Nice story
Follow along with the video below to see how to install our site as a web app on your home screen.
Note: this_feature_currently_requires_accessing_site_using_safari
ThanksNice story
Thodi der meKahan ho bhi update kab milega
nice updateUpdate. { 4 }
{ Mega Update }
Mansi bolte bolte apne khayalon me kho kar us pal me pahuch gai jab uska our surya ka milan hua tha
Rani pari ridhi parijat baki patiya jo parijat ko tyaar kar rahi thi wo sab bas mansi ko dekhe ja rahi thi
Ridhi ......... Wah wah kya baat hai mansi tumne to jaise kunvar ji se purn prem kala ka gyaan le leya ho hehehe
Ridhi ki baat sun Rani pari ke sath sath baki sabhi bhi jashne lagti hai mansi ka asaram se bura hal hone laga tha sab ke bich ..........
ab aaghe .........
parilok .......... jaldi he kiran jinat surya ko tyaar kar surya ko apne sath liya kaksh se bahar nikalti hai
Kiran ....... Jinat aap ja kar dekhiye ki kya rani maa ne paridhi ko tyaar kar diya hai ya nahi
jinat ....... Thik hai main abhi dekh kar aati hun didi
jinat surya our kiran ko waha chodh parijat ke kaksh ki our chal deti hai
surya ........ Sweety mujhe pta nahi waha hame kitna time lagne wala hai
kiran ........ Aap chinta na kre waha ghar per voyom bhai hai na our fir kal tak agar aap nahi aaye to main jinat ko apne sath le kar lout jaungi sakti bhai ko abhi kuch din our yahi rahne de
surya ........ Mansi uska kya
Kiran ........ Us he kuch din yahi rahne dijiye
idar jinat rani pari mansi ridhi parijat ko dulhan ki tarha saja kar swar kar bahar le aaye the
Suhag ke lal jode me dulhan bani parijat kisi khubsurat apsara se kam nahi lag rahi thi
khash kar uski jheeel si gahri halki bhuri nili aankhe our gahre laal lipstick se rangi gulab ki pankhudi to jaise dono hont
paridhi ne is samay apne chehre ko pardarshi laal odhni se sakha hua tha kintu fir bhi uska chehre pura najar aa raha tha halki saram our khushi ne parijat ke chehre pe char chand laga diye
surya sabke waha hoty hue keval chor najro se apni premika apni patni ke prakartik rup sondhrya ko dekh sakta tha
kiran ....... Hunnn hunnn ab ham kiska intjaar kar rahe hai aadhi raat hone me jyada samay nahi hai kunvar ji
rani pari ........ Kintu abhi tak maya mahal to samne aaya he nahi hai
kiran ........ Wo to tab aayega na maa jab kunvar ji apni paridhi se dhyaan hata kar ushe parkat hone ka aahvan karenge ye to paridhi ke rup me kho ye hue hai hehehe
surya ........ Wo main wo main abhi parkat karta hun per uske liya hame bahar chalna hoga mahal se
surya itna bol bahar ki our chal deta hai
Baki log bhi uske piche piche chal dete hai mahal me karya karne wale sevak sevika bhi unke piche piche mahal ke bahar aa jate hai
surya apne seene par bane maya mahal ki mani pe hath rakhta hai
kuch pal baad surya ke hath me ab maharani sonpari ke maya mahal ki wo mani numa chabi thi
surya .......... Main maharani sonpari ki iccha se maya mahal ko aadesh deta hun ki wo hamare samaksh parkat ho
surya ke aadesh dene per mani se ek bim numa tej roshni nikalti hai our wo aakash ki our bhad jati hai der baad aakash me safed ghane badal banne lagte hai
sabhi ki najar unhi badlo per tiki hui thi sab badi utsukta se aankhe fade ek tak wahi dekh rahe the
aaj unki aankho ke samne wo maya mahal parkat hone wala tha jiske kisse kahani unhone apne purvajo se sune the
dhire dhire badlo ke bich se sun jati kirne nikalne lagti hai jaise ki suraj ghane kale badlo ko chirte hue apni kirne bhikher raha ho
sabhi ki utsukta our bhad gai jab unki aankho ke samne se wo safed badal hatne lage our waha badi badi sunhari diware najar aane lagti hai
rani pari ........ Maharani sonpari ka Sunhara maya mahal .... Ye ye to sakti me wahi mahal hai
sabhi mantramugd ho maya mahal ko dekh rahe the jo pari mahal surya mahal se vishal our bhavya tha
maya mahal dhire dhire niche aane lagta hai our jamin se karib 5 fit uper aa ruk jata hai
mahal ke dwar pe achanak se kuch sidiya banne lagti hai jo mahal our jamin ko ek sath jod rahi thi
samanya aankho se dekhne wale ko pahli najar me aisa partit hota jaise ki wo kuch sidiya he pure maya mahal ka bhar uthaye hue jamin tiki hui hai
jaise he sidiya puri hui mahal ke dwar se le kar surya tak ek chodi si jadui kalin ban gai maya mahal tak pahuchne ke liya
mansi ........ Ye kitna khubsurat mahal hai rani maa
rani pari ....... Ye maharani sonpari ka maya mahal hai putri parilok bhut khubsurat hai putri per is se khubsurat parilok me kuch nahi
maya mani se ek choti si kiran nikli our wah parijat ke komal hath per ja kar lagi waha bhi wahi nisan ubhar aaya jo kiran ke hath pe bana tha jab kiran ne wo mani apne hath me utha kar surya ko di thi
parijat ....... Ye kya hai kunvar ji our didi aapke hath per bhi yahi nisan bana hua hai per ye aapka wala thoda alag hai
kiran ....... Kya tum dekh sakti ho wo nisan
Surya ....... Sweety parijat ye nisan bhut kash hai mere sath sath abhi tum dono he maya mahal me jane ka adikar rakhti ho is nisan ke bina maya mahal me koi parvesh nahi kar sakta fir chaye main he kyu na ho samajh lo ye maya mahal me parvesh karne ki chabi hai
rani pari ........ Putra surya ab aap dono ko andar jana chaiye
Surya ...... Ji rani maa per ham dono nahi ham teeno sweety tumhe bhi bhitar chalna hoga
Kiran ....... Mujhe kyu milan aap dono ka ham na ki hamara
Surya ........ Ye tumhe baad me pta chal jayega
Kiran ko pahle to laga ki surya majak kar raha hai is liya wo jana nahi chahti thi per baad me surya ki baat samajh kar usne ha kar di
jaise he surya ne kiran our paridhi ka hath pakad kar aaghe kadam badhaya teeno ke pairo ke niche kisi tarha ki chamkili datu aa gai our teeno ko hawa me tairate hue dwar ke samne ja pahuchi mani punha surya me sammahit ho gai our samne ka bada sa dwar khul gaya teeno andar ja chuke the unke jate he maya mahal waha se gayab ho gaya
jaise gadhe ke sar se sing gayab hoty hai
Sabhi log apne apne sthan pe lout gaye sabhi ke man me maya mahal ko le kar he vichar chal rahe the
Jaise he maya mahal apne sthan se gayab hua waise he gurudev waha parkat ho gaye
rani pari gurudev ko waha achanak se dekh kar chonk jati hai
rani pari ...... Parnam gurudev aap yaha aap to ekant me the na fir aap yaha kaise
gurudev ....... Wo hamara dhyaan pura ho gaya is liya ham lout aaye
ridhi ....... Pita shree sach kyu nahi kahte aap ham jante hai aap maya mahal ko dekhne aaye hai aapne na jane kab se maya mahal ki talash karte aa rahe hai per wo kabhi aapke samaksh nahi aaya
gurudev ko apni pol pati khulne per kya jabab de aisa kuch samajh nahi aaya to unhone kisi karya ka bahana kar waha se nikalna he behtar samjha our wo jaise aaye waise he waha se nikal liye
ridhi ....... Hehehe main pahli baar pita shree ko aise maidan chodh kar bhagate dekh rahi hun rani maa
ridhi k baat sun rani pari , jinat , mansi , our waha mojud kuch mukhya pari sevikaye bhi muskurane lagi
idar maya mahal me jab surya ,kiran, parijat ,teeno andar pahuchne to waha ka najara bada he adbhut tha jaise wo maya mahal me nahi aaye balki kisi our he lok me pahuch gaye ho
Teeno ne apne charo taraf najre guma kar dekha to abhi jis dwar se wo log aaye the wo gayab tha na ab waha wo dwar tha our na sunhari diwar thi
parijat ........ Ye mahal to bilkul alag hai na ab wo diwar hai nahi wo dwar jis se ham andar aaye the wo sab achanak kaha gayab ho gaye
kiran ........ Paridhi meri nahan ye maya mahal hai koi samanya mahal nahi aise is he tilisami mahal thode na kahte hai jara wo tumhare pass jo gulabi pushp laga hai ushe toud kar dekho
kiran ki baat sun parijat ko bhi samajh aa chuka tha ki kyu ishe tilisami mahal ka darja mila hai fir bhi kiran ki baat maan parijat apne pass me lage gulabi pushp ki our hath badha kar ushe toudne ki koshish ki to pushp achanak se gayab ho gaya
tabhi teeno ke kano me kisi pyaari si ladki ki chulbuli hansi gunj uthi
parijat ....... Kon hai yaha samne aao
tabhi teeno ke samne wo gulabi pushp fir se parkat hua our dekhte he dekhte us pushp ka rup badalne laga our unke samne karib 7 inch ki ek behad he khubusar gulabi pari hawa me apne pankh failaye haste hue yaha se waha ghumne lagti hai
kiran ........ Tum kon ho
kiran ki baat sun wo choti si chulbuli gulabi pari surya ko dekhne lagti hai our dhire dhire wo surya ke samne aa jati hai
surya apna hath aaghe karta hai to wo pari surya ke hath pe aa jati hai
surya ........ Tumne jabab nahi diya sweety ki baat ka kya tum apna prichaya nahi dogi hame
pari ........ Gulam ko gulbadan kahte hai mere malik
kiran ........ Hehehehe Gulbadan tum gulabi to ho per badan kaha hai itni choti si to ho tum ( apne hath ka ishara kar uski size )
kiran ki baat sun gulbadan pari apna pyaara chota sa barbe doll jaisa gulabu muh fula kar dusri our guma deti hai
jaise kiran ka ushe chidana pasand nahi aaya our wo naraj ho gai ho
kiran ....... Alle alle meli pyaali si chulbuli gulabi gudiya gulbadan to nalaj ho gai
kiran apni ungliyo se gulbadan ke gulabi galo ko sahlane lagti hai
gulbadan jyada der kiran se naraj hone ka natak nahi kar pati hai our gulbadan surya ke hath me se udh kar kiran ke kandhe pe ja kar beth jati hai our kiran ke gaal pe apne chote chote honto se kiss kar deti hai
Surya ......... Ye natkhat gulbadan to badi chalu nikli ek pal me he dal badal liya apna
kiran ........ Hehehe puri shetan ki khala hai
gulbadan .......... Main shetan ki khala nahi hun main gulbadan pari hun shetan bure log hote hai main buri nahi hun
surya kiran parijat gulbadan charo baat karte hue sab taraf dekhte hue maya mahal ke samne aa pahuche
parijat ........ Gulbadan kya tumhari tarha yaha our bhi little fairy hai
gulbadan ....... Main fairy nahi hun pari hun hame maharani ji ne banaya tha apne magic se
surya ........ Chalo acchi baat hai baki baate baad me pahle hame mahal ke andar chalna chaiye
surya ki baat maan sab mahal ke bhitar jane lagte hai
Gulbadan kiran ke kandhe se utar jati hai
kiran ........ Kya hua gulbadan tum andar nahi aaogi
Gulbadan ........ Hame andar aane ka aadesh nahi hai malkin
surya ......... Main tumhe aadesh deta hun hamare sath andar chalne ka
gulbadan ke pyaare se chehre pe khushi ki lahar doud jati hai
jaise he surya kiran our parijat ka hath tham maya mahal ke bhitar kadam rakhta hai pura mahal roshni se jagmagha utha
sath he sath surya ke bhitar halchal hona suru ho jati hai
Jaise ki koi chiz bahar aane ki koshish kar rahi ho
surya ne jab aankhe band kar apne bhitar jhakha to ushe apne bhitar bharan rishi ke kamandal me halchal hoti hui mehsush hui surya ne ushe sant kiya
Surya kiran parijat gulbadan charo mahal ki khubsurati ko nihar rahe the maya mahal wakai bada adbhut tha har pal ke sath mahal ka drishya badal raha tha jaise ki koi bharam jaal ho abhi ye teeno mahal ki khubsurati me kho ye hue he the ki tabhi unke kano me ek madhur aawaj sunai deti hai
ye aawaj kisi ladki ki thi uski aawaj se he lag raha tha ki ye jiski bhi aawaj hai wo bhut khubsurat hai
aawaj ......... Hamare mehmano ka maya mahal me swagat hai
gulbadan ....... Maharani ji ye aap he hai na
aawaj ek baar fir se khankhana uthi
aawaj ......... Ham tumhe aaj bhi yaad hai gulbadan
gulbadan foran kiran ke kandhe se niche utar jati hai our jukh kar
gulbadan ........ Maharani ji ko gulbadan pari ka Parnam
tabhi sabhi ke samne dhire dhire ek halki roshni parkat hoti hai our wo kisi ladki ka rup lene lagti hai safed Sunhara pardarshi sawrup jaise kisi bhut he jyada khubsurat ladki apne pardarshi rup me khadi ho
surya kiran parijat teeno us ladki ke samne jhukhne lagte hai
ladki ........ Ye aap kya kar rahe hai aap hamare mehman hai aapko hamare samne jukhne ki ijajat nahi hai khash kar aap dono ko to bilkul nahi ham putri parijat ka moon avivadan swikar kar sakte hai kintu ushe bhi hamare samaksh jukhne ki ijajat nahi hai
surya ....... Aisa kyu maharani sonpari
sonpari ........ Iske ek nahi bhut se karan hai dev ham aapki vastvikta jante hai
surya ......kaisi vastvikta maharani sonpari ji our hamara name dev nahi surya hai
sonpari surya ki baat sun kiran ko parsan vachak dristi se dekhti hai kiran sonpari ko apni our dekhta pa kar halke se apni gardan na me hila deti hai jaise wo maharani sonpari ko kuch bolne ke liya mana kar rahi ho
sonpari ....... Kyuki aap hamare liya kisi devta se kam nahi hai hamne jis pal ka jis milan ka varso intjar kiya hai uske madhyam aap hai is liya aap hamare liya dev saman hai aapke andar unki aatma hai jo hamare sarwasva hai jinke aadar me hamne sadev apna shish jhukaya hai ( aap apni vastvikta nahi jante hai dev abhi tak )
kiran ........ Kyuki Kunvar ji aapke andar bharan rishi ki aatma hai jinse maharani sonpari prem karti hai our wo nahi chahti ki aap unke samne jhukhe
Surya samajh gaya tha ki baat kuch our bhi hai
surya ........ Main nahi janta ki iske piche karan kya maharani ji kintu aap mere liya pujniya Kyuki aap parilok ki maharani hone ke sath sath meri ardhagini ki purvaj bhi hai our parthvilok ki yahi parampara hai ki apne bado ka aadar purvak aashirwad le is liya main aapko parnam karta hun
surya ki baat sun maharani sonpari ne aaghe kuch nahi kaha our teeno ko prem purvak apna aashirwad diya
( surya ne jab apne andar halchal mahsush ki thi tab usne apne andar jhanka tha tabhi ushe pta chal chuka tha ki kamandal ke bhitar bharan rishi ki aatma bhi kaid hai )
sonpari ......... Aap unhe muqt kar dijiye ham unke darshan karna chahte hai hamne sadiya lamba intjaar kiya hai unki ek jhalak pane ke liya ab ham pur intjaar nahi kar sakte hai
surya ne apne dono hath aaghe kar bharan rishi ke kamandal ka aahvan kiya our kamandal surya ke hath me aa gaya
jaise kamandal surya ke hath me aaya maharani sonpari foran kamandal ko chune ke liya aaghe badhi per unke hath ushe pakad nahi paye
balki unke hath kamandal ke aar paar ho gaye
sonpari .......... Swami hamari our pariksha na lijiye ham me ab itni himat nahi bachi hai
maharani sonpari bhavnao me bah kar ye bhi bhul gai thi ki wo ab eek aatma hai
kuch der pehle jo aawaj itni madhur thi ki jishe sun man ko atha santi ki anubhuti ho rahi thi ab ushi aawaj me duniya jaha ka dukh dard bhara tha jishe suni kisi ka bhi hridhya dukh dard se fat pade
sayad maharani sonpari ki aawaj me jo dukh dard tha jo vedhna bhari tadap thi ushe sun bharan rishi ki aatma bhi tadap uthi our kamandal ke jal me joro se halchal hone lagti hai
dekhte he dekhte kamandal se jal hawa me udhte hue uper uthne lagta hai jo kuch baad puri tarha se jal ke sath manav aakarti le leta hai jo ki bharan rishi ki aakarti thi
Surya Kiran our parijat thoda piche ho jate taku taki do premiyo ke milan me unke bich koi bhighan utpann na ho paye
( Bharam rishi ko ab se maharishi ke name se sambodhit karunga aaghe se )
maharishi bharam our maharani sonpari sab kuch bhula kar bas ek dusre ko niharne lage iccha to bhut si dono ke man me kintu abhi wo sab puri karna dono ke bas ki nahi thi
varsho se dono ek dusre prem vichoh me jalte rahe hai aaj ja kar dono ek dusre ke aamne samne dekh pa rahe the bhale he dono aatma sawrup me the per jis tarha dono din duniya ko bhula kar khoye hue the jaise unke liya samay he ruk gaya ho
kaffi der tak dono ek dusre me khoye rahe
maharishi .......... Kaisi ho maharani sonpari
sonpari ......... Aapse bichud kar dur bhala ham kaise rah sakte hai swami har pal hamne aapka intjaar kiya
maharishi ........ Hamari vivasta thi maharani
sonpari ........ Ye kaisi vivasta thi swami kya hamne koi paap kiya tha swami jo hame ye saza mili hamne to keval prem kiya tha kya kisi ko sacha prem karna paap hai swami
maharishi ......... Maharani sonpari prem karna koi paap nahi hai per niyati ke gharab me kya bhavishya chupa hai koi nahi janta
ham keval karam kar sakte hai maharani sonpari niyati ko nahi badal sakte ham
sonpari ........ Hamne aapko purva me bhi kaha tha swami aap hame maharani kah kar sambodhit na kiya kre
surya kiran ko dekh kuch ishara karta hai
kiran bhi ha me sar hila kar mon swikriti deti hai
surya ......... Parnam Maharishi bharam
surya ki aawaj se dono apni vastvikt duniya me lout aate
kiran our parijat bhi maharishi bharan ko Parnam karti hai
maharishi .......... Aayushman bhava putra sadha shobhagyavati bhava putri
surya ....... Aap dono ke Bich me hastakshep karne ke liya Mujhe maff kar dijiyega maharani ji maharishi ji
maharishi ......... Putra surya tumhe kshama mangne ki kou aavsaykta nahi hai tumhare karan he ham aaj itne lambe intjaar ke baad punha mil paye hai
surya ....... Dhanyavad maharishi bharam kintu ab aaghe ka marg aapko he parast karna hoga taki aapki iccha puri ho sake our aap dono ka prem milan ho taki aapko mukti prapt ho paye
maharishi ........ Putra main tumhari chinta ka karan janta hun kintu tum nischit raho maya mahal our parilok ke samay kal me samat chakra ka antar hai is liya tum samay ko le kar chintit na ho
surya ........ Ji maharishi bharan aapki aagya
maharishi ....... putra tumhe apni kundalini sakti chakra se jivan chakra ka nirman kar panch tatwa ka paryog kar punha mere sharir ka nirman karna hoga tabhi hamara milan sambhav ho payega
surya ........ Kintu maine is se purva kabhi apne panch tatwa sakti ka paryog is tarha se nahi kiya hai maharishi ji kya aisa karna uchit hoga
maharishi ........ Swayam per vishwash rakho putra is samay keval tum he ek aise manushya ho jo panch tatwa se ek naye sharir ka nirman kar sakte ho isme putri kiran tumhari shayta kregi putra fir tumhare pass devi parkarti ki sakti bhi to jo tumhari shyata kregi
kiran ....... Kunvar ji mujhe aap per purn vishwash hai aap jarur aisa karne me safal honge
surya ....... Jaisa aapka aadesh maharishi ji kintu maharani sonpari ka kya maharishi ji
maharishi ........ Maharani sonpari ek pari hai is liya unke sharir ka nirman putri parijat ko apni urja se karna hoga Kyuki pariyo ka janam urja sawrup me hota hai
maharishi ki baat sun parijat surya ko ha me ishara karti hai
parijat ....... Kintu mujhe iski mantra vidhi gyaat nahi hai maharishi ji na iske vishya me kabhi gurudev ne kuch bhatya hai mujhe
sonpari ......... Putri parijat sharir nirman mantra vidhi ka.gyaan main tumhe pardan krungi kintu tumhe is mantra vidhi ka paryog karte hue thodi pida bhi hogi putri
parijat ........ Main tyaar hun maharani ji aapne jo itne varsh pida bhogi hai uske samne to ye pida kuch bhi nahi hai
parijat ki baat sun maharishi bharam our maharani sonpari ke sath sath surya our kiran ko bhi parijat ki soch our sankalap pe bada garv ho raha tha
maharishi ......... Putra tum tyaar ho
surya .....ji maharishi main tyaar hun
sonpari ........ Putri parijat tum mere sath aao
Maharani sonpari parijat ko apne sath ek kaksh ki our le kae chal di wahi surya maharishi bharan our kiran ko apne sath le kar bahar chala gaya
ek uchit sthan ko chun kar surya ne kamandal ko waha rakha
maharishi ........ Putra jab tum apne jal tatwa ka paryog kro us samay mere tapobal jal rupi jal ka bhi paryog karna jab sabhi tatwa ka paryog kar lo uske paschat putri kiran ke parkarti tatwa ke sath tumhe devi parkarti se prapt sakti ka paryog sharir pe karna hoga tabhi meri aatma us sharir ko apna sakegi
surya ......ji maharishi sab aapke aadesh anusar he karunga
maharishi ....... Putra apne man our chit ko sant rakhna our swayam per vishwash
maharishi bharan surya our kiran ko sab samjha kar sant ho jate hai
surya apni sabhi kundalini chakro ko jagrit kar apni kundalini urja sakti se jivan chakra ka nirman karta hai
surya iswar ko naman kar kiran ko our kamandal ko apne sath le jivan chakra me parvesh karta hai
dono jivan chakra me apna apna sthan le kar ek dusre ke samne kuch duri bana kar beth jate hai
our dhyaan lagana aarambh kar dete hai
jaise jaise surya ka dhyaan gahre hota ja raha tha surya ke sar se kafi upe khule aakash me bhi kuch badlav ho rahe the
ek ke baad ek urja roshni surya ke sharir se nikal aakash me jati hai jaha panch tatwa chakra ka nirman hone lagta hai
pahle partvi tatwa , agni ,vayu ,aakash ,jal ,
ssamanya tour pe partvi jal agni vayu aakash tatwa ka ek niyam anusar paryog hota hai
jaise he panch tatwa chakra pura hua waise he surya ke sar pe aakash me bane panch tatwa chakra se partvi tatwa ki urja surya our kiran ke bich jivan chakra me takrati hai
dhire dhire dhyaan me bethe surya our kiran rup badalne lagta hai kintu surya our kiran dono ki he aankhe is samay band hone se dono is baat se anjan the our dono nirantar kisi gupt mantra ka ucharan kar rahe the
partvi tatwa ka jivan chakra me aane se dono ke bich ek partima ke jaisa aa kar banne lagta hai kintu aajar abhi saff nahi tha ushi karam me kuch der ke antral me ek ke baad ek tatwa jivan chakra me urja rup me aane lagta hai jaise he antim tatwa jo ki jal tatwa tha wo jaise he jivan chakra me aata hai waise he surya ki aankhe khulti jo is samay uday hote surya ke tej ke saman chamak rahi thi surya ke ek najar bhar dekhne se jal se bhara kamandal hawa me uper uth jal tatwa urja ke sath manav aakar le rahe sharir per girne lagta ek pal surya kiran ko dekhta hai fir uski aankhe fir se band ho gai
jis kamandal ne apne bhitar se sukralok ki nadi ka udgam kiya tha uska jal kuch he pal me manak aakar lete sharir me chala jata hai
jaise he ye kiriya purn hui ab wo sharir chamak ne lagta hai dhire dhire uski chamak kam hoti hai to ab wo sharir saf saff purn aakar ne najar aane lagta hai
tabhi surya our kiran ke hridhya se ek ek hari nili roshni nikalti hai our wo us sharir se ja takrati hai sharir aise jhatke khane lagta hai jaise mano kisi ne bijli douda di ho sharir me
hari urja dhire dhire ua pure sharir ko cover kar leti hai jaise titli apne swarup me aane se pahle kuku ke rup me hoti hai
dhiree dhire surya our kiran apne samanya rup me aane lagte hai kintu ab dono buri tarah se hanfte our thake hue najar aa rahe the jab dono ki aankhe khuli to apne samne dekha to unke samne ka najara aisa tha jaise kisi ko waha lita kar hari chadar odha di ho
kiran ....... ( hafte hue ) Kunvar ji kya ham safal rahe
surya ....... Bas iswar se parathna kar sakte hai Umeed to yahi hai sweety ki sab thik raha ho
surya ne us sharir ko dekha jis per se ab hari urja kam ho rahi thi
surya ne apna hath guma kar jadu kiya jis se hari urja ke andar se sharir pe vastra aa gaya
karib 3,4 minutes tak wo urja us sharir per bani rahi fir us sharir ne puri urja ko apne bhitar sonkh liya
dhire dhire us sharir me halchal hui our fir halki aahhhh ki aawaj ke sath aankhe khuli
Maharishi bharan ek baar punha jivit ho chuke the unhe ek naye sharir me jivan ki prapti hui thi mano ek baar fir se maharishi bharam ka janam hua ho
surya ...... Maharishi bharan ek naye rup me naye sharir ke sath aapka swagat hai
maharishi bharam jamin se uthe our acche se apne sharir ko tatol kar dekhte hai
maharishi ........ Putra aisa pratit hota hai jaise abhi abhi mera punar janam hua ho dhanyavad putra surya putri kiran kintu is vidhi ka durupyog kabhi na karna putra
surya kiran ....... Ji maharishi ham kabhi bhi vidhi ka durupyog nahi krege
surya ....... Maharishi kya is sharir ki koi samay sima hai
maharishi ....... Ha putra har ek chiz ki ek sima hoti hai anischit kaal ke liya kuch bhi isthayi nahi hai agar aisa hota to kabhi ka parkarti ka santulan bigad jata
kiran ....... Is sharir ki kya samay sima hai maharishi ji
maharishi ....... Putri Parthvilok ke samay anusar 8 pahar ki samay sima hai is deh ki uske paschat chah kar bhi punha sharir dharan nahi kar sakta bhale he tum anya sharir ka nirman kar lo per uske paschat wo aatma punha sharir dharan nahi kar sakti
Surya ....... Matlab ki aapka ye sharir 24 ghate tak surakshit hai uske baad punha panch tatwa me vilom ho jayega
Maharishi ........ Ha putra yahi satya hai ab hame bhitar chalna chaiye sambhavta putri parijat ko hamari aawsaykta ho
Maharishi ki baat sun surya kiran unke sath sath andar aate hai to samne ka najara to our bhi jyada khubsurat tha
Jaha parijat thodi thaki hui ek singhasan numa chair pe bethi thi wahi maharani sonpari apne name ko sarthak karte hue sone ki tarah pure mahal me sunhari chamak bikher rahi thi unke chehre pe jo khushi jo chamak thi wo be- misal thi
Maharishi ki jaise he najar maharani sonpari ke khubsurat chehre pe padi wo apne he sthan pe pathar ki murat ban khade rah gaye
Surya ....... Maharishi ji ye samay aapka hai kintu aap dono ka hajaar salo ka dukh dard samapt karna hai to unke samip jaiye ek rishi ki tarha nahi ek premi ki tarah adhikar se apni premika ke pass jaiye bhut intjaar kiya hai aap dono ne is pal ka ab is intjaar ko our lamba na kijiye
surya aage badh parijat ko apni goud me utha kiran ke sath mahal se bahar aa jata hai taki maharishi bharam our maharani sonpari ek dusre ke dukh dard bhula kar khul kar mil paye our apni prem ke sanidhya me kuch lamhe sukun se bita paye
achanak bahar jata surya ruk jata hai our kiran ki our dekhta hai
( kiran ....... Aise kya dekh rahe hai kunvar ji maine kuch galat to nahi kaha
surya ......... Kya ye karna thik rahega sweety
kiran ........ Main ye nahi kah rahi ki aap unne pura gyaan de per thoda bhut
surya ....... Ham dono ye kyu bhul gaye ki maharishi bharan bhale he kamandal me kaid the kintu itne din wo mere andar rahe hai mujhe nahi lagta ki unne prem gyaan ki jarurat hai fir ye bhi mat bhulo ki wo hamare purvaj hai jinhone na jane kitni pavitra prem kalao ka nirman kiya hoga unne prem gyaan dene kya vichar he galat hai
Kiran ....... Hehehehe aapne kya sach me unhe aaj ka prem gyaan dene ka soch liya tha hehehe )
Parijat ....... Kya hua didi aap hansh kyu rahi hai
kiran . ..... Kuch nahi paridhi kunvar ji maharishi our maharani sonpari ko aaj ke yug ka prem gyaan dene ki soch rahe hai hehehehe
parijat ........ Kyaaaa aap majak to nahi kar rahi hai na didi unke bare me aisa sochna bhi galat hai
surya samajh chuka tha ki ye shetan ki nani kiran apni shetani se baaz nahi aayegi
surya kiran parijat ko liye us pushp se bhare bagiche me aa pahuncha jaha gulbadan se unki bhent hui thi teeno ko waha dekh gulbadan bhi apna push rup tyaag unke samne pari rup me aa gai
gulbadan ...... Malik aap yaha kya maharani ji apne vastvik rup me aa gai hai
surya ....... Ha gulbadan maharani sonpari our maharishi bharan dono apne vastvik rup me aa chuke hai kintu abhi unhe ekant me rahne do jab tak wo khud bahar nahi aate hai
gulbadan ....... Dhanyavad malik dhanyavad aap dono malkin ko bhi
surya ........ Waise ek baat batao gulbadan tum kab se maharani sonpari ke sath ho
gulbadan ....... Jab se is maya mahal ka nirman hua hai tab se ham sabhi maharani ji ke sath hai
surya .....fir to tum maharani sonpari ke bare me sab janti hogi fir mujhe unke bare me sab btao jo kuch bhi tum janti ho wo sab
surya ki baat sun gulbadan surya kiran our parijat ko maharani sonpari ke bare me sab btane lagti hai jo kiran pahle se janti tho gurudev ke madhyam se bagiche ke alag alag pushp ki khushbu se parijat surya kiran jaldi he taro taja ho jate hai unki sari thakan utar jati hai our wo pahle ki tarah enrgy se bharpur chust tandurust ho jate hai ..............
Update posted friends ............
Read and enjoy friends ..............