Xdreams - Desi Adult Community

There are many great features that are not available to guests at Xdreams, Login for limitless access, participate in daily challenges and earn money with us.

Incest Baadshah ~ The tales of Debauchery By Werewolf

OP
S
Member

0

0%

Status

Offline

Posts

28

Likes

2

Rep

0

Bits

0

5

Years of Service

LEVEL 1
100 XP
Update -10 ~ Almost Died

Ab tak...

Mujhe ek phone jald hi lena padega.'

Sochte hue usne uss ladki ko apni peeth par utha liya.

Par wo ye nahi jaanta tha ki neeche kya ghatna ghatit hui hai.

Ab aage...

Jab Veer uss ladki ke saath uss room me pravesh kiya tha tab usse nahi pata tha ki neeche kya chal raha tha. Wo unn sabhi baato se anbhigya tha.

Uss waqt Raghu aur Jassi, uss ladki ke dono bodyguard club ke baahar hi neeche khade hue the.

Dono waqai boht wafadaar the. Aur apni duty ke prati poori tarah se samarpit the. Yahi kaaran hai ki wo apni Miss ko yu akela uss Club me chorr baahar nahi aana chaahte the.

"Jassi! Miss theek toh hongi na? Sirf tere kehne pe hi baahar aaya hu mein. Warna Miss ko aise akela nahi chorrta mein. Yadi unhe kuch hua na toh bade maalik ko mein jawaab nahi dene waala."

Raghu ne thoda bechain hote hue kaha. Usse ye darr sataa raha tha ki kahi unki Miss ko kuch ho na jaaye. Warna kya muh dikhaenge wo apne bade maalik ko?

"Tum tension mat lo. Mere hote hue Miss ko kuch nahi hoga. Infact, mein unpe ek kharoch tak nahi aane dunga. Kisi ki himmat hai jo Miss ko chhu ke dikha sake?"

Jassi ne apni chhaathi thap thapaate hue kaha.

Par usse kya pata tha ki jis Miss ki wo baat kar raha tha ki koi unhe chhu tak nahi sakta, ussi waqt upar Veer unki Miss ki choot me lund daale dhakke pel raha tha.

Vidambna dekho!

Raghu aur Jassi dono hi ekdum hatte katte bodybuilder the aur fight lene me ekdum aage. Jaha Raghu judo seekha hua tha toh wahi Jassi karate me black belt tha.

Kisi ki himmat hai jo unn dono ke hote hue unki Miss ko koi haath bhi laga sake?

Siwae Veer ke...

Abhi wo dono aapas me yu hi baat kar rahe the ki kuch derr baad hi unhe ek teevr awaaz sunaayi padi...

*Bang*

Aur awaaz sunte hi dono ke hi aankhein phail gayi.
Awaaz andar se aayi thi, aur andar hi unki Miss thi.

Aur iss awaaz ko dono hi badi acchi tareeke se pehchaante the. Ek gun shot ki awaaz.

Dono ne ek dusre ki taraf dekha aur agle hi pal dono apni poori gati ke saath bhaagte hue andar pohuche...

Andar pohuchte hi unhone jo dekha toh unke hosh hi udd gaye.

Jis baat ka darr tha, wahi hua.

Andar chaaro taraf afra tafri machi hui thi. Shor aur cheekho se club me uthal puthal fel gayi

Log darr ke maare ghabraaye hue dubak ke baithe hue the toh kuch sofe ke neeche chhupe hue the.

Aur saamne do aadmi revolver liye khade hue the. Unhi me se kisi ek ne goli chalaayi thi lagta.

Raghu aur Jassi ke andar aate hi unn do aadmiyo ki nazre unn par gayi.

Aur unhe dekhte hi woh aadmi chaukanne ho gaye.

Forun hi unpe revolver taan wo unn dono ko surrender karne kehne lage. Aur yahi hua bhi.

Raghu aur Jassi dono ko hi apne haath khade karne pade. Tanaav unke chehre par saaf nazar aa raha tha. Kyuki na toh unhe unki Miss kahi dikhaayi de rahi thi aur na hi aisi sthiti me wo unhe dhundne jaa sakte the.

Paseene ki boonde dono ke chehro par saji hui thi. Aur andar se dono ghabraaye bhi hue the.

Kya unki Miss sahi salaamat hongi ya nahi? Kahi unhe kuch hua toh nahi hoga na?

Aise aneko sawaal se unke mann me uthal puthal machi hui thi.

Raghu (dheemi awaaz me) : Jassi! Ye uske hi aadmi lag rahe hai.

Jassi : Hmmm!

Raghu : Hume jald hi kuch karna hoga. Dekho! Miss waha baithi hui thi par wo nahi hai ab waha. Na jaane kidhar gayi hai.

Jassi : Shayad wo upar hongi...

Raghu : Upar? Aise me toh... Yadi uske aadmi upar pohuch gaye toh dikkat ho jaegi Jassi! Jaldi, kuch karna hoga...

Raghu ki awaaz me chinta aur ghabraahat thi.

Wo jaanta tha ki yadi galti se bhi Miss ko kuch hua, toh bade maalik na jaane kya kar denge.

Raghu : Kya kehte ho Jassi? Mein... Shoot karu?

Jassi : Nahi!!!

Unn dono ke paas bhi revolvers the. Par ye baat wo do aadmi abhi nahi jaante the. Unhe laga tha ye do club ke bodyguards honge aur ye soch wo dono bas unhe surrender karne ke liye kehne lage.

Raghu : Shayad ye dono hume nahi pehchaante Jassi. Toh kya ye dono uske aadmi nahi hai?

Jassi : Ya toh ye dono naye hai ya fir jesa ki tumne kaha, ki ye dono uske aadmi nahi hai.

Raghu aur Jassi kis aadmi ki baat kar rahe the, ye toh wahi dono jaante the. Par inki khuspusaahat unn do aadmiyo ko kuch raas na aayi.

Aadmi : Ayyyee! Tum dono... Yadi ek bhi awaaz aayi na ab, toh seedha udaa dunga.

Dono ko baat karte dekh unn do aadmiyo me se ek bola.

Bhale hi Raghu aur Jassi ko uski baat se asar na hua ho par aam janta ko zaroor hua tha. Kaapte hue wo sabhi neeche dubke pade the.

Disco lights jal zaroor rahi thi club me par disco jesa koi mahaul nahi tha waha.

Jaha thodi derr pehle maze kiye jaa rahe the, khaan paan ho raha tha, naach gaana chal raha tha wahi jagah ab ekdum se shaant sii pad gayi thi.

Ye darr tha logo ka apni jaan khone ke prati. Bhala kise apni jaan pyaari nahi rehti?

Raghu : Iski toh...

Jassi : Shhh! Shaant!

Abhi Jassi Raghu ko shaant rehne ke liye hidaayat de hi raha tha ki tabhi...

*Bang*

Ek aur gunshot ki awaaz aayi...
Iss baar ye awaaz upar se aayi thi.
Aur ye awaaz sunte hi dono ka hi shareer sihar utha.

Upar unki Miss ho sakti thi. Kahi ye gunshot!?

Sochte hi dono ekdum ghabra gaye...

Raghu : Tumne suna na Jassi? Wo upar pohuch gaye hai. Ab toh mein daawe ke saath keh sakta hu ye uske hi aadmi hai.

Jassi ne bina kuch bole hi dheere se sar apna haa me hilaaya. Iss waqt wo khud kaafi ghabraaya hua tha. Usse apni jaan ki parvaah nahi thi. Parvaah thi ki kahi unki Miss ko kuch ho na jaaye.

Raghu : Isliye!! Isliye mein keh raha tha ki Miss ko akela nahi chorrna chaahiye... Ab dekha na...

Jassi : Ye samay unn sab baato ka nahi hai Raghu...

Raghu : Fine....!! Ab bas aur nahi! Jassi! Mein shoot kar raha hu. Tum dusre waale ko shoot karna... Perr thik?

Jassi : Thik!

Haami bharte hue iss baar Jassi bhi Raghu ki baat se sehmat ho gaya. Dono hi ek dusre ka ishaara samajh gaye the.

Aur agle hi pal...

Palak jhapakte hi dono ne apni pant ke peeche khuse revolver ek jhatke me nikaale aur...

*Bang*

*Bang*

Dono ne revolver ka trigger dabaate hue seedha prahaar unn do aadmiyo ke perro par kiya.

Achaanak se huye iss hamle ki unn aadmiyo ko na hi umeed thi aur na hi wo iske liye taiyaar the. Aur nateeja wahi...

Bullets unki chamdi ko phaadte hue unke perro ke andar sama gayi aur tezz cheenkh ke saath dono wahi gir pade...

Keval wahi nahi, waha maujood baaki sabhi janta bhi cheenkhne lagi. Shor machaate hue wo apni jaan ki guhaar lagaane lage.

Darr ke maare unke shareer kaanp rahe the. Par agle hi pal jese unki muraad puri ho gayi,

Raghu : Jao! Niklo fatafat... Baithe kya ho... Bhaago!!

Ye baat sunn jese logo ki jaan me jaan aa gayi. Aur kisi ne bhi ek shan nahi gawaaya waha se bhaagne me.

Girte padte wo hadbadi me forun hi baahar ki orr bhaage. Na hi unn ne palat ke peeche dekha aur na hi iss baat ki chinta kari ki kahi woh koi samaan bhul toh nahi rahe andar?

Iss waqt logo ke mann me jo tha, wo tha apni jaan bachaana. Jo ki sahi bhi tha.

Aur pal bhar me saari janta waha se bhaag gayi.

"Phew!!"

Saas lete hue Raghu aage badha jaha Jassi tha. Jassi ne unn do aadmiyo ke girte hi unke revolvers hathiya liye the.

Ab keval wo do aadmi, Raghu, Jassi, aur club ka manager hi neeche bache hue the.

Jassi : Tum!! Idhar aao!!

Jassi ne forun hi manager ko bulaaya. Wo bechaara darrte hue dheere dheere aage aaya.

Jaasi : Dekho! Ambulance bulao aur inko bhijwao par dhyaan rahe... Yadi koi bhi tumse jaankaari le toh tum yahi kahoge ki tumne kuch nahi dekha. Kehna ki tum darr ke maare chhupe hue the. Aur iss kaaran tum kuch bhi nahi dekh paaye. Theek?

Manager ne sehme hue haa me gardan hilaayi aur dono , Raghu Jassi upar ki orr jaane lage.

***

Jab Raghu aur Jassi neeche unn halaato me phasse hue the tab Veer ke saath upar kuch aur hi kathin paristhiti bani hui thi.

Jab wo ladki ko kapde pehna kar usse apni peeth par taange baahar nikal raha tha.

Darwaaza kholte hi usse ek zorr ka jhatka laga...

Jese hi usne darwaaza khol ke mundi apni daayi taraf corridor me daali toh usne dekha...

Kareeb 4 se 6 aadmi teezi se seedhiyo se upar aaye aur harr ek ke haath me ek revolver tha.

Sab ke sab upar tezz kadmo ke saath aaye aur unke haatho me gun dekhte hi waha baithe counter pe aadmi ki hawa tight ho gayi.

Ye wahi aadmi tha jo rooms deta tha.

Veer ne dekha ki wo sabhi aadmi aaye aur ek ne uss counter waale aadmi ki collor pakad ke usse hilaane laga aur kuch puchne laga.

Veer ka room stairs se dur tha jis kaaran usse kuch bhi sunaayi na diya. Aur fir wo hua jisse dekh uske perr ladkhadaane lage.

*Bang*

Ek aadmi ne counter ke upar lage cctv camera ko ek jhatke me uda diya.

Ye wahi awaaz thi jo Raghu aur Jassi ko neeche sunaayi padi thi.

Aur uske baad toh jese afra tafri mach gayi...

Unn aadmiyo ne aage badh rooms ke darwaaze todte hue thok peet ke khole aur andar se couples ghabraate hue baahar aake hahakaar machaane lage. Cheenkhne lage, chillaane lage...

Kuch toh adhnangi awastha me the...

Veer ko pehle laga tha ki ye koi police ki raid thi shayad par uska wo vichaar saamne iss drashya ko dekh udd chuka tha.

Aur keval yahi bas nahi tha. Abhi jese usse jhatke pe jhatke lagna baaki the.

Apne perr aadhe khule darwaaze ke peeche jamaaye usne apna sar nikaal daayi orr nazar maarte hue dekha ki koi upar aa raha hai wahi seedhiyo se.

Aur tabhi Veer ko ek mouth organ ki dhwani sunaayi dii.

Seedhiyo se upar ahista ahista aate hue ek insaan dikhaayi diya.

Safed hat, safed pant, safed coat, andar ek laal shirt aur coat ki breast pocket me ek gulaab ka phool.

Kuch iss prakaar ki dress pehne woh aadmi apne ek haath se mouth organ baja raha tha aur dusre haath me wo ek hockey ki stick liya hua tha.

Jaha budhe buzurg laathi ka istemaal karte the chalne ke liye wahi ye aadmi laathi ki jagah hockey stick ka istemaal kar raha tha.

Aur usse dekhte hi Veer ke badan me ek siharan se mach gayi. Uska shareer kaap utha.

Usse dekh ke utna darr nahi lag raha tha, jitna uske mouth organ ki wo dhwani sunn kar lag raha tha.

Upar se wo hockey ke sahaare chalne ka dhang.

Apna thook nigalte hue Veer kuch soch hi raha tha ki tabhi uske saamne wo hua jiske chalte uska dimaag kaam karna hi band kar diya.

Uss safed coat waale aadmi ne apni dhwani bajaana band kari aur, counter pe baithe aadmi ko dekh wo uss se pucha.

Aadmi : Kesa tha? Pasand nahi aaya na?

Aur wo counter waale aadmi ne darr ke maare na me sarr hila diya.

Ye sawaal hi aisa tha. Yadi wo puchta ki kesa laga? Toh beshaq wo counter waala banda haa me hi sar hilaata. Ye sawaal usse phassaane ke liye hi pucha gaya tha.

Aur jese hi usne apna sar naa me hilaaya. Uske agle second hi usse apne jeevan ka sabse bada pachtaava hua.

Kyuki agle hi pal uss safed coat pehne aadmi ne badi hi shaitaani si muskuraahat dii aur dheere se apna mouth organ apne jeb me rakha.

Fir peeche se ek pistol nikaali aur bina koi samay gavaaye hi seedhe uss counter waale ki khopdi udaa dii...

*Bang*

Bullet khopdi me ghusi, aur kaam tamaam...
Khoon ke chheete yu nikalte hue zameen par bikhar gaye...

"Aaaaaaaaaaaaaaaa...."

Aur corridor me firse kohraam mach gaya. Cheenkhe goonjne lagi...

Aadmi : Mujhe bilkul bhi pasand nahi hai jab koi meri bajaayi gayi dhunn ka mazaak udaaye...

Ye nazaara dekh log toh bhaybheet the hi par jo sabse zyaada bhaybheet tha wo tha Veer.

Uske perr kaanp rahe the. Wo na hi aage badh paa raha tha na hi peeche jaa paa raha tha. Darwaaze ke kaaran uska shareer chhupa hua tha. Keval mundi hi baahar thi.

Aur uski samajh me kuch bhi nahi aa raha tha.

Kuch aaye samajh me ya na aaye par ek baat wo bhali bhaati jaanta tha...

Aur wo ye ki wo ye drashya kabhi nahi bhul paega...
Na hi uss safed coat waale aadmi ko...
Aur na hi uss dhwani ko...

Uski pakad paseene ke maare ladki par se chhuth rahi thi. Par uske bawajood wo apne mann me ek sankalp liye usse apni peeth par laada raha.

Yadi wo chaahta, toh issi shan ladki ko room me chorr apni jaan bacha ke bhaag sakta tha par usne aisa nahi kiya.

Kaaran?

Kaaran tha wo ladki... Uss ladki ke kaaran hi wo Pari ko khote khote bacha tha.

Ussi ladki ke kaaran aaj wo ek ladke se mard ban chuka tha.

Aur sabse badi baat...

Usne uss ladki ke saath ye sab uske nashe me kiya tha. Glaani ke bhaav toh zaroor the Veer ke mann me. Toh bhala kese wo aise me usse yu chorr bhaag sakta tha?

Club me upar jaane ke liye do raaste the. Ek tha daayi taraf jaha se Veer khud aaya tha aur jaha se abhi ye aadmi log aa rahe the.

Aur ek tha uski baayi taraf.

Zaahir sii baat thi, ki Veer baayi taraf ka raasta hi chunn ne waala tha.

Kyuki daayi taraf jaana toh khud ki maut ko aamantran dena tha.

Ye decide karte hi wo kisi bhi waqt bas mauka dekh ke bhaagne ka wait karne laga.

Tabhi uss aadmi ne apne chelo se bola,
"Yahi kahi hogi! Kisi room me! Saare check karo!"

Aur bas...

Sabhi shuru ho gaye...

Ek baar firse afra tafri mach gayi...

Aur corridor me logo ke idhar udhar hone se bheed sii mach gayi. Jab Veer ne dekha ki uske saamne aur agal bagal ke rooms se log nikal rahe hai aur bhaag rahe hai, toh yahi mauka dekh wo forun hi tezz kadmo ke saath baayi orr bhaaga jaha neeche jaane ke liye seedhiya thi.

Ab ya toh isse kismat kahe, ya ittefaaq par Veer unn admiyo ki nazro se bachne me safal tha.

Par ek musibaat tali nahi, dusri uske saamne thi.

Neeche jaati seedhiyo par pehle se hi ek aadmi revolver liye khada hua tha.

Aur jese hi usne Veer ko neeche aate dekha, usne forun hi apni gun Veer par taan dii...

Aadmi : Ayyeee...?! Neeche... Neeche rakh ladki ko...

Veer : K... Kyu??

Aadmi : Sawaal jawaab karta hai saale? Neeche rakh! Aur chup chaap yaha se nikal le warna bheja udaa dunga samjha?

Iss se pehle Veer kuch keh paata, uski nazar neeche se aate Raghu aur Jassi par gayi...

Uss aadmi ka chehra Veer ki taraf tha toh usse nahi pata tha ki uske peeche se kaun aa raha hai.

Aur idhar apni Miss ko Veer ki peeth par dekh Raghu ekdum bhadak utha. Wo ye soch raha tha ki Veer ne uski Miss ko kidnap kiya hai.

Par Jassi ke mann me kuch aur hi tha.

Ek jhalak me hi usne bhaanp liya tha ki maajra kya hai.

Aur iss se pehle ki Raghu koi galat kadam uthaata, Jassi ne uska haath thaam liya.

Jassi ke aisa karte hi Raghu ki bhi fir samajh aa gaya ki baat kya thi.

Aur ishaaro hi ishaaro me baat karte hue Raghu aur Jassi peeche se uss aadmi par toot pade...

Par hamla hote hi uske haatho me gun ka trigger dab gaya...

Aur bullet nikal ke theek Veer ke kaano se thodi dur se guzarte hue peeche diwaar me sama gayi.

Tackle karte hue Raghu ne uss aadmi ko daboch liya aur gardan pe waar kar usse behosh kar diya.

Jassi ne forun aage badh Veer ki peeth se apni Miss ko thaama...

Veer : Wo... Wo... Ek safed coat aur safed pant me ek aadmi... Shayad inhe hi dhund raha hai...

Usne kaapte hue kaha toh Jassi ne agle hi pal Raghu ko dekha...

Raghu ko pata tha usse kya karna hai...

Usse gaadi nikaalne ko keh raha tha Jassi...

'Ye wahi hai... Damn it!!!'

Mann me soch Jassi ne ek aakhiri nazar Veer par daali aur bola,
"Thanks! I'll remember this... I hope tum yaha se safely nikal jaoge."

Aur bina fir peeche mude wo tezz kadmo ke saath neeche bhaag gaya.

Veer waha khade khade sab kuch dekhta raha.

Usne dekha saamne wo aadmi jisne gun chalaayi thi wo behosh dala hua tha.

Usne palat ke dekha jaha deewaar par bullet se hole ho chuka tha.

Aur ye dekh uske shareer ke ruye khade ho gaye...

'I... I almost died!!'
 
OP
S
Member

0

0%

Status

Offline

Posts

28

Likes

2

Rep

0

Bits

0

5

Years of Service

LEVEL 1
100 XP
Update - 11 ~ Nidhi is displeased?

Ab tak...

Veer waha khade khade sab kuch dekhta raha.
Usne dekha saamne wo aadmi jisme gun chalaayi thi wo behosh dala hua tha.

Usne palat ke dekha jaha dewaar par bullet se hole ho chuka tha.

Aur ye dekh uske shareer ke ruye khade ho gaye...

'I... I almost died!!'

Ab aage...

Club me jo kuch bhi hua tha, usse dekh ke Veer seham chuka tha.

Jaha Raghu aur Jassi uss ladki ko leke nikal chuke the, Veer bhi iss waqt apne kadmo ka istemaal karte hue bhaage jaa raha tha.

Raat ke 8:30 baj rahe the. Na jaane kitne ghanto se wo baahar tha. Upar se Nidhi na jaane kitni pareshaan ho gayi hogi.

Yahi sochte sochte wo bas bhaaga jaa raha tha. Uska dil zorro se dhadak raha tha. Jo manzar usne abhi thodi derr pehle dekha tha, wahi sab kuch uske dimaag me ghum raha tha.

Wo marrte marrte bacha tha. Yadi wo bullet, zara sii bhi uske chehre ki orr hoti, toh ussi pal wo maut ke ghaat utar jaata.

Aur ye sochte hi uska shareer kaanp utha. Maut ko chhu ke waapas aaya tha woh.

Bhaagte bhaagte thakte hue wo ek jagah ruka. Usne apni hatheliya kholi aur unhe dekha...

Dekha kese uske haath thar thar kaanp rahe the. Aur kyu na kaapte? Usne apni aankho se ek insaan ko dusre insaan ki jaan lete dekha tha.

Uss aadmi ne hi unhe thodi derr pehle room diya tha aur kuch derr baad hi uss safed coat waale aadmi ne uski khopdi ek jhatke me udaa dii thi.

Veer ne dekha tha ki kese uski khopdi se khoon ke chheete nikle aur agle hi pal wo zameen par dherr tha.

Ye scene Veer kabhi nahi bhul paega. Khaaskar wo safed pant coat waala aadmi.

Aur uski wo mouth organ ki dhwani...

Veer ne pehle kahi ye dhwani suni hui thi. Usse nahi yaad tha ki kaha usne suni hai aur kab suni thi. Par itna zaroor pata tha ki wo dhwani kahi na kahi usse suni sunaayi si lag rahi thi.

'He killed him... He...'

Apne kaapte hue haatho ko control kar wo firse bhaagne laga. Jitna jaldi ho sakta tha wo ghar pohuchna chaahta tha. Nidhi pareshaan hogi uske liye.

Abhi wo bhaag hi raha tha ki uske mann me ek jaani pehchaani awaaz gunji...

*Ding*

[60 points have been rewarded.]

[System has reached Level - 2]

[Congratulations master!!! Hahaha~ Ab aap mard chuke ho. Woohoo~]

'Huh? Pari??? Tum ab jaag rahi ho? What the hell? Tumhe pata bhi hai mere saath kya hua tha? I almost died. Aur tum aise waqt pe kese mujhe chorr sakti ho? Mein... Mein marrte marrte bacha hu...'

Apne master ki baat sunte hi iss baar Pari bhi thodi serious ho gayi.

[Araam se bataiye master. Mein sleep mode me thi. Aur mene time limit ek ghante ki set kari hui thi. Toh ek ghante tak mein sleep mode se baahar nahi aa sakti thi. Aur na hi mujhe kuch pata tha ki aapke saath kya ho raha hai.]

Uske baad Veer ne saari ghatna Pari ko bata dii, jisse sunn Pari khud hairaan reh gayi.

[I'm sorry master. Mujhe nahi pata tha ki mere sleep mode me jaane ke baad aisa kuch ho jaega. Warna mein nahi jaati. But aapko privacy dene ke liye mene aisa kiya tha.]

'Agli baar se jab mein kahu, tabhi sleep mode me jaana Pari!'

[Okay master!]

'Mujhe toh laga tha mene mission sahi dhang se nahi kiya aur tumhe kho diya...'

[No master! Aapne mission bhi poora kiya hai aur aapko points bhi mile hai aur saath hi saath mera level bhi badh chuka hai. Ab aap shop ko access kar sakte ho.]

Par Pari ki baat sunn Veer ne koi reply nahi diya.

Jab Pari ne iss baat par gaur kiya toh usse aur bhi hairaani hui. Uske master ke haath zorro se kaanp rahe the. Abhi tak Veer apne aap ko theek se shaant nahi kar paaya tha. Aur ye dekh ke hi Pari ko pata nahi kyu par ek bechaini sii hui. Kyuki wo Veer se judi hui thi aur uske dil me chal rahi ghabraahat ko wo acchi tarah se mehsoos kar sakti thi.

[Master! Don't worry! Mein hu na. Mere rehte koi aapka baal bhi baaka nahi kar sakta. Dekho! Aapko kitne saare points mile hai. So, don't worry!]

Usne Veer ko support dete hue kaha. Taaki uska confidence badh sake.

'Hmm? Thanks Pari! Shop aur ye sab points ke baare me hum baad me baat karenge... Abhi mujhe ghar pohuchna hai.'

[Okay Master!]

Aur Pari shaant ho gayi.

Jese tese Veer haafte hue ghar pohucha. Aur jese hi usne door bell bajaayi, kuch hi seconds ke andar darwaaza khul gaya.

Shreya ne darwaaza khol jese hi Veer ko dekha toh pehle toh wo shock ho gayi, uske baad usse thodi raahat mehsoos hui aur fir agle hi pal usse gussa chadh gaya.

"Oye mahaan aadmi!!! Kaha ghum rahe the itni derr tak? Kuch aqal waqal bhi hai ya nahi? Gaadi leke gayi hu tumhe dhundne par kahi nahi mile tum... Aur mujhse jhooth bolne ki himmat kese hui tumhari haan? Kya bole the? Apne dost ke ghar jaa raha hu? Dii ne bataya mujhe ki tumhaare dost nahi hai... Fir kaha gaye the? Ghar toh jaoge nahi tum... Bolo! Jawaab do! Warna saari raat aaj ghar ke baahar rakhungi dekh lena..."

Veer ko bina andar aane ke liye bol, Shreya wahi darwaaze par hi uski gaand maarne me lag chuki thi.

Sawaal pe sawaal khade kar diye the usne.

Par iss se pehle ki Veer apna muh khol paata, tabhi andar se duadti hui Nidhi aayi aur Veer ko dekhte hi usse ek atyant hi raahat sii mehsoos hui. Uska ghabraaya hua chehra ekdum se khushi se bhar gaya.

Aage badhte hue usne Veer ki baah pakdi aur boli,
"Kaha chale gaye the? Hum sab kitni tension me aa gaye the. Kam se kam bata ke toh jaana chahiye tha Veer."

Veer : Wo... Wo... Kuch kaam tha Ma'am.

Usne jhooth toh bol diya ye soch ke ki Nidhi se bach jaega. Par agle hi pal Nidhi ki nazre uski collor ke paas gale me pad gayi.

Aur jo usne dekha, usse dekhte hi uski aankhein phati ki phati reh gayi.

Nidhi ki nazre achanak hi neeche jhuk gayi, "Tum haath muh dho lo, mein khaana lagaati hu."

Bas! Itna bol wo sar jhukae forun hi andar chali gayi.

Veer bechaara iss soch me pad gaya ki Nidhi Ma'am ko achanak se kya ho gaya. Kyu bhala unka bartaav ekdum se badal gaya?

Tabhi Shreya ne bhi usse dekha aur uska bhi wahi reaction tha. Ganda sa reaction dete hue wo boli,
"Yaha hum tumhe itni derr se na jaane kaha kaha dhundh rahe the aur tum na jaane kiske paas se muh maar ke aa rahe ho. Men are always trash! Hmph!"

Veer bechaara stabdh sa bas darwaaze par hi khada raha. Uski toh samajh hi nahi aa raha tha ki ye achaanak se uske saath dono Nidhi aur Shreya aisa behave kyu karne lagi?

'What the hell? Pari? Why they are acting like this? Ye dono aisa kyu behave kar rahi hai Pari?'

[I don't know master! Mein bhi wahi dekh sakti hu jo aap dekh sakte ho. Mujhe nahi pata.]

'Check'

Veer ne jese hi Shreya ko check kiya toh ek aur jhatka laga usse. Shreya ki favourability jo badi mushqil se 5 par thi wo gir ke 2 pe aa chuki thi.

Aur ye dekhte hi Veer ghabra gaya. Yadi Shreya ki favourability uske prati ghat gayi hai toh iska matlab Nidhi...!?

Aur ye sochte hi wo forun hi bathroom me jaane ke liye kitchen se guzra, par guzarte hue usne Nidhi ko dekha aur apne mann me 'Check' kiya.

Aur ek baar fir usse ek zorrdaar jhatka laga.

Nidhi ki favourability jo uske prati 35 ank par thi wo ghat ke 25 pe aa chuki thi.

Tension ke maare Veer bathroom me ghusa aur jese hi usne mirror pe apne aap ko dekha toh sab kuch uski samajh me aa gaya.

Usse samajh me aa gaya tha ki kyu Nidhi aur Shreya ki favourability yu achaanak ghat gayi.

'Ohh! Shit!!!!'

Usse ab iss waqt apna maatha peetne ka mann kar raha tha.

Usne dekha mirror me ki uske gale me jagah jagah lipstick bhari hontho ke nishaan the.

[You fucked up master.]

Usne apna haath apne maathe par de maara.

'Mene sohca hi nahi tha iss baare me... Damn it!'

[It's okay master! Don't worry! Dheere dheere badh jaegi unki favourability. Jese jese aap unse accha vyavhaar karoge dekhna kese badhti hai fir...]

'Hmm! Ab batao Pari... Points aur shop ke baare me.'

[Okay! Master... Aapko 60 points mile hai. Aapne uss anjaan ladki ke saath apni virginity khoyi uske liye ye 60 points.]

'I see! Ye toh kaafi zyaada hai.'

[Hmm! Boht zyaada! Par master...]

'Hmm?'

[Aap... Wo... Aapne andar hi cum kiya tha na?]

'Huh? Nahi...'

[What? Tabhi... Yadi andar karte toh... Toh aur bhi zyaada points milte...]

'Ohh! But koi nahi. Mein risk nahi lena chaahta tha. Yadi wo pregnant ho jaati toh dikkat ho jaati. Aur wese bhi... Mene uske saath jo kiya hai uski wo haalat par... Wo mujhe maaf nahi karegi.'

[Haha~ Uska bhi solution ab available hai master.]

'Kya matlab?'

[Ek ladki tabhi pregnant hoti hai jab mardo ka sperm unke egg se jaake fuse hota hai.]

'Haa! Ye mein jaanta hu Pari! Par ab zyaada biology me mat ghusna... Mein bio student nahi hu.'

[I know master. Saral bhaasha me samjhaati hu. Basically, aapka sperm yadi ladki ke andar jaega aur ladki ka yadi safe din nahi rahega toh wo pregnant ho jaegi.]

'Haa! Ye pata hai.'

[Par kya aapne kabhi socha hai ki yadi aapke sperm me maujood unn padaarth ko nishkreeya kar diya jaaye toh?]

'Kya... Kya matlab?'

[Matlab ki... Aapke sperm me jo aham cheez hai, jis se bacche paida hote hai, yadi usse hi inactive kar diya jaaye toh?]

Pari ki baat sunte hi Veer ke shareer me ek siharan daud gayi. Wo bhali bhaati samajh chuka tha Pari kya kehna chaah rahi thi.

'No! Ye impossible hai. Aisa kese ho sakta hai?'

[Fufu~ Master! Ye aap keh rahe ho? Ye jaante hue ki mein ek system aapke andar hu, aapse baat kar sakti hu, aapke stats badha sakti hu aur fir bhi aap aisi baatein kar rahe ho.]

'Par... Ye sab...'

[Possible hai.]

Pari ki baat sunn Veer kuch derr maun raha. Usse ek ke baad ek jhatke lagte jaa rahe the. Ye kesi zindagi ho gayi hai uski? Shaanti se saas tak nahi le paa raha tha wo. Kuch na kuch hota hi rehta tha uske saath.

'Par kese? Pari...!?'

[Yahi pe toh ye shop kaam aati hai master. Ab mein level 2 par aa chuki hu. Toh ab aap ye shop ko access kar sakte ho. Shop khul chuki hai.]

'Aur iss se kya hoga?'

[Mann me kahiye Master ~ 'Shop']

'Shop'

Aur uske itna kehte hi uske mann me ek window khul gayi jiske upar bade bade aksharo me shop likha hua tha.

Saath hi saath ek search bar bhi maujood tha wahi.

'Ye kya hai Pari?'

[Search bar pe jaaiye aur waha mann me hi boliye~ Sex protection.]

Apne mann me hi Veer ne ek mouse pointer imagine karte hue wo usse search bar me le gaya aur udhar jaate hi usne mann me hi kaha ~ Sex protection.

Aur tabhi system ne search karte hue uske saamne ek result rakh diya.

[Skill : Sex protection.
Ability : Shukraano me maujood aham padaarth ko nishkreeya karne me saksham. Athaarth, sambhog ke baad bhi aurat garbhvati nahi ho paegi chaahe kitne bhi shukraano andar kyu na chorr diye jaaye.
Ye ek pragatisheel virudhh skill hai. Na hi iska level badhaaya jaa sakta hai aur na hi ghataaya. Istemaal karne ke liye mann me hi Sex protection on ya sex protection off kehna hoga.

Price : 50 points]

Sab kuch padhne ke baad Veer ka dimaag hi ghoom gaya. Ye kya vichitr maaya thi? Kesa jaadu tha ye?

'Yaani... Yadi mein isse on kar lu... Toh mein chaahe jitna bhi paani andar gira lu, ladki pregnant nahi hoegi?'

[Yes master!]

'What the hell? Ye kesi kesi skills maujood hai.'

[Aisi jinhe aap imagine bhi nahi kar sakte. Par abhi mein level 2 pe hu isliye zyaada skills nahi khuli hai. Luckily, ye level 2 pe khul jaati hai. Isliye available hai. Toh master? Khareedna hai?]

'Hmm? Kitne ki hai? Wait! 50 points?! What the fuck!!? Itni mehngi!'

[Free me kuch nahi milta master. Kisi cheez ko paane ke liye uski ahamiyat ke jitni rakam bhi chukaani padti hai. Aur ye toh fir bhi sabse sasti skills me se ek hai.]

Pari ki baat sunn Veer ne apna thook nigla. Kya kaha Pari ne? Ye sabse sasti skills me se ek hai? Iska matlab iss se aur bhi mehngi skills maujood hai?

[Toh bataiye? Khareedni hai master!?]

Veer ne socha ki kese aaj wo ladki usse yu kamre me le gayi thi aur uske saath sex kari. Yadi Veer ne uss waqt apna paani uske garbh me chorra hota toh zaahir hai ki wo pregnant ho sakti thi. Aur aise me baad me ussi ki gaand marrti. Wese abhi bhi uski gaand marr sakti thi, kyuki usse nahi pata tha hosh aane ke baad kesa react karegi wo ladki.

'Hmm! Khareedna hai mujhe...'

Aur bas fir kya tha...

*Ding*

[Sex protection skill is available to use now.]

[Master! Jab bhi aap chaahe isse on ya off kar sakte ho.]

'Mere... Wo... Cum ko kuch hoega toh nahi?'

[Kuch nahi hoga master. Sab kuch pehle jesa hi rahega. Aapko tension lene ki koi zaroorat nahi!]

'Haash!!'

Veer ne ek raahat ki saas bhari.

'Toh istemaal kese karna hai isse Pari? Bas bolna hai?'

[Haa master! Kahiye sex protection on.]

Aur Veer ne wahi kaha. Au agle hi pal awaaz aayi,

*Ding*

[Sex protection has been turned on.]

Ab jab jab Veer apna paani kisi bhi aurat ke garbh me giraega uske baad bhi wo aurat garbhwati nahi hoegi. Yahi toh jaadu tha iss skill ka.

Bathroom se baahar aate hue wo, Nidhi, Shreya aur Juhi samet dinner karne laga.

Par iss waqt mahaul bada hi tang tha. Koi kuch bhi nahi bol raha tha aur mahaul itna awkward ho gaya tha ki ab toh khaana khaane me bhi unhe ajeeb lag raha tha. Shaanti itni ki unke muh se chabaane tak ki awaaz saaf saaf sunaayi de rahi thi.

Tabhi Juhi ki awaaz Veer ke kaano me padi,
"Mama! Aap kaha gaye the? Didi dhundne gayi thi aapko."

"Pfffttt~ Hahahahahaha!!!"

Na chaahte hue bhi Shreya ki hassi chooth gayi aur Juhi ke Veer ko Mama bulaane se pal bhar me hi wo tang mahaul khush-haal ho utha.

Juhi ki baat sunn Nidhi ne bhi ek nazar utha ke Veer par daali aur Veer ne bhi wahi kiya.

Par dono ki hi nazre aapas me milte hi dono ne nazre ferr lii.

Nidhi ne nazre ferri thi uska kaaran toh wo khud nahi samajh paa rahi thi. Jabse usne wo nishaan Veer ke gale par dekhe the tab se hi wo kuch alag sa mehsoos kar rahi thi. Usse bas itna pata tha ki wo abhi Veer ka saamna nahi karna chaahti thi aur shayad isliye wo usse avoid kar rahi thi.

Aur Veer ne nazre isliye ferri thi kyuki wo Nidhi ki naraazgi nahi dekh paa raha tha. Usse pata tha ki Nidhi uss se naraaz hai kyuki wo itne samay tak baahar tha bin bataaye aur jab laut ke aaya toh uske gale pe nishaan the hontho ke. Zaahir sii baat thi Nidhi uski harqat pe naraaz thi.

Jo ki sach bhi tha.

Par asal sach toh iss se badh ke tha...

Jo na hi Veer jaanta tha aur na hi Nidhi...

Ki bhala kyu iss waqt Nidhi aisa bartaav kar rahi thi.

Veer : Mein kaam se gaya tha Juhi...

Veer bechaara firse jhooth toh nahi bolna chaahta tha par ab Juhi ke saamne toh bolna hi tha...

Uska ye jawaab sunn dono hi Nidhi aur Shreya usse pal bhar ke liye dekhi jesi maano kehna chaah rahi ho ki, 'Bhagwaan se toh darr... Bacchi se toh mat jhooth bolo'

Veer ne awkwardly fake smile dii aur forun hi topic badal diya,
"Wese! Juhi... Aap inhe didi kyu bulaati ho? Ye toh aapki mausi hui na?"

Juhi : Haa! Par ye didi meko khud bolti hai ki mein inko didi bulau... Kehti hai wo ki abhi unki umar hi kya hai aur mausi sirf aunty jese logo ko bulaaya jaata hai. Isliye...

"Pfffttt~ Hahahaha!!!!"

Iss baar Veer ki baari thi hassne ki.

Shreya muh fulaaye sharminda hote hue Juhi ko dekh rahi thi...

'Ye Juhi bhi na... Sab kuch pok deti hai...'

Mann me sochte hue wo keval Veer ko hasste hue hi dekh sakti thi.

Juhi ki baato se aaj ke ye tang mahaul toh kuch hadd tak sudhar gaya tha par aage kya hone waala tha? Ye toh koi nahi jaanta tha.

***

Agli subah chidiyo ki cheh-chahaahat se aur saath hi saath phone par baj rahi halki dhwani ki ringtone se ek khubsoorat sii ladki ki aankh khuli.

Wo apne ghar me ek king size bed par laiti hui thi.
Ghar kya bangla kehna sahi hoga. Aur ye ek bangla thodi tha uska, na jaane kitne ghar bangle aur na jaane kya kya tha uske paas rehne ko.

Usne bauhe sikodte hue phone uthaaya aur alarm band kiya. Fir wo uthi hi thi bistar se ki tabhi uske ek tezz dard hua apne guptang me...

"Aaahhh!!!"

Aur wo agle pal hi waapas se bistar par baith gayi.

Jii haa! Ye wahi ladki thi, jiske saath Veer ne apni virginity khoyi thi.

Usse chalne me dikkat aa rahi thi. Zaahir sii baat thi jab virginity lose ho toh agle din chalne me thodi dikkat hoti hi hai.

Uska saara hangover sone ke baad khatam ho chuka tha. Ab jese usse kal raat ki saari vardaate yaad aa rahi thi.

Kese wo bekaar se mood me baahar nikli thi...
Kese uska mann hua tha ki wo local clubs ko explore karegi...
Kese wo club ke baahar uss anjaan ladke se mili thi...
Kese uss se baatein karte karte usse life ke baare me kitni kuch baatein pata chali...
Kese wo uske saath room me gayi thi...

Uske baad usse kuch yaad toh nahi tha par usse samajhne me derr na lagi ki aage kya hua hoga uske saath.

'So... I lost it huh... My Virginity!!'

Par wo sab jaan'ne ke bawajood uske chehre par koi expression nahi the.

Wo keval baithi hi rahi, kisi aur hi soch me doobi hui thi.

Usne gaur kiya ki wo abhi apne kal ke kapdo me nahi thi. Balki uske kapde badal diye gaye the.

Usse jese pata tha ki kapde kisne badle honge. Ghar ki head maid ~ Julia.

Wahi saari maids ko sambhaalti thi aur wahi apni Miss ki dekh bhaal karti thi.

Agle hi pal uski nazar apne bed pe rakhe purse par gayi. Aur uski chain kholte hi usse Veer ke dwara likhi gayi ek paper ki slip mili.

Usme uska naam aur uska phone number likha hua tha.

'Veer...' Uss naam ko dekhte hue wo dheere se budbudaayi...

Aur uska number usne apne phone me ussi naam se feed kar liya.

Tabhi uske kamre me Raghu daudta hua ghusa...

"Miss aapko hosh aa gaya..."

Kehte hue usne khushi se jhoomte hue ek phulo ka guldasta uske haatho me thama diya...

Tabhi Raghu ke gale ko kisi ne peeche se apni baah me dabocha aur bola,
"Tere ko kitni baar mana kiya hai ki bina puche Miss ke kamre me nahi ghusa kar. Yadi wo dress change kar rahi hoti toh? Teri haddi pasli tod deta mein."

"Abey yaar Jassi! Chorr mujhe... Dekh... Choke karna meko bhi aata hai... Oyee...."

Jassi ke chorrte hi Raghu lambi lambi saasein lene laga.

Jassi : Maaf karna Miss! Isko mein baad me dekh lunga.

Ladki : It's okay!

Aur dono hi dekh ke firse udaas ho gaye. Unki Miss ke chehre par koi muskaan nahi thi.

Jassi : Aapko kuch bataana hai Miss.

Ladki : Hmm??

Uske baad Jassi ne kal raat ki poori baatein apni Miss ko bata dii. Ki kese Veer ne usse bachaaya aur kese unn dono ne Veer ke haatho se usse lekar yaha laaye.

Aur ye sunte hi wo ladki hairat me padd gayi.

Ladki : Itna sab kuch ho gaya aur mujhe hosh hi nahi tha...

Raghu : Miss! Aap uss ladke ke saath upar kya kar rahi thi? Kahi usne aapke saath kuch galat toh nahi kiya na? Yadi usne kiya hoga na toh khaal ukhaad dunga uski mein...

Jassi : Oye! Shaant!

Raghu : Hmph!

Raghu ki baat sunn wo ladki thodi soch me pad gayi aur firr usne naa me sar hila diya.

Raghu : Haaash! Chalo accha hai! Warna mere haatho marrta...

Jassi : Kal raat wo sab ussi ke aadmi the Miss.

Ladki : Ohh!

Jassi (Bauhe sikodte hue) : Aap laaparwaah ho rahi ho Miss.

Ladki : Huh?

Jassi : Wo aadmi khud aaya tha waha pe...

Raghu : Oye Jassi! Miss ko kyu bol raha hai? Unka mann tha isliye wo gayi thi. Aur rahi baat uss aadmi ki toh wo saala sirf uss SLOGAN ke kaaran itna ucchal raha hai. Yadi bade maalik chaahe toh yu usko udwa de... Par Slogan hi hai jo saala... Dikkat de deta hai. Aur ussi ke kaaran ye aise aise ucchalne lage hai.

Jassi : Wo jo bhi ho... Fact ye hai ki kal wo aaya tha. Aur aapko le jaane me kaamyaab bhi ho jaata yadi wo ladka apni chaturaayi se uski nazro se bachkar aapko baahar nahi laata.

Ladki : I see...

Jassi : Aap apni care nahi kar rahi ho Miss!

Ladki : Huh?

Jassi (Bauhe sikodte hue) : Thoda dhyaan dijiye apne upar...

Jassi ki baat sunn wo ladki dheere se haa me sar hilaayi aur fir Jassi Raghu ko kheechte hue baahar le gaya.

Wo ladki kamre me baithe baithe hi kuch kuch soch rahi thi. Na jaane kya chal raha tha uske dimaag me.

Usne ek akhiri jhalak firse apne phone me naye contact Veer par daali aur fir apna phone band kar wo bathroom me ghus gayi.
 
OP
S
Member

0

0%

Status

Offline

Posts

28

Likes

2

Rep

0

Bits

0

5

Years of Service

LEVEL 1
100 XP
Update - 12 ~ Shopping
Ab tak...

Wo ladki kamre me baithe baithe hi kuch kuch soch rahi thi. Na jaane kya chal raha tha uske dimaag me.

Usne ek akhiri jhalak firse apne phone me naye contact Veer par daali aur fir apna phone band kar wo bathroom me ghus gayi.

Ab aage...

Pari se Veer ko 60 points mile the, jinme se 50 points usne skill khareedne me laga diye the. Aur baaki ke points apne stats me laga diye the.

Usne 5 points strength me daale, 3 points intelligence aur 2 points appearance me.

Ab uske stats kuch iss prakaar the.

[ Stats :
Strength - 15/100
Intelligence -11/100
Agility - 3/100
Endurance - 7/100
Appearance - 9/100]

Agli Subah Veer ko apne aap me halka fulka change mehsoos hua aur aaj Shreya ne jab usse dekha toh wo bhi usse dekh ke sawaal karne lagi thi.

Shreya : Oye! Raat ko facewash pot ke soya tha kya? Kuch khila khila sa lag raha hai chehra.

Veer : Nahi toh!!!

Naashte ke time Nidhi naashta serve karte hue college jaane ke liye ready thi aur wo bhi bas naashta karne baithne hi waali thi.

Dining table par Veer aur Shreya ko wo pehle hi serve kar chuki thi aur saath me baithate hue usne apna naashta shuru kiya.

Juhi pehle hi school jaa chuki thi toh uski koi tension nahi thi. Auto aata tha aur Juhi ko le jaata tha.

Abhi Nidhi kha hi rahi thi ki usse apne upar kisi ki nazro ka abhaas hua aur usne chehra uthaate hue dekha toh paaya ki Veer usse hi dekh raha tha. Dono ki nazre milte hi Veer ne apni nazre jhuka lii aur Nidhi ne bhi yahi kiya.

Kal se pata nahi kyu, wo Veer ka saamna nahi karna chaahti thi. Wo chaahti thi ki sab kuch pehle jesa ho jaaye aur wo normally baat karne lage but uske bawajood uski himmat nahi ho rahi thi ki wo Veer se baat kar paaye.

Usse bada hi atpata lag raha tha. Kese wo jaaye aur Veer se firse normally baate kare. Par kal ke uss scene ke baad se Nidhi bechaari bilkul bhi himmat nahi kar paa rahi thi.

Aur yahi haal Veer ka bhi tha. Wo Nidhi se baat karna chaah raha tha par wo khud iss conversation ko kese start kare usse samajh me nahi aa raha tha.

Harr baar wo muh kholta kuch kehne ke liye par alfaaz nikalte hi nahi the.

"Mein chalti hu." Aur Nidhi agle pal hi apni naashta khatam kar uth gayi.

Kuch zyaada hi jaldi me thi wo, jese jald se jald ghar se nikalna chaahti thi.

Veer ek baar fir kehne ke liye hua par uske honth khulte hi band ho gaye aur Nidhi uski nazro se darwaaze se baahar nikal ke ojhal ho gayi.

'Damn it!'

Mann me usne apne aap ko kosa...

Sirf baat hi toh karni thi. Fir kyu usme himmat nahi aa rahi thi? Glaani sabko akhir baandh hi deti hai.

***

Idhar Nidhi kuch derr baad college pohuch chuki thi par uske mann me na jaane kya chal raha tha.

Veer ki class me wo enter karte hue pehla lecture lene lagi. Black board me haath toh zaroor chal rahe the uske par dhyaan kahi aur hi tha.
"Ma'am! Aapne 4th step galat kiya hai..."

Uske kaano me ek ladki ki awaaz padi. Palat ke usne usse dekha aur fir waapas se apne likhe gaye solution ko. Aur waqai, usne galat solve kar dii thi ek equation.

"Ohh! Sorry! Students! Ye step galat hai. Sorry!"

Kehte hue usne wo mitaara aur waapas se usse solve kar sahi kar diya ki tabhi,

"Ma'am! 6th step bhi galat hai..."

"Huh??"

Nidhi ne firse apne solution par gaur kiya aur firse usne mistake sahi karte hue dobaara se sudhaar kiya.

"Sorry! Students!"

"Ma'am aap theek ho na? Kuch pareshaan sii lag rahi ho."

Saamne baithi ussi ladki ne uss se sawaal kiya toh Nidhi bhi uski desk ke paas aa gayi.

Nidhi : Itna obvious dikh raha hai?

Ladki : Haa Ma'am! Saaf dikh raha hai aap pareshaan ho.

Nidhi (sar jhukaate hue) : Haa beta! Bas thodi idhar udhar ki baatein dimaag me chalti rehti hai.

Ladki : It's okay! Ma'am! Sabhi ki life me ye rehta hai. Aap yadi chaaho toh rest kar sakti ho. Hum sabhi apna work kar lenge.

Nidhi : Sach? Koi shikaayat toh nahi hogi na tumlogo ko?

Ladki : No ma'am! Wese bhi boht pending work hai humaare paas.

Aur Nidhi ne fir saare students se confirm kar unhe apne period free period ke roop me de diya. Bacche apna koi bhi work kar sakte the. Nidhi wahi saamne rakhe podium ke paas hi khadi rahi aur apne vichaaro me khoyi hui thi.

Lunch hua aur wo staff room me apni seat par baithe lunch karne hi jaa rahi thi ki tabhi uske kaano me kisi mard ki awaaz padi,

"Kese rahe morning lectures Nidhi Jii!"

Palat ke Nidhi ne dekha toh paaya ek uske hi jitni umr ka professor uske peeche khade hue tha.
Ye bhi same department me tha.

Nidhi : Acche the Vikaas Sir!

Vikaas ne ek jhalak Nidhi ko neeche se upar dekha. Laal aur kaali saadi me gazab ki lag rahi thi woh. Bilkul qayamat. Upar se abhi abhi paki hui thi. Vikaas jaanta tha Nidhi ki married life ast vyast hai. Usse bhi ye doubt rehta tha ki saala aisa maal chorr ke aadmi kese reh sakta hai bhala?

Bhale hi Vikaas ne badi chaturaayi se Nidhi ke jism par nazar maari thi par Nidhi thi toh ek aurat. Ek hi jhatke me usne Vikaas ki nazro ko pakad liya tha ki wo kaha ghum rahi thi. Aur uska abhaas hote hi Nidhi ke chehre par pal bhar ke liye ghrina ke bhaav aaye par agle hi pal usne apne aap ko waapas se normal kar liya.

Vikaas : Aaj Sweety Miss, Jatin Sir, Komal Ma'am, inn sabhi ko mein party de raha hu canteen me. Chaliye aap bhi!

Nidhi ne ek smile dii aur boli,
"Sorry Vikaas Sir! Mein aaj wese hi thodi thaki hui hu. Aur Tiffin bhi aise me waste ho jaega."

Vikaas : Arre! Aapka tiffin mein waste nahi hone dunga. Laaiye! Apake haatho ka khaana aaj mein khaa lunga. Aur aap sabhi aaj jo bologe wo canteen me mein khilwaunga.

Nidhi : Baat wo nahi hai Sir! Mene kaha na, aaj mein kaafi thak gayi hu. Toh aap rehne dijiye...

Iss se pehle ki wo apni baat poori kar paati, Vikaas ne usse beech me hi kaat diya.

Vikaas : Chaliye! Aap thak gayi hai na? Aur tiffin bhi waste nahi hone dena chaahti. Toh mein aapke liye yaha canteen se pack karwa ke laata hu aur aapka ye tiffin mein yaha baith ke aapke saath kha lunga. Ab theek? Isme toh koi dikkat nahi hai?

Bechaari Nidhi ab badi hi duwidha me phass chuki thi. Ye Vikaas toh uska peecha hi nahi chorr raha tha.

Abhi wo kuch uttar de paati uske pehle hi usse kandhe par ek haath mehsoos hua jo ki kisi aur ka nahi Vikaas ka tha.

Aur haath ko mehsoos karte hue wo ekdum se peeche ho gayi,

Nidhi : Ye kya kar rahe ho aap?

Vikaas : Mein toh bas aapko comfort de raha tha.

Nidhi : No! I'm fine! Aapko koi zaroorat nahi hai.

Vikaas : Fine! Fine!

Vikaas apne dono haath khade kar waha se nikal gaya.

Aur Nidhi idhar boht hi bekaar feel kar rahi thi. Kese dekh raha tha wo Vikaas usse. Upar se tab jab wo khud already shadi shuda hai.

Nidhi ne nazre daudaayi toh paaya ki kuch lady teachers baith ke usse dekh dekh ke khuspusaate hue baatein kar rahi thi.

Ye sabhi dikhne me bilkul bhi sundar na thi aur jab inhone dekha ki kese Vikaas Sir uss Nidhi ke paas jaa jaa kar usse mana rahe the aur kese uss Nidhi ne unhe mana kar diya toh bhala ye baat kiye bina kese reh sakti thi?

Teacher 1 : Dekha tumne? Vikaas Sir aake usse kitna manaaye fir bhi harqate dekho uski... Muh pe mana kar diya.

Teacher 2 : Aur nahi toh kya... Bhaav kitna khaati hai ye. Khud ko badi hi actress samajhti hai. Nakchadi kahi ki.

Teacher 3 : Pati bhi chorr ke chala gaya iska toh... Ab mein samajh gayi kyu gaya... Iski harqate hi aisi hai.

Teacher 1 : Haa! Attitude toh dekha iska. Ek toh Sir yaha tak laane ke liye lunch taiyaar the par dekho toh...

Teacher 2 : Aisi aurte hoti hi aisi h... Apne husn se dusro ko fassaati hai. Aur saamne aisa dikhaengi jese bilkul raani ho par peeth peeche na jaane kya kya karti hai...

Bhale hi ye teeno teachers dheere baat kar rahi thi. Par uske bawajood Nidhi ko sab kuch sunaayi de raha tha.

Apna nichla honth daato se dabaaye wo uthi aur bina lunch kiye hi washroom me chali gayi.

Andar washroom me jaate hi usne gate band kiya. Uski aankho se ek aasuo ki dhaar nikal, gaal se fisalte hue neeche giri aur uski rulaayi chooth padi.

Sar jhukaaye aur apne nichle honth ko zorr se daato tale dabaaye wo aankhein bheenchte hue unhi sab baato ko sochne lagi.

Vikaas ki wo gandi nazar...
Uska usse haath lagaana...
Unn teachers ki baatein...

Fir usse achaanak hi Veer ke saath wo pal yaad aaya jab usne uss se kuch baatein kahi thi...
'Tumhari aankhein kabhi bhi nahi bhatki... And that's why... I believe you!'

Ye vaakya usne Veer ko kaha tha. Wo pal yaad karte hi Nidhi ka dil shaant sa hone laga. Araam sa mehsoos karne laga. Wo anjaane me hi muskuraane lagi.

Aur fir achanak se usse kal ka scene yaad aaya,

Wo Veer ke gale me lage hontho ke nishaan....

Ye sochte hi usne apna sar zorro se hilaaya.

'What is wrong with me? Wo mera chota bhai jesa hai. Aur iss umr me toh ye sab hota hi hai. Koi hogi uski gf jo usne kal banayi hogi. Mujhe kya karna? Infact mujhe toh khush hona chahiye uske liye. Finally, usse koi mila aur ab uska saathi bana. Fir mein kyu itna tension le rahi hu? Right! I need to confront him.'

Aur yu hi aaj ka din uska inn sab se guzra.

***

Shaam ko Nidhi jab thak haar ke waapas lauti toh teeno Veer, Shreya aur Juhi aapas me hi gapshap me lage hue the.

Nidhi : Kya baatein ho rahi hai?

Shreya : Kuch nahi! Bas avayii

Juhi : Mummy!! Aaj special dinner banega na??

Nidhi : Ohh noooo....

Juhi ki baat se usse yaad aata hai ki wo toh samaan khareed ke laayi hi nahi.

Nidhi : Mein aati hu samaan leke...

Tabhi Veer khada ho jaata hai,

Veer : Ma'am! Aap rehne dijiye... Mein chala jaata hu. Aap thak gayi hongi...

Nidhi : Nahi! Tumhe nahi pata hoga kya laana hai aur kese dekh ke laana hai.

Veer : Umm... Shreya jii ko pata hai?

Nidhi : Usne toh apne jeevan me aaj tak sabzi bhi na lii hogi.

Shreya : Heyyyyyy! Mene ek baar lii hai okay?

Nidhi : Aur wo bhi kharaab leke aayi thi...

Shreya (blushes) : Sabke saamne batana zaroori tha kya?

Ek gehri saas lete hue, Nidhi khud jaane hi waali thi ki Veer fir se bol pada,
"Toh fir mein drive karta hu Ma'am. Aap peeche baith jaana. Aap thak gayi hongi. Aap bataati jaana wo wo samaan mein rakhwa lunga."

Uski baat sunn pal bhar ke liye Nidhi usse dekhi...

Nidhi : O... Okay!!

Badi hi dheemi awaaz me wo boli aur kuch hi palo me wo dono ab raaste me the. Nidhi Veer ke peeche baithi hui thi aur uski scooty Veer drive kar raha tha.

Par dono ke beech distance tha, jo Nidhi ne jaan bujh ke banaaya tha. Wo Veer se kaafi dur baithi hui thi. Veer ko aisa lag raha tha jese maano peeche koi baitha hi nahi hai.

'Pari! Nidhi Ma'am ki favourability kitni hai?'

[Utni hi hai master! 25]

'Shit! Wo mujhse zaroor naraaz hai. Kuch na kuch karna hi hoga.'

***

Iss waqt Nidhi aur Veer mart me se khareed-daari kar rahe the. Wese toh Nidhi baahar se kuch manga ke khila sakti thi but ab jab usne pehle hi bol ke rakha tha toh bhala wo apne vaade se peeche kese hatt sakti thi?

Veer masaale ke kuch packets dhund raha tha toh wahi dusri jagah Nidhi kuch aur samaan dhundne me lagi thi aur dono hi counter ek dusre se alag alag jagah the.

Aap bhi yadi bade mart me jaate hoge shopping karne toh aapne dekha hi hoga ki kese alag alag stands me samaan rakhe rehte hai aur log apni apni trolley liye ghumte hai aur samaan uthaate hai jo unhe chaahiye rehta hai.

Nidhi ne Veer ko kuch samaan bata diye the jinme usse dhundne me dikkat nahi jaane waali thi.

Abhi Nidhi ek packet me uski manufacturing date dekh rahi thi ki tabhi uski trolley par kisi ne haath rakha aur uske kaano me ek jaani pehchaani awaaz padi,

"Kya hi ittefaaq hai. Mujhe nahi pata tha aap bhi yaha hongi Nidhi jii!"

Nidhi nee nazre uthaayi aur agle pal hi uski bauhe chinta ke maare sikud gayi.

"Vikaas Sir aap yaha?"

Wo jise bilkul bhi nahi dekhna chaahti thi wo shaks uske saamne khada tha.

Vikaas : Aapne din me hume boht hi buri tarah thukraaya tha... I mean humaare invitation ko...

Nidhi : Mera koi galat intention nahi tha. Mein accha feel nahi kar rahi thi uss waqt aur isliye...

Vikaas : Isliye toh hum aapki baato ka bura nahi maante hai, Nidhi Jii! Hum jaante hai naaaa...

Usne kehte hue nazre ek baar fir Nidhi ke badan par daali aur usse neeche se upar tak taada.

Uncomfortable feel karte hue Nidhi thoda peeche hati par boli kuch nahi.

Vikaas : Wese aapne abhi tak kapde bhi nahi badle?

Nidhi (bauhe sikodte hue) : Kapde toh aapne bhi nahi badle hai.

Vikaas (hasste hue) : Jii haa! Jii haa! Kya karu? Biwi ki baat maan'ni padti hai Nidhi jii! Aur ghar me khaane me bhi help karni padti hai warna ghar se baahar...

Nidhi : Toh ye toh accha hai na? Ghar me pati patni ko ek dusre ki madad karni hi chahiye...

Vikaas (paas jhukte hue) : Yadi aaapke jesi biwi ho toh mein toh khud khaana banau aapke liye...

Uski baat sunn Nidhi ekdum jhep sii gayi...

Nidhi : Jii???????

Vikaas : Mera matlab hai... Aap kitni caring ho... Dekhiye! Aap turant yaha kaam se chuuth'te hi shopping karne aa gayi. Aur waha meri wife hai jo bas kaam pe kaam diye jaati hai. Usse bhi aapki tarah hona chahiye...

Nidhi (peeche khisakte hue) : Jo khubiyaa unme hai wo mujhme nahi... Harr vyakti ka swabhaav alag hota hai.

Vikaas : Humse puchiye... Aapme saari khubiyaa hai...

Vikaas ki baat sunn Nidhi ganda sa muh banaate hue usse dekhti hai, Vikaas ki nazre uske stano par thi...

Vikaas : Wo saari khubiyaa jo ek mard ko chaahiye...

Nidhi : Kya kaha aapne?

Nidhi toh wese yaha chaata maarna chaahti thi usse par wo jaanti thi iska anjaam kya hone waala tha aur isliye usne Vikaas ki baat ko yu ansuna kar uss se sawaal kiya taaki Vikaas ko hosh aaye ki wo kitni ghinoni harqat kar raha hai.

Vikaas : Mera matlab... Aap me harr wo quality hai Nidhi jii, jo ek mahila me honi chahiye.

Nidhi ne bina jawaab diye, waha se aage badhna hi behtar samjha...

"Jii! Ab mein chalti hu."

Bolke wo aa toh gayi agle stand par ye soch ke ki Vikaas chala jaega par usse kya pata tha ki jaha jaha wo jaegi wahi wahi Vikaas aa jaega.

Jis bhi stand par wo jaati, Vikaas uske bagal se aake kuch na kuch samaan tatolne lagta aur trolley me rakh leta.

Nidhi kuch bol bhi nahi sakti thi. Bhale hi Vikaas wo saara samaan baad me waapas stand par rakh de par abhi toh woh uski trolley me tha aur aise me wo usse ye nahi bol sakti thi ki wo uska peecha karna band kar de.

Kyuki Vikaas samaan trolley me daalta jaa raha tha.

Nidhi ki nazre iss waqt Veer ko poori bekaraari se dhund rahi thi. Par wo kisi bhi stand ke aas paas dikhaayi nahi de raha tha.

'Just where is he????'

Haatho ko yu aapas me uljhae wo chalti jaa rahi thi aur nazre daudaati jaa rahi thi par Veer kahi nazar nahi aa raha tha.

Abhi wo Veer ko dhundna jaari rakhti tabhi uske kandhe pe ek haath pada,

"Aap ye kyu nahi le jaati???"

Vikaas uska kandha thaame ek kids ke koi product ki orr ishaara kar raha tha.

Aur agle hi pal Nidhi ne khud ko uske haatho ke sparsh se mukt karte hue khud ko peeche kiya.

Nidhi : Jii nahi! Mujhe pasand nahi hai ye!

Vikaas : Accha? Ek baar aap apni beti ko dena. Mera beta toh maangta hi rehta hai ye.

Vikaas ki taraf wo apni peeth kar aage badhne lagi ki tabhi firse ek haath uske kandhe par pada aur bas...

Usse ab gussa aa chuka tha...

"Just leave me alone...."

Usne thoda tezz swar me chillaaya...

"Huh???"

Aur tabhi Nidhi ko ek jhatka laga, fir thodi raahat sii mehsoos huyi, fir thodi khushi, fir glaani aur ant me usse ab atpata sa lagne laga.

Saamne Veer khada hua tha. Uska haath hi uske kandho par tha.

Veer : Wo mein toh bas...

Kehte hue wo apna haath Nidhi ke kandhe se uthaane laga ki tabhi Nidhi ne apne haath se uska haath thaama aur waapas apne kandhe par rakhwa liya. Usse khud iss baat ka andaaza nahi tha abhi ki wo kya kar rahi thi. Ye sab jese apne aap ho raha tha.

Wo jese chaah rahi thi...

Ki Vikaas ke gande haatho ka sparsh Veer ke haath ke sparsh se mit jaaye.

Aur isliye wo Veer ka haath yu thaame thi. Na jaane wo kabse Veer ko talaash rahi thi, aur ant me wo aa hi gaya.

Vikaas peeche khade thoda jhep se gaya kyuki usne dekha kese Nidhi ekdum se bhadak gayi thi. Abhi wo khud iss hamle ka shikaar ho jaata yadi wo apni limit cross karta. Par uske mann me ek hi sawaal tha ki ye banda hai kaun?

Nidhi : Kab se dhund rahi thi tumhe...

Veer : Wo sab chorriye aap theek toh ho na?

Nidhi (nods) : I'm fine!

Veer Nidhi ko ghurta hai aur tabhi uske mann me awaaz gunjti hai,

[I think wo peeche waala banda Nidhi ko harrass kar raha tha master.]

Aur agle hi pal Veer peeche mud Vikaas ko dekha.

Veer : Any problem??

Vikaas : No! Wese aapne bataya nahi Nidhi jii! Ye hai kon?

Veer : I'm her...

Nidhi : He's like my brother...

Iss se pehle ki Veer kuch keh paata Nidhi ne pehle hi apna uttar rakh diya, jisse sunn kahi na kahi Veer ko accha nahi laga.

Vikaas : Hahaha! Accha! Matlab real bhai nahi ho...

Veer : Real bhai nahi hu but bhai ki tarah hifaazat karna acche se jaanta hu.

Aur ye vaakya sunte hi agle hi pal Nidhi ne apna nichla honth daant se daba liya. Ab usse kahi na kahi lag raha tha jese usse wo uttar nahi dena chaahiye tha. Par uski koi galti nahi thi...

Jese Veer ke gale me lagi wo lipstick waale scene ne usse majboor kar diya tha wo kehne ke liye.

Vikaas : Acchi baat hai! Aisa hi hona chaahiye! Chaliye! Nidhi! Jii! Chalta hu mein...

Aur itna bol Vikaas waha se chala gaya.

Veer : Aapne virodh kyu nahi kiya???

Nidhi : Kyaa?

Veer : Anjaan mat baniye ma'am! Wo ghinona aadmi aapke saath aisa kar raha tha aur aapne kuch nahi kaha? Wo toh yadi Pari mujhe na.... I mean yadi meri nazar na padti toh wo na jaane kya kya harqat kar sakta tha...

Nidhi : It's... It's okay! Jaane do!

Veer : And you're fine? Really?

Nidhi (chillaate hue) : Nooooo! Not at all!!! I'm not fine!!!!

Waha maujood sabhi log Nidhi ko ghur ke dekhne lage...

Aur Nidhi Veer ko pakad samaan khareed ke baahar le gayi...

Iss waqt dono hi gaadi par sawaar the. Dono me se koi kuch nahi keh raha tha.

Par ek baat alag thi.

Iss baar Nidhi ekdum peeche nahi balki uss se satt ke baithi thi.

Aur iss baar...

Veer Nidhi ka haath apne kandhe pe aur saath hi saath uske stan apni peeth pe, bhali bhaati feel kar sakta tha.

'Pari! Favourability kitni hai?'

[Nidhi ki favourability ab 30 ho gayi hai master.]

Aur Veer ke chehre pe iss baar muskaan aa gayi.

'At least! Pehle se sab better hai.'
 
OP
S
Member

0

0%

Status

Offline

Posts

28

Likes

2

Rep

0

Bits

0

5

Years of Service

LEVEL 1
100 XP
Update - 13 ~ Visiting College
Ab tak...

'Pari! Favourability kitni hai?'

[Nidhi ki favourability ab 30 ho gayi hai master.]

Aur Veer ke chehre pe iss baar muskaan aa gayi.

'At least! Pehle se sab better hai.'

Ab aage...

Vikaas ne jo kuch bhi harqate Nidhi ke saath ki thi, Veer unn harqato ke baare me jaan'ne ke baad boht hi gusse me tha.

Veer uss Vikaas ko bhali bhaati jaanta tha. Akhir Vikaas ussi ke department me jo tha. Par Vikaas Veer ko nahi jaanta tha. Veer ek loner jo tha. Akele baithna, logo se dur rehna, baat cheet na karna aur uska itna sadhaaran sa chehra jese logo ko uss par nazar daalne se rokta tha.

Wahi dusri orr Vikaas ki banaavti charming personality jo madam se lekar college ki ladkiyo tak mashoor thi, wo bhala kaha Veer jeso par dhyaan dene waala tha. Yahi kaaran tha ki jab usne Veer ko Nidhi ke saath dekha toh wo usse pehchaan na saka. Upar se Veer ne apne appearance me bhi kuch points add kiye hue the, jiske chalte uske chehre par ab halka nikhaar sa jhalakta tha.

Shopping se aane ke baad Nidhi aur Veer me kayi saari baatein hui. Ab dono hi pehle se behter mehsoos kar rahe the aur baat karne me comfortable the.

Par baato hi baato me Nidhi ne Veer ko ek aadesh de daala. Aur wo ye tha ki Veer apni padhaayi na chorre. Aur kal se hi wo college me uske saath jaaye.

Ab dikkat ye thi ki gaadi thi ek. Aur jaane waale do. Fees ki tension thi nahi Veer ko kyuki uske pita Brijesh ne session ki starting me hi ikhatti fee bhar dii thi uske college ki.

Toh ye saal toh wo bina paiso ki tension liye college jaa sakta tha.

Par dikkat thi uska aur Nidhi ka ek saath gaadi me jaana. Upar se tab jab ye sabhi jaante the ki Nidhi ki married life kharaab chal rahi hai aur uska devorce pending par hai.

Aise me na jaane kesi kesi baatein karenge log unko dekh ke aur kese wo baatein Nidhi ko maansik roop se prataadit kar sakti hai, inhi baato ko lekar aaj subah Veer aur Nidhi me behas ho rahi thi.

Nidhi : Mene kaha na... Tum chalo. Aur log kya sochenge uski fiqar mat karo.

Veer : Ma'am! Aap khamakha taqleef utha rahi ho. Kal uss Vikaas ki harqat mein dekh hi chuka hu...

Iss se pehle ki wo kuch aur bolta Nidhi uske hontho pe apne komal haath rakh deti hai. Aur wo komal sparsh ka ehsaas karte hi uski bolti apne aap band ho gayi.

Nidhi : Ssshhh! Shreya washroom me hai. Uske saamne ye sab baatein mat karna please. Warna, wo danga khada kar degi. Aur mujhe khud wo Vikaas ki ghinoni harqato se chidh hai. Par Veer... Tum samjho. Uski ek pehchaan hai alag hi poore department me. Yadi mein virodh karungi na toh boht saari dikkatein aaengi. Jinhe baad me mujhe hi bhugatna hoga.

Veer : Toh wo aapko aise touch karta hai toh aapko problem nahi hoti???

Nidhi : Kya tum mujhe aisa samajhte ho Veer!??

Usne naraazgi bhari nazro se dekhte hue kaha...

Veer : Nahi! Mera matlab wo nahi tha...

Nidhi : Mein hi jaanti hu, ki jab wo mujhe apne ghinone haatho se chhuta hai toh mujhe kesa feel hota hai. Mann toh karta hai ki wahi usse sare aam tamaacha maar du. Par meri majboori hai Veer. Mein ye naukri... Bilkul bhi nahi kho sakti Veer. Bilkul bhi nahi...

Usne apni aankhein gadaaye Veer ki aankho me dekha. Unn aankho me keval sacchaayi jhalak rahi thi iss waqt. Saath hi saath atyant dard...

Aur ek majboori...

Nidhi : Ab chalo! Ready ho jao. Mein naashta bana deti hu.

Nidhi uske kandhe ko thap thapa kar kitchen ki orr chali gayi aur idhar Veer usse keval jaata hua dekhta raha.

'I'll definitely solve your problem Ma'am. Aapne itni meri madad kii hai. Aapki life itni behtar kar dunga mein ki aapko ye dard bhare pal kabhi yaad hi na aaenge.'

[ :approve: ]

***

Jav Veer aur Nidhi ek saath college pohuche. Toh zaahir sii baat thi ki logo ki nazre unn par jaani hi thi aur baatein bhi honi hi thi.

Abhi wo parking me hi the par inn kuch hi seconds me unn dono ko lekar logo ki beech afwaahe bann'na shuru ho chuka tha. Yahi toh hai asal zindagi. Afwaah bann'ne me samay nahi lagta.

Charche chidh chuke the, aur Veer aur Nidhi iss waqt logo ke beech ek hot topic bann chuke the.
Nidhi akhir ek tanch maal thi. Uski sundarta ke kisse poore college me mashoor the.

Nidhi bina kisi se nazre milaaye Veer ko dekhi aur boli,

Nidhi : Unpe focus mat karo. Let them talk. Apni class me jao, pehla lecture mera hi hai. Also, I'm your class teacher.

Veer (smiles) : I know Ma'am.

Nidhi (smiles) : Good! Now go!

Veer ko class me jaane ke liye bol Nidhi staff room me chali gayi. Idhar jab Veer class me enter kiya toh ekdum se sannaata sa chhaa gaya.

Bina kuch bole, bina kisi se nazre milaaye, Veer ne aate hue sabse peeche ki seat pakdi aur usme akele baith gaya.

"Oye! Ye toh....?"
"Abe kya naam tha iska??"
"Abe ye jaana pehchaana sa lag raha!"
"Veer hai wo madarchodo!"
"Veer? Wo loner? Aaj itne dino baad isse college ki yaad kese aa gayi?
"He's changed right? I see some differences."
"Lavde ka differences. Pehle ki hi tarah toh hai. Kya changes aa gaye bhaiya!?"
"Aaj bhi wahi haal hai iska... Haha~"

Aisi tamaam logo ki baatein Veer ke kaano me pad rahi thi. Par wo chupchaap bas baitha raha.

[What the hell? How dare they disrespect you? Unhe pata nahi hai ki ab aap pehle jese nahi rahe master.]

'It's okay Pari! Dont worry!'

Samay beetne me derr na lagi aur kuch hi palo me Nidhi bhi class me pravesh kari.

Andar ghuste hi uski nazar sabse pehle itne chehro me se dhundte hue Veer ke chehre par padi. Aur usse dekh usne ek halki sii haami bhari aur padhaana start kiya.

Launde lapaade sabhi usse alag alag angle se uske jism ko taadne me lage hue the, jo ki Veer bhali bhaati dekh paa raha tha. Aur harr guzarte waqt uski mutthi kassti jaa rahi thi.

Board pe question likh wo ek row se dusri row me jaati aur dekhti ki students solve kar rahe hai ya nahi?

Wo aakhir tak chalti hui Veer ke paas aayi. Usne dekha ki Veer ka poora dhyaan uske diye gaye question ko solve karne me tha. Ye dekh uska mann itna praffulit ho utha ki uske hontho par ek muskaan aa gayi.

Kaha yahi Veer kitna toota hua sa tha pehle, na koi josh, na koi ullaas nazar aata tha uske chehre par. Na hi uska mann padhaayi me lagta tha. Par aaj wo uske kehne pe college bhi aaya aur uske sawaal ko hal bhi kar raha tha.

Usne dekha ki Veer kaafi hadd tak sahi solve kar raha tha. Uske bas ek step galat tha jiske chalte answer sahi nahi aa raha tha.

Agle hi pal wo jhuki aur Veer ke haatho se usne pen liya. Uske komal haatho ka sparsh yu achanak anubhav karke Veer bhi thoda jhatak gaya.

Nidhi ki badan se aati wo manmohak sugandh usse paagal sa kar rahi thi.

"Adhbhut..." Usne dheere se budbudaaya.

"Huh!??" Nidhi uski halki awaaz sunn usse prashn bhari nazro se dekhi, "Kuch kaha Veer!?"

'Fuck!! She's too close! Too close!'

Nidhi anjaane me Veer se bilkul wesa hi behave kar rahi thi jesa wo ghar par kiya karti thi. Jese maano wo bhul gayi thi ki wo ghar par nahi balki class me hai.

Veer (blushes) : Nothing Ma'am!

Nidhi (nods) : Okay!! Accha yaha dekho! Tumne yaha pe galti kii thi.

Wo aur paas aate hue Veer ko samjhaane lagi. Harr pal uske haath Veer ke haath se, toh kabhi uski ungliya Veer ki ungliyo se yu takraa rahi thi aur Nidhi ko jese ye sab normal lag raha tha.

Par usse kya pata tha ki Veer ke dil ki dhadkan iss waqt train ke maafiq tezz ho chuki thi.

'Shit! Abhi nahi... Abhi mat khade hona bey...'

[ 😊]

Ab ye vaakya Veer kis se keh raha tha ye toh samajhdaar ko ishaara kaafi tha.

Aas paas ke log Veer ki kismat ko kos rahe the. Nidhi jesi teacher uske itna paas thi ye dekh unki gaande jal rahi thi.

Aaj tak kabhi Nidhi ne unke saath aisa na kiya fir ye kaun hota tha Nidhi ke saath itna paas rehne waala? Unke mann me yahi sawaal daud rahe the.

Abhi wo Veer ko mann me gaali bakne me lage hue the ki itne me hi Nidhi ne kuch aisa kiya jiske chalte unki pehle se hi jali gaand poori tarah jal ke raakh ho gayi.

Samjhaate samjhaate hi Nidhi theek Veer ki hi bench par uske bagal se baith gayi. Aur wo itna satt ke baithe hue thi ki uske kuch ang Veer ke badan se lage hue the. Aaj wo dark green saree pehne hue thi. Wo hare rang ka blouse jo uski gore gore stano ko chhupaaye hue tha, unka side view Veer ko ghaayal raha tha.

"Aur ye lo! Aa gaya answer! See kitna simple tha."

Usne Veer ki taraf sar modte hue kaha toh paaya ki Veer lambi lambi saasein le raha tha.

Veer : Jii! Boht... Boht simple tha.

'Fuck!!!!'

Nidhi : Kya hua Veer?

Veer : I'm good... Ma'am!!!

Nidhi muskurayi aur boli,
"Aise hi padhna Veer. Kabhi bhi padhaayi mat chorrna okay?"

Aur wo apni itni pyaari muskaan chorr Veer ke bagal se uth ke chali gayi aur yaha Veer uski iss adaa ko dekhta reh gaya. Inti pyaari sii muskaan usne Nidhi ke chehre pe pehli baar dekhi thi.

Uss muskaan me koi chinta, koi naraazgi, koi dard nahi tha.
Bas tha toh keval pyaar, anukoolta aur apnapan.

'She's too pure!! She must be protected at all cost.'

*Ring*

Ghanti baji aur Nidhi ka lecture over ho chuka tha.

***

Jaha Veer college me vyast tha wahi ek badi sii building me ek cabin me ek behad hi khubsoorat ladki Laptop me kisi kaam me lagi hui thi.

Uski ungliya fatafat keybord par chal rahi thi. Usne white shirt ke upar ek grey blazer pehna hua tha. Aur neeche usne grey color ki tube skirt.

Poori professional lady lag rahi thi woh.

Uska aura aisa tha jo badi si badi hastiyo ko maat de de. Uske saamne normal ladkiya aisi lagti thi jese maano kisi choti si basti se aayi ho.

Isme uski koi galti nahi thi. Shuru se hi wo ek bade gharaane se rahi hai aur shuru se hi ek mahatvakansha-vaadi ladki thi.

Apne sapno ko poora karne waali ladki.

Aur aaj wo iss mukaam par thi ki uske paas kya nahi tha. Duniya bhar ke aisho araam jo aadmi apne sapno me dekhta hai unhe jeene ke liye. Unn aaiyaashiyo ke saath jeena uska roz ka jeevan tha. Par uske bawajood usme abhi bhi laalsa thi. Jo ki zaroori thi.

Laalsa aur kuch paane ki. Wo aag abhi bhi usme thi. Aur wo bilkul bhi nahi rukne waali thi.

Abhi wo type kar hi rahi thi ki itne me uske cabin ka darwaaza khula aur ek aadmi ne apna sar andar ki orr karte hue pucha,
"May I come in Madam?"

Ladki (smiles) : Yes! Aaiye! Aur aap kabse ye rules follow karne lage? Aapko toh poora freedom hai mere cabin me aane ka. Haa! Jab mein mana karu tab ka chorr ke...

Usne fir se muskuraate hue kaha toh wo aadmi bhi andar aate hue muskura diya.

Aadmi : Bas! Yuhi! Socha... Aaj hum permission leke andar jaenge...

Ladki : Aapke chehre ki muskuraahat bata rahi hai ki kaam ho gaya hai. Hai na? Jaldi bata dijiye ab. Wait na karwaiye...

Aadmi : Bilkul Madam! Mene kaha tha na aapse. Thoda sa samay bas lagega lekin kaam ho jaega. Aur dekhiye! Kaam ho gaya!

Kehte hue usne ek file uss ladki ko pass karte hue kaha.

Bina koi samay gawaaye uss ladki ne file kholi aur jo kuch bhi usne uss file ke andar dekha, pehle toh uski aankho me ek chamak aayi, fir hairaani aur fir kuch pal ke liye wo dagmagayi... Par agle pal hi unme waapas se wahi sthirta aa gayi.

"Aap jaa sakte ho! Thank you!"

Usne haa me sar hilaate hue kaha toh wo aadmi bhi apna sar hilaate hue baahar nikal gaya.

'Interesting... Should I pay a visit or should I call?'

Sochte hue usne wahi file fir se kholi aur dekhi. Na jaane kya tha usme aisa jo usse dobaara wo file dekhne par majboor kar diya. Par jo bhi tha, yadi wo aisi ladki ko majboor kar raha tha dekhne ke liye toh ye kehna mushqil nahi tha ki uss file me kuch boht hi dilchasp tha.

'Ohhhh! I have an idea...'

Usne ek sharaarti si smile lete hue apna mann me kaha,

'I'll pay a visit. It's decided then.'

Aur usne file band kar apni desk ke drawer me daal dii.

***

Idhar college me Nidhi ke lecture ke baad 3 lecture aur nikal chuke the aur ab recess ho chuka tha.

Veer apne classroom se baahar nikla aur washroom jaa raha tha par uski floor ka washroom kaafi bhara hua tha. Saare launde lagta kaafi derr se tanki bhar bhar ke baithe the aur ab dhaar pe dhaar chorr rahe the.

Ek thakaan bhari aah bharte hue Veer neeche ki orr jaane laga. Usne socha ki neeche ka washroom hi use kar lega.

Washroom me tanki khaali karne ke baad wo baahar nikal ke kuch kadam hi chala tha ki tabhi uske kaano me ek jaani pehchaani si awaaz padi.

Ek madhur, chanchal aur behad hi pyaari awaaz.

Jisse sunke Veer ke perr wahi tham gaye.

"Veer Bhaiyaa!!!?"

Veer ne palat'te hue dekha aur uske saamne ek jaana pehchaana aur behad hi parichit chehra uske saamne tha.

Kavya!!!

Uski chachi ki choti ladki aur uski choti behan.

Veer ne dekha ki wo boht hi chintit nazar aa rahi thi. Uski aankho me chinta toh wo dekh sakta tha par kuch aur bhi tha jo shayad Veer ko iss waqt nazar na aaya.

Bhale hi Veer Kavya ko accha maanta tha aur wo jaanta tha ki Kavya bekasoor hai aur uski ghar me nahi chalti, saath hi saath wo abhi abhi college me aayi thi aur abhi zyaada duniya daari bhi nahi dekhi hui thi usne.

Par inn sab ke bawajood wo ye nahi bhula paa raha tha ki jab wo akela dar badar bhatak raha tha, tab Kavya ne kuch na kiya. Jab hospital se uske liye phone lagaya gaya tha tab Kavya ne phone nahi uthhaaya tha. Aur yahi sab yaad karte hue Veer ko na chaahte hue bhi gussa aa raha tha. Kavya se wo khafa khhafa sa mehsoos kar raha tha.

"Kuch kaam tha?"

Veer ne bilkul hi normal sii awaaz me kaha.

Aur uska ye rukha sa vyavhaar dekhte hi Kavya ki aankhein namm ho gayi aur usne apna nichla honth daato se daba liya.

Bolna chaaha...

Par shabd na nikale uske muh se...

Bechaari...

Veer ko dekh ke taras toh aa raha tha par pata nahi kyu wo jese iss kathorta ko banaaye rakhna chahta tha. Jese wo chaahta tha ki uske logo ko bhi feel hoye ki usne kya kya saha hai.

Kavya : Aap... Aap... Kaise ho?

Bechaari ko ye bhi na soojha ki iss waqt kya sawaal karna chaahiye. Wo bas uss se thodi dur khadi usse hi dekh rahi thi aur badi hi mushqil se apne muh se shabd nikaal paa rahi thi.

"Zinda hu..."

Veer ne kehte hue nazre ferr lii. Jese ye sab baatein uske liye koi zyaada interest ki nahi thi.

Kavya : Mene... Mene aapko whtsapp par message bheja tha...

Veer : I don't have any phone. Kharaab ho gaya woh.

Kavya ne badi himmat kar ke firse ek sawaal pucha.

Kavya : Aap... Aap kaha reh rahe ho?

Veer : Ye bataana mein zaroori nahi samajhta...

Aur ye baat sunn Kavya ne apna honth daat se aur zorr se bheench liya. Ye darsha raha tha ki Veer ki baatein kitni buri tarah uske dil par lag rahi thi. Veer itna kathor kabhi nahi tha, khaaskar Kavya ke prati par aaj jese wo kisi alag hi mood me tha.

Kavya : Mujhe bhi nahi? Mujhe bhi bataana zaroori nahi samajhte aap?

Wo boli aur bas...
Agle hi pal uske gaalo se ak aasu ki boond behte hue neeche jaa giri.

Veer andar hi andar pighal gaya tha par baahar se nahi. Usne kuch derr Kavya ko dekha...

Aas paas se jo log guzar rahe the wo bhi beech coridorr me ro rahi ladki ko zaroor dekhte jaa rahe the.

"Nahi!"

Aur bas...

Ek shabd hi Kavya ko itni zorr se apne dil par laga ki wo sar jhukaaye wahi rone lagi.

Veer palat ke baahar nikal canteen ki orr jaane laga.
Ye karna zaroori tha. Kavya abhi nadaan thi. Aur usse iss baat se avgat karaana zaroori tha ki kesa mehsoos hota hai jab aap harr kisi se nakaare jao.

Abhi wo kuch kadam hi chalke baahar aaya tha ki tabhi uske kaano me ek aur jaani pehchaani sii awaaz padi,

"Kyu be chuze!!!! Tu fir aa gaya!???"

Aur agle hi pal uske kadam wahi tham gaye. Mutthi kass gayi aur ek zordaar gusse ka jwalamukhi jo andar hi andar kab se panap raha tha wo phatt utha...
 
OP
S
Member

0

0%

Status

Offline

Posts

28

Likes

2

Rep

0

Bits

0

5

Years of Service

LEVEL 1
100 XP
Update - 14 ~ Confrontation

Ab tak...

Abhi wo kuch kadam hi chalke baahar aaya tha ki tabhi uske kaano me ek aur jaani pehchaani sii awaaz padi,

"Kyu be chuze!!!! Tu fir aa gaya!???"

Aur agle hi pal uske kadam wahi tham gaye. Mutthi kass gayi aur ek zordaar gusse ka jwalamukhi jo andar hi andar kab se panap raha tha wo phatt utha...

Ab aage...

Apni nazre upar kar jab Veer ne saamne dekha toh usse ek aur jaana pehchaana chehra dikhaayi diya.

Ajay!

Wahi ladka jisne usse buri tarah pitwaaya tha. Veer ko ek hi pal me wo saari beeti vaardaatein yaad aane lagi. Wo college ke peeche ki sunsaan sadak par uski pitaayi, Ajay ka uske muh me lollipop thusna, apne joote se uske sar par dabaav banaana, wo baarish ki boonde jo uske ghaavo par thapede maarte hue usse aur dard de rahi thi.

Wo sab kuch Veer ko ek hi jhatke me yaad aa gaya. Apni mutthi ko zorr se usne kassa aur sthir aankho se uss Ajay ko ghura jo haatho me football liye hue tha.

Ajay aur uske pantar poore raub ke saath Veer ke qareeb aaye aur ye chahal pahal dekh sabhi ki nazre unpar jaane lagi.

Campus me sabhi apna apna kaam chorr ab bas Veer aur Ajay ko ghur rahe the jese wo kisi film ko dekhne aaye ho aur bas climax ka wait kar rahe ho.

Apne haatho me football liye Ajay Veer ke gol gol ghumne laga aur Veer keval apni aankho se usse hi ghoorta raha.

Tabhi uske mann me awaaz gunji...

*Ding*

[Mission - Take revenge from Ajay.
Rewards - ?? Points
Time limit - 3 days]

'Issi ka toh intezaar tha mujhe...'

[Dhyaan rahe master! Revenge jitne acche se loge points bhi ussi hisaab se milenge.]

'I see! Pari...'

[Yes master!]

'Kya mein Ajay ke stats dekh sakta hu? Uski kitni strength hai, kitni agility hai...!?'

[Sorry master! Ye abhi possible nahi hai. Aapko mujhe level 3 pe karna hoga uske liye.]

'Damn!!!'

[But mein bata sakti hu ki Ajay ke stats aap se zyaada hi honge master. Kyuki abhi aapne apne stats me points zyaada daale hi nahi hai master. Aapke stats kuch iss prakaar hai ~]

[ Stats :
Strength - 15/100
Intelligence -11/100
Agility - 3/100
Endurance - 7/100
Appearance - 9/100]

'Ye kam hai Ajay se nipatne ke liye?'

[Haa master! 15 strength me kuch bhi nahi hone wala.]

'Tumhe kya lagta hai Ajay ki strength kitni hogi?'

[I think above 20... Above 30 bhi ho sakti hai master.]

'Shit! Kya kisi ki strength 100 tak hoti hai?'

[Yes master! 100 tak pohuchna possible hai aapke iss world me. Insaan 100 ki strength tak pohuch sakta hai. Par koi bhi pohucha nahi hai abhi master. Bruce Lee jese kuch martial artists the aur hai jinki strength 90 above hogi. Baaki maybe kaho koi pohuch gaya ho but hume pata na ho unke baare me.]

'I see...'

[Jab hum unhe aankho se dekhenge tab hi confirm kar paenge.]

Abhi Veer Pari se aur jaankaari leta iss se pehle hi uske kaano me firse awaaz padi,

"Kyu be chuze! Mene kuch pucha tere se. Muh me dahi jamm gaya hai kya? Bol! Tu fir aa gaya yaha? Teri himmat kese hui?"

Ajay ke zorr se chillaane se waha maujood sabhi log shaant pad gaye. Ajay ne jese sabka dhyaan apni orr kheench liya tha.

Tabhi waha dusri building se ek shaks nikla apne dosto ke saath, aur saamne ka nazaara dekh ke uski aankho me achaanak hi chamak aa gayi.

"Pranjal bhai! Saamne lafda ho gaya lagta."

Ye koi aur nahi Pranjal hi tha jo apne dosto ke saath bagal ki building se baahar aaya tha.

Pranjal : Chalo chutiyo! Abhi maza aane waala hai boht.

Aur Pranjal apne dosto ko samet ke wahi canteen me le gaya jaha se poora nazaara dekha jaa sakta tha.

Kavya bechaari apne aasu pochte hue jab baahar aayi toh usne dekha ki Veer aur koi ladka aapas me behas kar rahe the. Uske aas paas itni bheed thi ki bechaari wo uchak uchak ke dekhne ki koshish kar rahi thi par laundo ki height itni thi ki wo sahi se dekh nahi paa rahi thi.

Aur canteen me hi do aankhein aisi bhi thi jo Veer se bachpan se parichit thi. Ye aankhein bhi saamne ho rahe drashya ko dekh rahi thi.

Arohi!

Canteen me baithe wo bauhe sikode saamne scene ko dekh rahi thi. Na jaane kya chal raha tha uske mann me.

Ajay ko ghurte hue Veer ne apni mutthi dheeli chorr dii.

Veer : College aana ya na aana ye meri choice hai. Isme tum kon hote ho ye decide karne waale?

Veer ke jawaab se Ajay aur uske pantar hairaan reh gaye. Wo ye soch me pad gaye ki ye chuze me akhir itni himmat kese aa gayi. Kal tak pitne waala Veer aaj achanak kese uchalne laga?

"Kya bola be!?" Ajay ne usse aankh dikhaate hue pucha par Veer ko jese iss baar koi faraq hi nahi padne waala tha.

Veer : Shayad tumne suna nahi. Mene kaha kii mera college aana ya na aana tumhaare kehne par depend nahi karta.

Ajay (gusse me) : Lagta hai uss din ki maar tu bhul gaya hai saale. Tujhe ek aur dose dena hi padega. Tabhi tere ko aqal aaegi.

Udhar pranjal ki khushi ka jese koi thikaana nahi tha. Wo toh jese chaah hi raha tha ki kab Veer laato aur ghuso ka shikaar hoye aur kab uski beizzati sabke saamne khule aam hoye.

Poore campus me yadi koi sabse excited tha toh woh Pranjal hi tha.

Ajay gusse me aage badhte hue Veer ki collor pakadne hi waala tha aur idhar Veer aane waale hamle ke liye taiyaar hi tha ki tabhi,

"Nahiiiiiiiiiii...."

Ek pyaari si ladki Veer ke saamne aake dono haath failaaye uske liye jese deewaar bann ke khadi ho gayi.

"Kav... Kavya???"

Veer ne hairaan hote hue halki awaaz me budbudaaya.

Uske saamne uski choti behan Ajay se usse bachaane ke liye shield ki tarah seena taane khadi hui thi.

Zaahir sii baat thi Veer hairaan tha, aur sirf Veer hi nahi Arohi se leke Pranjal tak, yaha tak ki Ajay khud hairaan tha.

Ajay toh Pranjal ka hi aadmi tha toh woh Kavya aur Arohi ko jaanta tha aur isliye wo hairaan tha. Yadi Pranjal ne Veer ko maarne kaha tha toh fir Pranjal ki choti behan yaha Veer ka bachaav kyu kar rahi hai? Uske mann me ye sawaal aa raha tha.

Ab wo duwidha me phass chuka tha.

'Shit! Ye Kavya waha kya kar rahi hai?'
Pranjal apni jagah se forun hi khada hua aur aage badhne laga.

Bhale hi Veer se wo nafrat karta tha par Kavya uski choti behan thi aur usse bachaane me wo peeche nahi hattne waala tha.

Yahi kaam Arohi ne kiya. Kavya uski sirf pyaari choti behan nahi thi balki uski best friend bhi thi aur bhale hi Arohi kam bolti thi par Kavya ke saath jab jab wo akeli rehti thi toh sabse zyaada baat wahi karti thi.

Aur college me super senior hone ke naate aur toh aur apni behan ko waha dekh Arohi ne ek second bhi waste na kiya aur wo chal dii jaha Veer aur Kavya maujood the.

Saari bheed ikhatta hoke bas Ajay, Veer aur Kavya ko ghur rahi thi.

Par Veer ki nazre keval ek hi shaks par tiki hui thi. Aur wo shaks tha ~ Kavya!

'Check!'

Usne agle hi pal mann me kaha aur tabhi,

*Ding*

Kavya ke sarr ke upar uski Status screen prakat ho gayi ko sirf aur sirf Veer hi dekh sakta tha.

[ Name - Kavya
Age - 18
Status - Guilty Young girl.

Bio - Kavya ek boht hi savendansheel aur chanchal ladki hai. Uska sapna hai ek boht hi acchi aur badi company me job karna. Ek khwaaish hai jiski wo hamesha bhagwaan se praarthna karti hai. Wo hai ki uske parivaar ke sabhi sadasya ek saath milke rahe. Glaani ke bhaav itne hai ki kabhi kabhi raat me wo roti bhi hai. Usse ek sahaare ki zaroorat hai.

Favourability - 58
Relationship - Cousin.]

Kavya ka status dekh ke Veer ke hosh hi udd gaye. Sabse pehla jhatka jo usse laga tha wo tha favourability dekh ke.

58 ki favourability!!!!

'She... She...'

[Yes master! Wo aapko ek bade bhai ke roop me hi dekhti hai. Aur aapko apna bhai hi maanti hai. Aapke baaki family ki tarah nahi hai wo...]

Veer itna toh jaanta tha ki Kavya ne kabhi uska bura nahi chaaha. Par usse ye baat bilkul bhi na pata thi ki uskji ye choti behan uske liye itni feelings rakhti hai. Aur ye tab thi, jab dono me boht hi kam baatein hoti thi.

Kyuki, ghar pe toh kabhi bhi Kavya gharwaalo ke saamne baat na karti thi uss se.

Par jab bhi wo dono akele ek dusre ke raaste cross karte the toh dono me baatein zaroor hoti thi. Aur pehal Kavya hi karti thi.

Aaj shayad Veer ne usse kuch zyaada hi zorr se dhutkaar diya tha, jis kaaran wo royi bhi aur ab uske saamne usse bachaane ke liye khadi thi.

"Mere bhaiya ko touch karne ki himmat bhi mat karna..."

Kavya ne zorr se kaha. Uski chanchalta jese kahi kho chuki thi aur saamne tha toh bas dridhta.

Dridhta apne bade bhai ko bachaane ki.

Ab Veer ko glaani mehsoos ho rahi thi.

'Kuch zyaada hi zorr se daant diya kya mene usse?'

[No master! Don't worry! Wo zaroori tha. But ab bhul jaaiye usse. Aur ek naya relationship shuru kijiye...]

Veer ne agle hi pal Kavya ka kandha thaama aur uske haanth sparsh hote hi Kavya ko ek halka jhatka laga. Wo palti aur apne bade bhai ko dekhi...

"It's okay Kavya! Aur tum kabse mujhe bachaane lagi? Ye kaam toh bhai ka hota hai haha~"

Kehte hue Veer ne Kavya ko apne peeche kar liya.

Kavya ki aankho me ek chamak sii aa gayi thi. Ek aisi chamak jo na jaane kitne arso baad usme dikhaayi dii thi.

Ek aasha se bhari thi wo chamak...

Apne bade bhai ke peeche khade wo Veer ki peeth ko ghure jaa rahi thi.

'Kabhi mene aapki madad na kii Veer bhaiya... Kabhi nahi... Mein karna chaahti thi... Par darrti thi... Ghar me jo mauhaul tha... Wo mujhe aapke paas jaane se rok deta tha. Jab mene aapko message bheja tha mujhe umeed thi aap wo padhoge kyuki aapki aur meri baatein hua karti thi. Par aapne wo na padha... Mein itna royi thi uss din... Aaj aapko dekh kitna khush thi mein... Par aapne... Aapne mujhe iss tarah kyu dhutkaara bhaiya? Kyu??? Meri koi kasoor nahi hai... Jis tarah abhi aapne mera kandha thaama tha ussi tarah mujhse rehna Bhaiya...'

Kavya apne hi mann me na jaane kya kya bole jaa rahi thi.

"Dekho! Mein tumhaari dhamki se..."

Abhi Veer bol hi raha tha ki tabhi peeche se Kavya ne apne dono haath uski kamar par baandhte hue usse jakad liya.

Veer : Kavya...!???

Kavya : I'm sorry bhaiya! I'm sorry...

Wo kehte hue subakne lagi...

Aur waha khada Ajay aur duwidha me pad gaya.
Yaha toh paasa ulta hi padta jaa raha tha. Ab aise me wo bhala Veer ki kutaayi kese kar sakta tha?

Wo ab poora confused ho chuka tha ki tabhi uska confusion jese yu gaayab ho gaya jab usne bagal se aate hue Pranjal ko dekha.

"Kavya!???"

Pranjal ne aate hue apni behan ko dekha aur fir Veer ko jo usse ghur ke dekh raha tha.

Aur fir wahi apni bhediyo waali muskuraahat dete hue wo Veer ki taraf badha,

"Mere chote bhai!! Kya ho gaya? Kisi se jhagda ho gaya kya?"

Tabhi Kavya ne apna chehra jo Veer ki peeth me dhassa hua tha aur aasuo se bhara hua tha usse baahar nikaalte hue Pranjal ko dekha aur boli,

"Dekho na Pranjal bhaiya! Ye bhaiya Veer bhaiya ko dhamka rahe the aur ladaayi karne waale the..."

Apni choti behan ki roti soorat dekh Pranjal muskuraaya aur Ajay ko dekhte hue bola,

"Mujhe toh jaante hi hoge!?? Ye mera chota bhai hai! Jo bhi baat karni hai mujhse karo..."

Pranjal ne ekdum safed jhooth bolte hue Ajay ko dekha jisne haa me mundi hilaayi.

Veer keval khade Pranjal ki harr ek harqat ko dekh raha tha. Wo jaanta tha ki yahi hai jisne Ajay se usse pitwaaya tha aur yahi wo insaan hai jisne kaho Ajay ko bheja ho.

Aas paas ke log Pranjal ki baat sunn uski taareefo ke pull baandhne lage. Ki dekho, kese ek bada bhai apne dono chote bhai aur behno ko bachaane aaya.

Upar se Pranjal tha bhi mashoor. Par ye baat koi na jaanta tha ki Ajay ussi ka saathi tha, siwae uske aur uske kuch khaas saathiyo ke.

Pranjal abhi bhi issi dhoke me tha ki Veer ko kuch nahi pata chala hoga. Par Veer jaanta tha...

Jaanta tha ki sab kuch issi ki kiya dhara hai...

Abhi unme se koi kuch kehta ki tabhi waha Arohi bhi aa gayi,

"Kavya??"

Arohi ne dekha ki kese uski pyaari choti behan Veer ki kamar me apne haath kasse usse jakde hue thi. Aur sabse zyaada hairaani usse iss baat se hui ki uske aa jaane ke bawajood bhi Kavya uske paas na aayi. Wo abhi bhi Veer se hi chipki hui thi...

Aur ye dekh...

Uski bauhe ek ajeeb hi chinta ke maare sikud gayi.

Na chaahte hue bhi Pranjal ko Ajay ko pakadte hue le jaana pada.

Aur bheed dekh idhar guard bhi seeti maarte hue sabko hataane laga.

Ab keval Veer, Kavya aur Arohi hi waha khade hue the.

Baaki sabhi log apne apne kaamo me lag gaye par ek na ek nazar unn par zaroor maar rahe the.

Arohi : Kavya?

Kavya : Haa dii??

Arohi : Chalo!

Usne chintit bhaav se dekhte hue bola aur fir Veer pe nazre daali. Dono ki nazre ek dusre se takraayi par dono ke hi muh se koi alfaaz na nikle.

Kavya : Aap chaliye! Mein chali jaungi apni class me.

Uski baat sunn Arohi ne aage badh Veer ki kamar se uska haath pakad hataana chaaha par tabhi Veer ne uska haath thaam liya.

Ek dusre ke haatho ka sparsh paate hi ek baar fir dono ki nazre aapas me mil gayi.

Jaha Veer Arohi ke komal haatho ko feel kar sakta tha toh wahi Arohi apne haath par Veer ke unn rough manly haatho ko feel kar rahi thi.

Veer : Kavya bacchi nahi hai. Wo khud chlai jaegi apni class me. Mein jaunga usse chorrne...

Veer ki baat sunn Arohi ne forun hi virodh karna chaaha par honth khulte hi ek shabd bhi baahar na aaya. Nichle honth ko zorr se daant se dabaate hue wo Veer ko dekhi, fir Kavya ko aur fir na chaahte hue bhi wo palat gayi,

'Check!!'

[ Name - Arohi
Age - 22
Bio - Arohi ek behad hi shaant pravatti ki ladki hai. Kam bolna shuru se hi uske vyavhaar me raha hai. Uska sapna hai ek aise pad pe pohuchna jaha uske paas power ho. Apni choti behan se sabse zyaada pyaar karti hai. Kuch glaani ke bhaav hai mann me toh kuch shankaaye bhi. Aur beete dino se kuch tension me chal rahi hai. Usse ek aisa vyakti chaahiye jo usse sahi raasta dikhaaye aur uske equal power ka ho.

Favourability - 20
Relationship - Cousin.]

Arohi ko yu jaata dekh Veer ne uska status toh dekh liya tha par favourability ke ank dekh wo khud chinta me tha aur thoda udaas bhi.

'Iss se zyada toh Nidhi Ma'am ki favourability hai mere liye jinse jaan pehchaan hue mujhe kuch hi waqt beeta hai.'

Apna sarr naraazgi me hilaate hue usne Kavya ke haatho ko pakad usse apne saamne kiya, dono anguthe se uske aasuo ko pocha aur bola,

"Rona nahi hai! Chalo! Teri class tak tujhe chorr du."

"Hmm!!"

Wo muskuraate hue boli. Wo khud bhi akeli jaa sakti thi par jese apne Veer bhaiya ke saath jaane ke liye ye uska bahaana tha.

Usse pata lag chuka tha ki ab uske aur uske Veer bhaiya ka rishta pehle se kayi guna behtar ho chuka tha. Wo jaanti thi ki ye rishta aage aage aur bhi behtar hoega. Aur wo ye mauka nahi khone dena chaahti thi. Aaj wo khud pe proud mehsoos kar rahi thi. Usse khud ke kiye par hi khushi ho rahi thi ki aaj usne kitna accha kiya jo Veer ki madad karne ke liye aage badhi. Usse uske bhaiya bhi mil gaye. Ab wo khud ko kos rahi thi ki yahi kaam usne parivaar waalo ke saamne hi kyu na kiya?

Kam se kam unn glaani ke bhaavo se toh bach jaati woh jo abhi bhi kahi na kahi uske andar mandra rahe the.

Kavya ko class me chorrne ke liye Veer uske saath aa gaya.

Class ke baahar hi wo khadi Veer ko nihaar rahi thi. Uska mann apne waapas se mile bhaiya ko bye kehne ka kar hi nahi raha tha.

"Jao andar!"

Veer ne ishaara karte hue kaha.

Kavya : Wo... Hum firse baat toh...

Veer : Don't worry! Paagal! Hum baatein bhi karenge aur jo bhi ankahi baatein hai, unhe sort out bhi karenge...

Aur bas..

Uske itna kehte hi Kavya khushi se jhumti hui ek baar fir usse baaho me bhar lii...

Kavya : Thank you Bhaiya!!!

Veer ne pyaar se uska sar thap thapaaya aur muskuraate hue kaha,

"Chal chal! Jaa ab! Sab tujhe hi dekh rahe hai. Wo sochenge ki tune boyfriend bana liya."

"Hehe~ toh sochne do..."

Kavya bhi hasste hue boli par uski ye baat Veer ko thodi ajeeb sii lagi.

Aur yu usse apni class me chorr Veer apni class ki orr nikal gaya.

*Ding*

[5 points have been rewarded.]

'Good! Haha~ Add them to my strength.'

[Are you sure master?]

'Yes!'

*Ding*

[5 points has been added to Strength.]

[Inka effect aapko...]

'I know... Kal subah dekhne ko milega.'

Wo class me jaa hi raha tha ki uski nazar seedhiyo pe khade Ajay par gayi jo badi hi tension me lag raha tha.

Veer ne dekha ki wo kisi ladki se baat kar raha tha aur aage badh usne dekha ki ye wahi ladki thi jiske kaaran uski pitaayi ki gayi thi.

Chupke se kaan lagaate hue usne dono ki baate sunn'ne ka prayaas kiya...

Pragya : Ye sab kya tha? Mujhe laga tum sensible bande ho yaar... And you did this?

Ajay : Pragya meri baat suno...

Pragya : Kya sunu yaar? Mene khud apni aankho se dekha hai. Mera toh mann kar raha tha wahi beech me kood padu aur tumko ghaseet ke le jau waha se...

Ajay : Aisi baat nahi hai Pragya... Listen...

Pragya : Yaar wo banda chup chaap khada tha aur tumhe uss se problem hi kya thi? Mein tumhe hi dekh rahi thi. Wo banda aaya aur achaanak hi tum uske paas pohuch gaye... Uski collor pakadne waale the ki uski behan aa gayi beech me.

Ajay : Haa! Wo mein maanta hu ki mein uski collor pakadne waala tha but...

Pragya : But kya yaar? Wo toh accha hua uski behan ke aane ke baad tumne koi galat kadam nahi uthaaya warna meri nazro me toh tum poori tarah se gir jaate.

Ajay : I'm sorry na yaar! Ho gayi galti... Itna bura maanogi toh mera kya hoga?

Pragya : Hmph! Iss baar maaf kar rahi hu. Aage se nahi karungi...

Ajay : Bilkul!!!

Aur dono fir waapas se hassi mazaak karte hue upar ki floor pe chale gaye.

Par neeche...

Unhe nahi pata tha ki unki baatein koi teesra bhi sunn raha tha.

Veer ke chehre par ek ajeeb sii muskuraahat thi.
Ek aisi muskuraahat jo kisi devil ki muskaan se kam nahi thi.

'Pari!!!'

[Yes master!]

'Ajay se badla lene ke liye ready ho na?'

[Mein toh hamesha aapki sewa me ready rehti hu master.]

'Great!!!'

Aur wahi muskuraahat apne hontho par sajaaye wo waha se apni class me chala gaya.

Na jaane kya plan kar rakha tha usne.

***

Mumbai ke hi sheher me ek badi si hotel ke ek luxury kamre me saari luxury cheeze rakhi hui thi.

Hotel hi 5 star thi.

Andar bathroom me ek bada sa jacuzzi tha jisme paani me ek aadmi baitha hua tha aur uske agal bagal do nangi ladkiya uski khidmat karne me lagi hui thi.

Bathroom me hi ek ladka bhi tha jo sar jhukaaye khada hua tha.

"Kuch pata chala? Koi fault mila?"

Uss aadmi ne kaha.

Toh wo sar jhukaaya ladka naa me sar hilaaya aur bola,

"Bhau! Security boht tight hai! Chaah ke bhi hum ghus na paaye."

Aadmi : Uss din saali haraam zaadi bach gayi... Poore plan ka kabaada ho gaya tha.

Gusse me aate hue usne wahi rakhi apni hockey stick uthaayi aur ladki ke gardan me lapet ke usse apne lund ki orr kheecha,

"Acche se choos... Ye darr darr ke kari na toh yahi bheja uda dunga samjhi?"

Bechaari ladki sehamte hue kaapte hue haa me sar hilaayi aur uss aadmi ka lund choosne lagi jo paani se bas thodi upar tha.

Wahi dusri ladki uss aadmi ke seene par halki halki kisses kare jaa rahi thi. Darr usse bhi boht lag raha tha.

Aadmi : Ranga!!!!

Uss aadmi ne uss ladke ka naam lete hue pukaara,

Ranga : Jii Bhau!!!!

Aadmi : Tum fault dhundna jaari rakho. Aur mein dusri takneek toh laga hi raha hu.

Ranga : Jii Bhau! Mene aadmiyo ko bol ke rakha hai.

Aadmi : Hmm!

Ranga : Bhau? Kya ye kaam boht zaroori hai?

Usne thoda sehamte hue pucha. Usse darr tha ki kahi uske iss sawaal pe uski hi gardan na katt jaaye.

Aadmi : Ye sawaal dubaara mat puchna kabhi. SLOGAN Dada ne kaha hai, matlab karna hai. Aur wese bhi... Unhone itne saalo baad mujhe koi kaam saupa hai.

Ranga : Kya... Kya... Kya mein puch sakta hu ki ye SLOGAN Dada kaun hai Bhau?

Ek baar fir Ranga ne kaanpte hue pucha. Uski nazre ekdum neeche hi thi. Aur uske dil ki dhadkan ekdum tezz. Ek darr tha ki kahi achaanak se ek bullet aake uska bheja hi na uda de.

Aadmi : Mere aadmi ho isliye unka naam sunn paa rahe ho. Unke baare me jaan'na abhi tumhari aukaat se baahar hai. Samjhe?

Ranga : J... Jii Bhau!

Aur kuch pal ke liye shaanti sii chhaa gayi. Bas awaaz aa rahi thi toh keval unn ladkiyo ke hontho ki jo uss aadmi ke lund par chale rahe the aur paani ki chhap chhap ki...

Uss aadmi ne agle hi pal apna veerya uss ladki ke muh me chorra aur ek lambi saas lete hue dono ko apne bagal se lagaate hue wo sarr tika ke baith gaya.

Aadmi : Kuch toh karna hoga.

Ranga : Bhau...!?

Aadmi : Hmm??

Ranga : Mujhe abhi yaad aaya... Wo jo aapne tarqeeb lagaayi thi na... Dusri ladki ke zariye jo aapne iss ladki tak pohcuhne ka idea lagaaya tha na... Mujhe pata chala hai ki wo dusri ladki kuch dino se kaafi deals kar rahi hai.

Aadmi : Hmm? Toh tumhara matlab kya hai?

Ranga : Yadi... Hum... Unhi kisi company ke zariye uss dusri ladki ke paas jaaye aur fir uss dusri ladki ke zariye uss pehli ladki ke paas... Toh??

Aur uske itna kehte hi uss aadmi ki aankho me ek chamak aa gayi... Aur fir wo zorr zorr se hassne laga.

Aadmi : Ranga! Tune aaj proof kar diya ki tu mera hi aadmi hai. Hahahahaha~

Ranga khush hote hue abhi bhi sarr jhukaaye khada raha.

Kon thi akhir ye pehli aur dusri ladkiya? Ye toh wahi dono jaante the.

Aadmi : Bilkul! Iske liye bhi upaay hai mere paas... Aur security ke chalte hum yahi upaay apnaenge.

Ranga : Jii... Jii Bhau!

Aadmi : Companies ke baare me ek list taiyaar karo. Jo jo companies uss ladki ke paas aayi hai deal ke liye. Chaahe deal hui ho ya nahi uss se farq nahi padta. Jitni bhi aayi hai, unke baare me do din ke andar mujhe ek list chahiye! Samjhe?

Ranga : Jii Bhau!

Aadmi : Baaki kya karna hai... Wo mein dekh lunga.

Aur wo muskuraate hue apni aankhein band kar wahi sarr tikaaye lait gaya.

***

Agla din...

Raat ka waqt tha. Aur chaand ki chamakti hui roshni ek bangle ki khidkiyo se takraa ke vartit hote hue bed par laiti ek khubsoorat ladki ke chehre par pad rahi thi.

Wo iss waqt kisi Pari se kam nahi lag rahi thi.

White colour ki night dress me wo kisi swarg lok se aayi apsara jaisi apne bed par laite kuch aur hi khwaabo me khoyi hui thi.

Apne phone ki contact list me wo ek naam ko dekh ko dekh uss insaan ke baare me sochne lagi.

'If only life would have been just like before.'

Wo mann me na jaane kis ke baare me soch rahi thi. Par itna toh zaroor tha ki wo iss waqt maayus zaroor thi.

Usne wo naam hataate hue ek aur naam pe apna focus daala...

Ye contact naya bhi tha aur naam hote hue bhi unknown tha...

'Should I call?? No... What am I even thinking?'

Wo sarr na me hilaate hue apni neend me chali gayi.

Par usse nahi pata tha...

Ki aane waala samay...

Uske liye kya kya laane waala tha.
 
OP
S
Member

0

0%

Status

Offline

Posts

28

Likes

2

Rep

0

Bits

0

5

Years of Service

LEVEL 1
100 XP
Update - 15 ~ An eye for an eye

Ab tak...

'Should I call?? No... What am I even thinking?'

Wo sarr na me hilaate hue apni neend me chali gayi.

Par usse nahi pata tha...

Ki aane waala samay...

Uske liye kya kya laane waala tha.

Ab aage...

Ghar me apni Maa ki awaaz sunn neend ke aghosh se ek ladka subah subah utha. Aise hi uske dincharya ki shuruaat hoti thi.

Apni dhun me magan wo naha dho ke college jaane ke liye taiyaar tha.

Jaldbaazi me naashta karte hue wo apne phone par busy tha aur uski yahi gandi aadat par uski Maa usse sunaane lagi,

"Kitni baar kaha hai ki naashte ke waqt phone mat chalaaya karo par tum ho ki sunte hi nahi? Aur itni kya jaldi hai beta ki naashta karne ke liye bhi time nahi hai? Arre, 2-4 minute late bhi pohuchoge toh teacher bhaga nahi denge tumhe beta."

Wo aurat apni bauhe sikode apne bete ki harqat se naakhush hote hue boli.

Par uske bete ko toh jese koi farq hi nahi pad raha tha. Iss kaan se sunn uss ladke ne apni maa ki baatein apne dusre kaan se nikaal dii.

Aur bas, muh me naashta bhare, chabaate hue uski nazre ek taq phone me lagi hui thi.

Aurat : Padhaayi ka kya hua? Exams aane waale hai na? Kuch padhte ho raat me room me? Ya poore time woi pubg khelte rehte ho??

Ladka : Arre ho jaegi na yaar Mom. Kyu tension leti ho?

Aurat : Pata nahi kab sudhroge tum...

Wo udaas hote hue uth ke andar kitchen me gayi aur ek water bottle laate hue apne bete ke bag me rakh dii jo wahi sofe par pada hua tha.

Agle pal hi wo ladka naashta khatam kar khada hua apna bag uthaaya aur bottle side me fassi dekh usse nikaala aur baahar chal diya,

"Arre bottle kyu roz roz nikaal deta hai? Paani nahi piyoge kya?"

Wo chillaate hue baahar aayi jaha uska beta apni duke bike nikaalne me busy tha.

Ladka : Arre Mom! Kitni baar batau, dost log rehte hai na... Sab ke sab bottle laate hai. Ye faaltu me rakh ke kyu apne bag ka bojh badhau? Tum tension na lo yaar... Ab jao andar.

Aurat : Ajayyyy... Kuch bhul toh nahi raha na??

Par apni Maa ki awaaz ko ansuna kar wo bas apni hi dhun me khoya hua tha aur ghar se yu hawa ke jhoke ki tarah nikal gaya.

Ye aur koi nahi, Veer ki pitaayi karne waala wahi ladka tha ~ Ajay.

Ajay ki Maa Sushma wahi darwaaze par khadi khadi apne hi khyaalo me ghum ho gayi. Chinta, shikan uske chehre par saaf nazar aa rahi thi.

Apne beta ka aisa ravaiyaa usse hamesha soch me daalne par majboor kar deta tha aur uska apne aap se bas ek hi sawaal rehta tha.

Ki akhir kab uske bete ki ye aadatein chuutengi? Aur kab wo uski baato par dhyaan dena shuru karega?

Chaahe Ajay jesa bhi tha, tha toh uska beta. Uska apna kaleja... Usme Sushma ki jaan basti thi.

Aur shayad yahi ek kaaran bhi tha ki wo zyaada zorr se usse daant bhi nahi paati thi kyuki wo ekmaatr aulaad jo thi uski aur uske pati ki.

Ek gambheer aah chorr wo waapas darwaaza lagaate hue andar chali gayi.

***

Idhar Ajay bina apne Maa ke prati ravaiyye par dhyaan diye apne hi vichaaro me leen tha.

Kaafi khush sa bhi lag raha tha woh. Na jaane aisa kya kaaran tha?

Bade hi josh se bharpoor aur excited hote hue wo college me pravesh kiya.

Apne apne pantaro se uski mulaqaat hui. Sabhi ko high five dete hue wo apni class me ghusa.

Akhir wo dada tha apni class ka. 3rd year tha ye uska college me aur poori class me uska raub tha. Ek image thi uski. Ek badboy ki image.

Jiski peeche aksar ladkiya bhaagti thi. Par keval wahi ladkiya jinhe pataana behad asaan hota tha aur unme zyaada koi khubiyaa nahi hoti thi.

Ek aisi ladki jo samajhdaar ho aur saath hi saath teekshn boojh waali ho wo kabhi bhi aise ladko par apna time waste nahi karegi.

Shayad yahi kaaran tha jo Pragya ko unn sab ladkiyo me se alag banaata tha. Ajay ke kayi baar propose karne ke baad bhi, Pragya ne usse sirf as a friend hi banaaye rakha tha.

Aur isliye Ajay usse aur bhi zyaada paana chaahta tha. Jitna koi cheez aapse dur bhaagti hai, usse paane ki laalsa aapki aur bhi badh jaati hai. Yahi haal tha Ajay ka.

Pragya ki adaa, uski wo carefree personality aur easy going attitude jese usse baaki saari ladkiyo se alag kar deta tha Ajay ki nazro me.

Usse aur koi ladki bhaati hi nahi thi. Bas Pragya hi uske dimaag me ghumti rehti thi.

Aaj bhi aisa hi kuch tha. Aaj Pragya college nahi aayi hui thi par uske bawajood Ajay ka dhyaan toh jese uspe hi laga hua tha.

Uski harr ek image Ajay ke mann me aa rahi thi. Uska hassna, baatein karna, advices dena, sab kuch usse bada yaad aa raha tha.

Par Ajay jaanta tha. Aaj kuch kaam tha usse. Jiske chalte wo aaj college nahi aayi thi.

Uske baare me soch Ajay ne apni seat par baithe apna phone nikaala aur wo Pragya ko call karne hi wala tha ki tabhi uske phone pe ek unknown number se message aaya,

'Aaj bore ho rahe ho na?'

Message padh Ajay soch me pad gaya. Ye bhala unknown number se uske phone pe message kaha se aa gaya? Aur bhala aisa message kyu aaya usse? Kahi wrong number pe toh message nahi bhej diya sender ne?

Usne confused hote hue reply bheja,

'Kaun??'

Aur agle hi pal usse firse message aaya,

'Oh hooo!! Tumne really mujhse ye sawaal kiya? You deserve a punishment.'

Message padh bhale hi Ajay confused tha par iss unknown sender se baatein karte hue jese ab usse interest sa aane laga tha.

Usne firse ek message bheja...

'Mein nahi jaanta aap kaun ho. Shaayad wrong number lag gaya hai aapka. Apna naam bataaiye!'

Usne aisa likhte hue message bheja par kuch derr tak koi reply na aaya aur wo lagataar apni mobile ki screen par teacher se bach bach ke dekhta jaa raha tha.

Kuch minute ke baad hi usse reply aaya,

'Mujhse puch rahe ho kaun hu mein? Beta itna maarungi na...'

Aur usse padhte hi pata nahi kyu par Ajay ke chehre par ek muskaan aa gayi. Ab usse itna toh pata chal gaya tha ki ye jo bhi hai ek ladki hai.

Usne fatafat ek message type kiya aur bhej diya,

Ajay : Accha chalo nahi puchta. Par ab ye toh bata do ki mujhe message kyu kiya hai?

Unknown : Accha bacchu? Upar padho na kya likh ke bheji thi mein.

Ajay ne sabse pehla message padha jisme likha tha,
'Aaj bore ho rahe ho na?'

Aur usse padhne ke baad usne reply diya,

Ajay : Haa! Padha mene. Aur aapko kese pata mein bore ho raha hu?

Unknown : Obviously I know... Tumhari rag rag se waaqif hu mein.

Ek baar fir Ajay message padh bada hi confuse ho gaya. Akhir kaun thi ye bandi jo usse aise messages bhej rahi thi?

Kaun thi aisi wo ladki jo uski rag rag se waaqif thi?

Usne sochne ka prayaas kiya ki akhir kaun ho sakti hai ye ladki par itna sochne ke baad bhi usse koi jawaab na mila.

Bas ek hi jan tha jo uski rag rag se waaqif tha college me aur wo ladki thi Pragya.

Pragya ke baare me sochte hi uske dimaag me ek ghanti sii baji. Pragya hi toh ek ladki thi jo uski bestt friend thi ekdum.

Wahi toh usse bakhubi jaanti thi. Aur wahi toh aise baat karti thi uss se?

Jese hi Ajay ne upar ke saare messages padhe, usse 70% lagne laga ki ye bandi Pragya hi thi.

Par uske paas Pragya ka number toh pehle se hi tha fir woh bhala unknown number se usse message kyu bhejegi?

Aur yahi soch usne ek aur message bheja...

Ajay : Tum Pragya? Tell me! I know mene sahi kaha hai. Ab jhooth mat bolna...

Unknown : Arre yaar! Sahi me... I thought ki thoda toh maze lu tumhaare. Itni jaldi guess karne ki kya zaroorat thi paagal.

Aur agle hi pal Ajay ke chehre pe muskaan aa gayi.
Uski muskaan alag hi baya kar rahi thi ki wo poori tarah se iss shaks ko pehchaan gaya hai.

Ajay : Ye unknown number se message kyu kar rahi ho?

Pragya : Arre yaar... Mene tumhe kya bataya tha kal?

Ajay : Yahi ki tumhe kal chacha ke ghar jaana hai?

Pragya : Haa! Toh wahi hu. Wo chacha aaj new SIM laaye the toh mene socha kyu na tumhaare saath masti ki jaaye new SIM se haha~

Ajay : Tu bhi na yaar! 😅

Pragya : Mujhe pata tha tum bore ho rahe hoge. Mein toh gayi nahi aaj. Tumhaare wai do chaar friends tumhe paka rahe honge aur tum mujhe miss kar rahe hoge.

Ajay : Ye baat toh hai. Miss toh bada kar raha hu tumhe. Aur ye baat tum bhi jaanti hi ho ☺

Pragya : Flirt kar rahe ho? Paagal kahi ke...

Ajay : Haha~ Tumhara plan fail ho gaya but...

Pragya : I know!!! Tum aur tumhari aadat... Accha suno...

Ajay : ??

Pragya : Uss din mene tumse uss ladke ke baare me baat ki thi na?

Ajay : Kaun?

Pragya : Arre paagal jisse tum maarne waale the...

Ajay : Ohh! Hahaha~ Wo chuza? Uske baare me kya?

Pragya : Wo mere paas aaya tha.

Ajay : What?

Pragya : Yes! Aur wai baatein tumse karni hai aur ek aur surprise hai tumhare liye.

Ajay : Surprise? Surprise chorro aur uss chutiye ki himmat kese hui tumhaare paas aane ki?

Pragya : What the hell? Usse kya appointment lena padega mere paas aane ke liye? He just came...

Ajay : But kyuuuu?????

Pragya : Tumse related hi baat thi...

Ajay : Kyaaa??

Pragya : Wo baad me bataungi na... Abhi suno! Iss number pe call mat karna okay? Ye chacha ka number hai.

Ajay : Okay! But... Bataogi kab?

Pragya : Kaha na! Surprise bhi dena hai. Jab mein khud iss number se message karungi bas padhte jaana aur bilkul wesa hi karna okay? No sawaal! Warna punishment milegi.

Ajay : Accha jii! Jesa aap kahogi bilkul wesa hi hoga.

Pragya : Good! Shaam me baat karti hu. Abhi chacha ko phone chaahiye hai. Tab tak college bhi chooth jaega.

Aur itna bol Pragya ne dubaara koi message na bheja.

Ajay muskuraate hue college ke lectures toh kahi apne dosto ke saath bakchodi me vyast ho gaya.

Aaj bhale hi Pragya nahi aayi thi college par uske saath yu iss tarah se baatein kar ke wo khushi se fula nahi sama raha tha.

Aaj ye pehli baar tha jab Pragya ne aisa kuch uske saath kiya tha. Aaj toh wo jese saatve aasmaan par tha.

Aaj uska dil garden garden ho chala tha. Aur bas andar ek hi gaane ki panktiyaa goonj rahi thi,

Udta hi firu... Inn hawaaon me kahi...
Ya mein jhool jau... Inn ghataaon me kahi...

Pehla nasha... Pehla khumaar...
Naya pyaar hai... Naya intezaar...

Ajay yu panktiyo ko gungunaate hue apne pantaro ke sarr par tapli bhi maar raha tha, mazaakiya dhang me. Wo jese bilkul kho sa gaya tha aaj.

College ka departure ho chuka tha aur wo parking me se apni bike nikaal raha tha. Shuru se ant tak uske chehre par muskaan thi. Yaha tak ki aaj uske dost bhi usse 'Pyaar me paagal ho gaya hai' keh keh ke usse cherr rahe the aur na chaahte hue bhi Ajay bas sharm ke maare sharmaata jaa raha tha.

Na jaane kya hi surprise plan kiya hua tha uski Pragya ne. Usse sochte sochte wo Bike parking se baahar laaya aur side me gaadi rokte hue usne ek baar apna phone check kiya kyuki ek pal ke liye wo vibrate hua tha.

Aur screen par notification dekhte hi uske chehre par firse ek muskaan aa gayi.

Pragya ka message aaya hua tha...

Pragya : Oye! Suno! Ab surprise ki baat karle? Haa toh wo xxxxxxxx chauraahe par gift shop dekhi hai na? Kaafi famous hai yaar wo toh... Ab naa mat keh dena.

Message padhte hi na chaahte hue bhi Ajay ki hassi chooth gayi. Apne sarr ke peeche par baalo me haath ferrte hue usne bike me baithe baithe hi reply kiya,

Ajay : Jii! Teacher jii! Jii! Mujhe pata hai.

Pragya : Thank god! Okay! Ab jao waha pe...

Ajay : Waha pe? But kyu?

Pragya : Kaha na jao! Mene kaha tha na baba... No sawaal and all...

Ajay : Jii! Jii! Jo hukum aapka devi!!

Aur muskuraate hue Ajay apne khyaalo me doobe gaane gaate hue bike se chal diya Pragya ki bataayi hui destination ki orr.

Sawaal toh kayi saare the uske mann me par ab usse bhi jese ye khel khelne me maza sa aane laga tha. Aur toh aur wo kaafi excited bhi tha ye surprise leke...

Kuch hi minute baad wo pohuch chuka tha uss gift shop par jo Pragya ne bataayi thi.

Tabhi uska phone firse vibrate hua...

Pragya : Pohuch gaye???

Ajay : Yes!!! Agla hukum dijiye devi jii!

Pragya : Hmm! Ab agla hukum hai ki... Buy a rose flower from there...

Ye padhte hi Ajay ke dil ki dhadkane tezz ho gayi...

Ajay (mann me) : Kya wo mujhe...!?

Usne puchna chaaha ki ye kisliye par dusri side se bas ek hi jawaab aaya~
'Jesa bol rahi hu wesa karo'

Aur bas! Fir kya tha. Fir toh jesa jesa Pragya ne bola Ajay ne theek wesa hi kiya.

Ek pyaara sa rose ka phool lete hue wo baahar aaya aur uske Pragya ko message bheja ki usne flower le liya hai.

Aur agle hi pal usse ek aur message aaya,

Pragya : Le liya na... Ab jao xxxxxxxx shop pe. Waha se xxxxxx chocolate khareedo.

Aur Pragya ka agla hukum paake Ajay chal diya dusri dukaan ki orr. Par jese jese kaam Pragya uss se karwa rahi thi, wese wese hi uski dil ki dhadkane badhti jaa rahi thi.

Kahi ye wahi pal toh nahi tha? Jiska usse besabri se intezaar tha? Kahi Pragya uske proposal ko accept toh nahi karne waali thi? Kahi isliye toh nahi wo uss se ye sab karwa rahi thi? Kya wo firse chaahti thi ki Ajay usse propose kare aur iss baar wo uska proposal accept kaare?

Na jaane kitne sawaalo se Ajay ka dimaag ghira hua tha par inn sab ka jawaab toh keval Pragya hi de sakti thi.

Dusri dukaan me pohuch kar, Ajay ne bataayi gayi chocolate khareedi aur itna khareedte hi usse ek aur message aa gaya,

Pragya : Ab xxxxxxxx toy shop jao aur waha se ek pink teddy khareedo...

Uski baat padh ab toh jese Ajay ko poora confirm sa ho gaya tha ki jo wo soch raha tha shayad wahi hone waala tha aur ye sochte hi uski khushi ka koi thikaana nahi tha.

Teesri dukaan jaake usne waha se nirdesh anusaar ek pink teddy liya aur sab kuch leke wo apni bike pe sawaar ho gaya.

Pragya : Le liya na?

Ajay : Ab aur kitna samaan kharidwaogi yaar? Teeno dukaane itni dur dur thi. But tumhaare liye inn duriyo ki parvaah nahi kii mene...

Pragya : Aww! So sweet! Ab suno... Forun hi mujhe college ki peeche waali road par milo. I have a surprise for you... Mein idhar hi hu...

Ajay : What? Tum waha? But waha kyu milna hai? Paagal! Tumhaare gifts ke chakkar me 6:30 baj gaya. Aur tum waha kya kar rahi ho? Wo road safe nahi Pragya!

Pragya : Itni hi parvaah hai meri toh fir aao na jaldi.

Ajay : Fine! Mein aata hu!

Message bhej Ajay tezz raftaar me apni bike bhagaate hue college ke peeche ki sadak par jaane laga. Excitement toh koot koot kar bharta jaa raha tha usme...

Aur kuch hi samay baad wo saara samaan leke waha pohucha toh fir se usse ek message aaya,

Pragya : Wo board laga hai na... Direction waala. Uske paas aao.

Aur message padh Ajay thoda aage lage uss board ke paas pohuch gaya. Usne gaadi roki aur wo bike se utra. Samaan ki thaili uski bike ke handle par hi tangi hui thi.

Tabhi ek baar fir uska mobile vibrate hua aur usne message padha,

Pragya : You see the tree? Tumhaare left waala? I'm just behind it.

Aur itna bol Pragya ne fir koi message na bheja.

Apne dil ki tezz dhadkane liye Ajay uss ped ki taraf badhne laga. Aur agle hi pal uski aankho me ek chamak aa gayi...

Usse ped ke peeche se...

Ek pink colour ki chunri ka hissa hawa me lehraata hua dikhaayi diya. Bhale hi shaam ke 6:45 baj rahe the par iske bawajood itna sab kuch araam se dekha jaa sakta tha.

Halka halka andhera bas chhaaya hua tha. Ek aasha liye wo aage badha...

Aur usne ped ke bagal se apna sar aage badhaate hue ped ke peeche dekhne ka prayaas kiya...

Ki tabhi...

"Surprise motherfucka..."

*POW*

Ek tezz zorrdaar ghusaa uske jabde pe kisi train ki raftaar jitni tezzi me aate hue pada aur agle hi pal wo thoda uchakte hue peeche ki orr road par dhadaam se jaa gira.

Kuch seconds tak toh usse kuch samajh hi naa aaya. Fir jese usse bhayaanak dard utha apne jabde me aur gaal pe...

Aur fir usne aankhein khol upar nazre karte hue dekha toh pehle toh sahi se nazar na aaya. Taare jo chhaa gaye the aankho ke saamne wo zordaar ghusaa khaane ke baad.

Jab finally usse sahi se nazar aaya toh usne dekha ki ek jaana pehchaana chehra uske saamne khada hua tha.

Ye koi aur nahi Veer hi tha.

Uske gale me ek pink colour ki chunri kisi muffler ki tarah bandhi hui thi.

Jese hi Ajay ne Veer ko dekha uska gussa saatve aasmaan par pohuch gaya. Wo utha...

Ajay : Chuze tu? Teri ye majaal?

Aur gurraaaya...

Par koi fayda nahi...

*POW*

Ek laat theek uske seene par aakar padi jisse khaate hi wo hawa me uchal peeche ki orr jaa gira.

Dard me karaahte hue Ajay jese tese khada hua par iss baar toh jese laat aur ghuso ki jhadi lag chuki thi...

Ajay ne hamlo ko counter toh kiya par koi fayda nahi...

*POW*

"Ye ghusa... Meri pitwaayi karwaane ke liye."

*POW*

"Ye laat... Meri beizzati karne ke liye."

*POW*

"Ye ghusa... Mera mazaak banaane ke liye."

Veer ke harr prahaar par uski awaaz tezz hoti jaa rahi thi. Gussa uski awaaz me saaf jhalak raha tha.

Aur harr ek vaar uska poori taaqat se bharpoor tha.

Ajay ki haalat pitate pitate battar hoti jaa rahi thi.

Aur agle hi pal wo zameen par gir pada.

Tabhi uske girte hi...

Veer ne apna perr uthaaya aur uske sarr par zorr se dabaav banaate hue rakha,

"Aaaaaaarrrrrggghhhhhhh!!!"

Ek tezz karaah Ajay ke muh se nikli.

Joota uske sarr par tikaaye hue Veer bola,

"Aulelelele bacche ko dard ho raha hai? Ruko abhi dard dur kar deta hu."

Ye wahi bol the jab Ajay ne theek issi tarah issi jagah par issi waqt Veer ke sarr par aise laat rakh ke bole the. Aur aaj wo khud Veer ke apne jooto ke neeche tha.

Abhi dard se Ajay cheenkh hi raha tha ki tabhi uske muh me kuch zabardasti thoos diya gaya...

Aur jese agle hi pal usse andaaza lag gaya ki wo kya cheez thi...

Ek lollipop!!!!

Veer : Tujhe pata hai mein ye lollipop leke kyu ghumta hu hamesha? Taaki tujh jese bacche jab udham karne lagte hai na toh unki aqal thikaane laga saku.

Ye wahi bol the...

Ajay ke khud ke bol...

Jinhe Veer ne apne zehan me ab tak baithaaye hue the theek issi waqt par unhe chukaane ke liye.

Aur agle hi pal na chaahte hue bhi, dard ke maare aur apni iss haalat ki anbhooti hone ke chalte, Ajay ke aasu nikalne lage.

*Thuuu*

Aur fir achaanak hi uske upar Veer ka thook gira.

Aise hi usne Veer ke upar thooka tha.

Ye toh badla tha.

Veer ka badla.

Shayad ab usse samajh aa raha tha ki kabhi maar khaate hue kaisa lagta hai.

"K... Kese!?"

Ajay ne Veer ke perr pakad apni adhkhuli ankhoo se usse dekha. Uske honth kaanp rahe the...

Veer : Kese? It was me all along you Idiot! Wo Pragya nahi... Mein hi tha. I made you a fool...

Ajay ko iss baat ka bodh hote hi aur gussa aane laga. Kitna galat tha woh.

Itna bewakoof koi akhir kese bann sakta tha?

Par wo bana tha...

Aur wo bhi Veer ke haatho, jo uski nazro me bas ek chuza tha.

*POW*

Aur achaanak hi Veer ne kuch aur hamle kiye, jiske chalte Ajay poori tarah behosh ho gaya.

Usse ghaseet kar Veer uski bike ke paas laaya aur uski bike bhi giraate hue wahi uske qareeb daal dii. Taaki logo ko lage ki wo bhidne ke chalte behosh ho gaya.

Veer ne saara samaan uski bike se uthaaya aur jaate jaate usne ek akhiri baar behosh huye Ajay par daali...

"I promised someone... Ki ab se yadi jiyunga toh ek Raja ki tarah... Aur yadi marunga bhi... Toh bhi ek Raja ki hi tarah..."

[ 😊 ]

Dheemi awaaz me wo khud se itna bol waha se chal diya...
 
OP
S
Member

0

0%

Status

Offline

Posts

28

Likes

2

Rep

0

Bits

0

5

Years of Service

LEVEL 1
100 XP
Update - 16 ~ Bad Timing

Ab tak...

Veer ne saara samaan uski bike se uthaaya aur jaate jaate usne ek akhiri baar behosh huye Ajay par daali...

"I promised someone... Ki ab se yadi jiyunga toh ek Raja ki tarah... Aur yadi marunga bhi... Toh bhi ek Raja ki hi tarah..."

[ 😊 ]

Dheemi awaaz me wo khud se itna bol waha se chal diya...

Ab aage...

"Aaarghhhhh!!!!" Achanak hi uski ek karaah nikli. Shareer me jagah jagah dard ka ehsaas ho raha tha. Usse apne chehre par kuch geela geela mehsoos hua.

Palke jhapki, aur dheere dheere usse saamne ka nazaara aaya. Do anjaan aadmi jhuk ke usse hi dekh rahe the aur ek haath se bottle leke paani ke chheete uske chehre par maar raha tha.

"Haa haa uth gaya... Uth gaya."
"Utha? Aur daalo thoda..."

Unki baatein sunn wo ladka kuch keh paata ki tabhi ek aur baar paani ka chheeta uske chehre par pada aur agle hi pal usne zorr se sarr daaye baaye hilaaya aur unhe rokne ke liye apne haath aage badhaaye.

Dono hi aadmi uska ishaara dekh rukk gaye.

"Arre bhai! Theek ho?"

Uss ladke na haa me gardan hilaayi aur dono ne usse pakad ke uthaaya.

"Kya naam hai bhai?"

Unme se ek aadmi ne pucha toh ladke ne apna naam bataya, "Ajay!"

Aadmi : Aise raste me dale the bhaiya tum. Nashe me the kya?

Ajay : Nahi! Wo mein... Kuch nahi balance bigad gaya tha isliye gir gaya.

Aadmi : Kamaal hai bhai! Itni khaali sadak pe balance bigad gaya? Tum toh bade heavy driver nikle bhai. Konu kartab artab kar rahe the kya beech raaste me?

Ajay : Nahi! Wo samaan tha zyaada isliye...

Itna bol jese hi Ajay ne apni bike par nazar daali usse ek aur jhatka laga. Uska saara samaan gayab tha. Wo mehngi chocolate ka dabba, wo pink teddy, wo rose, sab kuch gaayab tha.

Aur usse jese hi ye dhyaan me aaya ki ye harqat kiski hogi, uska paara chadh gaya. Apni mutthi kasste hue wo Veer ko yaad karte hi apne daant peesne laga.

Aadmi : Samaan? Kon sa samaan? Yaha koi samaan nahi mila hai hume tumhara. Lagta hai koi leke bhaag gaya. Batao...

Aadmi 2 : Aaj ka jamaana aisa hi hai bhai. Wo toh hum log the jo tumhe dekh ke forun aaye.

Ajay : Jii! Thank you! Meri madad karne ke liye.

Aadmi : Koi baat nahi! Sambhal ke chalaaya karo.

Ajay : Jii!

Aur itna bol wo dono aadmi apni bike par baith nikal gaye.

Idhar Ajay apni bike ki taraf aaya. Usne phone nikaal ke dekha, toh paaya ki 7:30 ho raha tha. Aur uska phone silent me hone ke kaaran na jaane kitne missed calls uski Maa, Sushma ke dale hue the.

Usne apni bike uthaayi, aur ek baar fir karaahte hue seat pe baitha.

'Yaad rakhunga mein ye chuze. Yaad rakhunga. Harr ek hisaab chukaunga.'

Apne aap se mann me sankalp baandhe wo bike utha ke waha se nikal gaya.

***

Idhar jab Veer Ajay ko sootne ke baad, haatho me samaan liye, raaste me chalte hue jaa raha tha tabhi usse mission complete karne ke liye system ki taraf 30 points mile the.

Jo abhi tak usne add nahi kiye the kisi bhi stat me.

Abhi wo raaste me chalte hue hi jaa raha tha. Paise toh the nahi uske paas, aur Nidhi se usne paise liye nahi the. Nidhi ne kuch paise dene ka prayaas kiya tha usse par usne ye keh ke mana kar diya, ki abhi zaroorat nahi hai, jab boht zaroori hoga toh wo khud maang lega.

Veer jaanta tha Nidhi ke ghar ki sthiti. Wo itna jaanta tha ki Nidhi paisa ikhatta kar rahi hai. Kis kaaranvash? Ye usse nahi pata tha. Par itna zaroor pata tha usse ki koi kaaran hai jiske chalte Nidhi jald se jald paisa ikhatta karna chaahti hai.

Aur shayad isliye wo apni job kese bhi karke nahi chorrna chaahti. Isliye, wo Vikaas ki harqato ko bardaasht karti rehti hai.

Aur yahi kaaran tha ki Veer ne abhi tak Nidhi se paise nahi liye the. Wo yaha tak aaya bhi tha toh lift le le ke. Aur abhi bhi wo lift ka hi intezaar kar raha tha chalte chalte.

Bhale hi Veer ne Nidhi ki baat kaat dii thi, par Nidhi ne zabardasti usse apna ek puraana phone pakda hi diya tha. Issi phone ki madad se toh Veer ne Ajay ko chomu banaaya tha.

Apni wahi puraani SIM daal ke wo isse use kar raha tha. Ab uski baat Kavya se bhi whtsapp par hone lagi thi.

Abhi wo chalte chalte jaa raha tha aur akhir kaar usse lift maangne par ek bhale vyakti ne usse lift dii aur usne Veer ko Nidhi ke ghar se bas kuch dur mod par chorr diya.

Yaha se ghar thoda sa hi dur tha, toh Veer ko ab koi tension nahi thi paidal jaane me. Wo Nidhi ki gaadi lekar nahi aaya tha, infact wo ghar me kuch bata ke bhi nahi aaya tha. Aur isliye Nidhi ke 3-4 missed calls pade hue the uske phone me.

'Ma'am aaj fir gussa karengi lagta.'

[Zaahir sii baat hai master. Wo aapki fiqr karti hai. Wo aapko hospital se apne ghar laayi thi. Aur, wo aapko khud ki ek zimmedaari ke roop me dekhti hai shayad. Isliye, aapki tension unhe lagi rehti hai. Upar se wo ek maa bhi hai toh wo aapki maa ka dard bhi samajh sakti hongi.]

'Meri Maa? Haha~ Wo Maa jo meri ghar me aisi ho rahi durdasha dekhti rahi? Par kuch na bolti thi? Wo Maa, jisne kabhi mujhse pyaar se baat tak naa ki? Wo Maa, jo mujhe ghar se nikaale jaane par bhi chup rahi? Wo Maa nahi hai Pari. Wo ek anjaan aurat hai mere liye.'

Veer ki baat sunn, Pari uske dil me ho rahe fluctuations ko mehsoos kar paa rahi thi.

[Mera matlab aapki sauteli Maa se nahi tha master. Mera matlab aapki asli Maa se tha.]

Pari ki baat sunn, Veer ka haath apne aap hi apne gale me tange uss locket par chala gaya jo uski asli Maa ki ek akhiri nishaani thi.

'Kya pata wo zinda bhi hai ya nahi!?'

[Aisa bhi toh ho sakta hai na master, ki wo zinda hai aur issi duniya me kahi par maujood hai. Aapke lakshyo me se ek lakshya aapka ye bhi hona chaahiye master. Apni asli Maa ke baare me jaan'na. Akhir unhone hi toh aapko janm diya hai.]

'Tum theek kehti ho Pari. Mein unke baare me jaan'ne ki koshish zaroor karunga.'

[Hmm! Wese, aap points invest kar rahe ho!?]

'Raat ko karunga.'

[Okay master!]

Veer abhi chal hi raha tha ki thodi derr baad achanak hi wo chalte chalte zorr zorr se hassne laga.

"Hahahahahaha~"

[Master?]

"Hahahahaha~"

[Master kya hua? Aise kyu hass rahe ho? Raat ho rahi hai, colony ke aas paas ke log sab aapko hi dekh rahe hai.]

Pari ki baat sunn, Veer ne thodi derr baad apna hassna band kiya aur fir bola,

'Pari!! Hahaha~ Mujhe darasal ye yaad aa gaya ki kese humne Ajay ko chutiya banaaya. Hahaha~'

[Ohhh!!]

'Thanks to you! Wo ladkiyo waale dialogues mujhe suggest karne ke liye. Wo chutiya mujhe sach me ladki samajh raha tha hahaha~ Kya kya khwaab saja raha hoga mann me haha~ Soch raha hoga aaj maal milega par mila kya? Pitaayi! Hehe!'

[Isme thanks kesa? Ye toh mere liye baaye haath ka khel tha.]

'Wese! Tumne kaha tha tum genderless ho. Fir itni acchi tarah ladkiyo ke dialogues kese suggest kiye tumne mujhe?'

[I'm not genderless. I'm a girl master.]

'Whaaaattttttt?? Par... Par tumne toh...'

[I lied to you.]

'What the fuck????'

[ :roll: ]

'Kyu?????'

[Aise hi... Tab mera mann ni tha sach bataane ka.]

'The hell????? But tum toh ek system ho aur fir... System ka gender kese ho sakta hai? I mean....'

[Aap iss se adhik jaan'ne ke kiye abhi qualified nahi ho master.]

'Jitna mene socha tha, ye system uss se bhi zyaada pechida nikla.' Usne mann me khud se socha.

[Yes! Mein samajhne me complicated hu... :smile2: ]

'Shit! I forgot ki tum meri mann ki harr ek baat sunn sakti ho.'

[Hmm! Isliye, mere baare me koi buri baat nahi bolne ka master.]

'Jaisa aap kaho meri pyaari Pari! Meri cutie Pari! Meri...'

[Bas bas master! Itni makkhan bhi nahi lagaana hai.]

'Pari!!!'

[Hmm?]

'Thank you!' Veer ne iss baar badi hi soft sii awaaz me muskuraate hue kaha. Aur uske yu bolne par Pari ekdum shaant sii pad gayi.

Kuch derr baad fir uski awaaz Veer ke mann me aayi,

[Kisliye master!?]

'For helping me out, Pari! Kal club me jaake tumhaare kehne par mene wo kisses kari thi unn drunk ladkiyo ke saath, entry bhi tumne karwaayi thi badi hi chaaplusi se. Mujhe shuru me wo sab bilkul accha toh nahi laga tha but ussi ke kaaran mujhe points mile the. Aur mein apni strength badha paaya. Warna mein ye mission kabhi nahi kar paata, and I would have lost you.'

[It's okay master! You don't have to be so emotional. 😊 ]

Veer muskuraaya aur yu baato hi baato me wo ghar pohuch chuka tha.

Upar floor par aate hi jese hi usne ghar ke baahar se door bell bajaayi, gate Nidhi ne hi khola.

Aur Veer ko dekhte hi uski aankhe phati ki phati reh gayi.

Aur kyu na phati reh jaengi?

Veer ke gale me uski chunri jo bandhi hui thi.

Nidhi : Veer?

Veer : I'm sorry Ma'am! Mein bata ke nahi gaya aapse. Darasal, kaam hi aisa tha.

Uski baat sunn ek baar firse Nidhi ne uske gale me bandhi apni chunri ko dekha aur soch me padd gayi. Ye kis type ka kaam karne gaya tha Veer?

[Master! You are fucked! :roll:]

'Huh? Kya hua?'

[Apne gale par haath ferro...]

Pari ki baat sunn jese hi Veer ne apne gale par haath ferra ek mulaayam sa kapda uske haatho se sparsh hua. Aur uss sparsh ka ehsaas hote hi agle hi pal uski ankhein phati ki phati reh gayi.

'Fuuuuccckkkkkkkkkk!!!!'

Nidhi aur Veer dono aankhein faade bas ek dusre ko ghoor rahe the. Mahaul itna awkward tha ki na toh Nidhi me ye puchne ki himmat thi ki uski chunri Veer ke gale me kya kar rahi thi. Aur, na hi Veer me jawaab dene ki koi himmat thi.

Darasal, College se lautane ke baad jab Nidhi fresh hone gayi thi, tab hi Veer ghar se nikal liya tha.

Uske jaane ke baad Nidhi pink color ka apna suit pehn kar baahar nikli thi. Na jaane kab se wo iss chunri ko dhund rahi thi par usse mil nahi rahi thi. Aur ab jab mili toh kaha?

Veer ke gale me...

Bina kuch kahe usne Veer ko andar aane ke liye raasta diya. Awkwardly, Veer andar aaya aur badi hi bekaar si smile dii usne jiske badle me Nidhi keval sarr jhuka lii aur darwaaza band karne lagi.

'Fuckkkkkk! Ye mat kehna wo kuch galat soch rahi hai. I'm not gay! Pari! I'm not gay...'

[I know master!]

'Mere aise koi bhi shauk nahi hai...'

Sochte hue usne forun hi wo chunri utaari aur aage badh Nidhi ke saamne apne haath badhaate hue usse dene laga,

Veer : Wo ye... Ma'am!

Aur Nidhi ne wo chunri lete hue apne upar daal lii.

Nidhi : Mene pehle bhi kaha hai Veer. Kam se kam bata ke jaaya karo... Aur ye...

Veer : I know Ma'am! Uske liye sorry... Aur ye... Ye mein galti se le gaya tha.

Nidhi : Galti se?

Veer : Haan Ma'am! Jaate waqt ye meri jeans me kahi fass gayi thi.

Nidhi : Par kese? Mein toh kab se isse dhund rahi thi...

Veer : Wo...

'Fuccccckkkk me!!!! Mere sath hi aisa kyu hota hai? Itni gaandu timing kyu hai meri?'

[ :sip: ]

Veer : Wo... Shayad bed par rakhi thi ye aapke. Mein aapko bataane aaya tha ki mein jaa raha hu. Par aap washroom me thi aur Shreya jii bhi tab washroom me thi. Isliye, mein nikal aaya tha. Aur shayad nikalte waqt hi ye mere jeans me fassi aur mein jab baahar lift tak pohucha tab mujhe dhyaan aaya. Fir waapas aane ki bajaaye mein isse leke hi chala gaya tha. Sorry!

'Fuck this! Kon believe karega ye chutiya story par? Mein khud na karu.'

Par agle hi pal Veer ko ek jhatka laga jab usne Nidhi ke shabd sune,

Nidhi : O... Okay! I believe you!

Wo halka sa muskuraate hue boli aur turant hi Veer ka chehra garmaane laga.

Uske gaal laal ho gaye aur muh thoda khula ka khula reh gaya.

'Damn it! She's too pure Pari! She's too pure. Mujhe yakeen nahi hota ki Ma'am jesi aurat ki zindagi bhi itni dukhdaayi hai.'

Abhi doni ke beech kuch aur baatein hoti ki tabhi andar se Juhi daudti hui aayi aur Veer ke perro ko zorr se pakad lii.

Apna sarr upar kar wo Veer ko dekhi aur boli, "Veer Mama... Kya laaye mere liye?"

[ 😆 ]

'Ye Shreya ke kaaran... Mama Mama sunn'na pad raha hai.'

Veer : Aapke liye boht badhiya cheez laaya hu mein. Par pehle ek promise karo.

Juhi : Bolo...

Veer : Ki Shreya Jii ko aap Shreya mausi kehke bulaogi.

Juhi : Okaaaaaaayyyyy!

Veer (laughs) : Hahaha~ Ye lo fir.

Aur itna bol Veer ne ussi thaili me se chocolate aur Teddy nikaal ke Juhi ko pakda diya.

Chocolate aur teddy dekh ke Juhi ki aankho me chamak aa gayi. Wo apne haatho me lete hue ucchalne lagi, usne Veer ko neeche jhukaaya aur agle hi pal uske gaal pe ek pyaari sii pappi jad dii.

Juhi : Thank you Veer Mama!

Bol ke wo andar ki orr bhaag gayi.

Idhar Veer apna gaal sehlaata hua uss nanhi sii cute sii bacchi ko jaata dekhta raha. Fir, jese hi usne Nidhi par nazar daali...

Usne dekha...

Ki Nidhi muskuraate hue Juhi ko jaata hua dekh rahi thi. Uske chehre par ek sacchi muskuraahat thi.

Koi dard ya koi jhoothapan nahi tha uss muskaan me. Wo ek maa ki muskaan thi apni bacchi ki khushi ke prati.

Jab Nidhi ne palat ke dekha toh paaya ki Veer usse hi ek taq dekh raha tha.

Aur uski nazre apne upar paate hi usne chaunkte hue ek saans bhari.

Veer : Aapke upar yahi smile acchi lagti hai Ma'am!

Nidhi (blushes) : Huh!?

Veer (smiles) : Aap aise hi smile karti raha karo.

Nidhi (blushes) : Ye tum... Wo sab chorro! Aur ye batao...

Veer : Hmm?

Nidhi : Wo... Wo... Ye sab teddy bear, chocolates? I mean... Tumhari date thi kya? Acchi nahi gayi kya date? Kyuki... I can guess ye tum apni date ke liye hi le gaye hoge.

Veer : Ehh? Date? Pffftttt~ Hahaha~

Nidhi : K... Kya hua? Aise kyu hass rahe ho? Kuch galat kaha kya mene?

Veer : Aapko kisne kaha ki mein date pe gaya tha?

Nidhi (surprised) : You didn't?

Veer : No!!! Not at all! Bas, ye samajh lijiye ki... Mein ye lena chaahta tha toh le liya. Aur ye Juhi ke liye hi tha.

Nidhi : But tumhare paas paise...!?

Veer : Wo... Meri cousin ne diye.

Aur usse jhooth bolna hi pada.

Nidhi : Cousin? Toh... Iska matlab...

Veer : Yes! Bhale hi mujhe uss ghar se nikaal diya gaya hai. Par, meri ek chhoti behan hai Kavya. Wo mujhe waqai apna bhai maanti hai aur bhai jese pyaar bhi karti hai.

Nidhi (smiles) : Ye toh... Ye toh behad hi khushi ki baat hai Veer. Atleast, ab tumhe akelapan mehsoos nahi hoega. Atleast koi toh hai apna jis se ab tum baatein kar sakte ho.

Veer : Yes! By the way... Kya aap kabhi date pe gayi ho?

Nidhi : Huh? Mein?

Veer : Hmm!

Nidhi (giggles) : Haha~ Date kya hoti hai. Ye mein nahi jaanti. Mein kabhi nahi gayi.

Veer (surprised) : I don't believe it. Aapke jesi khubsoorat lady ko toh na jaane kitne proposal aaye honge dates ke.

Nidhi (blushes) : Huh? I mean... Well, thank you but... Even though proposals aaye the toh... I never actually went. Samay beet gaya aur fir gharwaalo ne shaadi karwa dii. Bas!

Veer : Toh? Aap kabhi apne husband ke saath...!?

Nidhi : No... Mein kabhi nahi gayi.

Veer : Aap... Aap kehti ho toh maan leta hu. Wese... Wo...

Nidhi : Hmm??

Veer ne thaili khol, usme rakhe rose ka phool nikaala aur Nidhi ko haath aage badhaate hue usse dene laga,

Veer (blushes) : Ye wo... Juhi ke liye mein wo laaya tha... So... Aapke liye ye...

Nidhi (blushes) : Ahh?? Ye...

Nidhi iske liye taiyaar na thi. Na jaane kab usse gulaab ka phool mila tha. Teacher's day me toh sabhi launde lapaade usse phool diya karte the par aise yu achaanak se shayad hi pehle usse kisi ne phool diya tha. Aur ye toh Veer tha. Uska apna student.

Veer : Ye... As a gratitude meri taraf se... Meri itni help karne ke liye... Ek beautiful lady ke liye... Ek beautiful flower...

Nidhi (blushes) : I... I...

Nidhi ke muh se lafz hi na nikle. Wo bas Veer ko dekhti aur fir uske haath me uss gulaab ke phool ko. Kya ye sahi tha? Kya Veer ke haath se phool lena sahi tha?

Wo thodi si duwidha me thi. Par abhi toh Veer ne kaha tha ki wo ye gratitude vyakt karne ke liye de raha hai aur toh aur Veer uss type ka insaan bilkul bhi nahi hai. Veer ki nazro se bhali bhaati waaqif thi Nidhi.

Apna haath aage badhaate hue usne finally, Veer ke haatho se wo gulaab ka phool le liya.

Veer : Bhale hi hum dono ne apni life me date experience na kari ho, par mein aapko ye phool toh de hi sakta hu na?

Nidhi (blushes) : Hmm! I never got to experience it. But jo bhi hota hai, acche ke liye hi hota hai. Maybe God has planned something else for me!? Accha wo sab chorro... Fresh ho lo, mein khaana lagaati hu. Aur, iss flower ke liye Thank you Veer.

Wo bol ke uthi aur apne dono haatho me phool ko pakad andar jaane lagi ki tabhi,

*Ding*

[Mission : Go on a Date with Nidhi.
Rewards : ??
Time limit - 1 month]

Aur mission padhte hi Veer ki gaand phatt ke chaar ho gayi.

'Pari keh do ki ye mazaak hai.'

[It's not master!]

'Pari! Dekho... Chaahe meri gaand maar lo, par keh do ki ye jhooth hai.'

[No master! Ye mission hai.]

'Kyuuuuuu? Kyu meri kismat itni gaandu hai? Kyuuu? Haan? Nidhi Ma'am ke saath date? Mere laude lag jaenge Pari... Mein unke saath bilkul baat nahi bigaadna chaahta. Kitni favourability hai unki?'

[Nidhi ki favourability 40 hai aapke prati master.]

'Dekha! Kitni badh gayi hai. Ye chutiya se mission ke kaaran zero pe na gir jaaye. Unki naraazgi mein sehan nahi kar paunga Pari.'

[I can't help it master!]

'Fucccccckkkkkkkk!!'

Veer bas apni kismat ko kos hi sakta tha. Uski kismat waqai gaandu thi. Yadi koi accha kaam kismat ne kiya tha toh wo tha Pari ka uske shareer me pravesh hona.

'Pari!!!'

[Yes! Master!]

'Show me my stats'

[Abhi lo master.]

[ Stats :
Strength - 32/100
Intelligence -11/100
Agility - 3/100
Endurance - 7/100
Appearance - 9/100]

Kal Pari ki baat maan'ne ke baad Veer bemann club me gaya tha aur waha jo jo harqate usne nashe me padi ladkiyo ke saath kii thi uske kaaran usse 17 points mile the jo usne apni poori strength me daal diye the. Koi aisi zabardasti waali harqate nahi kii thi usne. Keval kisses aur thode upar se hi boob press jo ki waha club me aam baat thi.

Bhale hi Veer ko wo tareeqa pasand nahi aaya tha par ussi tareeqe ke chalte usse points mile the aur wo Ajay ko dho paaya tha. Yaani ki Ajay ki strength 32 se kam thi.

'Pari!'

[Yes master!]

'8 points meri strength me daalo. 9 points mere intelligence me, 7 meri agility me, aur 3-3 mere appearance aur endurance me.'

[Okay master!]

*Ding*

[ Stats :
Strength - 40/100
Intelligence -20/100
Agility - 10/100
Endurance - 10/100
Appearance - 12/100]

'Good! Good!'

Veer muskuraaya aur andar fresh hone ke liye chal diya.

***

*Thud*

Ek table par ek aadmi ne file patki aur saamne khade ladke ko dekhte hue wo bola,

"Badhiya! Mene jin jin pe gola lagaaya hai, unke baare me pata karo. Aur dhyaan rahe, puraani takneek ke saath hi hume chalna hai. Samjhe?"

"Jii... Jii Bhau!" Uss ladke ne kaha.

Aadmi : Shabaash! Kaam karo toh itna bada karo, ki apne aap naam ho jaaye hahaha~

Wo aadmi cigarette ka dhua apne muh se nikaal ke hassne laga.

Uske saamne hi ek aur aadmi baitha hua tha jo usse dekh ke nakli hassi me hassne laga.

Aadmi : Aap kyu hass rahe ho Prasaad laal?

Prasaad laal : Wo... Wo... Jii... Jiii.. Aap hasse isliye mein hassa haha~

Aadmi : Accha!? Kuch samajh me aaya mene kya kaha?

Prasaad Laal : Jii ki kaam itna bada karo ki naam apne aap ho jaaye...

Aadmi : Hmm! Hmm! Par tumne abhi jo kaam kiya na!? Uske kaaran mera mood kharaab ho gaya.

Prasaad Laal : Huh???

Aur tabhi uss aadmi ne do baar taali bajaayi aur agle hi pal uske peeche khade do hatte katte aadmi ne Prasaad Laal ko uthaaya aur andar room me le jaane lage.

"Nahi! Bhau... Bhau... Isme meri kya galti!? Mujhe maaf kardo... Mujhe maaf kardo bhau... Please! Mujhe bachao..."

Prasaad Laal gidgidaata raha par uski ek na suni gayi. Aur usse ghaseet ke andar ek kamre me le gaye.

Wo aadmi apni chair se utha, sar par safed hat daali, apni hockey uthaayi aur apna mouth organ pant ki jeb me daalte hue wo kamre ki khidki ki taraf aage badha.

Aadmi : Jaan se nahi maarna. Prasaad Laal se hume abhi kaafi kaam hai...

Aur agle hi pal wo kamre ka darwaza band hua aur andar se Prasaad Laal ki raungte khade kar dene waali cheenkhe sunaayi dene lagi.
Na jaane kya suluk ho raha tha uske saath andar.

Aadmi : Ranga!

Ranga : Jii... Jii... Bhau!

Aadmi : File uthao! Mene pehle hi gola laga diya hai. Keval unpe hi dhyaan do. 6 companies hi hai. Mujhe do din ke andar sab kuch chahiye.

Ranga : Jii bhau! Ho jaega!

Aadmi : Good! Tumhe toh pata hi hai ki kya karna hai?

Ranga : Jii Bhau!

Aadmi : Kamzor kadi ko dhundo, raasta apne aap mil jaata hai.

Ranga : Jii Bhau!

Aadmi : Prasaad laal ko ab samajh aa jaega ki kin logo ke saath mazaak bilkul bhi nahi karna chaahiye.

Kehte hue wo kamre se baahar jaane laga.

Aadmi : Yadi fir bhi na maane, toh do chaar dose aur dena usko... Tab samajh aa jaega usse ki Aatish Bhau kon hai.

Ranga : Jii Bhau!

Aur Aatish Ranga ko itna bol kamre se baahar neeche ki orr chala gaya.

Idhar Ranga ne uske jaate hi apne maathe oar se paseena pocha aur file utha ke laal marker se banaaye gaye gole par dhyaan diya jo ki kul 6 naamo ke upar lagaaye gaye the.

Usse toh jese pata tha ki aage usse apne Bhau ke liye karna hai. Aur yahi soch wo forun hi apne kaam me lag gaya.

***

Issi raat Veer ke ghar yaani Nidhi ke ghar se kayi kilometres ki duri par ek behtareen hotel me ek sundar sii mahila kisi se phone pe baat kar rahi thi.

Kuch derr baat karne ke baad usne phone kaata aur wo apni jagah se uth khadi hui.

Wo apne cabin se nikli aur apne bagal ke cabin me gayi. Andar jaate hi usse ek behad hi khubsoorat sii ladki ke darshan huye. Usse dekhte hi uss aurat ke chehre par ek muskaan aa gayi.

"Ho gaya kaam?" Usne pucha toh cabin me baithi wo ladki usse dekhi aur usse dekhte hi wo bhi muskuraayi,

Ladki : Haa Mom!

Andar aate hue uss mahila ne saamne chair kheechi aur uspe baith gayi,

Aurat : Bas! Kuch samay aur fir uske baad dekhna, hamaare paas bhi humaara hissa hoga. Hum nishchint hoke reh paenge.

Ladki : I know Mom! Par...

Aurat : Par kya Bhumi!??

Jii haa! Ye aurat aur ye ladki Veer ki sauteli maa aur uski step sister thi. Yaani ko Shweta aur Bhumika.
Aur iss waqt wo apni hi hotel me baithe hue baate kar rahi thi.

Bhumika : Mom! Kya hum jo kar rahe hai wo sahi hai?

Aurat : Sahi!? Kyu nahi!?

Bhumika : Unka... Unka apna beta ghar se nikaal diya gaya. Aur...

Aurat (surprised) : Bhumiiii!?? Kya tum uske baare me soch rahi ho ab? Kahi hamdardi toh nahi hone lagi tumhe uss se?

Bhumika (bauhe sikodte hue) : Mom! Pehle nahi hoti thi. Par aajkal pata nahi kyu, jese jese samay beet raha hai. Mujhe andar se kuch sahi nahi lag raha.

Shweta : Par aisa kyu Bhumi beta? Hum itna aage aa chuke hai. Aur pehle kabhi toh tumhaare mann me uske liye aisa kuch nahi aaya na? Fir ye achanak se kyu?

Bhumika : Shayad isliye Mom, kyuki kabhi bhi usne hamaare saath galat vyavhaar nahi kiya. Wo jesa bhi tha, kam se kam usne hamaare beech me kabhi khalal nahi daali. Na hi hum uss se baat karte the aur na hi usse kabhi apna maante the. Par inn sab ke bawajood, usne kabhi inn baato ka virodh nahi kiya. Aur isliye, ab jab usse ghar se nikaal diya gaya hai, wo mere sapno me aata hai Mom. Uska chehra mere sapno me dikhta hai. Aur mujhe aisa lagta hai jese mene hi usse ghar se nikalwaaya hai.

Shweta : Tu bhul jaa beti inn sab baato ko. Wo toh jaa chuka hai ab. Ab jaha bhi wo ho, apna jeevan jese usse jeena hai jee lega. Par hume hamaare baare me sochna hoga. Kyuki tum aur mein, bas hum dono hi hai ek dusre ke liye.

Bhumika : I know Mom... It's just!

Shweta : Apne aap ko kaam me vyast rakha karo. Okay?

Bhumika : Jii!

Shweta (smiles) : Hmm! Chalo! Ab chalte hai.

Ye raat toh sabhi ke liye jese tese guzar gayi. Par aane waala samay na jaane sabki zindagi me kya laane waala tha. Jo bhi hone waala tha, itna toh tay tha ki Veer ke liye aane waala samay sangharsh se bharpoor hone waala tha.
 
OP
S
Member

0

0%

Status

Offline

Posts

28

Likes

2

Rep

0

Bits

0

5

Years of Service

LEVEL 1
100 XP
Update - 17 ~ Captured

Ab tak...

Shweta : Apne aap ko kaam me vyast rakha karo. Okay?

Bhumika : Jii!

Shweta (smiles) : Hmm! Chalo! Ab chalte hai.

Ye raat toh sabhi ke liye jese tese guzar gayi. Par aane waala samay na jaane sabki zindagi me kya laane waala tha. Jo bhi hone waala tha, itna toh tay tha ki Veer ke liye aane waala samay sangharsh se bharpoor hone waala tha.

Ab aage...

Do din guzar chuke the. Aur inn do dino me Veer ki life me jo bhi badlaav aaya tha wo tha points badhaane ke baad uska shareerik badlaav.

Nidhi ke saath bhi ab uski acchi jamne lagi thi. Nidhi bhi Veer ko jese ab apne hi parivaar ka sadasya maan'ne lagi thi. Wo uske saath shopping par jaati, kabhi koi bhi samaan lena hota wo aur Veer saath saath jaate aur ek dusre ki madad karte.

Veer ke aane se bhale hi uske khane peene ka kharcha badh gaya tha par Veer uski boht madad bhi kar deta tha. Ye baat Nidhi ko khud bhi mehsoos ho rahi thi. Uske upar se jese kaam ka load kam sa ho gaya tha.

Juhi ke saath bhi Veer ki acchi dosti ho chuki thi. Veer time to time Juhi ke saath khelta toh kabhi usse padhaata, uske aane ke baad se hi Nidhi ke ghar ka mahaul ekdum khushnuma sa ho gaya tha.
Chahal pahal badh gayi thi. Ghar me ab baat cheet hua karti thi. Boriyat naam ki toh jese koi cheez hi nahi thi ab Nidhi ke ghar me. Na hi usse ab utna akelapan mehsoos hota tha.

Bas yadi kuch bacha tha toh wo tha Veer aur Shreya ka ek dusre ko jawaab dena chorrna.

Dono hi bas ek dusre ke peeche pade rehte the. Kahi Shreya Veer ki taang kheechti toh kahi Veer Shreya ki. Aur unn dono ka yu jhagadna bhi kahi na kahi Nidhi ko accha lagne laga tha. Usse aisa lagta tha jese wo dono ziddi bhai behan hai jo bas ek dusre se ladte jhagadte rehte hai.

Nidhi ne apne ghar me bhi ye baat bata ke rakhi hui thi ki uske saath uska ek student bhi reh raha hai. Halaki, shuruaati samay me uske gharwaalo ne iska virodh zaroor kiya tha ki ek naujavaan ladke ko apne saath rakhna sahi nahi hai par jese jese kuch din beete aur Nidhi ne roz ki daily report apne gharwalo ko dii, toh unka darr bhi andar se kam ho gaya aur Veer pe unka vishwaash bhi kayi hadd tak badh gaya tha.

Bhale hi Veer ki zindagi yaha pehle se kaafi behtar ho chuki thi par yahi baat Veer ke ghar ke liye kehna thoda mushqil tha.

Veer ke bangle me iss waqt ek behad hi khubsoorat aurat saamne sheeshe me dekh apne baal bana rahi thi. Uska saundarya alag hi starr pe the. Apni ghani zulfo me wo iss tarah apne haath chala rahi thi jese maano wo zulfe nahi, pani ki lehre ho. Uske teekhe nain aise prateet ho rahe the ki kisi ko bhi nasheela bana de. Uski ek jhalak acche se acche sanyaasi ko madhosh kar de.

Aur ye koi aur nahi, Veer ke bade bhai ki patni, yaani ki uski Bhabhi~ Ragini thi.

Ragini apne aap ko sajaate hue dressing table se uthi aur wo baahar nikalne hi waali thi ki tabhi uska bed par rakha phone baja.

*Ring* *Ring*

Aage badhte hue, Ragini ne apna phone uthaaya aur screen pe Papa likha dekhte hi uske chehre pe muskaan aa gayi.

Usne phone utha ke apne kaano me lagaya par kuch second baad hi uski wo muskaan uske chehre se gaayab ho gayi. Aur chehre pe bas shikan, tension aur darr chhaa gaya.

Jese hi usne phone utha ke hello bola tabhi dusri taraf se awaaz aayi,

"Beta!!! Sab kuch lutt gaya, barbaad ho gaya... Lutt gaya beta mein..."

Apne Papa ki aisi awaaz sunn Ragini ki rooh kaanp gayi. Uske Papa Dinesh ki aisi awaaz shayad hi pehle Ragini ne kabhi suni hogi.

Ragini (ghabraate hue) : Papa!!! Kya keh rahe ho aap? Kya hua? Bataaiye!!

Dinesh : Beti!!! Sab kuch barbaad ho gaya meri bacchi!! Sab kuch barbaad ho gaya.

Aur Dinesh ki achanak rone ki awaaz Ragini ko sunaayi dene lagi.

Bechaini me wo uthi aur room me ird gird ghumne lagi,

Ragini : Papa! Aap daraaiye mat mujhe. Please bataiye mujhe! Sab kuch theek toh hai na!?

Uske baad Dinesh apni aapbeeti apni bacchi Ragini ko sunaata hai jisse sunn ke Ragini ke khud ke hosh udd jaate hai. Wo bhauchakki sii bas khadi apne Papa ki baat sunti rehti hai par jese uska dhyaan kahi aur hi tha. Jese maano sadma sa lag gaya ho usse.

Ragini : Nahi!! Ye nahi ho sakta... Aisa kese bhala!? Aapne police me...!?

Dinesh : Beta! Kya kahunga police me!? Police saboot maangti hai. Aur kuch nahi dekhti. Mene unhe sach bataaya hai par wo toh jese meri baat sunn'ne taiyaar hi nahi hai beti. Sab kuch chala gaya beta sab kuch...

Ragini : Aise kese Papa... Aise thodi... Mein... Aap aap... Haa! Hum sheher ke sarvashreshth lawyer ko hire karenge... Bhala aise kese Police hamaari baat nahi maanegi? Hum F.I.R karenge Papa... Jaach padtaal me sab kuch baahar nikal aaega dekhna... Aur akhir himmat kese hui police ki hume ignore karne ki?

Dinesh : Nahi beta! Kuch nahi ho sakta ab. Mene thodi derr pehle hi na jaane kitne sheher ke jaane maane lawyer logo se baat kari. Sabhi peeche hatt gaye beti. Jese maano wo jaante ho ki unka jeetna naamumkin hai. Wo log bade hi khatarnak prateet hote hai beta. Ab toh yadi koi kuch kar sakta hai toh woh Vivek hi hai. Zara bolo beti... Uski acchi pakad hai aur pehchaan bhi.

Ragini : Itna sab kuch ho gaya Papa aur ye baat aap mujhe ab bata rahe ho??

Dinesh : Beta! Sab kuch achanak hua beta... Sab kuch achanak. Pehle jo kaam sabse zaroori tha wahi kiya. Mujhe laga tha police hamaari madad karegi par yaha toh wo sunn'ne taiyaar nahi hai. Vivek hi ab kuch kar sakta hai beta... Zara baat karna ho sake toh uss se...

Ragini : Ye bhi koi kehne ki baat hai Papa? Bilkul! Mein... Mein abhi jaa ke unse bolti. Mein khud jaati hu company me aur inse baat karti hu. Theek? Aap... Aap bilkul tension mat lena Papa. Kuch nahi hoga okay? Sab sahi ho jaega. Ye hai na... Dekhna! Abhi sab sulajh jaega... Mein... Mein abhi jaati hu...

Aur itna bol Ragini call cut karke fataafat unhi kapdo me baahar nikal, Vivek ki company ki orr car nikaal ke akele chal deti hai.

Kuch minute ki duri tay karne ke baad, jese hi wo company pohuchti hai toh uski mulaaqaat receptionist se hoti hai.

Aur kuch hi palo ke intezaar ke baad wo finally apne pati Vivek se milti hai. Jesi jesi baatein usse pata chali Dinesh se wo sab kuch wese hi Vivek ko bata deti hai, jisse sunn Vivek bhi kaafi tension me aa jaata hai.

Vivek : Ye toh boht hi serious maamla hai. Itna sab kuch ho gaya aur ye baat ab bata rahe hai wo?

Ragini : Mene unse yahi baat boli thi Dear... But tab shayad halaat hi kuch aise the... Maybe wo hume tension me nahi daalna chaahte the. Mein jaanti hu Papa ko acche se...

Vivek : Theek hai! Tum tension mat lo. Mein baat karta hu.

Ragini : Thank you dear!

Ragini apni aankho me aasu laate hue boli. Aur usne phone laga ke apne Papa ko aasvashan diya ki jald hi Vivek kuch na kuch hal zaroor nikaal lega unki pareshani ka.

Ab aisa kya ho gaya tha achanak ki Dinesh ke kaaran Ragini sang Vivek bhi bhaari tension me aa pade.

Toh aaiye nazar daalte hai,..

Pichli raat...

Mausam halka thanda tha. Thandi mand mand hawaein vatavaaran me faili hui thi aur raat ke 11:30 baj rahe the.

Dinesh, Ragini ke pita iss waqt apne T.V.S ke ek showroom se baahar nikal rahe the.

Aaj kaagzi kaam aur deals wagarah kuch zyaada hi hui thi jis kaaran se unhe aaj rukna pad gaya. Guards toh the hi showroom ke liye aur saath hi kuch workers bhi, jinko wo showroom band karne ka bol ke Showroom se baahar nikal aaya.

Apni car me baithane ke baad Dinesh apne ghar ki orr prasthaan kiya.

Aaj wo behad khush tha. Kayi saare logo ne aaj gaadiya khareedi thi saath hi saath uski aaj kayi logo se acchi khaasi deals bhi hui. Aaj ke acche din ke baare me soch ke wo mann hi mann prafullit ho utha.

Aisi acchi khaasi kamaayi waale din keval warna tyohaaro me hi aksar aate rahe.

Dinesh khush hote hue gaadi chala raha tha. Uska ghar thoda door padta tha aur wo driver prefer nahi karta tha. Wo khud hi drive karna prefer karta tha hamesha. Uska maan'na tha ki driving ke maamle me aap keval apni khud ko driving skills par bharosa kar sakte ho, kisi dusre ki nahi.

Ghar ki orr aane jaane waala raasta thoda sa sunsaan jagah se hoke bhi guzarta tha. Sunsaan toh nahi kahenge par haa ye kehna ki wo area thoda outer area lagta tha ye galat nahi hoga.

Aadhi raat hone ko aa rahi thi aur Dinesh ne tabhi gaadi roki, apne jeb se phone nikaala aur caller ka naam dekh wo sar hilaate hue muskuraaya. Uski patni Rohini ka call tha. Shaadi ke itne saal guzar gaye fir bhi Rohini ko hamesha Dinesh ki boht chinta lagi rehti thi. 11 baje nahi ki call aana shuru.

Muskuraate hue Dinesh ne wahi side me gaadi rok phone uthaaya,

"Kahiye madam jii! Kya hua?"

Rohini : Kya hua? Arre kitna baj raha hai? Samay bhi toh dekhna chaahiye! Na jaane kab se raah dekh rahi hu aapki. Par aap ho ki koi phone hi nahi uthaate. Ek baar call karke bata toh dena chaahiye na ki aane me derr ho jaegi.

Dinesh : Arre! Ho jaata hai kabhi kabhi late. Aaj kamaayi acchi hui na, aur deals bhi hui kayi. Thoda samay lag gaya.

Rohini : Hmm! Chalo accha aa jao abhi. Fir baat karte hai.

Dinesh : Haa haa! Bas aa raha hu.

Aur call cut karke wo abhi gaadi chaalu hi karne waala tha ki tabhi driver seat ki window se ek haath aaya aur seedha uska gala daboch liya.

Sakpakate hue Dinesh apne gale par haath ki pakad ko hataane ka prayaas karne laga. Darr ke bhaav uske chehre par saaf jhalak rahe the. Usne toh bas kuch pal ke liye window kholi thi jab wo Rohini se baat kar raha tha. Usse kya pata tha ki aisa kuch ho jaega.

Par agle hi pal uska virodh poora ka poora samaapt hp gaya. Kyu??

Kaaran tha uski kanpati par rakha revolver. Isse dekhne ke baad toh acche accho ke paseene choothne lagte hai aur fir Dinesh toh ek sadhaaran sa showroom ka maalik tha. Ladaayi jhagde se koso door.

Uss par tana revolver uske virodh ko choor choor kar diya. Bolti band aur kaapte hue haatho se wo bas aankh tedi karke aadmi ko dekh raha tha jo dikhne me ek normal 28 29 saal ka ladka lag raha tha.

"Boht acche! Yadi zyaada aur hilta na, toh tera ye bheja ko mene kahi aur bhej diya hota. Samjha!?"

Uss ladke ki attitude se bharpoor awaaz Dinesh ke kaano me padi. Aur usne apni mundi haa me hilaayi,

Ladka ne agle hi pal gate khola, usse baahar nikaala, uska mobile zabt karke, usse band karke apne jeb me daala aur waapas se Dinesh ko driving seat par baitha diya.

Yaha kya ho raha tha koi dur dur tak dekhne wala nahi tha. Pehla kaaran tha itni raat ka samay aur dusra kaaran ki wo ek outer area tha.

Uss ladke ne Dinesh ko baitha ke bagal ka door khola aur uski bagal ki seat se baith gaya.

Dinesh ne dekha ki ye ladka akela hi tha, yadi jese tese karke wo uska revolver chhina le toh baazi palat sakti thi.

Par agle hi pal usne apna ye khayaal mann se nikaal diya. Kyuki agle hi second ek scorpio uske bagal se aake khadi hui jisme 4 se 5 launde aur aadmi ghuse pade the. Aur sabke haatho me ek ek revolver tha.

Aur yaha Dinesh uss aadmi se revolver chhinaane ke baare me soch raha tha. Usne apna thook nigla aur upar waale ko dhanyavaad diya ki hey bhagwaan tumne mujhe antim pal me kuch galat karne se bacha liya. Warna ab tak toh uska bheja udd chuka hota.

Dinesh : De... Dekho! Dekho! Tumhe jo bhi chaahiye wo mein dunga. Mujhe chorr do. Jo bhi chaahiye wo batao, mein sab de dunga... Bas... Bas mujhe chorr do.

Apni jaan kisko pyaari nahi hoti bhala?

Aur jab apni jaan pe aati hai toh bade sa bada aadmi keval guhaar hi laga sakta hai aisi sthiti me.

Yahi kaam Dinesh ne bhi kiya.

Ladka : Bilkul bilkul! Wo bhi lenge... Ussi ke liye toh hum hai yaha. Chal! Fataafat! Gaadi badha aage. Aur ghar chal apne.

Dinesh : Gh... ghar!? Ghar kyu jaana hai?? Mein... Jo... Jo bologe wo de dunga... Par ghar...

Ladka : Saale! Jitna mein bol raha hu utna kar samjha?

Dinesh : Beta! Dekho! Kya milega tumhe mujh jaise budhe aadmi ko loot ke? Mein koi hasti nahi hu. Keval showroom ka maalik hu. Aur...

Ladka : Ayyyeee chuupp!!

Uss ladke ne itni zorr se chillaaaya ki Dinesh ki shareer sihar utha.

Ladka : Ab baat ko dhyaan se sunn! Samjha? Chup chaap jesa jesa mein kahu, wesa wesa kar. Warna tu toh jaega hi, par shayad tere saath teri patni ka ticket bhi katega lagta hai...

Dinesh : Nahi!! Nahi!!! Meri patni nahi... Usse kuch mat karna... Mein... Mein... Jesa jesa kahoge wesa hi karunga.

Ladka : Hmm! Ab chup chaap apne ghar ki orr gaadi le. Aur haa!!! Zyaada smart nahi bann'na thik? Ghar bola hai toh ghar ki taraf hi lena. Yadi tune ek bhi mod galat liya, toh tera game bajj jaega samjha!?

Dinesh : haaa haaaa!!

Kaapte hue Dinesh ne apna sar hilaaya. Ab usse ye baat sataaye jaa rahi thi ki kahi... Kahi... Rohini ko kuch na ho jaaye.

Rohini uska besabri se ghar par intezaar kar rahi thi. Aur na jaane aage kya hone waala tha. Ye sochte hi Dinesh ki haalat bigadti jaa rahi thi.

Gaadi start hui, aur Dinesh ne theek wesa hi kiya jesa usse bataaya gaya tha.

Kuch minute ki duri tay karne ke baad hi wo apne ghar ke baahar pohuch chuka tha aur uska dil zorro se dhadak raha tha.

Halaat hi aise the ki wo chaah ke bhi kuch nahi kar paa raha tha.

Ladka : Badhiya! Ab sunn! Mein aur tu andar jaenge yere ghar me... Samjha!? Tu apni patni ko ye bolega ki mein kuch kaagzi kaam ke chalte tere ghar aaya hu. Aur usse zara bhi shak na hone paaye ki kya chal raha hai. Samjha? Yadi zara si bhi mujhe bhanak hui ki tu police ko call kar raha hai ya koi ishaara kar raha hai. Toh tu toh jaega hi, tere saath teri patni bhi maregi...

Dinesh : Nahi! Nahi! Mein... Mein aisa kuch bhi nahi karunga.

Ladka : Badhiya! Chal, ab gaadi andar le ghar ke. Tere ghar ke baahar guard ko bhi nahi pata chalna chaahiye samjha!?

Dinesh : Haa! Haa!

Dheere dheere gaadi ko andar karne ke baad jese hi Ladka aur Dinesh gaadi se utre, toh guard bhi thoda hairaan tha. Itni raat gaye, Dinesh kisi aadmi ke saath car me!? Sawaal toh zaroor aaya tha uske mann me par wo jaanta tha ki ye pehli baar nahi tha, aur iske pehle bhi kuch kaam ki wajah se kayi baar Dinesh logo ke saath raat me aay chuka hai. Toh guard ne apne mann se wo sawaal agle hi pal nikaal diya.

Dono Dinesh aur wo ladka andar aaye aur jese hi Rohini ne darwaaza khola wo Dinesh ko dekh ke muskuraayi par fir bagal me khade ladke ko dekh ke wo thoda hairaan reh gayi.

Rohini (ishaara karte hue) : Ye... Kaun!??

Dinesh : Arre! Hahahaha~ Ye...!? Ye... hai...

Ladka : Namaste jii! Jii hamaari tyres ki company new abhi. Aaj boss ne deal kari thi Sir ke saath. Ussi ke kuch kaagaz chaahiye the, jo shayad Sir laana bhul gaye the. Isliye, mein lene aaya hu unke saath hi.

Rohini : Ohhh! Par... Itni raat... me...

Rohini kabhi uss ladke ko dekhti toh kabhi apne pati ko... Uski samajh nahi aa raha tha ki bhala itni raat gaye kaagaz lene kyu aaya hai ye banda? Kaagaz toh kal bhi le sakta tha!?

Iss se pehle ki Dinesh jawaab de paata, uss ladke ne forun bol daala,

Ladka : Aunty jii! Aisa hai ki... Kal boss London jaa rahe hai. Aur unke saath unki team bhi. Zaroori kaam se. Mein toh keval ek worker hu waha pe. Unhone kaha ki mujhe jald se jald kaagaz chaahiye kyuki mein yaha fir next month aaunga. Aur isliye unhone mujhe bejha hai... Ab isme mein kya hi karu aunty? Aap hi bataaiye!

Rohini : Ohh! Accha! Ni ni... Sahi baat hai. Suniye! Aap jo bhi kaagaz hai, inhe dedo...

Dinesh : Haa! Haa! Mein wo...

Aur Rohini ne hatt'te hue andar aane ke liye raasta diya. Wo ladka andar aake sofe par baith gaya, aur Dinesh theek uske saamne khada ho gaya. Uski samajh nahi aa raha tha ki kya kare. Baar baar wo apni shirt ki aasteen se bas apna paseena pochhhe jaa raha tha.

Ek galat kadam aur uske saath saath uski biwi bhi maut ke ghaat utaar dii jaegi.

Ladka : Aunty Paani milega kya?

Rohini : Huh? Haa beta! Mein laati hu...

Jese hi Rohini andar gayi, wo ladka sofe se kood ke utha aur apna revolver shirt ke neeche se nikaal seedhe Dinesh ke maathe par tika diya,

Ladka : Sunn be! Andar jaa, aur apne dono showrooms ke kaagzaat leke baahar aa samjha? Ek accha panna le aur usme acche se likh ki tu apne hosho hawaas me ye dono showroom Aatish Khanna ke naam kar raha hai! Samjha!? Usme likh... Ki mere saath koi zabardasti nahi kii gayi hai, ye mein apni icchaa se unhe saup raha hu. Samjha? Jitne bhi paper hai sab laa aur jaha jaha sign lagne hai, sab me sign kar samjha!? Yadi ek bhi galti mujhe baad me mili toh teri biwi gayi...

Dinesh : Nahi! Nahi! Rohini... Rohini ko kuch mat karna... Mein... Mein laata hu...

Dinesh tezz kadmo ke saath jese hi andar gaya, Rohini paani leke kitchen se baahar nikli,

Rohini : Arre!? Ye kaha gaye?

Ladka : Aunty jii! Wo papers lene gaye hai.

Rohini : Accha! Ye lo beta paani!

Ladka : Haa aunty!

Rohini : Wese kya naam likhte ho beta?

Ladka : Mein!? Jii mera naam Ranga hai...

Uska naam sunn Rohini thoda soch me pad jaati hai. Ye naam toh bada hi atpata sa tha. Khaaskar uss aadmi ke liye jo ek company me kaam kar raha ho...

Ranga : Hahaha~ Darasal, baat ye hai ki mujhe Bachpan se hi rango ka khub shauk tha, toh maa baap ne naam Ranga rakh diya, fir toh gali mohalle me yahi naam se mein famous ho gaya.

Rohini : Ohh! Accha!?

Ranga : Haa aunty! Mere boss aksar kehte hai ki... Kaam karo toh itna bada karo ki naam apne aap ho jaaye.

Rohini : Ohh! Boht hi uche vichaar hai beta aapke Boss ke toh... Tab toh koi jaani maani hasti hi honge...

Ranga : Hahaha~ bilkul bilkul... Boht bade aadmi hai wo aunty, boht strict hai. Zyaada gussa aata hai toh seedha udaa daalte hai...

Rohini : Huh?

Ranga : Naukri se... Naukri se udaa dete hai.

Rohini : Accha! Kaafi hi strict hai beta. Aur thoda strict hona zaroori bhi hai wese... Mene inko bhi bola hai ki inke staff me bhi kayi log aise hi jo kaamchor hai. Ye meri baat sunte hi nahi...

Ranga : Ab sab sunenge aunty. Aur wese bhi... Ab Sir ke bas me nahi hoga kuch...

Rohini : Hmm?

Ranga : Kuch log sudharte nahi hai na aunty! Toh ab Sir ke bas me nahi hai unhe sudhaarna. Bas, aise logo ko seedha udaa do... Mera matlab hai naukri se hata do...

Rohini : Hmm! Sahi kaha beta tumne.

Inki baatein chal hi rahi thi ki Dinesh kaagaz lete hue baahar aaya. Wo chaahta toh andar se police ko call kar sakta tha par usne risk na liya. Kyuki baahar wo ladka uski patni ke saath baitha hua tha. Anjaam kya hota, iska wo anumaan bhi nahi lagaana chaahta tha.

Sofe par baithate hue Brijesh apne kaapte hue haantho se showroom ki saari ownership kisi anjaan aadmi ke haath dene jaa raha tha.

Jis aadmi ko wo jaanta bhi nahi tha, na kabhi usne uss aadmi ko dekha na uske baare me suna, wo aadmi raato raat uske dono showrooms ka maalik bann'ne jaa raha tha.

Rohini : Aapke haath kyu kaap rahe hai?

Ranga : Aunty inhe thand lag gayi hai. Car chalaate waqt window khol ke rakhe the. Mene samjhaaya bhi tha par Sir hai ki sune hi nahi...

Rohini : Kyaaaaa?? Thand lag gayi? Mene kitni baar kaha hai ki window hamesha band rakha karo. Kya pata kis type ka aadmi kab aake kya kar de...

Ranga : Hahahaha~ Aunty aapki baat se poori tarah mein sehmat hu.

Rohini : Dekha na aapne!? Ab ye kaam kar lijiye fir seedha araam karna ab. Aur kal jaane ki koi zaroorat nahi hai. Swaasth pehle hai...

Ranga : Bilkul! Ab toh inhe wese bhi ghar me rehna padega...

Rohini : Hmm?

Ranga : Matlab jab tak Sir ki tabiyat theek na ho jaaye, aunty aap bilkul bhi nikalne mat dena...

Rohini : Haa! Tum sahi kehte ho...

Idhar Dinesh ko uss ladke ki chaaplusi par itna tezz gussa aa raha tha par halaat ke maare wo majboor tha. Rohini ko wo chaah ke bhi kos nahi sakta tha. Wo toh saari baato se anjaan thi. Wo toh keval uski chinta hi kar rahi thi. Kaash...

Kaash usne window ka glass band kiya rehta toh ye sab na hota.

Par ab beeti galti ke baare me sochne se kya fayda? Ab toh jo ho gaya wo ho gaya. Ab iss situation se baahar safely kese aaya jaaye, yahi Dinesh ki top priority thi.

Kuch hi minute ke andar saara important kaam khatam hua aur Ranga muskuraate hue baahar jaane laga.

Ranga : Chaliye aunty! Yadi mauka mila toh dubaara mulaqaat zaroor hogi.

Rohini : Thik beta! Aate rehna... Ab toh hamaare se deal ho gayi hai aapki.

Ranga : Hahahaha~ Bilkul! Aap badi hi acchi ho aunty! Aapse baat karke mujhe boht accha laga.

Rohini : Bilkul beta! Mujhe bhi tumse baat karke accha laga.

Ranga : Chaliye chalta hu....

Par jese hi wo jaane laga, usse kuch yaad aaya...

Aur usne jeb se ek mobile nikaala aur Dinesh ko pakda diya,

Ranga : Sir! Aap mobile car me hi bhul gaye the. Ye raha aapka phone. Chalta hu.

Aur wo muskuraate hue ghar se baahar nikal gaya.
Baahar nikalte hi wahi scorpio aayi, usme wo baitha aur waha se rafu chakkar ho gaye sabhi.

Idhar uske jaane ke baad Rohini ne gate band kiya,

Rohini : Kitna imaandaar bhi tha hai na?? Chaahta toh wo phone rakh sakta tha... Par usne lauta diya.

Par Dinesh ki jaisi bolti hi band thi. Usse jese sadma sa lag gaya tha.

Rohini : Aap sunn rahe ho? Kaha kho gaye aap?

Aur Rohini ke usse hilaate hi Dinesh foot foot kar rone laga. Bechaari Rohini ki kuch samajh me nahi aa raha tha ki achanak se Dinesh ko kya ho gaya.

Wo tension me aa gayi, par Dinesh toh bas rota jaa raha tha.

Fir Achanak hi uth ke usne Rohini ko uske kandho se pakda aur sab kuch bataaya, jisse sunn bechaari Rohini ki aankhein phati ki phati reh gayi. Uske aasu bhi behana shuru ho gaye.

Jis ladke ko wo itna accha samajh rahi thi abhi kuch derr pehle, wahi unki barbaadi ka kaaran tha. Upar se wo khud nyota de rahi thi usse...

Ye jaante hi Rohini ke perro tale jese zameen khisak gayi. Na jaane kitni baatein kar lii hongi usne uss ladke se...

Wo kehte hai na, ki insaan ki shaqal pe kabhi nahi jaana chaahiye.

Rohini ne rote hue police ko call karne ke liye kaha, jo Dinesh ne kiya.

Dinesh ne saari baat Police ko jesi ki tesi bata dii.

Kuch derr me hi police aayi, saari baatein unhone suni aur apni raay bhi dii.
Ab chuki ye kidnapping ya life at stake case nahi tha isliye Dinesh ko police ne subah apni F.I.R darj karne ko kaha.

Filhaal ke liye toh Dinesh safe tha. Uspe koi bhi hamla nahi hua tha.

Aur agle hi din Dinesh ne bilkul wesa hi kiya. Par koi fayda nahi. Uski umeed jese ab marr chuki thi.

Aur aaj yahi din tha jab usne Ragini ko phone karke bataaya tha. Na jaane aage kya hone waala tha. Uski aakhiri umeed ab bas uska damaad hi tha.

***

Issi din Nidhi ke ghar me alag scene chal raha tha...

"Kya Veer Mama! Aapse ittu sa bhi nahi aata hehe~"

Juhi Veer ki goad me baith iss waqt TV me game khel rahi thi. Aur wo Veer ko baar baar haraaye jaa rahi thi, ya yu kahe ki Veer baar baar khud hi haare jaa raha tha.

Raat ho chuki thi aur abhi sab ka dinner ready ho raha tha, jo ki Nidhi aur Shreya dono milke kitchen me taiyaar kar rahi thi. Aur idhar Veer ki zimmedaari thi Juhi ko entertain karna jo ki wo bakhubi kar raha tha.

Wo hassi mazaak me laga hi hua tha ki tabhi andar uske mann me ek ghanti baji,

*Ding*

[Mission : Save Ragini!
Rewards : ?? Points
Time limit : 4 hours
Location : xxxxxxxx basement, near xxxxxxx road.]

'Huh?????'
 
OP
S
Member

0

0%

Status

Offline

Posts

28

Likes

2

Rep

0

Bits

0

5

Years of Service

LEVEL 1
100 XP
Update - 18 ~ Trouble

Ab tak...

Wo hassi mazaak me laga hi hua tha ki tabhi andar uske mann me ek ghanti baji,

*Ding*

[Mission : Save Ragini!
Rewards : ?? Points
Time limit : 4 hours
Location : xxxxxxxx basement, near xxxxxxx road.]

'Huh?????'

Ab aage...

*Tuck*

*Tuck*

*Tuck*

Ek aadmi ke qadmo ke chalne ki awaaz uss jagah par goonj rahi thi. Perro me D and G ke wo kaale genuine leather waale formal shoes jinki keemat lakh ke bhi upar hogi. Wo aise chamak rahe the jaise bas kuch seconds pehle hi polish hokar aaye ho. Floor par unn jooto ke chalne ki awaaz saaf saaf ekdum crisp aur fresh sunaayi de rahi thi. Aur wo awaaz pehle se hi waha ke bhayanak mauhaul ko aur bhi teevr bana rahi thi.

Usne ek safed coat aur safed pant pehna hua tha. Andar ek blue shirt, coat ki breast pocket me ek gulaab ka phool aur sarr par safed hat.

Wo daaye se baaye aur baaye se daaye yu chalta jaa raha tha ki achanak hi wo ruka aur...

*Thud*

Ek zordaar awaaz uss floor par ek stick ke patakne se aayi jo uske haatho ne jakad rakhi thi.

Aur sab kuch ekdum se shaant ho gaya.

Usne apni hockey stick uthaayi aur saamne vyakti ki orr apni stick taante hue uss se bola,

"Ab samajh aaya na!? Kese kaam karte hai?"

"J... Jii bhau!" Saamne khade ek ladke ne darrte hue kaha.

"Kitni baar mene tumse kaha hai Ranga!? Ye kaam aise nahi hote. Hamaare desh me itne chochle hai ki ek baar me koi kaam hota hi nahi hai."

Ranga ne apna sarr hilaaya aur apne bhau ki baat me haa me haa milaayi,

Aatish : Tumhe kya laga tha? Ki tum Dinesh ka showroom bas uss se aise likhwa ke le aaoge, sign karwa loge aur showroom mera ho gaya? Arre aise nahi hota mere chele... Aise kaam hone laga apne desh me toh na jaane kaha pohuch jau mein.

Apne boss ki daant sunn Ranga ne apna sarr jhuka liya.

Aatish : Aatish hai mera naam... Kya? Aatish! Aur tum toh jaante hi ho mere naam ka matlab...!?

Usne apna sarr thodi niraasha me hilaaya aur ek gehri lambi saas lii.

Fir aankhein band kar, saas chorr usne dobaara aankhein kholte hue Ranga ko dekha jo abhi bhi sarr jhukae khada hua tha.

Aatish : Ranga tum bhale hi Dinesh se paavti banwaakar, uss se likhwa ke sign karwa ke le aaye par inn sab ke bawajood Dinesh abhi bhi chaahta toh boht kuch kar sakta tha. Wo mere khilaaf F.I.R kar sakta tha, lawyers dhund sakta tha, muqadma darz kar sakta tha, kya kuch nahi kar sakta tha agar...

Kehte hue wo rukk gaya.

Ranga : Agar?

Aur uska sawaal sunn Aatish muskuraaya. Uski muskaan kisi shaitaan ke jaisi prateet ho rahi thi.
Wo muskaan aisi thi jo saaf saaf apni jeet ko bayaa kar rahi thi.

Aatish : Agar uski aukaat hoti toh... Aur yadi uska paala mujhse na pada hota toh.

Uske itna bol, Ranga keval shaant raha. Na kuch bola, na kuch kiya.

Aatish : Police ho chaahe vakeel ho chaahe neta ho ya chaahe koi bhi ho. Yadi wo Mumbai ke ilaaqo se bhali bhaati waaqif hai toh wo jaanta hi hoga ki Aatish kaun hai aur uss se kyu nahi bhidna chaahiye.

Usne bolte hue dobaara tehelna shuru kiya aur ek baar fir uske jooto ki awaaz uss jagah me goonjne lagi, par iss baar saath hi saath uske bol bhi goonj rahe the.

Prateet ho raha tha ki Aatish aur uske saathi kisi abandoned building ki basement me the jo kuch safed LED lights se jagmag hua pada tha.

Ranga : Par Bhau... Ye Dinesh toh aapki F.I.R karne gaya tha.

Aatish : Hmm! Gaya toh tha. Kyu hai na? Mister Dinesh? Gaye the na?

Aatish ne agle hi pal muskuraate hue apna sarr side me karte hue dekha jaha par ek vyakti pehle se hi kursi par rassiyo se bandhe hue baitha tha.

"Mmmmphhhh.... Mmmmmmmmmm"

Wo aadmi aur koi nahi balki Dinesh hi tha jiske muh par iss waqt patti bandhi hui thi aur wo bas chhatpataate hue rassi se chhutne ki nakaam koshishe kar raha tha.

Aatish : Arre re... Dekho uncle bechaare darr gaye.

Dheere dheere Aatish Dinesh ki orr badha aur qareeb aate hi uska jabda apne ek haath me pakadte hue bola,

"Mujhe tumse koi niji dushmani nahi thi pata. Par kya hai na jo raasta mein dhund raha tha wo mujhe mila nahi. Aur, jo mila wo tumhaare se hote hue jaa raha tha. Isliye, tumhaare saath ye sab ho raha hai."

"Mmmmmmphhhhhhhhhh..."

Par Dinesh ye sab sunke keval hilne dulne ka prayatn hi kar sakta tha.

Aatish : Na na na na... Tum gaye the na police me? Meri F.I.R karne? Kya hua? Kuch nahi na? Lawyer? Wo bhi nahi mile?? Arre re...

Usne Dinesh ke sarr par haath ferrte hue usse bade hi pyaar se puchkaara jese maano wo koi baccha ho,

"Pata kyu nahi hua kuch? Kyuki wo sab na mujhe jaante hai.... Haan! Wo mujhe jaante hai... Wo jaante hai ki Aatish bhau se panga nahi lena hai chaahe kuch bhi ho jaaye. Kyu??? Pucho pucho..."

"Mmmmmmmmmppphhhh..."

Aatish : Arre re... Kaise puchoge? Muh me patti jo bandhi hui hai. Par chalo mein hi bata deta hu. Mujh se na ye police ke chote mote log, ye chote mote vakeel ye sab panga nahi lete. Kyuki wo jaante hai ki jis din mere khilaaf gaye, uss din unke ghar me unki photo tang jaegi. Samjhe ab?

"Mmmmmmpphhhhhh...."

Aatish : Arre yaar... Ye baar baar bilbilaana band kardo samjhe? Warna bas trigger dabaana hai mujhe... Fir tumhaara ye kikiyaana bhi koi na sunn paega...

Kehte hue Aatish Dinesh ko chorr peeche hata par fir dobaara kuch sochte hue palta aur usse dekha,

Aatish : Arre! Hahaha~ Mein ye kaise bhul gaya? Aao tumhe ek tohfa deta hu.

*Clap*

*Clap*

Aur agle hi pal usne do baar taali bajaayi jiski awaaz sunte hi basement me ek gate khula aur ek aadmi ek chair ko dhakka dete hue aage laa raha tha.

Chair ke neeche pahiye lage hue the, jis se asaani se wo chair ko aage badha paa raha tha. Par uss chair me kuch alag baat thi...

Wo ye ki usme ek aurat bilkul Dinesh ki hi tarah rassiyo se lipti hui thi aur uske bhi muh me patti bandhi hui thi.

Aur jese hi Dinesh ki nazar uss aurat par gayi, uske perro tale zameen khisak gayi. Wo dekh paa raha tha uss aurat ki aankho me aasu the, aankhein ro ro kar laal ho chuki thi. Unn aankho me majboori, darr, aasha-heenta saaf jhalak rahi thi.

Aur wo aurat koi aur nahi uski apni beti, Ragini thi.

Aatish : Pasand aaya tohfa? Hahaha~

Hasste hue Aatish ne wahi rakhi ek kursi lii aur uspe baith gaya.

Aatish : Ranga!???

Ranga : Jii bhau!

Aatish : Ab samajh aaya tumhe ki kaam hamesha poora kyu karna chaahiye!?

Ranga : Jii... Jii bhau!

Aatish : Uss din tumne boht badi galti kari thi Ranga. Yadi tum uss din wo do naye navele ladke seedhiyo pe khade nahi karte toh wo ladki bhaag hi nahi paati. Aur mein ye daawe ke saath keh sakta hu ki wo wahi se bhaagi thi tumhare naye ladke ko chakma dete hue.

Ranga : Sorry! Sorry Bhau! Aage se aisa nahi hoga...

Aatish : Hmm!! Isliye kehta hu ki kaam poora karo. Aadha adhura nahi...

Ranga : Jii Bhau!

Aatish : Idhar Dinesh subah meri F.I.R karne jaa raha tha bechaara, jo mene usse karne dii. Bhai taaki usse bhi toh tasalli rahe ki usne police me apni taraf se bol diya hai... Hahaha~ Aur uske baad mene usse dabochwa liya...

Ranga : Bhau? Ab aage ka kya plan hai!?

Aatish : Wahi bata raha hu Ranga. Uske baad uski beti jiski hum talaash me the wo phassi aur fir finally...

*Clap*

*Clap*

Ek baar fir usne do baar apni taali bajaayi aur fir ek baar basement ka door khula aur dusra aadmi ek chair dhakelte hue aage laaya.

Iss chair par bhi ek shaks tha jo iss waqt ussi haal me tha jis haal me Dinesh aur Ragini the.

Jese hi Ragini aur Dinesh ki nazre uss shaks par padi, dono ki aankhein phati ki phati reh gayi. Ragini chhatpataayi par koi fayda nahi. Rassiya itni tight bandhi hui thi ki uski harr ek koshish nakaam thi.

Saamne laaya gaya shaks uska apna pati, Vivek tha.

Aatish (smiles) : Iski umeed nahi thi hai na? Par hume toh issi macchli ki talaash thi, ya yu kahe ki issi macchli ke zariye hume badi macchli haasil hoegi.

Ranga : Bhau!? Iske zariye... Ke... Kese?

Ranga ne thoda confused hote hue pucha. Kayi baar toh woh asaani se apne Bhau ke plans samajh jaata tha par kayi baar toh jese baatein uske sarr ke upar se nikal jaati thi.

Aatish : Mene tumse kaha hai na Ranga. Kamzor kadi ko pakdo, raasta apne aap milta hai...

Ranga : ??????

Aatish : Mujhe uss ladki ki talaash hai jo uss din club se bhaag gayi thi. Aur uske paas hum yadi asaani se pohuch sakte hai toh wo raasta hai uss dusri ladki ke paas pohuchna...

Ranga : Fir?

Aatish : Fir kya? Yahi par toh dikkat aa rahi thi Ranga. Ki hum wo dusri ladki ke paas nahi pohuch paa rahe the. Tum security tod nahi paaye isliye mujhe ye raasta dhundna pada.

Ranga : Huh???

Aatish (smiles) : Dusri ladki... Wo Companies se deals karne me busy hai kayi dino se. Mene tumse companies ke naam maange the na? Aur unki saari details bhi?

Ranga : Jii... Jii bhau!

Aatish : Bas! Udhar se hi toh raasta mila hai Ranga. Unn 6 ki 6 companies me se sabse easy target... Iss chutiye ki company....

Aatish ne kehte hue Vivek ki taraf ishaara kiya aur muskuraaya. Vivek keval gurraate hue hil hi sakta tha. Muh pe tape jo chipka hua tha aur haath perro me rassi bandhi hui thi.

Aatish : Aur yahi mera plan tha Ranga. Ki, iski company iske haath se lunga, fir iss company ke zariye uss dusri ladki ke paas deal leke jaunga. Aur jese hi security se guzarte hue wo haath me aaegi, fir usse dabochunga... Aur ant me... Uss ke zariye wo club waali ladki ko...

Ranga ne apna thook nigla aur bola, "Bhau! Itna solid plan?? Par meri ye samajh nahi aaya ki hume dusri ladki ki zaroorat kyu hai uss club wali ko dhundne ke liye?"

Aatish : Bas itna jaan lo, ki dono ke beech ek connection hai. Yadi ye mil gayi toh club waali araam se mil jaegi...

Ranga : Ohhhhhh!

Aatish : Par... Iss Vivek ki company paane ke liye mujhe iski kamzor kadi ko pakadna tha... Jo ki thi iski patni... Aur iski patni ki kamzor kadi???

Ranga : Iske maa baap!??

Aatish : Hahaha~ Bilkul sahi! Seekh rahe ho ab tum... Good! Good!

Uski baatein sunn, Ragini zorr zorr se hilne ka prayatn karne lagi, khud ko jhanjhorte hue wo kursi me baithe hue rassiyo se chhutne ka prayaas karne lagi toh uski ye harqat dekh ek baar fir Aatish muskuraaya,

Aatish : Madam ke muh se zara tape hatao, lagta hai kuch kehna chaahti hai.

Ranga ne baat sunn, forun hi Ragini ke muh se tape nikaala aur tape nikaalte hi Ragini shuru ho gayi,

Ragini (chillaate hue) : Kuttteeeee.... Kameeeneee... Tujhe phooti kaudi tak nahi milegi... Tu kya soch raha hai ki aise hume baandh kar tujhe sab kuch mil jaega? Ek rupaya nahi milega tujhe dekhna, abhi police aaegi aur tujhe salaakho ke peeche daal degi...

"Hahahahahahaha~"

Uski baat abhi khatam hi nahi hui thi ki Aatish zorr zorr se thahaake lagaate hue hassne laga. Poore basement me uski hassi goonjne lagi. Aur uske aadmi keval khade hue usse dekhte rahe.

Aatish : Ye ladki badi mazaakiya hai yaar. Kaha se seekhi re tu? Haan? Comedy karna? Hehehe~

Wo apni aankhe malte hue pait pakad ke hassne laga, jisse dekh uske aadmi bhi dheere dheere daat niporne lage.

Par agle hi pal...

*Chataaaaaaaaaakkkkk*

Ek zordaar thappad ki goonj poore basement me fel gayi aur sabhi hass rahe aadmi ekdum shaant ho gaye. Unke raungte khade ho gaye.

Ek zordaar tamaacha aake seedhe Ragini ko pada, jo Aatish ne apne ulte haath se uske gaalo par maara.

Darr!

Shayad ab Ragini ko samajh aa raha tha ki wo kisi aerre gerre aadmi ke saamne nahi baithi hui thi.

Achaanak hi Aatish ne uski gardan ke peeche ek haath le jaake uski gardan pakdi aur uske kaano ki taraf badhte hue bola,

"Mujhe na... Mujhe na logo ka vishwaash todne me boht maza aata hai. Matlab boht zyaada... Jab... Jab unki wo shaqal banti hai na, baad me jab unka vishwaash toot'ta hai, aur fir wo bina koi aasha waala chehra banaate hai na... Wo... Usse dekh ke na... Usse dekh ke na... Pata nahi kyu par... Par mujhe boht zyaada sukoon milta hai. Mujhe mazaa aata hai..."

Ek ek shabd Aatish ke muh se Ragini ke kaano me ghuss raha tha aur bechaari Ragini darr ke maare aasu bahaate jaa rahi thi. Siski lete hue wo bas khud ke shareer ko kaapne se rokne ki koshish kar rahi thi. Par koi fayda nahi. Uske shareer ki thar-tharaahat jese band hone ke naam hi nahi le rahi thi.

Agle hi pal Aatish utha aur apne coat ke andar ki jeb se usne apna revolver nikaala. Usne Ragini ko dekha aur bola,

"Abhi dikhaata hu tumhe ki mein logo ka vishwaash kese todta hu."

Bolte hue wo seedha Vivek ke paas aaya aur uske muh se tape nikaal diya.

Aatish : Do option hai tumhaare paas. Ya toh tumhaari jaan ya toh tumhaari biwi ki jaan... Bolo kisse bachau? Tumhe ya tumhari biwi ko?

Vivek ye sunte hi ek Chakravyuh me phass gaya. Uski biwi aur uske sasur uske bagal se hi baithe huye the. Jese hi usne Ragini par nazar daali wo chillaa uthi,

Ragini : Noooooooo!!! Leave him alone... Chorro usse...

Uski cheenkhe sunte hi Aatish ne ek ishaara kiya aur Ranga ne aage badh forun hi dobaara se wahi tape Ragini ke muh pe chipka diya.

"Mmmmmmpphhhhhh"

Ab keval uski halki halki vidroh ki awaaz hi aa rahi thi.

Aatish : Bol jaldi ladke... Teri jaan ya teri biwi ki? Kisse bachau?

Par Vivek kuch na bola aur agle hi pal,

*Bang*

"Aaaaaaaarrrrrrrgggghhhhh"

Ek teevr awaaz goli chalne ki aayi aur peeche kayi aadmiyo me se ek aadmi apna perr pakad wahi neeche gir pada. Wo idhar udhar machalte hue zameen me dard se cheenkhne laga par na hi usse kisi ne uthaaya aur na hi uski kisi ne madad kii.


Aur kuch hi palo me uska perr lahu lahaan ho gaya.

Goli Aatish ke revolver se nikli thi jiski muzzle se abhi halka halka dhuaa baahar nikal raha tha.

Aatish : Ab bologe??? Nahi toh agla perr tumhara hoga.

Usne firse Vivek ko dekhte hue pucha. Par iss baar asar alag tha. Vivek kaanp raha tha. Uss aadmi ki dard se bilbilaate hui cheenkhe uske kaano me padd rahi thi, toh Vivek ke shareer ka thar-tharaana toh laazmi tha.

Vivek ne ek baar fir Ragini ko dekha jiski aankho me aasu the aur saath hi saath khauf bhi, uski poori aankhein laal pad chuki thi...


Revolver ka muzzle Vivek ke maathe par tika hua tha. Usne ye dekh apna sarr jhukaate hue nichla honth zorr se daato tale dabaaya aur ek awaaz me zorr se bola,

"Mujhe mat maaro... Mujhe chorr do!!!"

*Silence*

Jaha ye sunte hi Aatish ke chehre par muskaan aa gayi, wahi dusri taraf Ragini ki aankhein ye sunte hi phati ki phati reh gayi.

"Aaaaahhhhhh! Yessssss!!! This is the feeling!!!!!"

Apne dono haath hawa me felaate hue aur sarr upar kar Aatish wahi gol gol ghumne laga jese maano baarish ki bundo ka ehsaas kar raha ho jo aasmaan se tapak rahi ho.

Agle hi pal wo ek baar fir Ragini ke paas aaya aur uske kaano ki taraf jhukte hue uss se bola,

"Mene kaha tha na? Mujhe vishwaash todne me boht zyaada maza aata hai. Aur tumhaara chehra... Ssssss.... Uffff! Yahi... Yahi chehra toh mein dekhna chaahta tha... Poori tarah se toota hua... Jisme aasha ki ek kiran tak na ho.... Yessssss! This is it. Dil ko itna sukoon mil raha hai na ki pucho mat. Toota na? Tumhara vishwaash toota na? Dekho kese bikhar gaya toot ke... Hai na? Mazaa aaya na? Haan?"

Uski baat Ragini ke kaano me pad toh rahi thi par jese usse kuch sunaayi hi nahi de raha tha. Wo bas bhauchakki si apni aankhein faade Vivek ko ghur rahi thi, jo sarr jhukae waha baitha hua tha.

Aatish peeche hata aur Ranga ko dekhte hue bola,

"Inn dono baap beto ki video banwao jisme ye qubool kare ki ye apni company aur showrooms mere hawaale kar rahe hai aur inn sab me koi zabardasti nahi hai. Rahi baat vakeel aur police ki aur kaagzi kaamo ki toh wo sab mein dekh lunga. 2 din me sab ho jaega. Fir hume inki koi zaroorat nahi hai, inhe jaane dena... Kuch nahi bigaad paenge ye..."

Aur itna bol wo waha se jaane laga.

Par jaate jaate...


Uske mouth organ ki wahi dhunn poore basement me goonj gayi...

***

Kuch derr pehle...

Ragini ne jab Vivek ko apni pareshani uski company me jaake bataayi thi uske baad se hi Vivek kahi police toh kahi apne source lagaa ke koi jugaad lagaane ki koshish kar raha tha. Par jese hi usse ye pata chala ki inn sab ke peeche Aatish ka haath tha toh usne apne haath khade kar diye.

Usne Ragini ko ye kehte hue samjhaaya ki Showroom toh baad me bhi banwa sakte hai, jisse sunn Ragini bhadak uthi aur usse khari khoti sunaane lagi.

Bas! Issi waqt Ragini ko ek unknown number se call aaya tha jo kisi aur ka nahi Aatish ka hi tha.

Jab Dinesh F.I.R karke laut raha tha toh usko uthwa ke wo apne basement me le gaya tha.

Call uthaate hi Ragini ko jab pata chala ki uske Dad ko agwa kar liya gaya hai toh bechaari itna darr gayi ki wo seedha seedha Aatish ke plan me jaa fassi.

Aatish toh chaah hi raha tha ki Ragini akeli basement me aaye aur isliye usne Ragini ko phone pe darraaya ki yadi akeli nahi aayi toh uske pita ko goli maar dii jaegi.

Itni tension me acche accho ka dimag nahi chalta aur Ragini ka bhi yahi scene tha. Wo Vivek se ladd jhagad ke basement ki orr nikal padi par usse aise yu jaate dekh Vivek khud apni gaadi nikal ke uska peecha karne laga.

Aur nateeja?

Dono ke dono basement me pakde gaye aur dono ko hi bandhi bana liya gaya.

Vivek toh buy 1 get 1 free offer ki tarah Aatish ki jholi me aake gir pada. Aatish ne khud ye nahi socha tha ki Ragini ke saath hi usse Vivek bhi mil jaega. Ye toh sone pe suhaaga tha uske liye.

Ab uska kaam aur asaan ho chuka tha...

***

Idhar Veer shaam ko Juhi ke saath khel raha tha jab uske dimaag me achaanak hi ghanti baji thi aur usse mission mila tha.

'Huh??'

[Master!!! Lagta hai aapki Bhabhi kisi musibat me hai.]

'Meri Bhabhi!? Hmph! Unhone toh mujhse aaj tak baat nahi ki. Wo bhi unhi logo me se hai Pari.'

[Wo jaisi bhi ho, but abhi aapko usse bachaana hai.]

'Huh?! Mein kyu bachau unhe bhala? Aur aisi kon si musibat aa gayi unpe bhala?'

[Arre master!!! Nahi bachaaya toh aap mujhe kho doge na?? It's a mission.]

'Shit! Mein toh bhool hi gaya tha. Mission nahi kiya toh tum hamesha hamesha ke liye chali jaogi.'

[Yes!]

'Par mujhe ek baat samajh nahi aayi. Tumhe location kese pata chali? Tum toh mere andar ho.'

[Master! Abhi aap ye jaan'ne ke liye qualified nahi ho. Level 3 pe pohuchaiye mujhe, uske baad hi kuch sawaal ke uttar milenge.]

'Fuck this! Harr baar mein qualified hi nahi rehta...'

[Hurry master!]

Iss se pehle ki Veer Pari ko jawaab de paata andar se Shreya ek katori lete hue baahar nikli aur Juhi aur uske saamne aake khadi ho gayi,

Shreya : Oye!!! Zara taste kar aur bata kese bane hai chhole?

Veer ne Shreya se katori haath me lete hue ek spoon se taste kiya aur fir usse dekhte hue bola,
"Ek number... Aur aapne toh banayi nahi hogi hai na?!"

Shreya : Huh? What do you mean??? Mene aur dii ne milke banaayi hai.

Veer : Jisme aapne unki boht madad kari hai na?

Shreya (nods) : Hmm! Hmm!

Veer : Jese ki masaale pakdaana aur chota mota samaan dena hai na?

Shreya (nods) : Hmm! Hmm!.... Huh? What the hell?

Veer : Hahahahaha~

Juhi : Veer maamu... Maasi se kuch nahi aata... Mummy hi banaati hai saara khaana...

Veer : Pffftttt Hahahahahaha~

Shreya : Juhiiiiiii tummmmm....

Wo kheejte hue katori leke andar jaane hi waali thi ki itne me hi Juhi ne katori pakad lii,

Juhi : Mujhe bhi khaani...

Shreya : Juhi chorro! Wo spoon tumhaare Veer maamu ki juthi ho chuki hai... Andar aake taste kar lo...

Juhi : Toh kya hota? Mein Veer maamu ka jutha kha lungi...

Aur usne chammach uthaate hue Veer ki hi chammach se ek baar taste kiya aur mundi haa me hilaate hue wo taste ka maza lete hue waapas se Veer ki godi me aake baith gayi.

Idhar bechaari Shreya hakki bakki sii khadi keval Juhi ko dekhti reh gayi.

Aaj tak Juhi ne uska jutha kabhi nahi khaaya tha, wo keval apni mummy ka hi jutha khaati thi. Par aaj usne Veer ka jutha khaaya. Ye baat Shreya ko bilkul bhi hazam nahi ho rahi thi...

Shreya : Tum dono... Dono mile hue ho...

Kheejte hue wo andar chali gayi aur Veer keval hassta raha.

[Master!???]

'I know Pari!'

Usne ek gehri saas lii...

'Aaj fir yu mujhe beech me jaana padega. Kitne pyaar se Nidhi Ma'am aaj special dinner bana rahi hai. Firse unhe tension hoegi... Aur firse ek baar dinner me mein nahi rahunga...'

[I know Master! But ye abhi zaroori hai.]

'Right!'

Aur wo utha aur andar kitchen me gaya jaha usse Nidhi ke darshan hue jo jaldi jaldi apne haatho ko chalaate hue dishes banaane me lagi hui thi.

Saath hi Shreya jo uski madad karti jaa rahi thi.

Usne badi hi narm awaaz me Nidhi ko pukaara,

Veer : Ma'am!!

Par Nidhi bina palte hue hi boli,
"Bas baitho Veer! 10 minute aur.... Fir Fatafat sabko thaali lagaati hu."

Par uske ye bol Veer ko jaane se aur baandh rahe the.

Maayus hote hue wo aage badha aur ek baar fir usne dheere se pukaara,
"Ma'am!?!"

Iss baar uski awaaz sunn dono hi Nidhi aur Shreya palti...

Kyuki iss baar...

Uski awaaz me wo alag baat thi...

Pukaarte waqt uski awaaz me wo komalta, wo narm sa ehsaas iss baar na keval Nidhi ko balki Shreya ko bhi mehsoos hua.

Aur dono hi jab palti toh dono hi ashcharya-chakit reh gayi.

Kyuki Veer ka boht hi maayus sa chehra unki nazro ke saamne tha.

Nidhi : Huh!?

Veer : I have to go... Kuch urgent kaam hai Ma'am.

Bolte hue usne ek feeki si smile dii. Uski baat sunn Nidhi usse kuch derr tak dekhti hi rahi aur fir Shreya ne khaamoshi todi,

Shreya : What??? Ab tumhe aenn time pe konsa urgent kaam yaad aa gaya? Kahi firse ladki ke chakkar kaatne jaa rahe ho kya? Mein bata rahi hu... Hamaare ghar me firse wo sab karke mat aana...

Nidhi (zorr se) : Shreyaaaaaaaaaa

Shreya : Thik toh kaha mene. Achanak khaane ke time isse kon sa kaam yaad aa gaya bhala?

Veer : It's urgent!

Shreya : Hmph! Aa gaya hoga baabu shona ka phone toh chal diye... Ab jaake gul chharre udaenge...

Nidhi : Shreya tum chup raho. Aur baahar jao...

Shreya Hmph karte hue Veer ko ghurte hue baahar nikal gayi. Aur kitchen me keval Nidhi aur Veer hi bach gaye.

Nidhi ne sarr jhukaaya aur palat ke wo apne kaam me lag gayi. Fir badi hi dheemi awaaz me boli,
"Jaldi aana..."

Aur bas...

Uska itna hi kehna tha ki...

Ek atyant hi ajeeb sa dard Veer ko apne andar mehsoos hua. Na toh Nidhi ne uss se kuch pucha ki wo kaha jaa raha hai aur na hi usse roka. Bas itna kaha ki jaldi aa jaana.

Pata nahi Veer ko kya hua ki...

Uska haath apne aap achaanak utha aur Nidhi ke kandhe par jaake tham gaya.

*Badump*

Achanak hi maano jese Nidhi ke dil ne ek dhadkan faand lii ho...

Veer ka haath uske kandhe par maroon gown ke upar aadha rakha hua tha. Uski 2 ungliya aur angutha uske nange kandhe ko sparsh kar raha tha.

Twacha se twacha ka mel hua shayad isliye Nidhi ke dil ki dhadkan achanak hi tezz ho gayi.

Aur agle hi pal uske kaano me Veer ki awaaz padi,
"Mein poori koshish karunga Ma'am. Jitni jaldi ho sake... Utni jaldi aane ki... Aur jesa aap soch rahi hai wesa kuch bhi nahi hai. Shreya jii ki baato ko ignore kariyega... And... And... Thank you..."

Nidhi ke honth khule par koi shabd na nikle. Ek baar fir usne prayaas kiya par fir wahi hua.

Ant me usne palat'te hue kuch kehna chaaha par...

Veer saamne nahi tha.

Wo jaa chuka tha.

Aur bauhe sikodte hue wo wahi khadi rahi...

Jab tak ki kuch derr baad waapas se kaam me nahi lag gayi.

***

*Huff* *Huff*

Idhar Veer sadak par bas bhaagte bhaagte khud ko hi kosta jaa raha tha.

Kese wo accha khaasa ghar ka mahaul bigaad ke aa gaya.

[Master! Run!!!!]

'Fuck!!! I am running Pari... Helicopter thodi hu...'

[Kaash aapne apni agility par dhyaan diya hota.]

'Yadi mene saare points agility me daale hote toh mein boht tezz ho jaata?'

[Bilkul! Boht tezz!]

'Ohhh! Hahaha~ Fir toh koi tension hi nahi rehti... Yu daud ke kahi bhi pohuch jaata.'

[Itna easy samajh rahe ho? :roll: Yadi keval agility pe dhyaan diya hota toh khoob tezz bhaag toh lete par bhaagne ke baad jo maaspeshiyo me dard umadta usse kese bardaasht karte?]

'Huh??'

[Jitna tezz bhaagoge, andar ki maaspeshiyo par bhi utna hi zyaada pressure padega. Uske baad jo dard uthega usse kese bardaasht karoge? Issi ke liye toh endurance stat diya gaya hai. Aapki sehan sheelta. Jispar aapne shuru se dhyaan nahi diya... :roll:]

'What the hell? Pari! Itne points ab kaha kaha daalu. Wese hi points ki tangi chal rahi hai.'

[Ye toh kuch bhi nahi hai... :roll:]

'Kya Matlab?'

[Kuch bhi nahi! :smile2: Master! Wo raha basement ka raasta.]

Na jaane kab Veer baato hi baato me kabhi daudte hue, toh kabhi kisi se lift lete hue apni manzil pe akhir pohuch hi gaya.

[Are you ready master? :eek1:]

'Hmm!!!'

[Brace yourself!]

'Hmm!!!'

[You'll have to kill.... ]

'Huhhh???'
 
OP
S
Member

0

0%

Status

Offline

Posts

28

Likes

2

Rep

0

Bits

0

5

Years of Service

LEVEL 1
100 XP
Update - 19 ~ Tactical Approach

Ab tak...

Na jaane kab Veer baato hi baato me kabhi daudte hue toh kabhi kisi se lift lete hue apni manzil pe pohuch gaya.

[Are you ready master?]

'Hmm!!!'

[Brace yourself!]

'Hmm!!!'

[You'll have to kill....]

'Huh???'

Ab aage...

Veer ko Nidhi ke ghar se gaye aadhe ghante ho chuke the. Raat ke 8:30 baj rahe the aur Nidhi idhar Juhi aur Shreya ko khaana paros rahi thi. Par uski khud ki thaali table par kahi nazar nahi aa rahi thi.

Shreya : Aap nahi khaa rahi?

Shreya ke sawaal par Nidhi ne khaane ko beech me hi paroste hue usse dekha aur uske haath achaanak rukk gaye. Ek lambi saas lete hue wo boli.

Nidhi : Thodi derr wait kar leti hu. Shayad abhi thodi derr me aa jaaye. Warna fir bechara akela baith ke khaega...

Shreya : Haa toh? He totally deserves that. Na toh bata ke gaya ki kab aaega, na ye bata ke gaya ki kaha gaya hai? Arre kaha gaya hoga!? Mein pakke se bata rahi hu aapko, ye gaya hai apni kisi maashooqa ke paas, aur dekhna waha...

Nidhi : Nahi Shreya! Aisa kuch bhi nahi hai.

Nidhi ne virodh karte hue kaha. Shayad usse apne mann me Veer ke wo bol yaad aa rahe the.

'Mein poori koshish karunga Ma'am. Jitni jaldi ho sake... Utni jaldi aane ki... Aur jesa aap soch rahi hai wesa kuch bhi nahi hai. Shreya jii ki baato ko ignore kariyega... And... And... Thank you.'

Jo shabd Veer ne kahe the, uss se toh yahi prateet ho raha tha ki wo kisi zaroori kaam se hi gaya tha.

Shreya : Aapko kese pata aisa kuch bhi nahi hai? Kya aap dekhne jaa rahi ho? Ki wo kya kar raha hai? Itna confidence kyu hai aapko?

Nidhi : Because he said to me Shreya... Wo bas kisi urgent kaam se gaya hai. Aa jaega abhi thodi derr me... Thodi derr wait kar leti hu. Tum dono khaao na khaana...

Shreya : Dekh lena... End me aapko hi bura lagega... Meri baat sunn'na hi nahi hai aapko.

Abhi wo dono aur baatein kar paati ki tabhi Nidhi ke phone ke ghanti baji, aur Nidhi ne phone uthaate hue screen par naam dekha.

Parantu naam dekhte hi uski bauhe chinta ke maare sikud gayi. Apni nazre uthaate hue usne ek jhalak Shreya aur Juhi ko dekha aur fir andar apne kamre me chali gayi.

Andar aate hi usne call uthaaya aur apne kaano se lagaaya.

Aur dusri taraf se uske kaano me ek jaani pehchaani awaaz aayi. Ek mard ki awaaz...

Nidhi : He... Hello!?

Aadmi : Kal tumhe aana hai.

Nidhi (frowns) : Kis liye!?

Aadmi : Baat karni hai. Zaroori baat.

Nidhi : Par jo kuch bhi hai wo...

Aadmi : Mene kaha na? Ghar pe aana hai. Din me... 2 baje tak...

Nidhi : Par jab...

Aadmi : Haa ya na!?

Nidhi : Mein...

Aadmi (tezz awaaz me) : Mene pucha... Haa ya na!? Aaogi ya nahi!?

Apna nichla honth daato tale dabaaye Nidhi ne apni mutthi kassi aur uss aadmi ko jawaab diya,

Nidhi : Fine!! I'll come!

Aadmi : Hmm! Late mat karna...

Nidhi : Hmm...

*Call cuts*

'Kab tak!? Kab tak aise hi chalta rahega?? I need to move forward. Par sab kuch jese... Mein Veer ko bhi ghar se aise nahi bhej sakti... Kharcha badh gaya hai kaafi but still... I cannot just... Leave him like that. Yadi uska koi relative aa jaaye tab toh koi baat hi nahi hai. But uski family... Kese karungi itna sab mein?? Bhagwaan!! Ab toh tum hi koi raah dikhaao. Mein phass chuki hu iss chakravyuh me...'

Nidhi haatho me phone liye apne mann me hi sochti jaa rahi thi ki uske theek peeche se achaanak hi Shreya ki awaaz aayi,

"Kiska phone tha!?"

Sunte hi Nidhi chaukte hue peeche palti.

Nidhi : Wo...

Bolte waqt uska sarr apne aap neeche jhuk gaya. Aur Shreya jese samajh gayi ki kiska phone tha.

Shreya : What did he say!?

Nidhi (sighs) : Kal bulaaya hai mujhe.

Shreya (surprised) : For what!??

Nidhi : Nahi pata... But kal jaake hi pata lagegi ye baat.

Shreya : And you told him that you are coming!?

Nidhi : Of course! Aur koi option hai mere paas!?

Shreya : Kyuuuuuuuuuuu!????

Nidhi : Shreyyyaaaa! I have to... Sab kuch... Issi ke liye toh kar rahi hu... Tum bhi dekhti aa rahi ho tabse... Mene ek bhi din aisa nahi gawaaya hai jidhar mene apna lakshya bhula diya jo... Batao tumhi...

Shreya : I know but...

Nidhi : Don't worry! It's just to talk. Baat karke ghar hi aana hai.

Shreya : Fine!!!! I'll go with you.

Nidhi : Nahiiiii! Juhi ko kaun dekhega!? Wo school se ghar aaegi toh kisi ko toh rehna hoga na!?

Shreya : But aap akele...

Nidhi : Chill! Everything will be fine...

Shreya : O... Okay!

Aur Shreya maayus bhara chehra liye waha se chali gayi. Yahi haal Nidhi ka bhi tha. Shreya ke jaate hi uska chehra agle hi pal murjha sa gaya. Aur wo apne bistar par girte hue baith gayi.

Na jaane kya uthal puthal machi hui thi uske mann me. Sawaal bhi the, gutthiya bhi jinhe wo suljhaana chaahti thi, par inn sab ke bawajood wo apni choti behan se sab kuch saajha nahi kar paa rahi thi. Choti behan kya, siwae khud ke wo sab ke saamne apni asli pravatti ko jese chhupa ke rakhi hui thi.

Jo kuch bhi tha, itna toh tay tha ki aane waala kal, uske liye asaan nahi hone waala tha.

***

Idhar Veer mission ke liye apni bataayi gayi destination par pohuch chuka tha.

Wo sunsaan sii sadak, raat ka andhera aur keval chaand ki roshini. Sadak ke idhar udhar keval ped paudhe, zameeno par bikhre pathhar, sookhe patte aur dhool. Aur saath hi saath ped paudho ke nazdeek se aati jhinghoro ki awaaz. Yahi manzar tha jo Veer ko waha pohuchte hue sabse pehle dikhaayi diya.

Kuch derr jab wo aage badha toh usse kayi building choti toh kuch halki badi nazar aayi. Kuch band ho chuki thi toh kuch poori tarah se abandoned thi aur unki haalat kisi bhootiya jagah se kam nahi thi.

Building ke dhaache aise toote hue bikhre hue kahi zameen par dale the toh kahi kisi sahaare se latke hue the. Andar wo concrete se nikli hui lohe ki rods jinme zang lag chuki thi unki vyatha ko bayaa kar rahi thi.

Toote sheeshe, aur upar terrace se neeche aati hui pedd paudho ki wo jade aur lambi lambi shakhaaye jo uss pehle se hi daraawni jagah ko aur bhi daraawna bana rahi thi.

Yadi kuch tha waha pe sabse zyaada maatra me toh wo thi hariyaali.

Raat me chaand ki roshni me ye abandoned buildings kya hi nazar aa rahi thi. Aas paas ke ped paudho ne jese building ko ek chaadar ki tarah lapet liya tha.

Veer issi building ke baahar hi tha. Aur dekhne me aisa lag raha tha ki ye building shayad pehle koi factory thi, jo ki saalo pehle band pad chuki thi. Uski dur dasha poori tarah se battar ho chuki thi aur structure jese poora ujad chuka tha.

Veer baahar khade bas andar jaane ke liye khud ko prepare kar raha tha, kyuki abhi abhi kuch derr pehle hi Pari ne uski kuch chand shabd kehke gaand phaadi thi. Aur wo shabde the ki~ He'll have to kill.

'Pari! You don't understand! I have never killed anyone. Ye mazaak nahi hai Pari!'

[Master! Mein aapko ye nahi keh rahi hu ki aapko maarna hi hai. Mein bas aapko ye bata rahi hu ki ab se... Ab se yadi aapki jaan khatre me hogi aur yadi aapko koi maarne ka prayas kare ya aapki life ke liye threat ho then aapko usse maarna hi padega. Aur mein issi se aapko ye realize karwa rahi hu ki yadi situation bani toh aapko maarna hi padega warna aap sab kuch kho baithoge...]

Bechaare Veer ko kya hi pata tha!? Wo toh jaanta hi nahi tha ki Ragini kis type ki musibat me phassi hai. Uske mata pita ke saath kya hua hai, aur iss waqt wo andar kis haal me hai, kiske paas hai? Ye saari baato se toh Veer bilkul hi anjaan tha.

Usse toh bas itna pata tha ki Ragini kisi musibat me hai aur usse bachaana hai.

'I... I understand Pari... But ye Ragini Bhabhi bhala aisi jagah me kya kar rahi hai!? Wait!!!! Don't tell me...!?'

Jese hi usko ab yaha aake ye realize hua, uski aankhein phati ki phati reh gayi.

[Yes! You may be right master. Mujhe bhi yahi lag raha hai. Aur isliye, satark rehne ke liye aap apna Phone silent me kar lijiye.]

'Good idea Pari! Mein wahi yaad karne ki koshish kar raha tha ki mein kya bhul raha hu.'

Phone ko silent kar, usse jeb me rakh, Veer building ke neeche bane basement ki orr badha...

*Badump* *Badump*

Uska dil zorro se dhadak raha tha. Ye darr tha anjaan ka. Neeche kya hai!? Kon hai? Kya cheez hai? Wo kuch bhi nahi jaanta tha. Aur issi kaaran uss anjaan cheez ka darr uske dil par apna asar dikha raha tha.

'Pari! Everything will be fine right!?'

[I'll guide you master. Bas dheere dheere aage badhiye. Dhyaan rahe, neeche ekdum dekh ke chalna, saath hi saath apne agal bagal bhi. Kisi bhi cheez se aap takrao na. Hume awaaz nahi karni hai.]

'I know that... But thanks for reminding me...'

Wo jese hi building ke neeche jaate uss slope se neeche aaya toh andar ek LED bulb jal raha tha aur theek side me ek scorpio gaadi khadi hui thi.

'Ye Scorpio yaha kya kar rahi hai!? Kahi issi me Ragini Bhabhi...!?'

[Yes master. I'm thinking the same. Andar situation kaafi critical bhi ho sakti hai. Mein suggest karungi ki aap ek hidden weapon dhund lijiye apna. Like koi rod wagarah, ya koi stick.]

'Yup! I got that...'

Apne dheere dheere qadam badhaate hue Veer zameen par idhar udhar apni nazre ghumaane laga, ki kahi se bas kuch aisa mil jaaye jo uski emergency ke waqt kam se kam hifaazat karne ke kaam aa sake.

Neeche itne phattar aur building ke toote hue hisse pade hue the ki Veer ki dekh ke hi phatt rahi thi ki kahi ye dhaancha gir hi na jaaye.

Jese tese kuch seconds ki mashaqqat ke baad usse jo chaahiye tha wo aakhir kaar usse mil hi gaya.

Ek choti zang lagi hui rod jo ki wahi side me pattharo ke neeche padi hui thi.

Apni shirt ko uthaa ke Veer ne uss rod ko apni peeth ki orr le jaate hue pant me khos lii aur shirt waapas giraate hue usse dhak lii. Kam se kam uske paas ab kuch toh tha. Wo khaali haath nahi tha.

Aur Scorpio ke aage badhte hi uski nazar darwaaze par gayi jo ekdum saamne tha. Wo lohe ka halka damaged darwaaza jisse dekh ke hi Veer bata sakta tha ki isko yadi khola toh ye pakke se chuu chaa ki awaaz karne waala tha.

[Ekdum dheere se khol ke pehle andar nazar maariye master.]

'Hmm!!!'

Pari ki baat sunn Veer ne bilkul wesa hi kiya aur jese hi uske haath darwaaze par lage aur usne darwaza dhakela wo chuu chaa ki awaazein karna shuru kar diya. Aur ye sunte hi uski phatti, usse laga jese wo gaya kyuki agle hi pal ek awaaz andar se aayi,

"Kaunn hai!???"

Ek aadmi ki awaaz andar se aise goonji ki Veer ke haath jo darwaaze par the wo itni tezzi se hate aur agle hi pal wo peeche hata aur darwaaze ke bagal ki diwaar ke peeche chhup gaya.

*Scrunch*

*Scrunch*

Aur tabhi kisi ke qadmo ki awaaz aane lagi jo theek uski taraf hi badh rahi thi.

Zameen par pade kachde, pathhar ke chalte unn qadmo ki awaaz badi hi zorr se aa rahi thi.

*Badump* *Badump*

Jese jese wo qadam aage badh rahe the Veer diwaar se apni peeth lagaaye apne dil ki dhadkano ko control me karne ki koshish kar raha tha. Ye kehna galat nahi tha ki qadmo ke saath saath uski dil ki dhadkane bhi badhti jaa rahi thi.

[Master....!]

Pari ne chintaa bhari awaaz me usse pukaara, kyuki wo mehsoos kar paa rahi thi. Veer ki dhadkane boht tezz jo ho gayi thi.

Ek galat qadam aur kuch bhi ho sakta tha.

Veer itna toh bhaamp gaya tha ki andar se jo bhi aa raha tha wo uska shubhchintak ya dost toh katayi nahi tha. Aur jis hisaab se usne andar se awaaz dii aur ab aage badh raha tha. Veer jaanta tha ki wo aadmi usse dekhte se hi kya karne wala tha. Aur, bas issi hamle ko counterattack karne ke liye Veer khud ko taiyaar kar raha tha.

Aur wo counterattack tha ~ Surprise attack.

Dushman tumpe waar kare uske pehle hi tum usse surprise karte hue uss par dhaawa bol do.

Yahi sab sochte hue usne Pari ki awaaz ka koi uttar na diya jiske chalte Pari ekdum hi bechain ho gayi. Par dubaara kuch na boli,

*Screeeeeeccchhhhhhh*

Aur agle hi pal...

Wo lohe ka darwaaza ek teevr awaaz karte hue khula aur jese hi aadmi baahar aaya...

"Mmmmmmmphhhhhhhhhhhhh"

Uss aadmi ki aankhein phati ki phati reh gayi kyuki achaanak hi uske muh par ek haath aaya aur uska muh poori tarah se seal kar diya.

Jab tak ki wo aadmi kuch samajh paata, dusra haath uske ek haath ko thaam chuka tha aur agle hi pal kisi ne usse peeche se kheencha aur apne saath hi neeche gira liya.

*Craaaaaashhhhh*

Neeche jo bhi kankad pathhar pade the uspe hi dono jaa gire...

Apna dusra haath jo ki uss aadmi ka free tha, jese hi usne uska istemaal karne ka socha ki tabhi ek perr ka dabaav uske dusre haath par pada aur uska wo haath bhi kisi anjaan vyakti ne perr me phassa ke uska virodh nakaam kar diya.

Agle hi pal jese uss aadmi ka pal bhar ke liye ek haath chootha aur usne bina koi chance gavaaye zorr se apni kohni se peeche waale vyakti par waar kiye jiske chalte uss bande ko chot toh aayi par next second hi...

*Thud*

Ek pathhar ka waar uske sarr par huwa aur ek baar fir...

*Thud*

Ek aur waar aur uske saamne hi turant hi andhera chhaa gaya.

*Huffff* *Huffff*

Zorr zorr se lambi lambi saasein chorr Veer uss aadmi ko apni giraft se azaad kar uske neeche se utha aur apni pasli ko malne laga.

'Shit! That was a bad move. Saale ki kohni zorr se lagi.... Aaargghhh!!'

[Endurance...]

'I know.... I know... Ab se endurance par bhi dhyaan dunga...'

'Ek minute! Pari!? Ye marra toh nahi na!?'

[No master. Wo behosh hai. Nice move by the way. Apni surrounding ka istemaal kiya aapne. Neeche jo pathhar pade the unhi ke zariye aapne ek thikaane laga diya.]

'Yeaaahhh! Rod nikaalne ka time nahi tha.'

[Check his pockets master. Kahi iske paas guns toh nahi!?]

Pari ki baat sunn Veer ne forun hi uss behosh ho chuke aadmi ko tatolte hue uski jeb check kari par Veer ko koi bhi hathiyaar nahi mila uska siwae ek choti sii pocket knife ke, jo Veer ne apne jeb me daal lii.

Ab jab Veer ne uss aadmi ko dhyaan se dekha toh wo aadmi nahi balki 28-29 saal ka hi koi ladka tha aur anumaan lagaya ki shayad ye yaha pe kisi ke under kaam kar raha tha.

Idhar Veer ek ko behosh karne ke baad aage badhne ki taiyaari kar raha tha par andar toh kuch aur hi scene chal raha tha.

Ranga Vivek ka video bana chuka tha jisme Vivek ne apni company Aatish ko saupne ke bol bole the.

Aur abhi Ranga Dinesh ka video banaane jaa hi raha tha jab usse baahar se kuch chahal pahal ya harqat hone ki awaaz sunaayi dii.

Ranga : Zara dekh ke aana baahar! Awaaz sii aayi mujhe...

Usne ek ladke ko dekhte hue kaha toh wo ladka haa me sarr hilaate hue baahar jaane laga.

*Scrunch* *Scrunch*

Aur idhar Veer ko fir se unhi pathharo par chalne ki awaaz sunaayi dene lagi aur ye sunte hi wo samajh gaya...

Samajh gaya ki agla koi aa raha hai.

Veer ne forun hi uss behosh pade aadmi ko Scorpio ke peeche khiskaaya aur abhi wo kuch aur karta ki tabhi Pari ki awaaz uske sarr me goonjne lagi,

[Master! Go outside!]

'Huh?? Kyu???'

[Pehle aadmi ke chakkar me awaaz hui hai aur shayad isliye ye dusra achanak dekhne aaya. We cannot risk it master. Ab iske chakkar me andar ke saare log na aa jaaye. Baahar se isse bait kariye... Make him come oustide.]

'Nice idea Pari!'

Veer jaldi jaldi waha se bhaagte hue upar chala gaya, waapas se road par...

Par uske aisa karte hi uss ladke ko bhali bhaati awaaz sunaayi de gayi.

Aur kyu na deti!?

Sannaata hi itna tha waha ki halki halki harqato tak ki awaaz sunayi de jaati thi. Aur Veer toh tezz daud ke gaya tha.

Veer ke qadmo ki awaaz jese hi uss ladke ke kaano me gayi toh wo bhi daudte hue baahar ki orr jaane laga.

Aur slope ki chadhaan chadhte hi jese hi wo basement se baahar road pe aaya toh usne dekha ki...

Sab kuch ekdum shaant pada hua tha.

Par uss ladke ne saaf saaf kisi ke bhaagne ki awaaz suni thi. Bhale hi usne kisi ko dekha nahi par usse apne kaano par poora viswaash tha.

Usse yakeen tha ki saala koi toh yaha aaya tha aur abhi abhi bhaaga hai.

"Kaaaunnnn haii!??"

Par uski awaaz ka aur uske sawaal ka koi uttar usse na mila.

"Saamne aao..."

Ek baar fir usne pukaara...

Par iss baar bhi, koi jawaab na aaya. Chaand ki jitni roshni aa rahi thi, utni hi roshni me dekhna thoda mushqil tha par nazar kaafi kuch aa raha tha.

Wo apna sawaal firse dohraata ki tabhi road ke saamne waale ped ke paas usne dekha ki ek ped ki daal ajeebo gareeb dhang se hil rahi hai.

Jese maano usse koi hilaa raha ho.

Aur sach kaha jaaye toh ye dekh ke uss ladke ki phati toh thi. Bhale hi wo bhooto pe viswaash nahi karta tha par fir bhi aise waqt pe dhyaan udhar chala hi jaata tha. Aur jab sthiti aisi ho toh acche se accha insaan darr jaata hai. Aur yahi iss ladke ke saath bhi hua,

"Ka... Kaun?? Kaun hai!?"

Wo bolte bolte dheere dheere aage badhta raha. Jese tese karke wo ped ke paas pohucha jo bas ab kuch hi duri pe tha. Usne apne haath me liya danda aage kiya aur zorr se uss hil rahi daal ko maara...

Par nateeja!?

Waha kuch nahi nikla...

Uss ladke ki jese jaan me jaan aayi aur wo iss baar bina darre uss ped ki daal ke paas jaane laga.

Aur jese hi wo gaya.

*Thud*

Ek zorrdaar waar uske peeche sarr pe hua aur wo apne hosh wahi kho baitha...

*Huffff*

'This one took only one hit...'

Veer ne apni rod waapas se apni shirt me khusaayi aur bina koi samay gavaaye wo firse andar chala gaya.

Idhar andar Ranga Vivek ko baandh ke Dinesh ki rassiya kholne hi waala tha ki tabhi usse dhyaan aaya ki usne jis ladke ko bheja tha wo ab tak aaya nahi tha.

Keval wahi bas akela bacha hua tha Ragini, Dinesh aur Vivek ke saath.

Dinesh ko ussi haalat me chorr Ranga baahar jaane ka tay karta hai.

Wo ekdum alert hoke chalne lagta hai. Kyuki uske dono hi ladke kaafi derr se baahar the. Aur usse bhi kuch harqat ki awaaz aayi thi.

Jese hi wo darwaaze ko kholta hai ki uski nazar slope se neeche aa rahe Veer par padti hai.

Aur dono hi ek dusre ko dekh ek second ke liye jese wahi rukk gaye. Ek jhatka sa jo laga tha dono ko.

"Kaun hai tu!?"

Ranga ne tezz swar me chillaaya par fir achanak hi uski nazar Scorpio ke paas gayi jaha par usse ek aadmi ke thode perr dikhaayi de rahe the, aur Ranga ko samajhne me derr na lagi ki baahar kya chal raha tha.

Aur agle hi pal uska haath apni jeb me khuse revolver par gaya aur usne usse nikaal ke taana hi tha par tab tak derr ho chuki thi.

*Thud*

"Aaaaarrrrghhhhhhh!!!"

Ek bada sa pathhar aake uske haath pe laga jiske chalte uski ek karaah nikli aur patthar ke lagte hi uske haath se uska revolver chhutak ke peeche jaa gira.

Wo apne haath ke dard se ubhar paata ki tabhi...

*Pooowwwwww*

Ek zorrdaar ghusa aake seedha uske jabde par pada aur uska saara nichla jabda hil ke reh gaya.

Powerful impact ke saath wo ghusa jese hi pada, Ranga teen chaar kadam ki duri me uchalte hue gira aur bas...

Veer toot pada uspe...
Idhar unke ladne se jo awaazein basement me goonj rahi thi, wo Ragini, Vivek aur Dinesh samet sabhi sunn paa rahe the par unhe ye nahi pata tha ki unhe bachaane waala Veer hai.

Ranga ne sambhalte hue Veer ke agle waaro ka bakhubi saamna kiya aur badle me dherr saare waar kiye. Kahi pasli me, toh kahi pait me, kahi chehre me toh kahi seene me...

Dono ek dusre par aise jhapat'te hue ladd rahe the aur bhidte jaa raa the, toh kahi girte padte jaa rahe the. Kuch hi palo me jagah jagah unke shreer me chhilne ke ghaav aa chuke the aur khoon nikakna shuru ho gaya tha.

Wo ladte hue na jaane kab andar ki orr aa gaye jiske chalte Ragini samet baaki sabhi unn dono ko dekh sakte the.

Aur jese hi idhar Ragini ki aankhein Veer par padi, wo phati ki phati reh gayi.

Usse ek jhatka laga tha. Zorrdaar jhatka.

Ye usne apne poore jeevan me kabhi umeed na kari hogi ki Veer yaha usse bachaane aaega.

Aur agle hi pal...

Jo aasuo ka baandh abhi kuch Seconds se thama hua tha wo Veer ko Ranga ke saath ladte dekh hi toot pada aur uski aankho se mote mote aasu behne lage.

Vivek bhi ye dekh ke ekdum hairaan tha.

Usse bhi khud yakeen nahi ho raha tha ki Veer yaha unhe bachaane aaega. Mann me itne saare sawaal umad rahe the dono hi Ragini aur Vivek ke ki pucho mat.

Par iss waqt dono ki nazre aur dhyaan Veer aur Ranga ki ladaayi par tha.

Dinesh bhi khud bas ladaayi ko dekh raha tha aur aasha kar raha tha ki Veer ko kuch na ho.

Par kuch hi palo me jese uski aasha jese mitti me milne jaa rahi thi.

Kyuki Ranga iss waqt Veer ke upar baith apne dono haatho se ussi ki rod uske gale me gadaaye uska gala choke kar raha tha.

"Saaaleeee.... Aaj tu marega mere haatho... Mein nahi.... Ughhh.... jaanta tu kaun hai... Par itna zaroor jaanta hu ki tu inhe bachaane aaya hai aur ye bhi ki tu marrega mere hi haatho se.... Marr jaaa saaaaleee..."

Wo chilaayaa...

"Ugghhhhhhhh"

Veer ko apne gale me ab boht zyaada dabaav mehsoos ho raha tha. Kisi bhi waqt uska gala choke ho sakta tha...

Ki tabhi Pari ki awaaz gunji...

[Master!!!!! Your pocket...]

Aur agle hi pal Veer ne ek haath chorr apni pocket tatoli par ye move jaanleva tha...

Ranga ka dabaav aur badha aur uske gale pe bilkul wo rod jese poori satt chuki thi.

Bas derri thi toh kuch seconds ki aur Veer iss duniya se uth chuka hota agar...

Agar uske dusre haath me wo pocket knife ne aayi hoti.

Usse kholte hi Veer ne seedhi wo knife Ranga ki pasli me ghused thi...

*Splurt*

"Aaaaaarrrrrrrrrrrrrrgggggghhhhhhhhhhh"

Ek zorrdaar cheenkh jisse sunn aadmi ki rooh kaanp jaaye poore basement me fel gayi.

Ranga apni pasli pakad jese hi side hua...

*Thud*

Sarr pe ek waar aaya aur agle hi pal uski aankho ke saamne andhera chhaa gaya.
 

54,717

Members

287,782

Threads

2,551,484

Posts
Newest Member
Back
Top