam apun ka dil khush ho gaya.. apun ki itni aukat hi kaha thi k koi humen apna dost banaye..... parr apun ek baat aur bhi bol deta hon, apun dosti k liye jaan bhi de sakta hai...... aaj kal ke dosto k tarha nahi.. sach me hi apun aap ke liye jaan bhi de dega...... ek maa thi wo angrezo se chud chud ke hi mar gai.. abb apun is puri dunya me akela hai.. george bohut khus ho gaya tha..


arjun:- to fir mujhe aap keh kar matt bulana abb se ..doston me yee aap aap wala chakkar nahi hota.. dost maana hai to doston ki tarha se baat karo.. george aur bhi khush hogaya.......


george:- mere ko bhi ye aap aap kehna achha nahi lagta..

arjun:- to fir apne hisse ka bhi order de do.. jo bhi mann kare khaao.. pet bhar kar khaao aur paison ki chinta matt karna .. paisa aaj hai kal nahi .. aaj hai to mauj kar leni chahiye.. pata nahi fir mile na mile.. koi hasrat adhuri nahi rehni chahiye... george to aur bhi khush ho gaya tha.. wo wahi se waiter ko awaz lagane laga..... uski awaz sunkar sabb use dekhne lage

george:- kya dekh rahe ho tum sabb ke sabb... me mera dost hai... samjhe aaj se main bhi ek raees ban kar jioga. paison se nahi dosti... tum sab mujhe bhuka nanga kehte the naa.. ab dehkna jitne ka mai khaaonga.. tum sabb saal utne ka khaa kar dikhaao.. waiter paas aaya to george ne sabb kehngi mehngi item batani shuru kar di.. ladka mujhe dekhne laga to george uspar bhadak utha..

george:- mere dost ko kaahe ko dekhta hai.. ja aur order le ke aa. (baaki tables par baithe huon se) aur tum sabb hi apni apni plate par dhayan do....

main george ko dekhne laga, wo pal bhar hi badal gaya tha.uska aitmad uski awaz sabb badal gaya tha....... baat dosti ki hui thi to wo dost bann kar jhijhak ko side me rakhte hue wo sabb kar raha tha, jo ek jigri dost karta hai....

order aaya to george khane par toot pada........ main bhi use dekhta hua khane laga..
george ka pet hi nahi bhar raha tha.. jo kuch tha wo sabb apne pet me utaar raha tha.
mian kha kar free ho gaya,parr george laga raha..... waiter ko bula kar maine use george ke liye bol dia k jo bhi ye maange isi aur la ke do.....

george ka pet bhar chuka tha, parr uska mann nahi bhar raha tha.. jaane kitne dino se wo pet bhar nahi khaa saka tha. maine bhi use nahi roka.. tangi hoti to koi hal bhi nikal hi aata.. abhi use sirf khane dena chahta tha main.........

george thak gaya khaate khaate.. sab use dekh rahe the.. dekh to wo mujhe bhi rahe the.. parr george ko zayada..... puri table hi khaali platon se bhari hui thi..



geroge ne break laga di....

george:- abbb bass... saala pet bhar gaya parr mann nahi bhara..... mann kar raha hai aur bhi khaaon, najaane kitne saalon se aise pet bhar kar nahi khaya.... parr abb aur ki gunjayesh nahi hai..... george apne phoole hue pet par hath ferte hue bola..

arjun:- agar kuch peene ka mann hai to......

george ki ankhen chamak uthi.... haan apun ko sharab ki bhi adat hai.. parr saala wo bhi bohut dino se nahi piya..

arjun:- yahan se milti hai.

george:- nahi yahan se aage ek dukan hai, wahan se milti hai.....

arjun:- chalo to fir yahan se chalte han, aur tumahre liye daru ka bhi intezam karte han.... aaj jo mann kare karo..... aaj koi limit nahi hai..... parr kal se tumhe sabb limit me reh ke karna hoga.... khud ko insan samjhna hoga.. mere sath ho to khud ko bhuka nanga show matt karna .. aaj se tum sach much k ek raees ho samjhe..... george khushi se uchhal pada

george:- dost ne kaha hai to fir dost ki to manni hi padegi naa..

maine ladke ko bulaya.. usse bil poocha to paise maine george ko de diye.

arjun:- george jitne paise tip me dena chaho de do..... raees ho gaye ho tum aaj se.. george me khushi khushi mujhse paise liye aur bill ke sath 3 rupe tip bhi ladke ko de di....... tip dekh kar ladke ki ankhen hi phel gai.... 3 rupe to shayad wo pure mahine me bhi na kama paata ho.....

george:- main samjhta hai teri maa aur behen bhi hai.. to rakh le ye sabb rakh. tu akela hai na kamane wala.. jaa aaj tu bhi meri tarha se aish kar.. apni maa aur behen k liye koi dhang ke kapde kharid lega....... saala apu jaanta hai.. maa ke dard ko, maa ke dukh ko....... le jaa .. le jaa .. apun ko bhi apni maa ki yaad aane lagi hai. george ka ek aur roop main dekh raha tha..

ladke ke baare me sunkar mujhe bhi usse hamdardi ho gai thi.....

arjun:-(ladke se ) kya naam hai tumhara

ladka:- ji nomi naam hai mera jagirdar saab.


arjun:- bil de kar mere sath bahar chalo... wo kuch heran to hua parr kuch bola nahi.

wo bil de kar to main george aur nomi ke sath dhabe se bahar nikal pada..

bahar pohnche to george bhi kuch heran tha, par wo bhi nahi bola..... wo mujhe smajhne ki koshish kar raha tha..

arjun:- chalo george nomi ke ghar chalte han.. george aur nomi heran reh gaye meri baat sunkar ...

nomi:- parr saab meri naukri

george:- chal oye nomi jaldi se andar bata kar aa, k tu ghar jaa raha hai.. aur koi baat matt pooch...... nomi george ko dekh kar andar ja ghusa aur kuch hi der me bahar bhi aa gaya...... fir hum teeno nomi ke ghar ki taraf chal pade.......

kuch der me hum nomi ke ghar ke bahar the.... darwaza nahi nomi ke ghar ka.. ek mota sa kapda latka hua tha.. deewaren bhi khasta thee.. aur bahar se hi mujhe andar ka sabb dikh raha tha.. andar 2 toore phoote kamre the.. dono kamre ke darwaze bhi nahi the.... wahan bhi mota kapda lata hua tha.. nomi ki maa aur jawan behen sehan me hi baithe hue the..


nomi andar ja ghusa aur fir foran hi wo bahar bhi aa gaya.. andar ghode k liye bhi jaga thi to ghode ko bhi andar le gaye.. andar do manjiyan padi hui thee.. unpar mere aane ki waja se 2 sufed chadren daal di gai thee.. nomi aur uski maa, behen ne mera welcome kia.... main aage badh kar nomi ki maa ke pairon me jhuk gaya.. nomi ki maa heran to hui, lekin fir usne mere sarr parr rakh kar mujhe dua di..

main khada hua aur nomi ki behen ke sarr par hath rakh dia.... chand ka tukda thi wo.
george bhi ghar me aaya to uski ankhen zameen par thi..... agar uthi bhi thee.. to unme dono k liye izzat bohut thi.

kuch der me hum baith gaye.. nomi ki maa hamare saamne wali manji par baith gai.. nomi aur uski behen bhi apni maa ke sath baith gaye..

intro george me mera aur unka karwa dia tha...


arjun:- aap meri bhi maa han.. main aaj hi is ilake me aaya to sabb se pehle ek dhabe par chala gaya.. wahi george mila fir nomi se mulaqat ho gai.. george se aap dono ke baare me suna to mujhe laga k mujhe bhi apni maa aur behen se mil lena chahiye..
aap dono han na meri maa aur behen

n maa:- kyun nahi beta.. ek maa to sabb ki maa hi hoti hai.. aur fir tum jaisa beta bhi to har maa ko apna beta hi lagega.. kisi anjaan ko koi maa foran hi apna beta nahi kehti.. parr ek sahram wala.. izzat karne wala agar saamne aa jaaye to use pura samman bhi dena padta hai beta.. tumhari ankhon me mujhe dekh k laga k tum sach me hi mujhe apni maa maan rahe ho... itne bade admi ho kar bhi tum meri aur mere bachon ki izzat badha rahe ho. fir bhala kaise main tumhari maa nahi ho sakti... main nomi ki maa ko dekhne laga.. wo bhi bol padi

n sis:- haan bhai, ek ladki kabhi kisi anjaan ke saamne aise thodi na aa jati hai. aap sach me hi mere bhai banne layak han.. mujhe khushi hogi aapko apna bhai maante hue.. aur fir aap george bhai ke sath aaye han.. george bhai bhi bohut achhe han..

nomi to bass apni maa aur behen ko dekh raha tha..

george:-(hassta hua) aisa hi hai mera yaar.. har kisi ka dil do minton me hi jeet leta hai... jitna bada admi hai, usse bhi badhkar dil hai iska...

n maa:- dekh rahi george bhai. iski roshan paishani mujhe sabb bata rahi hai. khuda ise hamesha har maidan se kamyab kare.. bohut khush naseeb hogi wo maa jiska ye beta hai..


n maa ke mohn se apni maa baare sunke mujhe bada ajeeb laga.. main to khud ko bhula hua tha.. nahi jaanta tha meri maa kaun hai kahan.... badi mushkil se maine khud par kaabu paaya...

arjun:- maa ji to fir aapka beta aapke liye kuch karna chahta hai.. reema behen aapka bhai aapke liye bhi kuch karna chahta hai....

dono mujhe herat se dekhne lagi.... george aur nomi bhi mujhe dekhne lage, lekin bola koi bhi nahi...


arjun:- maa ji main chahta hon k nomi bhi isi ilake me ek dhaba khol le.. aur is kaam me main nomi ki madad krunga.. aur is toote hue ghar me bhi mai aapko nahi dekhna chahta.. aap koi achha sa makan dekh kar karaye par reh sakte han.. main is sabb ka intezam kar dunga..



sab meri baat par shocked ho gaye..

n maa;- nahi arjun beta aisa nahi ho sakta.. hum kaise paison se tumhari madad le sakte han..

george bol pada:- salma behen mera dsot bohut achha hai.. wo dil se ye sabb kar raha hai.. aur aap ise dil par koi bojh bhi matt samjhen.. jaise aaj mera yaar aapki madad kar raha hai.. aise hi kisi din aap bhi kisi ki madad kar dena... samjh lena k mere yaar ka hisab chukta ho gaya..

main george ko dekhne laga.. saale ka pet kya bhara tha, uska damag bhi khub chalne laga tha.... kuch der ki behs ke baad wo sabb maan gaye.... nomi to hawaon me udne laga tha.. uska khud ka dhaba hoga.. usne kabhi socha bhi nahi tha.. abb se wo bhi apni maa aur behen ka achhe se khayal rakh sakega..

agel do ghante me un sabb ke liye ek achha sa makan bhi dhund lia gaya tha. pehle wala makan bhi rented tha. wo unka apna nahi tha.. abb bhi ek rented hi house tha.. parr abb unka apna ek business tha.. ghar se bana kar wo dhabe par bhi bech sakte the. aur nomi ko kisi hadd tak experience bhi tha..


ek jaga bhi dhabe k liye dekh li gai thi...... use bhi nomi k dhabe k liye le lia gaya tha....


sab kaamon se free hokar main aur george sab se milkar nikal pade..... teeno mujhse bade pyar se mile.. reema to mujhse gale bhi mili thi.. wo mujhe apna saga bhai maanne lagi thi.. mera dil bhi khush ho gaya tha.. dil me apnu se milne ki talab bhi badh gai thi...




raaste me

arjun:- george abb mujhe kahan le ke jaa rahe ho..

george:-sabse pehle to apun daaru lega..... nomi ke chakkar me to daru bhi let ho gai.. wo hassta hua bola.. maine bhi ek dhapp uske kandhe par jad di...

arjun:- tu bhula nahi hai daru ko..

george: daru kabhi kisi ko khud ko bhulne nahi deti yaar.. wo khud se khud ki yaad dilati rehti hai..

hum hasste hue aage badhe.. fir george k liye daru lekar firse aage badhne lage.. george ke paas ek makaan tha. makan uska apna nahi tha. wo to bass abadi se hatt kar tha.... aur saalon se khali pada hua tha.. to geroge ne us ghar ko apna ghar maante hue uspar kabza jama liya tha.. toota pootha ghar tha..

hum wahi jaa pohnche..


wahi ek kamre me ek meli si chadar bichhi hui thi.. hum wahi baith gaye... george betaabi se daru ki botal kholne laga.. dhakkan khol kar bolta ko hi mohn laga kar ghata ghatt peene laga......

adhi pi kar usne botal se mohn hataya aur mujhe dekhne laga..


heroge:- abb jaa ke kaleje me thand padi hai yaar...... warna to khana khane me bhi utna maza mujhe nahi aaya tha. jitna abb daru pi kar aa raha hai....

main hassne laga. wo bhi hassta hua thodi thodi karke daru peene laga.. 70% pi kar wo tunnnn ho gaya...... fir to saale ne tamasha karna shuru kar dia..... behekte hue bolne laga

george:- arjun tu yahan naya aaya hai naa...... aur tu ek baat nahi jaanta k yahan ke raja ki ek rajkumari ki sundarta ka koi mol nahi hai.. saala apun boodha ho gaya, fir bhi wo apun ke khayalon me aati rehti ha.. george toote phoote lafzon me bola

main george ki baat sunkar chonk gaya... rajkumari .. sunder rajkumari.. yahan ke raja ke beti..

arjun:- bohut sunder ha kya.?

george:- sunder...... itni sunder hai k maharaja ki beti ke baad uska number aata hai....... saale ne ek nahi do do ke baare me bata dia tha... najaane mujhe kya hua tha..... ladkiyon ke baare me jaan kar mere andar meetha meetha sa dard hone lagta tha.. pehle to main aisa nahi tha.. bansati ne mujhe kahi ka nahi chhoda tha.. maonrma ki khubsurti ko dekh kar mai aur bhi sunderta ke chakkaron me padd gaya tha..
najaane meri kismat me kya kuch likha hua hai..

arjun:- naam kya hai dono ka.

george:- yahan ki rajkumari ka naam indra hai, aur maharaja ki jo beti ahi uska naam kunwal hai..

main dono naam sunkar mann hi mann me dohrane laga..... fir manorma ko apne sarr par dekhne laga..... wo aarhi tirchi mere sarr par so rahi thi.... saali ne mujhe kahan laa phenka tha.. jaane abb kya kya rang meri zindagi me aane wale the..



**********************************************************************************





rudra junglon ki khaak chhanta hua pahadon ka seena cheerta hua aage badhta chala ja raha tha.. anginat junglee darinde rudra ko mile the.. parr koi bhi darinda rudra ka kuch nahi bigad saka tha.. rudra ki koshish hoti thi k wo unhe maare bina hi wahan se guzar jaaye..... agar koi darinda use zayada pareshan karta to fir rudra use cher phaad kar aage badh jata.. bhayankar daldalon ke paas se guzarta hua rudra aage badhne laga........

safar ke paandhven din rudra ek pahad ki choti par tha.. aur wahan se aage wo dekh raha tha. aage jungle hi jungle aur pahad hi pahad use dikh rahe the... din ke 10 baje ka time tha...

rudra ne apni himmat ko check kiya to wo use khud me bohut dikhi..... rudra fir pahad ki choti se neeche utarne laga....... pahad se utra to aage firse bhayankar aur ghana jungle tha........

rudra aage badhne laga...... lekin is baar ke jungle rudra ko aur bhi zayada khatarnaak laga...... rudra jungle ki khatarnaaki parse dhayan hataye aage badhne laga..... jaise jaise rudra aage badh raha tha.. andhera badhta ja raha tha.. di hote hue bhi jungle ka ye ilaka andher me dooba hua tha.. rudra ne upar asman ki or dekha to use oonche darakht upar se apas me mile hue dikhe... bass itni roshni ho rahi thi k rudra khud ko aur aas paas ke ilake ko dekh sakta tha.

rudra dhayan rakhte hue aag badhne laga.. ye ilaka daldalon se bhara hua bhi tha.. to rudra dhayan se daldalon ke beech me se guzar raha tha...... 1 ghante baad daldali ilaka khatam hue to rudra ko safar me kuch asaani ho gai....

rudra kuch speed se aage badhne laga.. agle adhe ghante me ghane darakht kuch kamm hue aur roshni kuch badh gai... rudra ne aur bhi speed se chalna shuru kar dia...

1 ghante baad firse ghane darakht aaye to andhera firse badhne laga.. rudra ko is ilake me ajeeb se smell bhi mehsus ho rahi thi.. rudra sab dhayan me dekhte hue aage badhne laga....... kuch aage rudra ko ek kankaal dikha.... rudra us insani dhanche ko dekh kar heran reh gaya... yahan kisi insaan ke pohnch paane ka use gumaan bhi nahi tha....

kankaal parse dhayan hata kar rudra aage badhne laga.... fir to jaise rudra ki ankhen hi badi ho gai theee.. rudra ko aage kai aur kankaal bhi dikhe.. rudra sab ko dekhta hua speed se aage badhne laga.. rudra samjh gaya k yahan zarur kuch aisa hai.. jo uske liye khatarnaak ho sakta hai. jungle me use koi tenion nahi thi.. parr ye koi aam jungle nahi tha... ghana darakhton se dhaka hua daldali jungle tha..... aas paas kai insaano ke dhaanche pade hue the..... iska matlab sirf ek hi tha k yahan par kuch aisa hai .. jiss se lad paane ki himmat kisi aam insan me nahi hai. aur rudra special hote hue bhi ek aam insan hi tha......

jungle ke is bhayankar hisse me kaunsi bala thi..rudra nahi jaanta tha... rudra ki saaari senses jaag uthi aur rudra ek ek cheez par dhayan dete hue aage badhne laga..

rudra ko kankaalon ke paas guns bhi dikhi thee.. guns ke rehte hue bhi sabb maare gaye the.. ye jaan kar rudra ki speed aur bhi badhne lagi.. wo dara hua nahi tha.. aur na hi use koi ghabrahat ho rahi thi.......


lekin khud ki jaan bachana bhi to uspar farz tha.. use khud ko bachate hue apni maa ke maksad ko pura karna tha..


agle ek ghante me rudra ne koi 200 se upar kankaal dekh liye the.. rudra ko ghane darakhto par kisi cheez ka ehsaas ho raha tha.. par wo jaan nahi paaya tha. k darakhto par hai kyaaaaa..

kankaalon ka ilaka khatam hua .. parr ghane darakhto ka ilaka khatam nahi hua... rudra aur aage badha to usay neeche ek jaga kuch gidho jaise bade bade parinde sote hue dikhe. abb rudra samjh gaya k yahan par itne log kyun mare pade han..

wo sabb so rahe the.. matlab din ke samay wo sote the, aur suraj ki roshni me wo nahi jaa sakte the.. raat hote hi sabb aas paas kahar dhaane ke liye uth khade honge..

rudra sab dekh aur jaan kar aur bhi speed se lekin awaz kiye bina aae badhne laga..

us area se nikalte nikalte rudra ko shaam ho gai thi.. us area me rudra bhaag nahi sakta tha.. wahan andhera tha aur daldali zameen thi....

dighon jaise dikhne wale parinde bhi abb uthne lage the.. aur rudra abhi bhi usi ilake me tha........


fir shaam ho gai . andhera bhi chhaa gaaya.. aur rudra bhi us bhayankar ghane jungle se bahar aa gaya.. rudra ek pahaad par tha...

rudra abhi bhi safe nahi tha.. wo khud ko kisi surat us khunkhaar parindon se nahi bacha sakta tha.. 20-30 insano se lad sakta tha wo, 2-3 junglee jaanwaron se bhi wo lad sakta tha. parr in adam khor parindon se wo khud ko kaise bachata......pahad ki choti par rudra ko ek makaan bana hua dikha.. abb chand ki roshni phel chuki thi.. to rudra ke liye us lakdee ke bane hue makaan ko dekh lena mushkil nahi raha tha.. lekin wahan tak pohnch paana rudra k liye bohut hi mushkil hone wala tha..

rudra ko us ilake me un parindon ki tadaad sabse zayada dikhi.... unme se kuch uth bhi rahe the.. rudra agar speed se daudta to bhi use 5 mint lagte wahan tak pohnchne me... aur rudra ke paas time bhi nahi tha.. kisi bhi samay sabb parinde uth sakte the.. aur fir rudra k liye khud ko bacha paana mumkin nahi rehta...

rudra ne khud ko puri tarha se active kiya. ek baar piche mud kar dekha.... fir saamne maujud senkdon gidhon ko dekha .. talvar ko hath me dsure hath me ek khanjar me maujud tha..... abb rudra khud ko bachane k liye gidho par toot padne wala tha.. agar sab uth gaye aur rudra ko dkeh gaye to rudra ke liye bohut mushkil hone wali thi..... ek talvar aur ek khanjar se wo kitno ko maar sakta tha...

lekin use ye sabb to karna hi tha. aur time bhi uske paas bilkul bhi nahi tha...
ek baar rudra ne upar dekha aur fir puri raftar se pahaad ki choti ki or bhaagne laga..................................... rudra ke bhaagne ki awaz se gidhon jaise dikhne wale parinde "jinki neend abb puri ho chuki thi" wo jaagne lage.....

rudra ko bhaagte dekh, ek aur insaan ke khun ki mehak ko paa kar wo cheekhne lage.. fir to jaise aas paas ka pura jungle hi un parindon ki bhayankar cheekhon se goonj utha.......


 
OP
W
Member

0

0%

Status

Offline

Posts

2,580

Likes

3,502

Rep

0

Bits

0

2

Years of Service

LEVEL 6
210 XP


Update....No:8

***************






RUDRA puri jaan laga kar daud raha tha.. cuhsti aur furti usme darindon se kamm nahi thi.. uske peeche daud kar koi use pakad nahi sakta tha.. lekin baat yahan adam khoor parindon ki thi..

rudra ke bhagne ki awaz se wo jaag rahe the.. aur rudra ko dekh bhayankar cheekh bhi rahe the.. kuch gidh numa parine rudra ke peeche bhi lag gaye the.. aur rudra


rudra ji jaan se bhaag raha tha.. rudra ko ek benefit hua tha k parindon ke puri tarha se uske peche lagne se pehle hi wo adha faasla tay kar chuka tha. abb bhi wo puri speed se chatnon par koodta hua aage badh raha tha. chadhayi wala kaam ek insan k liye asaan nahi tha.. par rudra kioi aam insan nahi tha. wo khud ek sher tha

babbar sher

adha fasla hua to parinde rudra tak pohnchne wale ho gaye aur rudra parindo ko dhayan me rakhte hue, ek hath me talvar aru dusre me khanjar liye hue upar chadta chala ja raha tha..


kuch hi der me 40 ke kareeb parinde rudra ke paaas pohnch gaye.. rudra ne bhi unhe dekh liya tha.. jaise hi parinde rudra ke paas aaye to rudra ne seedhe hath me maujud talvar se un parindo ko kaatna shuru kar dia..

parindon ko kaatte hue bhi rudra ruka nahi tha.. wo jaanta tha k ye gidh itne hi nahi rahenge, kuch hi der me sabb uske paas pohnch jaayenge.. aur fir wo kaise bhi karke khud ko bacha nahi paayega..

kuch gidh kat kar gir pade.. ek baat hui k kuch parinde rudra ke hathon marne wale parinde par toot pade.. rudra ne jab ye dekha to use rasta mil gaya.. fir to rudra ne ji jaan se un parindon ko apni talvar se udhedna shuru kar dia....


kai aur parinde bhi wahi pohnch chuke the. kuch rudra ki or badhne lage to kai apne hi sathiyon ki kati hui lashon par jhapat pade...

rudra fir un gidhon ko apni talvar aur khanjar se kaat'ta hua upar pohnch hi gaya... jaise hi wo upar pohcnha to jungle se bhayanak awazen bhi aana shuru ho gai thi.. jungle me so rahe gidh bhi jaag kar pahaad ki or badh rahe the... aur wo senkdon ki tadaad me the..

rudra jaldi se pahad ki choti par bane hue makan me ja ghusa.. andar ghuste hi rudra ko bohut gandi smell mehsus hone lagi.. rudra ne jungle life guzari thi to kisi hadd tak wo andhere me bhi dekh sakta tha.. aur fir wo bohut der se andhere me bhi tha..
rudra ne jaan liya k andar sadi hui lashen padi han..

lakdee ka bana hua makaan tha aur do kamre the uske.. kamron ke darwaze band the. isse pehle k parinde rudra ko apni lapet me lete rudra ne ek laat maari aur darwaze toot kar andar ja gira... andar se bohut hi gandi smell aa rahi thi.. par rudra k liye khud ko parindo se bachana zayada zaruri tha...... gandi badbu parse dhayan hatate hue rudra andar ja ghusa.. rudra ke peeche hi parinde bhi andar ghuste chale gaye....

rudra us kamre se hokar dusre kamre me ghusa aur darwaza band kar dia.. abb rudra safe ho chuka tha..

bahar bhayankar parindon ki awazen goonj rahi thee .. sabb makaan ke paas pohnch chuke the.. aur makaan me ghusne ka rasta dhund rahe the.. andar pehle kamre me maujud lashon par wo parinde toot pade the.. unki bhayankar awazon se rudra ke kaan ke parde phate jaa rahe the...


rudra kamre ke andar dekhne laga.. is kamre me bhi 1 lash rudra ko dikhi... usme se bhi smell aa rahi thi.. lekin kisi hadd tak kamm thi.. us kamre me khidki bhi thi wo khidki pahad ke dusri taraf khulti thi.... rudra pehle to sabb dekhta raha.. fir use mombatti aur matchbox dikhaai diye.. rudra ne foran hi matchbox uthaya aur ek teeli nikal kar use aag dikha di..

aag hote hi parinde ne bhi aur zayada shor machana shuru kar dia.. sabb milkar udte hue darwaze se takrane lage....... parr darwaza unki power se badhkar mazbut tha.. rudra ne pehle darwaze ko achhe se check kia. fir udhar se mutma'in ho kar mombatti ko aag laga di.......

roshni badhi to parindo ki cheekho pukaar bhi badh gai... rudra parindo ko chhod kamre ke andar ka dekhne laga.. andar ek choti si table thi, aur uspar ek notebook padi hui thi... rudra use utha kar dekhne laga

rudra anpadh nahi raha tha.. radhika BA pass thi, wo rudra ko padhna likhna bhi sikha chuki thi... savita bhi padhi likhi thi aur padhaai me ek genius student bhi thi. usne bhi rudra ki bohut madad ki thi..

rudra wo notebook utha kar dekhne laga.. jaise jaise rudra wo notebook padh raha tha.. rudra heran hota jaa raha tha..


notebook par likha sab padh kar rudra ne notebook ko table par rakha aur usi kamre me maujud ek lakdee ki khatiya ke neeche rakhe hue sandooq ko khench kar bahar nikal lia........ fir use khol kar rudra ne dekha to uski ankhen phati ki phati reh gai..

sandooq k khulte hi kamre me roshni phel gai thi.. sandooq heeron se bhara hua tha.. kai rangon ke heere us sandooq me the... wo sab heere itni maaliyat ke the k kai riyasten khadi ki ja sakti thi....

rudra heeron ko aur kamre me padi hui lash ko dekhne laga..... fir rudra hassne laga.

rudra pagalon ki tarah se hassne laga to parinde firse shor machane lage the.. lekin rudra ko unki koi parwa nahi thi...

rudra lash se mukhatib hua

rudra:- bewaquf insan.... heere hasil karke bhi tum ise istemal me nahi laa sake.. aaj yahann bhuke payase mare pade ho.. kis kaam ke han ye sabb heere jo kisi insan se uski zindagi hi chhen len.... khud me dumm paida kar ke tum kisi bhi shehar me rehte hue in heeron se bhi badh kar kama sakte the...... lekin ek hi baar me ameer banne k chakkar me khud bhi mare aur apni phool si beti ko bhi marwa dia... lanat hai tumpar aur tum jaison par...... jo akhri saans tak pasion k liye jeete han.. khud to marte hi han, apnu ko bhi marwa dete han.....

rudra ne sandooq band kia aur firse khatiya ke neeche daal dia......

notebook padh kar rudra ko aur bhi kai herankun baaten pata chali theee.. jin parindon k baare me wo samjh raha tha k wo sirf raat me hi hamla karte han, aisa nahi tha.. wo din me bhi uth jaya karte the. lekin yahan mahino koi nahi aata to wo aksar din me soye rehne k aadi ho gaye the..

warna to agar wo din me bhi sone k aadi hote to yahan marne wale din ke samay yahan se nikal na chuke hote..... yahan maujud sabb mar chuke the.. to parinde bhi sab samjhte hue din k time so rahe the.. lakdee k bane hue makaan ke andar ghus kar wo lashon ko kha nahi sakte the.. abb unhe ek kamre me ghusne ka moka mila tha to sab milkar un laashon ko kha rahe the...

notebook ke hisab se ek helicopter bhi isi pahad par tabah halat me maujud tha.. kuch logon ne helicopter ki madad se bhi heeron ko apne kabze me lene ki koshish ki thi.. par itne adam khor parindon ne hote hue wo safal nahi ho paaye the, aur natije me jaan se hath dho baithe..

rudra to apni jaan bachane k liye speed se bhaga tha, aur kisi aur taraf dhayan nahi dia tha.. warna to makaan ke bahar aur bhi kai kankaal pade hue the..


rudra usi khatiya par let raat guzarne laga.. rudra ko parindo ke shaant hone ka intezar tha......

jaise jaise raat beet rahi thi, parinde bhi khamosh hote ja rahe the.. abb unhe koi aur shikaar nahi mil paa raha tha to wo makaan ke paas se hatt kar apne liye shikar dhundne nikal pade the.. lekin sabb nahi gaye the.. kai abhi bhi maujud the..


rudra ki raat jaagte hue guzar gai..


suba hui to rudra ne parindo ko dhayan me rakhte hue pahad ke dusri side wali khidki khol di... khidki se bahar dekh kar rudra heran reh gaya.... peeche paha nahi tha.

peeche ek khaai thi.. 150 gazz ke kareeb ek khaai thi.. aur lakdee ka makaan khaai ki kinare par bana hua tha.. khidki jab rudra ne kholi thi to chirrrrrrrrrrr ki tez awaz bhi hui thi. jisse kahin door parindo ke firse cheekhne ki awazen bhi sunaai di thi. rudra ne upar asmaan ki or dekha to use kuch gidh udte hue dikhe.. rudra ne khidki band kar di... firse awaz hui to gidh jo ud rahe the.. is baar wo awaz ki disha ko jaan gaye the.. aur seeedha khidki ki aur aaye aur badi power ke sath wo khidki se takraye.. lekin rudra khidki se peeth laga kar khada ho gaya tha.. khidki zayada mazboot nahi thi.. baarshon ke chalte wo lakdee kuch kamzor bhi ho gai thi..

kuch der gidh koshish karte rahe khidki ko todne ki. fir wo apne raste ho liye.. wo samjh gaye the k yahan daal nahi galne wali.

din khub nikal aaya to gidh aur bhi kamm ho gaye.. rudra ne darwaze ko thoda sa khol kar dusre kamre me jhanka to andhere ki waja se kuch gidh wahi soye hue the.. darwaze ki awaz hui to gidh firse shor machane lage.. lekin is baar wo kamm the to rudra ne speed se apni talvar ka istemal karte hue un gidhon ko kaatna shuru kar dia....

rudra ko bhi kahi kahi un gidhon ne kaat lia tha.. lekin rudra ne sab ko kaat bhi dia tha.. abb ye kamra bhi gidhon se saaf ho gaya tha.. rudra ne wahi se bahar dekha to use door suraj ki dhoop me kai kankaal dikhe.. abb is taraf use aur gidh nahi dikhe the.. lekin rudra zayada der is kamre me safe nahi reh sakta tha..

rudra jaldi se is kamre me maujud samaan ko dekhne laga.. use jo kuch bhi kaam ka dikha to usne dusre kamre me shift kar dia.. fir darwaze ko band kar sab samaan ko dekhne laga.. abb rudra ko yahan se nikalna tha..to rudra ko jugaad lagane ki soch raha tha.. jis raste se wo aaya tha wo usi raaste se nahi ja sakta tha..

ek to rudra us taraf jaana nahi tha, rudra ki manzil aage thi.. dusra rudra ko gidhon se bhi khatra tha.


samaan me rudra ko ek chhatri mili... rudra us chhatri ko dekhne laga.. uska kapda mabzut tha.. rudra sochne laga k is chhatri ki madad se wo kaai me utar sakta hai ya nahi......

kuch der chhatri ko check karne k baad rudra ne chhatri se khaai me utarne ka mann bana lia..



koi aur opstion nahit tha rudra ke paas........ rudra ne fir khud ko tayyar kia aur chhatri lekar khidki ko khol dia.. wo bahar asmaan me dekhne laga.. use ek do gidh hi dikhe, baaki sabb ghane jungle me sone k liye chale gaye the...


isse pehle k koi gidh rudra ki or matwajju hota, rudra chhatri ko mazbuti se pakad kar khaai me kood gaya...... ye sabb asaan nahi tha, rudra ne pehle aisa kabhi kia nahi tha.. aur rudra jaisa mard ek chhatri kaise jhel sakti thi... lekin hawa ne rudra ka bohut sath dia..... isse pehle k chhatri phatt jati aur rudra ko khaai me girati...



tez hawa ke chalte rudra khaai se bohut aage nikal gaya.. abb agar chhatri toot bhi jaati to rudra kisi darakht par hi gir sakta tha..

150 gazz ke kareeb ki khaai rudra chhatri ki madad se 70-80 gazz ak paat chuka tha. abb rudra khatre se bahar bhi tha...... rudra neeche dekhte hue, chhatri ko mabzuti se pakde hawa ke dosh par udne laga...

rudra ko jungle me kahi se shor ki awazen sunaai dene lagi.. awazen sunkar rudra jaan gaya k kahi aas paas hi koi junglee kabila bhi maujud hai.. aur wo sabb rudra ko dekh bhi chuke han......

shoq unke ajeeb se saaz ka tha.. sab ek dusre ko saavdhan kar rahe the..

jald hi rudra ek darakht ke kareeb pohncha to rudra ne chhatri ko chhod dia aur darakht k koodte hue neeche aane laga...... rudra itna to mahir tha hi, use koi chot nahi aai.....


jaise hi rudra neeche pohncha, aas paas se keedon makoron ki tarha se junglee insan nikalne lage.... aisa lag raha tha jaise zameen insan ugal rahi ho, sabke hathon me lakdee ke neze the, pal bhar me hi kai teze rudra ke seene se lage hue the..

rudra sabko dilchasp nazron se dekhne laga.. rudra chahta to apne talvar aur khanjar ka istemal karke kaiyon ko dher kar sakta tha.. parr rudra in masoomo ko maarna nahi chahta tha. jab tak k uski zindagi ko koi khatra laahaq na ho jaaye..

rudra se uski talvar aur khanjar le liye gaye the.. rudra ke pairon ki talashi nahi li gai thi.. rudra ke dono pairon par bhi chhote chhote khanjar bandhe hue the..

rudra ko lakdee ke bane hue tezon ki chhaon tale jungle me hi kahi ek disha me lejaaya jaane laga.. rudra ko dekh unme se kuch heran bhi the, rudra rada hua nahi thaaaaaaaaaaaa...


***********************************************************************************



george ke mohn se do rajkumariyon ka naam sunkar mujhe bohut ajeeb sa laga tha.. mujhe andar se ramanchak kisam ki feelings bhi aane lagi theen..

arjun:- tumne dono ko dekh rakha hai kya....... nashe me adhe ludhak chuke george se maine poocha.... wo khi khi karke hassne laga

george:- haan dono ko kai baar dekha hai, wo to apne ghulamo ke sath aksar hi rath par sawar hokar nikalti rehti han.... rajkumari kanwal kabhi kabhi yahan ka chakkar lagati han.. to sab hi dekh lete han.......... george nashe me puri tarha se talli ho chuka tha..

arjun:- aur agar main bhi dono me se kisi ko dekhne chahu to

george:- kal dekh lena.. kal ghodon ki race hai, kal dekh lena.......

arjun:- kya matlab, kahan hai race, maine to kahi bhi ghodon ki race ka maidan nahi dekha..

george:- wo dusri taraf hai..

kuch der aur george se baat hui saala bohut zayada dolne laga tha.. sahi se baat bhi nahi karr paa raha tha..

jis ilake main maujud tha.... ye ek riyasat thi.. risayat ka naam sureshgadh tha..
aur yahan ke raja ka naam thakur amarnath singh tha...

george se mujhe pata chala tha k kal ghodon ki race hai aur door door se log race me hissa lene k liye aaaye hue han..... aur sureshgadh ke dusri taraf mehmano k liye intezam bhi maujud hai..

george ko sone k liye chhod kar main bahar nikal pada.... apne ghode par sawar hokar fir main sureshgadh ke dusri taraf jaane laga... mera bhi mann hone laga k main bhi race me hissa lon..... jaisa ghoda mere paas tha, mera nahi khayal k aisa ghoda kisi aur ke paas bhi hoga..

ghode ko speed se daudate hue main kuch hi minton me us maidan me jaa pohncha.. wahan bohut se kheme lage hue the.. mele ka sa samaaan tha wahan.


main bhi ghode par sawar hokar khemo ke beech me se guzarta hua aage badhne laga.. main sab dekhta hua aage badh raha tha... ek maidan me charon aur kheme lage hue the.. aur khemo ke beech ka maidan kya tha

ek bohut bada maidan tha... manzar dekh kar dil khush ho gaya.. andar ki dunya bohut hi khubsurat thi... jaga jaga log apne apne ghodo ko ek lambi rassi ki madad se gol gol dauda rahe the..



badi badi hastiyan maujud theee.. koi nawaz tha to koi kisi riyasat ka rajkumar.. george ke hisab ye salana race thi.. pure desh se hi log yahan par aaye hue the..

sab ke sab vvip kapdon me the.. sabke sath unke naukar ghoom rahe the.. har ek ka ghoda ek se badhkar ek tha.. lekin mere ghode jaisa mujhe koi bhi nahi dikha.. ye baat to main maidan me maujud logon ki ankhon se bhi jaan paa raha tha..

kisi ke pass behtreen ghoda ho.... aur wo khud bhi zabardast personality ka maalik ho. to fir uski taur hi kuch aur bann jati thi..... yahi mere sath ho raha tha.


jiski bhi nazar mujhpar padti, wo ruk kar mujhe aur mere ghode ko bade ghaur se dekhne laga....... kuch ki ankhon me to mujhe hasad dikhaai dene laga..

ek side me mujhe ek bada khema nazar aaya. jahan par table ke gird log baithe hue the.. wo kheme race me entry se related tha.... main bhi usi disha me badh gaya..

main wahan pohncha to wahan par maujud is riyasat ke raja ke khaas naukar mere ghode ke paas aa gaye aur adaab baja laane lage...... wo har kisi ka aise hi sawagat kar rahe the.... ye to raja ki taraf se order tha shayad un sab ko..

yahan aane wale sabb is riyasat me mehmaan the.... main ghode se utra to naukaro ne ghode ko thaam lia..

wahi khemo me maujud ek admi ne mujhse poocha

admi:- (hath jod kar namaste karte hue) janab e wala kahan se tashreef laaye han

arjun:- door junglon me ek basti hai main wahi se aaya hon, yahan aaya to pata chala k ghodon ki race ho rahi hai to main bhi hissa lena chala aaya...... use parnaam karte hue maine jawab dia.......

wo mujhe ghoor kar dekhne laga

admi:- dekhne se to kahi se bhi kisi junglee basti k nahi lagte...

arjun:- desh me ghoomta rehta hon, to aise dikhne laga hon.. aap batayen meri entry kaise hogi................

uski nature achhi thi.. wo mujhse bade adab se baat kar raha tha.. farmality nahi thi uske andaz me....

fir wo admi mujhe ek table par le gaya aur entry karwa di.... mere ghode ka naam usne poocha to main apne ghode ko dekhne laga, aur sochne laga k iska naam kya hona chahiye to maine apne hisab se uska naam bahadur likhwa dia.... mere mohn se bahadur nikla to kuch faasle par khada mera ghoda khushi se hinhinane laga.... uska andaz dance ka tha .. sab use dekhne lage

admi:- lagta hai bahadur saab khush ho gaye han, entry karwa kar..

main jidar tha, junglee darindon se main darta nahi tha.. mujhme power thi daring thi to usi hisab se maine apne ghode ko bahadur ka naam dia tha.. lekin mere ghode ko ye naam bohut pasand aa gaya tha......

admi ki baat ke jawab me maine bhi jawab me apne ghode ki tareef kardi...

kuch der wahi ruka raha fir apne ghode par sawar hokar main wahan ka chakkar lagane laga.... ek kheme mere naam ka bhi lagwaya jaane laga tha...


mujhe wahi rehna tha... pehle main george ko lekar aana chahta tha, fir hi main yahan reh sakta tha... warna to george kahi gummm hi ho jaata...


jab mera khema lag gaya to main wahi kuch der maujud raha...... fir apne ghode par baith kar main george ki taraf nikal pada

**********************************************************************************

george ko lekar kar main shaam ke samay main apne kheme me pohnch gaya tha..

george ko achhe se hamam ki sair karwa karwa di thi maine. george insaan ban gaya tha.. george ke liye bazaar se achhe kapde bhi le liye the, george abb unhi naye kapdon me tha.... aur bohut jach bhi raha tha..


kheme ko dekh kar george bohut khush hua tha. wo aisi life kabhi ji nahi paya tha, to uski khushi ka koi thikana nahi tha..


agle din sab apne apne ghodon ki malish kar rahe the.. aaj unke ghode maidan me daudne wale the.. to sabb apne apne ghode ko active kar rahe the..

mere ghode ki malish george kar raha tha.. sabko samaan de dia gaya tha.. george bohut khushi se ye sab kar raha tha.. aur bahadur wo bhi george ki traha se bohut chehak raha tha..


main kheme ke bahar baitha hua george ko dekh raha tha k manorma angdaai leti hui uth khadi hui.............. uski awaz sunkar main use dekhne laga


arjun:- saali aise angdaaiyan mat liya kar.... ek to tu khubsurat bohut hai. aur upar se teri ye adaayen mujhe kahin ka nahi chhodengi....... manorma mere sarr par baithi hui hi meri ankhon me dekhne lagi..... saali ke paas kaunsi kaunsi power thi.. mere sarr pr reh kar meri ankhon me dekh rahi thi...

meri baat sunkar. mere mohn se apne liye tareef sunkar to wo mujhpar fida hi ho gai..
uski susti sari khatam hui aur wo mere sarr par let ulti let kar dono kohniyan sarr parr rakhte hue dono hathon ki hatheliyon me apne chehre ko kaid karte hue mujhe bade pyar se niharne lagi..


main use hi dekh raha tha.. uski chhoti chhoti ankhen mujhe normal sieze ki dikh rahi thi.

manorma:- arjun mere arjun ek baar firse bolna..... aaj pehli baar tumne meri aisi taref ki hai... haaaaaayee zaalim kabse main tumhare aise hi shabdon k liye bechain thi..... ek ladki ko uska permi khubsurat kahe to wo to fir kurban hi ho jaayegi..
arjun ek baar firse bolna................ saali inta dheema, itna meetha boli k mere kaanon me saaz se bajne lage the.. mann nahi bharta tha uski meethi awaz se..

arjun:- ek dayen ki tareef main kyun karon......... dayan sunkar wo jhat se uth khadi hui aur kamar par hath rakhkar mujhe ghoorne lagi..

manorma:- taref nahi karni matt karo.... parr mujhe dayen matt bolna samjhe.. fir wo mohn fer kr khadi ho gai... saali nakhre karne lagi thi..

arjun:- manorma meri jaan...... main bhi meetha hi bola wo jhat se mud kar mujhe dekhne lagi.. uski ankhon me chamak aa gai thi..

maine apna face firse badal lia aur use chidane laga.. wo firse mohn phulane lagi. aur rukh mod kar khadi ho gai...... mai firse usse meetha bolne laga.. wo firse mujhe mudkar dekhne lagi...

kuch der yahi scene chalata raha.... main meetha bol kar use firse tang karne laga aur wo bhi maza lete hue mohn phula kar rukh mod leti...

fir wo main dono khilkhila kar hassne lage........


 
OP
W
Member

0

0%

Status

Offline

Posts

2,580

Likes

3,502

Rep

0

Bits

0

2

Years of Service

LEVEL 6
210 XP


Update....No:9

***************



manorma ki adayen kisi naukhez ladki ke jaisi theeeee.. apni harkaton se wo aisi dikhti thi, jaise wo abhi abhi jawan hui ho, aur usme bachapana bhi koot koot kar bhara hua ho....... ek khunkhaar billii thi wo.. khun pi kar zinda rehti thi wo..

hum dono hi ek dusre se masti karte hue. jhut moot ka ek dusre se naraz hone ka natak kar rahe the..... aur manorma sadiyon purani hasti hokar ek lahad mutiyar ki tarha se reast kar rahi thi... kuch der aise hi chalta raha.. manorma roothti rahi aur main meetha bol kar use apni aur mudne par majbur kar deta tha.


fir dono milkar hassne lage.... manorma mere sarr se utar kar mere kandhe par aa gai. aur main use dekhne laga.. is baar wo meri ankhon ke saamne thi.. is baar ka view bohut kareeb se tha... manorma ki asli khubsurti mujhe dikhne lagi thi.... main bade ghaur se use dekhne laga.. manorma meri ankhon me dekhne lagi, uski ankhon ki chamak badh gai thi.. main use bade dhayan se jo dekh raha tha..

manorma achanak se sharmane lagi..... main use dekh hassne laga...

manorma:- aise na hassa karo arjun..

arjun:- manorma tum bhi sharmane wali cheez ho..

manorma:- kyun mai ladki nahi hon kya.? manorma mujhe ankhen dikhane lagi..

hahaha...zara apni umar to batana mujhe......... hasste hue maine manorma se poocha

manorma mere kandhe par thi, wahi khade khde hi usne mere kaan ko pakar kar marodna shuru kar dia...... main aur bhi hassne laga..... mera kaan chhod kar wo bhi hasste hue mere kandhe par paaon latka ke baith gai...

fir wo saamne dekhne lagi

manorma:- arjun tum race me hissa lene wale ho... bohur sahi kiya tumne race me entry karwa kar... rajkumari indra is pure raje me sabse hat ke hai, bohut khubsurat aur bohut masoom hai wo. dil ki bhi wo bohut achhi hai.. warna to pura mehal hi behiyaai ki lapet me hai.. ek wahi hai jo shareefon se badhkar shareef hai... mehak ke ayyash raja aur rajkumar bhi use izzat ki nazar se dekhte han... aise hi masoom se cute si wo ladki hai.......

main manorma ke mohn se kisi aur ki tareef sunkar hairat se use dekhne laga.. ek ladki ho kar wo kaise dusri ladki ki tareef kar rahi thi...

manorma:- aise mat dekho mujhe arjun...... main wo bhi jaanti hon jo tum nahi jaante.

arjun:- to fir mujhe mere baare me bataao, tumse milke mujhe aisa kyun lagta hai k jaise main pehle se hi tume janta hon, ghode ko dekhkar bhi mujhse aisa kyun laga jaise main us ghode par pehle bhi kai baar sawar ho chuka hon.. aise bohut se sawal han manorma mere mann me jo mujhe janne han...

meri baat sunkar manorma mujhse nazren churane lagi.......

arjun:- manorma bataao na mujhe mere baare me..... manorma ne mujhe dekha

manorma:- arjun bohut kuch aisa hai jo abhi tum nahi jaante.. tum bohut kuch bhule hue ho, agar tumhe sabb bata dia to tum ulajh jaaoge.. samay khud hi sab theek kardega...

manorma ki ankhon me kuch aisa tha, jo mujhe shak me daal raha tha.. par main usse sab zabardasti bhi to nahi pooch sakta tha.. aur fir manorma ne sach hi to kaha tha k main ulajh jaaonga.. khair dekhte han, kab meri yaaddasht lautti hai..

arjun:- manorma kuch to aisa hai jo tum mujhe banata nahi chah rahi..

manorna:- mujhse kuch aur matt poocho arjun, aur is topic ko chhod kar koi aur baat karo....... manorna jaane kyun mujhse ye sabb nahi bata rahi thi.. kya kuch ho chuka tha guzre waqt me......

arjun:- to fir mujhe ye batao k tum kyun chahti ho k main indra ki or dhayan don..

manorma:- kyun ki mujhe tumse mohabbat hai aur main tumpar ya tumhare dil par kabza nahi jamana chahti.. arjun ye dunya bohut khubsurat hai... hamara sath to abb hamesha rahega.. kuch aisi bhi tumhari zindagi me aane wali han, jo tumhari kismat me likh di gai han....... ye sabb niyati ka khel hai arjun.. warna main kyun chahungi k tum kisi aur ko dekh bhi sako.... basanti ko le lo. wo bhi tumhe dil se chah lagi thi.. main bhi tumhe dil se chahti hon... main to har samay hi tumhare sath rehne wali hon. aur basanti...... so shayad fir kabhi tumhari zindagi me na aaye.. agar use tumhare pyar ka kuch hissa mil gaya hai to tumhara to kuch nahi bigda, parr basanti ka dil khush ho gaya hai, uske dil ki chaah puri ho gai hai to abb se hamesha hi khush rahegi.. koi bhi ladki agar kisi ko apne dil me basa le to fir wo uske siva kisi aur ke bare me soch bhi nahi sakti .... basanti bhale bhi shadi karke apne pati ko apne dil me basa legi.. par tum uske dil se kabhi nahi jaa sakoge..


main bhi manorma ki baten samjh raha tha.. manorma ki baaten sahi bhi thee. par jane kyun manorma mujhe aisa banane par tuli hui thi... jo main nahi tha manorma chahti thi k main waisa ban jaaon..... aur mujhe bhi aisi life pasand bhi aane lagi thi.. warna to maine to basanti ko thappad bhi maar dia tha......

fir basanti ko chod kar jenny ko chodne ka mann bana liya tha.. abb rajkumariyon ki aur mera dhayan bantne laga tha.... aur manorma bhi chahti thi k mai bhi rajkumari indra ki or apna dhayan badhaaon....

abb dekhte han aage chal kar mere sath kya hone wala hai.... manorma mujhe sochon me gumm dekh kar mere gaal ko choomne lagi..... ye pehla chumban tha manorma ka mujhe..

kya bataaon kaisa mehsus hua tha mujhe..... khushbu si hi bikhar gai thi aas paas. bohut maza aaya mujhe, bohut sukun mila mujhe... nasha sa chhane laga tha mujhpar. usi nashe ke karan meri ankhen band hone lagi theeeeee..

manorma khilkhila kar hassne lagi.....

manorma mere kandhe par khadi ho gai aur mere gaal par dono hathon ko upar se lekar neeche ferne lagi..... saali ki adayen aur andaz bade hi ktilana tha.. uske badan ki khushbu mujhe apne andar utarti hui mehsus hone lagi.. mujhe kuch soojh hi nahi raha tha.. sandal ki khushbu to thi hi... uske badan ki narmahat ka ehsas paate hi mere andar current sa daudne laga.... manorma ko hi mera kuch kahyal aaya, warna to main to kho gaya tha.. wo khilkhila kar hassne lagi...


manorma:- tum bohut ache ho arjun.. bohut payare ho.. jab se mili hon. main tumse door rahi hon.. abb nahi rahungi.. to bataao kaisa laga mera chumban, kaisa laga mera hathon ka suprash...... wo firse khilkhila kar hasssne lagi...

main uski hassi me frise khone laga.. uske sufed chamakdaar daant bohut bhale lag rahe the.....

arjun:-manotma ye tumhar asli room hai naa.

manorma:- haan arjun ye mera asli roop hai. tumhare saamne main kisi banawati chehre ke sath kaise aa sakti hon arjun.. jisse prem ho uske chhal nahi karte. usse kuch nahi chhupate.. main bhi tumhare sath abb se imandari se rehna chahti hon, pehle agar kuch tha bhi to tum use dar guzar kar dena..(main usse poochne laga k imandari se uska kya matlab hai. parr usne mujhe tok dia) na na arjun ab aisa waisa kuch matt poochhnaa..


arjun:- theek hai nahi poochta.. abb aage kya karna hai wo bataao

manorma:- maine kya karna hai tum hi to sabb karoge.. main to bass tumhare sath reh kar sabb tamasha dekhongi........ haan ek baat keh deti hon k main pehle se hi jaanti thi k tum kuch arsa yahi rahoge.. yahan kya kuch karoge wo bhi jaanti thi. isi liye to sukun se so gai thi...


main jaanta tha k manorma bohut aage ki cheez hai.... main use dekh fir george ko dekhne laga...

***********************************************************************************



din ke 12 baje ka time tha aur hum sab race ke maidan me the....... mere liye aur george k liye manorma ne bohut aala kisam ke kapdon ka bandobast kiya tha.. aise kapde kisi ke bhi nahi the.... door se hi mere aur george ke kapdon ki chamak dekhi ja sakti thi......


2 race ho chuki thi.. abb se kuch der k baad shuru hone wali race me mere ghoda bhi daudne wala tha.... mere sath race me total 20 ghode daudne wale the... jinme mukhtlif riyaston ke 3 rajkumar bhi the.... unki nazron se main bhaanp gaya tha k sabb rajkumari indra ko impress karne k liye yahan aaye hue han.......

yahan jab rajkumari indra aayi to uska ahwaal to main aapko batana hi bhul gaya...

george aur manorma ne rajkumari indra ke hussan ki tareef sahi se ki hi nahi thi..

khubsurat rath par sawar jab wo maidan ke side me bane hue stage ke paas pohnchi thi. to sab use hi dekhne lage the.. meri hi tarha se wo bhi bouht chamak rahi thi.. uski khubsurti door se hi dekhi ja sakti thi.. uske sufed ujle kapde heeron ka haar aur gala me latak rahi motiyon ki maalaon ne use aur bhi haseen bana dia tha..


intehaai dilkash nasheb o faraz wale jism ki wo maalik thi.. use dekh ke mere mann me kuch bhi bura nahi aaya.. wo thi hi pariyon jaisi.. dil me sajaaye jaane k layak, uski to puja ki jaa sakti thi.. uske baare me kuch sochna to door ki baat thi..

parr kuch mujhe rajkumari ko hawasi nazron se dekhte hue bhi mile. main use dekhne me kho gaya tha.. manorma khilakhila kar hassne lagi thi..

manorma:- hai naa chand ka tukda arjun

arjun:- manorma tumne to sahi se uski taree bhi nahi ki thi.. rajkumari indra to tumse bhi badh kr haseen hai.. main manorma ko chhedte hue bola.. mujhe ghusse se dekhne lagi. fir meri ankhon me shararat dekh kr wo hasne lagi..

manorma:- mujhse badhkar to is dunya me koi sunder hai hi nahi... abhi maine apne jalve dikhaye hi kahan han mere arjun.. jis din apne jalve dikhaongi na to tum baaki sabb ko bhul jaaoge...

arjun:- chal jhuti.... maine bhi manorma k andaz me kaha to manorma hassti hui mujhe tirchi ankh se dekhne lagi......

manorma;- arjun ye rang tum par bohut jachta hai.. jahan dushman na hon, wahan tum aise hi roop me rehna..... tumse badhkar bhi koi is dunya ne khubroo nahi hai arjun.
rajukumari khud me bohut kuch hogi, prr tumhare saamne wo zero hai... manorma ne to meri hi tareef kardi thi..... sach me hi mai aisa hi tha .. parr mujhe khud ko show karwane ki adat nahi thi.

rajkumari indra ko ek baar pure mann se dekhkar maine apni nazren hata li thi.. wo aise dekhe jaane k kaabil bhi nahi thi.. bata na maine k wo to puja karne layak thi.
dil me basaaye jane layak thi. lafangon ki tarha se taadte hue use dekhna achhi baat nahi thi.........

aur fir main bhi uske saamne koi sasta insan ban kar nahi aana chahta tha.. ek baar ke baad maine use firse nahi dekha tha. haan stafe par sabb ko dekhte hue sarsari ki nazar uspar bhi pad gai thi....

wo bhi meri hi tarha thi usne bhi mujhe dekh liya tha, meri aur mere ghode ki personality ko bhi parkh lia tha... lekin ek baar mujhe aur mere ghode ko ghor se dekhne k baad wo bhi apne dhayan se ho gai thi.... mujhe uska ye andaz bohut bhaya tha..


jenny bhi usi stage par maujud thi...... maine use aur usne mujhe dekh liye tha.. wo mujhe dekh bohut khush ho gai... uska baap bhi uske sath hi maujud tha to usne khud par kaabu paa lia tha.. abhi uske attitude bhi tha, aur sabb ke samne wo kisi hindustani ke sath muskurate hue baat nahi kar sakti thi.. agar karti bhi to apne level ke logon ke sath...... matlab k raja maharajaon ke saath..


race shuru hone me kuch hi deri baaki thi...


**********************************************************************************

rudra ko jungleee kabile wale apne nezon ki chhaon me jungle me maujud kisi jaga basi ek basti me le gaye..... rudra se kisi ne koi bhi baat nahi ki thi... bass use lejaa kar lakdee ke bane hue ek mazbut jhonpde me kaid kar dia tha......

rudra ko kaid hue 4 ghante beet gaye.. parr kisi ne bhi uski khair khabar nahi li thi....


jis jhonpde me rudra ko kaid kia gaya tha... wahan 4 kaidi aur bhi the.. un kaidiyon me 1 ladki thi, ek boodha aur do jawan mard the....


sab ko kaid kiye hue 5 din ho gaye the.. aur din me ek time hi sab ko khana dia jaata tha.. wo bhi khane layak nahi tha..

rudra ko andar aate dekh kar sab rudra ko dekhne lage.. rudra bhi sabko dekh ek side me baith gaya.. rudra sabb ko baari baari ghaur se dekhne laga...

sabke sab angrej the.. rudra english bhi jaanta tha.. budha angrez bola

budha:- hello young man do you know english

rudra:-Yes i can speak english.

budha:- thank GOD jo humen koi indian mile jo hamari samjh sake. BTW mera naam smith hai, ye meri beti helen hai.. wo nioclas aur wo jack...

budha smith rudra ko apna aur sabka intro dene laga..

rudra:- mera naam rudra hai aur mujhe aap sab se milkar bohut khushi hui.. aap sabb kab se yahan par kaid han.. aur kyun kaid han, aap sabb yahan kiss liye ayen.. itni door aise ilake me khud ko maut ke hawale karne...

smith hassne laga

smith:- young man tumne to sawalat ki bauchhad hi kardi.. sab sawalon ka jawab ek hi hai...... jab tak insan ke jism me saanse han, wo use kabhi chain nahi mil sakta.. uske pas daualt bhi ho to mazeed daualt ki hawas ho ya na ho.. lekin use agar kahi se pata chal jaaye k falaan jaga heeron ka ek zakheera maujud hai to wo khud ko rok nahi paata.. aisi hi kashish hoti hai khazane me ...... agar kahzane me geere hon to koi bhi fir khud ko rok nahi paata..

rudra smith ki baat par hassne laga......

rudra:- to fir aap ko wo heere nahi mile...

smith:- kaise milte, jab hum in junglon me dakhil hue the, to hum 50 the.. abb sirf 4 bache han...... mere behtreen dost maare gaye.. kuch k to bachhe bhi saath the wo bhi maare gaye..... kismat se hum hi bach sake the.. parr dekh manzil ke kareeb pohnch kar bhi hum safe nahi reh sake.....

rudra:- jin heeron ke dher k liye aap sabb khuwar ho rahe han.. guzri raat main unhi heeron ka bistar bana kar soya hon..... smith ki ankhon me dekhte hue rudra bola to sab ke sab uchhal pade... sab ke sab rudra ke paas ja pohche...

helen bhi naqahat zada chehra liye rudra ke saamne aa baithi.... 50 me se 4 bache the, fir bhi heeron ki kashish unke andar se khatam nahi hui thi..



smith:- tum sach keh rahe ho.. kahi tum us choti par se to nahi aaye.. jahan gidh numa parinde bhi rehte han.. wahan pohch kar to kisi ka zinda bach paana mumkin nahi hai.....

rudra:- agar aisi baat thi to fir aap sabb kyun whan jaana chahte the..

smith;- bataya to tha k sab kuch hote hue bhi khazane ka nasha dunya ke har nashe se badhkar hota hai. abhi ka dekh lo. marne wale han, firbhi heeron ka sunkar pichhla sabb bhul gaye... yahi to hai wo nasha, jiske peeche hum sabb pagal han.. tum nahi ho kya pagal.?

rudra firse hassne laga

rudra:- heere mere kiss kaam ke mr smith...... heere mujhe de hi kya sakte the.. mera pet to wo bhar nahi sakte.. mujhe chand saanse bhi to de nahi sakte.. un heeron ko bech kar agar mujhe paise milte han, dheron paise milte han to sochne ki baat hai k main un paison ka karunga kya..... mard ka bachha hon, kabhi bhuka nahi marunga, pet bharne ke liye kabhi kisi ka mohtaj nahi ho sakta main.. jisme himmat ho lalach na ho, jitna mil jaaye utne me hi khush rahe to bhagwan bhi uska kabhi sath nahi chhodta...... main bhi aisa hi hon.......

sabb rudra ko dekhne lage... rudra ki baten sahi thee. parr har kisi k liye nahi.. har koi rudra nahi ho sakta tha.. har kisi ki parwan chadhane k liye radhika nahi mili thi....

sab rudra ki baat par muttafiq hoke bhi muttafiq nahi the..

helen:- rudra ek heera to tum laaye hi hoge naa, bohut se heere maine dekh rakhe han, parr yahan maujud khazane me jo heere han, us jaise heere dunya me kisi ke paas nahi han, mujhe bhi lalach nahi ha heron ka bass dekhne ki chah ha

rudra helen ko afsos se dekhne laga.. 24 hours me ek time ka khana sabb ko mil raha tha fir bhi wo heeron ka lalach apne andar se khatam nahi kar paaye the.... akhri saanse chal rahi thee lekin fir bhi unhe matt nahi aayi thi.



rudra:- bataya to tha helen k mujhe heeron ki koi chah nahi thi, isi liye sabb wahi chhod aaya, agar kisi ki kismat me hue to wo unhe paa lega.. mujhe koi chah nahi thi main wahi chhod aaya...

sab fir kuch na kuch bolte rahe.. rudra bhi sab ko jawab deta raha...... kisi ko bhi rudra ka jawab achha nahi laga tha.. rudra ka bartaao sabko achha laga tha.. par rudra heero ko chhod kar aa gaya tha.. ye soch kar sabb ko rudra par afsos ho raha tha aru rudra ko sab par..

yahan sabki jaan k laale pade hue the .. khud ki jaan ki parwa na karte hue sab heeron k liye machal rahe the..



4 ghante beet gaye parr rudra ko kuch khaane ko nahi dia gaya tha.. rudra ne do din se kuch nahi khaaaya piya tha... rudra ko bhuk utni nahi lagi thi, jitni use piyas lagi thi...... lekin usme sehn shakti bhi to bohut badh kar thi......

raat k andhere hone ke 2 ghante baad sabko mitti ke bane hue payalon me junglee khuarak di gai.. sath me paani bhi tha...

rudra ne payala me khana dekha to uska dil kharab hone laga.. payale me chawal the, lekin aise pakaye gaye the k usme se baas aa rahi thi.. rudra ne chawal nahi khaaye, bass paani pi kar side me ho gaya.. sab chawalon par toot pade the..

rudra ke payale me maujud chawal sabne mil baant kar khaa liye .. rudra sab ko paglon ki tarha se khata hua dekh kar hairat me tha..

khane k baad

smith:- pehle din humne bhi ye chawal wapis kar diye the.. ye insano ke khane layak nahi han. lekin pet ki aag ko kamm karne k liye inhe pet me utarna pada

rudra bhi ye sabb samjhta tha.. parr abhi rudra majbur nahi hua tha..


agle din 10 baje k kareeb sabko bahar lejaaya jaane laga... 100 se zayada log rudra samet sabko apne ghere me liye ek jaga le jaane lage...


rudra sab ko hairat se dekhne laga... kal jab rudra ne sab ko dekha tha to sab normal huliye me the...... matlab

maltab mardon aur aurton ne apne chhupane wale hisson ko chhupa hua tha.. aur jism ke jo hisse dikh rahe the, wo noraml colour me the.. matlab original colour me the


parr aaj puri basti ne hi apne pure jism ko rangon se ranga hua tha.. sab ke sab aaj rangeen nazar aa rahe the.. koi khaas tyohaar tha shayad


rudra ko chhod baaki ke charon ye sabb dekh kar dehshat ki lapet me aa gaye the.. shayad wo sabb is sabb ka matlab samjhte the..


rudra un charon ko na dekh kar baaki sabko dekhne laga.. agar dekh leta to sabke chehron par dehshat dekh kar wo unse poochhta zarur..



kuch der me sab ek jaga pohnch gaye. rudra wahan ka manzar dekh kar heran reh gaya. ek bohut badi moorti bani hui thi...ajeeb si shakal me thi wo moorti

rudra apne dharam baare bhi sab gyaan rakhta tha, jaisi moorti usne dekhi thi, rudra jaan gaya k in logon ka apna hi koi dharam hai..

whan zameen me 5 lakdee ke mote tane gadhe hue the..... rudra samet sabko un tanon se bandh dia gaya..



rudra chahta to khud ko azaad karwa sakta tha, aur kaiyon ko maar kar yahan se khisak sakta tha.. lekin wo dekhna chahta tha wo sab unke sath karne kya wale han..

rudra ne abb apne kaidi sathiyon ko dekhna shuru kar dia... sabko dekh kar rudra jaan gaya k sab dehshat me han...

rudra:- mr smith tum dare hue kyun ho

smith rudra ko hairat se nahi dekh paaya.. wo to bass iltijaai nazron se rudra ko dekhne laga.. wo fir rudra se bola to uski awaz bohut hi dheemi thi, dehshat ke bayas uski awaz hi nahi nikal paa rahi thi..

smith:- rudra humen bacha lo, ye sabb hamari bali dene wale han..

smith ki baat sunkar rudra ke kaan khade ho gaye..

rudra ne baari baari sabko dekha aur fir

rudra:- mr smith mujhse wada karo k agar main tum sabb ko yahan se zinda nikal kar le jaao to tum sabb khazane ko bhul kar wapis apni dunya me laut jaaoge..

smith:- rudra wo to humne kabse decide kar lia hai,....pls mujhe aur mere sathiyon ko bacha lo... mujhe tum dare hue nahi lag rahe.. tum zarur kuch kar sakte ho.


smith ki baat sunkar k sabki bali di jaane wali hai to rudra insano ko bali chadte hue kaise dekh sakta tha..

wo moka talash karne laga.. fir rudra ne kisi se koi baat nahi ki..kuch der me ek aurat aur ek sarkar saamne bane hye lakdee ke hi ek bade takht par aa khade hue..

mard ghaliban sardar tha is kabile ka aur aurat uski patni thi.... saari basti wale dono ko dekh kar shor machane lage.....



sardar ne hath utha kar sabko khamosh rehne ka ishara kiya to sab ekdumm se khamosh ho gaye....... badi respect thi sardar ki....... sab aise shaant hue jaise yahan par koi maujud hi na ho......

sardar sab ko dekhne laga..... fir wo hume dekh bolne laa

sardar:- tum sabb ne yahan aa kar hamare niyomo ko toda hai.... yahan bahar se aane wala aaj tak koi bhi zinda laut kar nahi gaya....... aur khaas kar hamari devi ke khazane ko mele nazron se dekhne wale ko to tum kabhi bhi nahi chhodte, aaj tum sabb ki bali di jaayegi.. jisse hamari devi khush ho jaaye aur hamare kabile par uski rehmaton ki barsat hone lagegi....

basti ke logon ko dekhte hue

sardar:- bali dene ka intezam kiya jaaaaaaaye

smith and party hindi nahi jaanti thi, lekin sardar ke andaz se sabb samjh gaye.. wo charo chillane lage....... mujhe kuch karne k liye bolne lage



basti ke log hamare paas pohnche aur ek ek karke sab ko kholne lage..... ek ek ke seene parr kai kai mazbut lakdee ke bane hue teze tike the.. smith aur dusre hilne lage to teze unke seeeno me gadne lage...


charon bhayankar chillane lage..... helen ki halat sabse zayada kharab thi... wo dehshat me mubtala ho kar sab ko dekhte hue chillane lagi.. use apni maut jo dikh gai thi......

 
OP
W
Member

0

0%

Status

Offline

Posts

2,580

Likes

3,502

Rep

0

Bits

0

2

Years of Service

LEVEL 6
210 XP


Update....No:10

****************






time waste karna nahi tha....... jaise hi sardar ke hukam par sabb ko khol kar bali dene ki shuruaat ki jaane lagi

to foran hi rudra ne apne pairon par bandhe hue dono chhote chaku nikal liye.. rudra ko kuch faasle par khade hue ek admi ke hath me apni talvar bhi dikh gai thi... uske hath me kuch samaan tha, aur talvar usme rangon se sajaai gai thi, talvar shayad sardar ko pesh ki jaane wali thi

dono chaku hath me aate hi rudra paas khade hue kabile walun par toot pada, kisi ke seene me to kisi ki gardan par chaku chalane laga.. bohut speed se wo ye sabb kar raha tha.. palak jhapakte hi rudra talvar wale ke paas ja pohncha, uske paas pohnchte hi rudra ne talvar apne kabze me kar li..

rudra ke achanak se hi ye sab karne ki waja se, aur bohut zayada furti ki waja se cheekho pukar mach gai thi. foran wo kuch kar nahi paaye.. isi ka fayda utha kar rudra apni talvar hasil kar paya tha..

talvar hath me aate hi rudra ne fir der nahi ki aur raste me aane walun ko kaat ta hua stage par khade sardar ke paas ja pohncha....

sab junglee the, aur rudra se badh koi junglee nahi tha, rudra se badh kar furti kisi me nahi thi, rudra se badh kar darinda koi nahi tha.....


apne safar ke raaste me kai darindon ko aur gidhon ko usne maar giraya tha. to fir ye jungle uske saamne kya hasiyat rakhte the

sardar jo ye sab dekh kar kuch shano k liye butt ban kar reh gaya tha, rudra ki talwar uski gardan parr aai to use ehsas hua

kabile wale bhi ye sab dekh chuke the.. wo aur bhi cheekhne lage

smith aur dusre abhi bhi unke kabze me the. wo rudra jitni furti nahi dikha sake the
rudra ko ye sab karte dekh, aur fir sardar ki garan par talvar dekh kar wo khush ho gaye the. unhe zinda rehne ki aas dikhne lagi thi

rudra:- apne admiyon se keh do mere sathiyon ko chhod do. warna main tumhari gardan kaatne me lamha bhar bhi nahi lagaaonga

rudra ka ek roop aisa tha k uski ankhon me bhayanakr darindgi dikh jaati thi, jab wo bohut zayada ghusse me aa jata tha, sardar bhi koi aam admi to tha nahi jo rudra ki ankhon se uske irade ko samjh na paata, wo darr gaya, parr bolne se khud ko rok nahi paya

sardar:- tum aur tumhare sathi yahan se zinda wapis nahi jaa paaoge

rudra muskurane laga

rudra:- is dunya me to koi aisa hai nahi jo mujhe maar sake.. aur tujh jaisa to koi to bilkul bhi nahi ho sakta. tujh jaison ko to main chutki me masal kar rakh dun.. hukam de apne kabile walun ko.. ya main sab ko maar kar apne sathiyon ko le jaaao

sardar rudra ki ankhon me nahi dekh saka

rudra sardar ke peeche aa kar kabile walun ko dekhne laga, sab sardar ko dekh rahe the. sabb ki ankhon me khun utra hua tha.... wehshi junglee marr kar bhi samjh nahi paa rahe the, unke beech ek sher tha aur wo sabb us sher ko koi ahmiyat nahi de rahe the.

sardar:- chhod do in sabb ko... kabile ke log sardar ki baat par shor machane lage
wo bali diye bina nahi rehne wale the, sardar ki baat bhi wo nahi maan rahe the

rudra:- haramzaado.......... rudra cheekh pada. rudra ki awaz me kisi sher ki si dahad thi

sab shaant pad gaye

rudra:- main tum sabb ko maar dunga, fir bali kis ki doge tum.......... haan bolo kiski bali doge, kis liye bali doge tum

apne itne sathiyon ke marne ke baad bhi tum sabb nahi samjhe, kal maine tum sabb ko kuch nahi kaha tha, main tumme se kisi ko maarna nahi chahta tha.. parr tum sab maafi ke layak nahi ho. insano ki bali dekar apni devi ko khush karna chahte ho

agar bali se tum sab ki devi khush ho jaayegi to main tum sabb ki bali de deta hon..

jaise sardar rdura ki ankhon me dekhkar, rudra ki awaz me maujud sakhti aur darindgi jaan kar darr gaya tha, waise hi kabile wale bhi kisi had tak dehshat me aa gaye the

parr tadaad me zayada hone ka ghamand bhi tha sabko, koi bhi aaj tak in sabb se bach kar jaa nahi paaya tha, isi baat ke chalte wo darre hue bhi akad me rahe..

wo bhi cheekh pade

"bali to hum dekar rahenge, koi bhi yahan se bhaag nahi sakta, bhale hi tum kitno ko bhi maar do"

kabile ke kuch jayale bole the

aur rudra .......... rudra ne ek nazar sabko dekha,parkha, wo in jungle ke baasiyon ko nahi maarna chahta tha, wo khud bhi ek junglee bhi tha, to use in jungliyon se pyaar bhi tha, parr wo sabb insani bali dene wali baat parse peeche hatt hi nahi rahe the..

is sabb ke chalte rudra kaise kisi ko zinda chhod sakta tha.. rudra ne soch liya k is kabile ko bhi khatam karna hoga, warna to jaane kitne is taraf bhatak kar aate rahenge, aur ye sabb unki bali chadhate rahenge..

insano ki bali dena bohut galat baat thi...... rudra ne sardar aur uski biwi ko dekha

rudra:- sardar mujhe in sabb ko maarna padega..

sardar:- main kya kar sakta hon, baat kabile ke niyamo ki bhi hai, agar main niyamo
ka palan nahi karunga to kablie wali kisi aur ko sardar bana denge

rudra sardar ki baat par hass pada

rudra;- to fir tum sabb apne niyamo ke sath is duniya se rukhsat ho jaao. rudra ne talvar ki gardan par chala di. sardar ki gardan aadhi kat gai aru sardar ludhak gaya. sardar ki biwi ko usne kuch nahi kaha

rudra ne fir us stage jaisi jaga parse neeche chhalang laga di... rudra ko chhalang lagate dekh kar kabile wale side me ho gaye.. unme se kaiyon ke paas lakdee wale bhaale the. wo bhi rudra ki or badhne lage......

parr abb rudra ne kisi ko bhi maaf karne ka irada badal dia tha... rudra fir kisi ki bhi parwa kiye bina sab par toot pada, rudra par bhi lakdee ke tezo se hamla kiya jane laga tha.

parr rudra jis power se talvar ghuma raha tha.. lakdee ke neze katte lage, junglee bhi fir rudra ki talvar se nahi bach paa rahe the..

dekh kar hi lagta tha, jaise koi sher insano ke beech me aa gaya ho, pal bhar me hi rudra kaiyoo ko kaat kar apni jaga badal deta tha............

junglee smith party ko bhul kar rudra par toot pade

saale mar rahe the.. fir bhi baaz nahi aa rahe the.. smith party ko bhi apni jaan bachane ka chance mil gaya tha.. wo bhi mare hue jungliyon ke neze utha kar peeche se jungliyon par toot pade

kabile ke jo jayale the rudra ne unko kaat diya tha.... jayale mare to kamzor dil wale fir bhaagne lage...... aksar to aise jayalon ki waja se khud ko bhi sher samjhte the........... sabb peeche hatt kar zindagi ki bheek maangne lage

par insano ki bali chadhane walun ko maafi dekar rudra aur kaiyon ki zindagi khatre me nahi daalna chahta tha

rudra unko bhi kaatne ka mann bana chuka tha.. parr basti ki aurten un sab ke aage aa kar maafi maangne lagee

rudra jo jo wehshiyon ke khun se nahaya hua tha wo cheekh pada

rudra:- khaaaaaaaaao kasam apni usi devi ki jiski tum sabb puja karte ho.. aaj ke baad kabhi bhi kisi insaan ki bali nahi chadhaaoge.. kabhi koi bhatka hua is taraf aa gaya to use wapis bhej diya karoge,parr bali nahi chadhaaog, kasammmmm khaaaaaaaaaao


rudra ka qahar alod chehra dekh kar sabb thar thar kaamp rahe the, jaan ki salamti k liye sabb rudra ke saamne jis devi ki wo puja kiya karte the, uski kasmen khane lage

rudra ne sab ko chhod dia.... kuch bhi ho, parr aise jungleeee kabhi apne devtaaon ki jhuti kasam nahi khaa sakte the.. unke aqeede bade mabzut hua karte the


rudra wahan se hatt kar smith party ki or badh gaya, smith wale bhi kisi had tak zakhmi ho gaye the.. parr jaan bach gai thi. wo is sabb se bohut khush the

smith:- thanks rudra tumne humen bacha liya......

helen;- rudra chalo chalte han yahan se.. kahin sab ka mann firse na badal jaaye

rudra jaanta tha k kabile wale abb aisa kuch nahi karenge.. parr koi chance bhi to nahi liya ja sakta tha..

kabile me maujud paani se sab apne apne huliye durast karke kabile se bahar ko chal diye

rudra ne apna khanjar bhi le liya tha..


kuch minton me sabb kabile se door ho chuke the.. koi bhi kabile wala unke peeche nahi tha..... aate bhi kaise marna tha kisi ne, abhi to kabile me matam chhaya hua tha. anginat lashen padi hui thee kabile ke chok me....

bali to chhad hi gai thi.. rudra aur smith party ki nahi kabile walun ki

chok me lagi hui moorti bhi khun me rangi gai thi, khun uchhal uchhal kar un ajeeb si surat wali murti par gir gaya tha..


agle do ghante me sabb kabile se aur bhi door ho gaye the..

sab ek jaga baith kar sastane lage


rudra ko bhi halke halke kuch zakham aa gaye the.. parr rudra ko is sab ki koi chinta nahi thi..... wo normal hi tha

parr dusre sabb abb karah rahe the

rudra sabb ko dekhne laga, use kisi par taras nahi aa raha tha, aise logon par rudra ko taras aaye bhi kyun..... sabke sab laalchi the

kuch der me sab firse aage badhne lage

rudra:- mr smith abb aap wapis jaana chahenge, ya abhi bhi khazane ki chaah hai.. smith rudra ko dekh kar pheeki hasni hassne laga

rudra use afsos se dekhne laga

rudra:- me smith tumne mujhse wada kiya tha k jaan bachi to tum sabb wapis ho loge.. parr mujhe kyun aisa lag raha hai k tum sabb un heeron ko liye wapis nahi jaaoge
helen tum bhi nahi jaana chahogi wapis.......

helen;- haan rudra main bhi daddy ke sath hi rehna chahogi.. abb to khatra bhi kam ho gaya hai to aage jaane me harj hi kya hai

rudra:- kya tum marne ka pakka irada kiye hue ho

helen:- nahi marna to nahi chahti main, parr heeron ke bina mujhse wapis jaya nahi jaayega. tumne bhi to mujhe sabb bata kar aur bhi bechain kar dia hai.......

smith;- helen wo dekh, wahan se upar jaane ka rasta hai. sab udhar dekhne lage

jis jungle se guzar kr pahaad ki choti tak rudra pohncha tha, smith usi disha se upar jaane ki baat kar raha tha.. raasta ghoom kar thoda sa hatt kar jaata tha... par wahan the to adam khor gidh hi

rudra:- wahan harazo ki tadaad me khuni parinde han..

smith;- jaanta hon rudra.... parr hum wahan jayenge zarur

rudra:- to fir helen ko mere sath kardo, iski to jaan bach jaayegi.. tum sabb to pakka maare jaaoge

helen:- nahi rudra main bhi daddy ke sath jaaongi... rudra ne baari baari sabse poocha. sabne usi disha me jaane ka bol dia....... sab zakhmi thi. kuch ghante pehle marte marte bache the... firse marne kaa rahe the

rudra sab par afsos karta hua unko chhod kar apni manzil ki or badhne laga


rudra abb akela tha, to daudta hua aage badhne laga.. jis disha me rudra bhaag raha tha, wahan khatarnaak jungle tha lekin pichhle jungle se hatt kar tha.. gidhon ka khatra bhi nahi tha aur dhoop bhi dakhton ke beech me se guzarti hui neeche aa rahi thi.....


rudra speed se bhaagne laga

rudra ka ye safar agle din 3 baje tak chala... raat ek oonchhe darakht par usne bitaai thi..........

jungle ek baar ko khatam ho gaya tha... aur pahadi ilaka shuru ho gaya tha, pahad ki choti par chhad kar rudra saamne dekhne laga to door use ek basti nazar aai. rudra speed se pahad par se neeche uatrne laga

a ghante baad rudra us basti ke paas maujud tha.. basti me dakhil hua to use puri basti sansaan dikhi.. rudra heran se sab taraf dekhta hua aage badhne laga.......

koi bachha, koi ladki ya aurat use nahi dikhi thi, koi mard ya boodha to kya dikhta rudra ko kuch bhi nahi dikha raha. sabb makaan khule hue the

rudra har ke makan ko hairat se dekhta hua aage badhne laga........ basti ke end par use aurton ke rone peetne ki awazen sunaai dene lageeeeeeeee

rudra kuch aur aage badha to use kuch mard bhi dikh gaye

rudra unke paas jaane laga. sab rudra ko dekh chuke the.. mard bhi ankhon me nami liye rudra ko dekhne lage


************************************************************************************




race ka maidan saja hua tha...... sab ghod sawar zarq barq libas me the...... bhale hi wo sabb race ke maidan me mitti hone wale the... parr apni personality ko bhi wo kamm nahi hone dena chahte the

hamari race ka number aa gaya tha... george bohut khush tha is nayi life se aur meri is race se .. wo paas khade hue logon se bohut badh chad kar baat kar raha tha. jaise race main nahi wo shamil ho, ghode par main nahi wo sawar ho.... aur wo jeet kar hi rahega, aisa uska andaz tha....

manorma ko george bohut pasand aaya tha.. wo uske andaz dekh kar hansi se loot poot hone lagti thi.....


mere ghode ko dekh kar rajkumar jo race me hissa le rahe the mujhe karodh bhari nazron se dekh rahe the.. unhe lag raha tha k main ye race jeet jaaonga, lekin wo chahte the k main ye race na jeeto

race jeet kar meri unse tu tu main main hone wali thi...... mujhe kaunsa farak padne wala tha....


sab ghode line me khade hue the.. 200 meter ka maidan tha, uske 2 chakkar lagane the..... aur jeetne wala next level me dakhil ho jaata.. final kal khela jaane wala tha..... aaj sabka pehla round tha........ next round jo kal khela jaane wala tha..
aaj ke sabhi winner ka kal ek sath compitition hota, fir jo jeetta wahi asli winner hota........... aur inaam


inaam bohut bada tha.. rajkumaron ke liye aur mere liye wo koi ahmiyat nahi rakhta tha.... mujhe paison ki zarurat nahi thi.. aur rajkumar wo to sab rajkumari indra ko impress karne k liye apne jalve dikhane aaye hue the...... khubsurat wo bhi bohut the... fir bhi unki daal nahi gall rahi thi.....


ghodon ke daudne ka jo raasta tha, us raaste ki dono sides me jungla laga hua tha.. aur log hazaron ki tadaad me wahan maujud the.......

pure maidan ke charon or bhi logon ka jamghata tha...... raja, maharaja aur angrez jo k hakim the... sabke liye oonchi jaga par ek stage banaya gaya tha... kul mila kar vvip nizam tarteeb diya gaya tha.......


sab ghod sawar(joki) apne apne ghodon ki lagamen thame daudne k liye tayyar the.
tifal ke bajte hi joki apne ghode maidan me dauda dene wale the...... sabke sab josh se bhare hue the sivaye mere


main normal tha... main hatta katta bhi tha, aur mera ghoda umar bhi me bhi dusron se badhkar tha. fir bhi hamari taur sabse badh kar thi...


sound hua aur fir hamare ghode jo ek line me khade the, daudne lage..... mera ghoda bhi daudne walun me shamil tha, mera ghoda jise bahadur ka naam dia gaya tha..

bahadur ki lagaaam thaame mai 60% speed se bahadur ko duadane laga.... baaki saare joki apne ghodon ko paaglon ki tarha se daudane lage the.....

main bahadur par tha aur manorma mere upar....... bahadar par jo jano ka bojh tha
hahaha........ dono ka wait uthaye bahadur bhagne laga..... manorma mastiyan karne lagi.......... loud speaker par commentary ka bhi intezam tha, aur bolne wala badh chad kar bol raha tha.......

mere ghode me baare me bhi wo bolne laga

commentator:- jaisa k dekhne se lag raha tha k bahadur naam ka ghoda sabke aage rahega, parr wo to sabb se peeche hai. aur wo ye race buri tarha se haar jaayega..... sabse aage ratnagadh ke rajkumar surinder singh ji maujud han aur jis tarha se wo apne ghode ko dauda rahe han, aisa lagta hai wo ye race jeet kaayenge

manorma:- hahaha arjun bolne wala to bade maze bol raha hai.....

arjun;- haan ye to hai, use bolne k paise jo milte han.. zara dekho to sahi indra kis ki or akarshit hai.... ya khud me hi magan hoke sab ko sarsari sa dekh rahi hai..
bahadar ki lagaam ko thaame uske sarr ki or jhuke maine manorma se kaha

manorna:- dekhne ki kya zarurat hai.... is samay uske mann jo chal raha ha, main to wo bhi bata sakti hon

arjun:- kya chal raha hai uske mann me

manorma:- hehehe....... sach sach bataaon.. manorma hasste hue boli

arjun:- tum hass rahi ho, zarur wo mujhe hi soch rahi hogi, wo bhi kuch utla seedha

manorma:- waah tum to bade tez nikle...... sach me hi wo tumhe soch rahi hai... wo soch rahi hai k itne achhe ghode par kaisa stupid baitha hai

manorma firse hasste hue boli.... pehla round half ho gaya tha.. dusre round me mai speed dene wala tha bahadur ko..... shayad bahadur bhi sabb samjh raha tha, wo normal tha, meri tarha se use bhi koi tension nahi thi

manorma se baaton me ek chakkar pura hua.. dusre sabb ghode dusra chakkar bhi half kar chuke the.......... aur commentator ne humen confirm hara hua ghoshit kar dia tha.

arjun: chal bahadur baat abb hum dono ki izzat par bann aayi hai... daur puri raftaar se aur dikha de sabko apne jalve.....

bahadur ki peeth parse main pura hi uth kar uski gardan ki or jhuk gaya.. mera wazan abb bahar ki peeth par na ke barabar reh gaya tha....

fir kya tha bahadur ne daudna shuru kar dia... mujhse bohut aage saare joki apne ghodon par sawar daud rahe the......... sabke sab gand phad zor laga rahe the.. har koi ye race jeetna chahta tha..

hairat ki baat thi k teeno rajkumar hi sabse aage the..........

mere ghode ki raftaar badhti dekh kar commentator ke to bolne ka andaz hi badal gaya tha

commentator:- lo ji kamaal ho gaya, bahadur jise sabne samjh liya tha k aaj ki race ak sabse nikamma ghoda bahadar hi hoga... lekin usne to sabko heran hi karna shuru kar dia hai.. badi speed se wo sabb ghodo ke paas pohnchne wala hai.... aisi raftar se maine pehle kabhi kisi ghode ko daudte hue nahi dekha, lagta hai bahadur kuch karke k dikhayega...........

fir wo rajkumaro ki or se bolne laga

aur main baaki sabb bhul kar bahadur par baitha hua apne saamne daud rahe ghodon ko dekhne laga..... ek ek karke main saare ghodon ko corss karne laga.. sab mujhe hairat se dekhne lage......

manorma mere kaan me indra ke mannn ki baaten batane lagi... abki baar indra bohut surprised hui thi aur uska zayada tar dhayan meri or hi tha...

uske mann me tha k itna khubsurat ghoda sabse peeche kaise reh sakta hai.. abb bahadar ne speed pakdi to indra rajkumari mujhe follow karne lagi, uska mann achha hone laga tha...

dekhte hi dekhte hi ending point 70 meter reh gaya aur teeno rajkumaro se mera faasla 20 meter


baaki saare ghodon ko maine cross kar liya tha.... sab mujhe ghusse se hairat se dekh rahe the... lekin 4-5 position ke liye wo bhi speed se daud rahe the...

ek rajkumar ke barabar main pohncha to wo mujhe dekhne laga, uski ankhon se aag ki lapten mujhe nikalti hui dikhen.. maine use smile di aur bahadar ki lagaam ko jhatka maarte hue use bhi cross kar gaya....... wo cheekhne laga

jald hi main dusre ke paas ja pohchaa, wo mujhe dekh bohut heran reh gaya....

maine use bhi smile di aur fir use bhi cross karke ratnagadh ke rajkumt surinde ke paas jaane laga..............

ending point 20 meter reh gaya to main uske barabar ponch gaya..

usne mujhe dekha to bol pada

surinder:- mujhse age badhne ki koshish bhi matt karna.. warna race ke baad tu bachega nahi saale

manorma ko ghussa aa gaya. lekin maine use thanda rehne ko bol dia........

arjun;-(surinder se) teri itni aukat hi kahan hai surinder.. tujh jaison par to main thukna bhi gawara na karun..... wo aur bhi ghusse me aa gaya.....

aur mai fir use bhi smile de kar cheekhte hue ending pint ki aur badhne laga.. bahadur ko kuch aur batate ki zarurat nahi rahi thi

wo sabb samjhta tha............... commentator ki to bolti hi band ho gai thi, aur crowd ka shor kaan phaad raha tha...........

bahadur nahi ruka........ aur mujhe leke ending line cross kar gaya... foran hi surinder bhi pohnch gaya..........

kuch jaa kar hamare ghode ruk gaye..........

aaj ki ye sabse best race thi.........

ek to is race me teen rajkumar the... dusre is race me bahadur ne jhande gaadh diye the.......... is speed se, is andaz se koi bhi ghoda nahi jeeta tha.......


shor mach utha, commentator cheekhne laga......... aur surinder mere paas aa gaya

surinder;- tu ne ye race jeet kar apni zindagi ki saanse haar di han, mujhse takrane wala kabhi zinda nahi bacha....... uski ankhen ghusse se laal ho chuki theee.. wo haar sehn nahi kar paaya tha....

arjun:- kaha to tha k teri itni aukat hi nahi hai k tu mujhse lad sake. agar itna hi dummm hai to saamne hi commentator maujud hai.. ja kar elaan karwa k tu mujhse ladna chahta hai........

suridner;- fir to tu pakka hi haar jaayega... aas paas ki kisi riyasat me mujhse badhkar koi shamsher zan nahi hai...

arjun:- tera ye ghamand bhi main hamesha ke liye khatam kar dunga..... intezamia me se ek banda dauda dauda aaya

arjun:- bhai saab commentator se jaa kar keh do k rajkumar surinder mujhse fight ka mukabla karna chahta hai...... pura majma bhi yahi maujud hai........wo bhi sab sunlenge. sabke saamne time aur jaga bhi decide kar li jaayegi........

wo admi mujhe aur fir surinder ko dekhne laga

surinder:- jaaaaaaaao jaa kar elaan karwaaaaaao, main issse ladai zarur karunga

wo admi bhaga bhaga gaya aur ja kar stage par maujud sabko batane laga......... fir wo admi wapis aaya aur humen stage par maharaja, raja aur dusre badon ke saamne pesh hone ko kehne laga


arjun:- chalen ji rajkumar ji. agar aapne apni naiya dubane ka mann bana hi liya hai to main kya kar sakta hon..........'

surinder:- wo to waqt hi batayega. surinder moochho ko taao deta hua bola

fir hum dono apne ghodeon samet stage ke paas pohche .. fir ghodon se utar kar stage par ja pohnche

wahan pohnchte hi maine sarsari sa sabko dekha, jenny mujhe dekh smile karne lagi, rajkumari indra mujhe aur surinder ko hairat se dekhne lagi...

sab jaan gaye the k hum dono me kya baat hui thi


deeewan bhi wahi maujud tha, sabse pehle to mera sabse aur sabka mujhse into karwaya gaya. ta ke main sabse adab se baat kar sakun..

maharaja:- naujawan sabse pehle to hum tumhe badhaai dete han race ki jeet ki khushi me..... jis tarah se tumne ye race jeeti hai, dekh kar dil khush ho gaya..

jab intro hua tha to maine sarr kisi ke saamne nahi jhukaya tha.. lekin maharaja ko dekh kar mujhe lag gaya tha k wo insan bhi bohut achha hai.... to mera uske liye ahtram badh gaya tha....

arjun;- huzoor ki zarra nawazi hai.... main to ek pardesi tha, is riyasat me aaya to mujhe pata chala k yahan race hone wali ha to maine bhi hissa le liya.. jeetna badi baat nahi hai huzoor se mann se sarahna bhi badi baat hai....

maharaja aur baaki mere jawab se khush ho gaye.... mera andaz bhi bohut meetha tha..

jeny ke baap ka naam nelson tha wo bola

nelson:- young man tumne race hi bakhubi nahi jeeti, hamare dil bhi jeet liye.. warna to race jeet kar kisi ka sarr hi neeche nahi hota.... jeetne wala khud ko sabse ooncha samjhne lagta hai, uski gardan ki akda bhi kamm nahi hoti....... parr tum sabse alag ho...... (usne hath aage badha dia) mujhe tumse milkar achha laga

maine bhi usse hath mila kar achhe alfaz me jawab dia

maharaja:-naujawan tumne ratnagadh ke rajkumar se ladaai ke liye bola hai.. kaya tum isse sach me hi ladna chahoge......... rajkumr surinder ke baare me to sabbb jaante han k uske jaisa shamsher zan koi nahi hai.....

arjun:- huzoor mard ka bachha agar apne mohn se kuch bol de to wo kabhi peeche nahi hat ta .. main bhi rajkumar surinder se ladne k liye tayyar hon... jaan ka kya hai wo to kabhi bhi jaa sakti ha... agar sarr hi jhuk jaaye to sharir me saanso ka matlab nahi rehta........

maharaja:- waah waah kya khub kaha tumne naujawan.. kabhi humme bhi jawani me yahi dumm kham tha.......... meri baaton par sabb ash ash kar rahe the.. sab bohut khush the..... rajkumari indra bhi abb mujhe kisi hadd tak ghuar se dekh rahi thi..... lekin uska andaz walihana nahi tha....... wo sasti ladki nahi thi.. ek bahdur insan ko jaise dekha jata hai... wo bhi aise hi mujhe dekh rahi thi

nelson:-(surinder se) rajkumar surinder tum bhi arjun se ladna chahoge

surinder:- haan sir main bhi isse ladna chahhonga.. race me to ye mujhse jeet hi gaya hai... abb shamsher zani me main ise iski aukat dikhaaonga.

surinder bhadak utha tha.. maharaja ke saaamne aise bolne ki kisi ko jurrat nahi hua karti thi..... sab use ghusse se dekhne lage'

surinder:- (maharaja ke saamne jhukte hue) maafi chahunga maharja ji mujhse bhul hui, mujhe shama karden...... mera irada gustakhi ka nahi tha.........

maharaja:- agli baar dhayan rahe


nelson:- kal final hai to parson ladaai rakhte han.....

maharaja:- aur apne mehal me jo ladaai ka maidan hai wahi ye mukabla hoga

nelson:- sahi kaha aapne...... nelson bhale hi hakim tha... lekin ek raja ya maharaja ko sabse saamne izzat dena unki majburi bhi hoti thi..... warna log bhadak uthte the.

fir sab final ho gaya.... aaj ka jo inaam tha wo mujhe dia gaya... maharaja aur nelson ne mujhe ye inaam diya tha....... wo inaam maine le liya...... jenny ya koi aur ladki mere kareeb nahi aai thi


aise hi fir ye sabb kuch der chalta raha.... kuch der ki bat cheet ke baad main stage se utar gaya.........

ek race rehti thi..... hamari waja se wo let ho gai thi.. mera kaam khatam ho gaya tha.... to main bahadur ko leke apne kheme ki or badhne laga


george ki to khushi ka koi thikana hi nahi tha....... bahadur ki usne bohut si pappiyan leeeeeeee

rajkumari kanwal nahi aai thi...... suna tha k wo kall aayengi... dekhte han wo kitni haseen thi


manorma bohut zayada mere sarr parr uchhal kood macha rahi thi.. wo nachne lagi thi meri jeet ki khushi me....... use dance bohut badhiya se aata tha.... uske badan ki lachak dekh kar mera kahi aur dekhne ko mann hi nahi karta tha.....


saali mujhe har andaz se ghayal karne ki koshish me thi.......





 

55,856

Members

311,478

Threads

2,657,482

Posts
Newest Member
Back
Top